Expertise of My Ishtaar - Rights !

Archiving & lest Cherishing

Thursday 19 May 2011

Luv Me Twist Hai !!! Seeta's 45th Break-up :


" Saale suwar ki aulaad ! tu samajhta kya hai apne aap ko ? Tujhe kya lagta hai ki main tujhse maafi maangungi ? Tere pair padke kahungi ki sorry Rahul , mujhe maaf kar do ? Dream on dude ! " 
Seeta poore gusse se aag - babooli ho gayi aur rahul jo ki uska boyfriend hai woh usse baat karne aaya hai - " Seeta ! dekho tum apni hadd me rehke bolo . " Rahul aur Seeta me baat itni bigad gayi hai ki dono break - up ke kagaar par aa gaye hai . 
Seeta bhi zidd pe adi hai , woh rahul se maafi nahi maangne wali - " Tu kaun hota hai mujhe meri hadd dikhaane wala ? Dekh chuje ! tujhe kya lagta hai ki main tujhse pyaar karungi ? No way ! tu bas mere liye iss mahine ka calender tha , samjha ? " 
Rahul seeta ki baat sunkar sab samajh gaya . Kayi baar uske doston ne usse kaha ki seeta usko dhoka de rahi hai par rahul toh seeta ki adaaon pe fida tha . Ab jab seeta usse uub gayi toh break - up ka bahaana bhi dhund liya aur rahul ka patta bhi kaat liya . Bechara rahul ! woh sar niche latkaaye waapis chala gaya .


" Toh ho gaya tera 45th break - up ? " Pooja , jo seeta ki bestest friend hai woh Dono ki baatein chhup ke sun rahi thi . Woh seeta ke is fitrat se vaakif hai aur 45 me se 40 break - up ke plan pooja ne hi diye the . 
" Haan yaar ! Is ladke ka ego itna hai ki i was sure ki jaise main apne pe utrungi woh mujhse break - up kar lega . And see , the outcome is superb ! " 
" Toh ab ghar chale ? " Pooja aur seeta house - mates hai aur ek chote se colony me ek single room rent pe leke rehte hai . Shaher se dur par gaav ke bhi jyada paas nahi . Shaher ne apne bhaav itne badhaa liye hai ki students ke rehne ke liye namumkin waali baat hai . Kam kiraaye me acchi jagah sabse badi zaroorat thi  jo seeta ki pooja se milke poori huwi . Dono phir ghar chali gayi apni bike pe . Bike waise toh pooja ki hai par ride seeta karti hai kyuki seeta ko bike riding ka bahut shauk hai aur woh bhi fast and furious . College me sab seeta ko kehte hai - " Chappan churi " . Haseen hai yeh jitni , dill dukhaye yeh usse kayi jyada . 


Room me jyada saamaan nahi milega siwaay dher saare un gifts ke jo seeta ko uske pichle 45 boyfriends de chuke hai . Aadhe se jyada jagah toh gifts hi bhar dete hai , baaki bachi jagah bed aur table ke liye hai . Ladki ke room me aur kya ho sakta hai ? Kuch heart - shaped pillows , kuch pink gadgets , ek pink bed - sheet , kuch chocalates boxes , ek chota sa fridge jisme dher saari beer ki bottles aur kuch fruits , kuch love letters aur vagera - vagera . Isse pata chalta hai ki pooja aur seeta kitna khul ke jeeti hai apni zindagi . Azaad panchi hai jinhe ghosle ki koi fikar nahi . Beparwaah man-mauji ladkiyaan jinke liye zindagi sirf masti karne ke liye hai . 
" Hey ! is baar tune break - up kaise kiya ? Maine toh koi bahaana nahi bataaya tha tere ko , phir kaise ? " Pooja ko yeh baat nahi samajh aa rahi ki uske idea ke bina Rahul kaise maan gaya . 
Seeta , jo jaadu ki pudiya hai , uske liye kuch bhi kathin nahi aur khaas - kar ladko ke baare me - " Arri yaar ! main toh usse apna bracelet lena hi bhool gayi . Shit ! phir saale se maangna padega . " Seeta pooja ke sawaal ko nazar - andaaz karte huwe , dekhti hai ki uska diya huwa bracelet woh waapis nahi le paayi . Woh bracelet seeta ne khud rahul ko diya tha valentine day ke din . Dono ne  gift diya tha ek - doosre ko . Seeta ne bracelet diya toh rahul ne bhi usko chocalate se bhara box diya tha . Khair ! chocalates jyada din nahi chale the kyuki pooja aur soniya pehle hi din chocalates ke dibbe pe dhaava bol di thi . 
Pooja ko apne sawaal ka jawaab chayiye , use bracelet ki koi fikar nahi - " Saali ! main tujhse kuch puch rahi hun ? Pehle mujhe jawaab de nahi toh "  , Pooja majaak me bed se uthke seeta ke paas jaati hai aur uske gale pe chaaku rakh ke bolti hai - " Main tera khoon pee jaaungi . And i mean it sweetie - pie ! " 
Seeta bhi pooja ke majaak me khud ko shamil karte huwe bolti hai - " Kill me kamini ! Kill me , phir tujhe mere khoon ke ilzaam me umar - kaid ki sajaa ho jaayegi . Aur jail me main tujhe bhoot banke sataaungi . " Itna kehne ke baad seeta chaaku pooja se chheen leti hai aur waapis uske gale pe lagaa ke kehti hai - " Lekin agar main tera khoon kar dun toh mujhe police aur sarkar ki taraf se inaam milega aur prize money bhi  kyuki maine dharti ki sabse badi kamini ko maar diya . " 
Phir room me hansi ki sheeshi khul gayi . Dono zor - zor se hansne lagi aur saare sawaal - jawaab hawa ho gaye . Dono bed pe lete huwe chocalates kha rahi thi . Par  pooja waapis apne sawaal pe aati hai - " Bata na saali , kaise break up kiya ? " 
Seeta ki aadat yeh hai ki woh kabhi seedha jawaab nahi deti . Baat jitni tedhi , soch utni kam . Seeta bas ek line kehti hai - " Where there is a wont , there is a will ! "  Yehi falsafa seeta apne saath leke chalti hai . 
Pooja phir bracelet pe aati hai - " Toh waapis kab le rahi hai rahul se ? " 
Seeta ke paas saara plan pehle se hi rehta hai -  " Tu apna cell phone dena zara . " Pooja ne seeta ko apna mobile de diya aur seeta ne seedhe rahul ko number lagaaya - " Oye kutte ! mera bracelets tere paas hai . Mujhe woh waapis chayiye ........ Kya ? .......Tere chocalates toh tabhi khatam ho gaye the saale .......Woh waapis nahi mill sakte par mujhe mera bracelet waapis chayiye , chindi chor ....... Kamina hoga tu . Main mera saamaan maang rahi hun jo mujhe chayiye .........Haan main pahuch jaaungi . Aur sun ! mujhe bracelet waisa hi chayiye jaisa maine tujhe diya tha . ..........Chal rakh ! " 
Pooja bed pe baithe huwe hi sab kuch sunna chahti hai par mobile me microphone thode hi laga rehta hai ki sab aaju - baaju ke log bhi sunle  - " Kya huwa ? Kaha bula raha hai ? " 
Seeta turant idhar - udhar bhaagne lagi , kapde badalne lagi aur jawaab dene ki bhi fursat nahi . Pooja phir se puchi - " Kya huwa ? Itna urgent bulaaya hai kya ? "  
Seeta ek minute ruki aur boli - " Mall me bulaaya hai . Keh raha hai ki woh wahi hai aur main jaake usse apna bracelet le lun . So , i need to hurry up warna woh bracelet apne next boyfriend ko kaise dungi . " Itna kehte hi seeta room se nikal gayi .  

No comments:

Post a Comment