Expertise of My Ishtaar - Rights !

Archiving & lest Cherishing

Saturday 14 April 2012

MV - Mogul Vishnu [ The Era of a SuperHuman ] ::

" BED DREAM "


Achanak se meri aankh khuli . Sapna tha yeh . Haah ! Baap re , bach gaye . Agar yeh sach ho gaya toh ? Jaise mere muuh se yeh sentence nikla , maine deewar pe tangi ghadhi dekhi . 4 baj rahe hai . Subah ke 4 ? Kehte hai ki subah ka sapna sach ho jata hai . Nahi ! Yeh sach nahi ho sakta . Nahi ! nahi , ho sakta . Kaise ho sakta hai kyuki Principal ne mujhse Hindi me kaha tha . Mere school ke principal sab students ke saamne hindi kabhi nahi bolte . Unhone kaha tha ki main best student nahi hun . Haan , yehi kaha tha principal ne . Hindi me ? Nahi , kabhi sach nahi ho sakta yeh Bed Dream .Par kya yeh sapna ek paheli hai ? Ya aane waali musibat ka sanket . Maine kabhi aisa sapna nahi dekha ab tak . Yeh bahut hi daraawna sapna tha . Matlab aisa nahi hai ki mujhe daraawne sapne nahi aate . Jaise ek baar maine sapne me dekha tha ki laal naak waala joker mujhpe chaaku se vaar karne waala hai jab main bathroom me baitha hun . Par yeh sapna us list se alag hai . Horror nahi but terrifying ! Ajeeb sa joker mehsoos kiya maine khud ko . Khud ko itna Helpless kabhi mahsoos nahi kiya jitna is sapne me kiya. Main chilla raha hun , ro raha hun aur wo bhi poore school ke samne. Kya aisa sach me hone waala hai ? Yeh ho bhi sakta hai , kyuki jis hisaab se maine 10th ki padhai ki hai us hisaab se to mujhe school se nikaal dena banta hai. Bed pe pade-pade yeh kaise khayal aa rahe hai mujhe ? Bad thinking to suna tha , par Bed thinking pehli baar suna . Ek baar phir deewar pe tangi ghadhi ko nigaah talaashne lagi. Ghadhi me ab bhi 4 hi baj rahe hai . Kya meri ghadhi bhi kharaab ho gayi ? Uthke apne kamre ka darwaza khola aur hall ki badi ghadhi ko dekha . Abhi 5 bajne me thoda samay hai . Par yeh samay bilkul sahi hai . Shayad baaki  log bhool gaye par main nahi bhool sakta . Kyuki yeh meri zindagi ka sawaal hai . Sorry , meri maut ka sawaal hai. Maine socha tha ki 5 baje main subah ki walk ke liye niklunga aur bandhe ke kinaare nadi me kood jaaunga. Swimming classes kabhi ki nahi to dubke mar sakta hun na. Shayad isiliye itni jaddho-jahad ke baawjood koi mujhe swimming nahi seekha paya . Jogging suit pehana aur aadhe andhere me nikal pada . Is samay aakash me na suraj poori tarah se nikla hai aur na hi chaand poori tarah se chipa hai . Yeh samay hamesha se mera pasandida raha hai . Main chhutti ke dino me morning walk hamesha se karta aaya hun . Par shayad yeh meri aaj  ki aakhiri morning walk hogi . Ek baar upar aasmaan ki ore dekha . Ghar ka darwaza band kiya aur apni maut ko gale lagane chal diya .  "And the student of this year is - Vishnu " . Main apni muskurahat se apni khushi zaahir kar raha tha. Itna mehnat kiya aur pure saal ki mehnat ka itna accha fal mila , Student of the year ! Yeh to har us student ka sapna hota hai jo puri lagan se padhai ko apna dost maanta hai. Maine maana aur mujhe yeh award mila. Ab main stage pe jaaker apne principal se award lunga. Mere principal ko pehle se hi bharosa tha ki yeh haq mera hai . Unhone mere track records dekhe the aur usi waqt mujhse kaha tha ki iss award ko mujhse behtar saathi nahi mill sakta hai . Main saatwe aasmaan pe tha. Sabhi mere classmates mere liye taali baja rahe the , kuch khushi se to kuch mann ki kadwaahat ko apni jhoothi muskaan ke peeche chhipa kar . Aise log dost kam aur competetor jyada kehlaate hai. Inki muskaan hi inki gaaliyon ko raasta deti hai. Par mujhe ab in sabki kya padi hai? Award to main jeet hi chuka hun. Meri bhi photo khichegi , School ke panno pe mera bhi naam likha jaayega aur wo bhi bold marker se. Sabhi teachers mujhe garv se nihaar rahe the . Inko lagta hai ki maine yeh award inke padhane ki wajah se jeeta hai. Khair ! galatfehmi sabko hoti hai. Par main bhi inko khush karne ke liye haste hue keh gaya -" Mam ! its becoz of ur way of teaching . Thanks a lot . " Yeh bhi khush. Ab chal Vishnu , award intezaar kar raha hai tera. Kaheen principal ke haath se phisal gaya to muuh dekhta reh jaayega sabka . Stage ki seedhiyan bahut lambi lagne lagi. Main jitna upar jaaun , stage utna hi dur jaaye. Yeh kya ho raha hai? Principal mujhe hastey hue dekh rahe hai . Mera intezaar kar rahe hai. Par main sirf seedhiyon pe chadhta jaa raha hun . Un tak pahuch nahi paa raha hun. Yeh aakhir ho kya raha hai ? No !  I wanna go . What's happening here ? Main chilla raha hun , poori zor laga raha hun par main upar nahi jaa pa raha . Achanak sab bacche mere upar hasne lage. Teachers mujhe gusse se dekhne lage. Yeh in sab logo ka behaviour mere liye aise badal kyu raha hai ? Principal award ko phenk dete hai aur mere taraf aane lagte hai. Yeh award mera hai isse mat phekiye . Main chilla raha hun par utni bheed me meri chheekh  koi nahi sun raha . " Tum best student nahi ho . You are a failure ..... a FAILURE  !!! "  Itna kehke principal mujhpe hasne lage . Itni bezzati maine kabhi nahi sahi . Stage ki seedhiyon par khada hoker apna mazaak bana raha hun main . Main foot - foot ke rone laga . Sab aur zor se hasne lage . Main unke liye kisi circus ke joker se kam nahi . Please ! dnt do this to me. Kehte -kehte thak gaya par kisi ne meri ek na suni. 

Thursday 12 April 2012

MV - Mogul Vishnu [ The Era of a SuperHuman ] ::

Hamesha se yehi sunta aa raha hun ki agar zindagi mili hai to kuch karke dikhao , aage badho aur kuch banke dikhao. Shayad isi chakkar me main yahan khada hun .17 saal jee liya , kuch bahut bada nahi kiya par kuch galat bhi nahi kiya tha , ek saal pehle tak. Kise pata tha ki main 1 saal me hi haar maan lunga . Sab to yehi kehte the ki main jaroor kuch alag karunga. Pure khandaan me main hi sabse unche post par pahuchunga. Lekin shayad main is sabka asli haqdaar nahi hun. Abhi zindagi ke pehle hi kadam me fisal gaya aur aisa fisla ki taang hi tudwa baitha.Abhi jahaan main khada hun , wahaan yaa to meri zindagi khatam ho jaayegi yaa phir zindagi ek aur mauka degi phir se marne ke liye. Mere liye yeh mera last spell tha. Aage jeene ki himmat nahi hai mujhme. Waise shayad aap mujhe nahi jaante .  Mera naam Vishnu hai . Aur isse jyada jaanke aap kya karoge kyuki abhi to main marne wala hun. Aas - paas koi nahi hai jo mere iss faisle ko badal sake. Kuch hi der me ek train aayegi. Wo train yaa to mujhe kuchal ke apna raasta aage naapegi yaa to mujhe jeene ka ek mauka degi. Bahut kuch seekha maine apne chote se safar me , aur bahut suffer kiya maine in 1 saal me.Jab aapse ummeed lagane walon ki taadaat jyada ho , to do hi baate ho sakti hai, yaa to aap un ummeedo pe khade utarte ho yaa phir un ummeedo par pani pher dete ho. Dusra wala kissa mere saath hua. Platform ke bilkul kinaare hun , aur zindagi ke ant pe . Jaise hi koi train aayegi main patriyon par jaaker khada ho jaaunga. Mujhme to itni bhi himmat nahi ki main saamne se aati hui train ko apni aankhon se dekh sakun. Socha tha blind fold ho jau par utna taam-jhaam kyu karna jab end me marna hi hai. Bas ! ab baaton ka samay samaapt . Patriyon ka kap-kapana shuru ho gaya hai . Shayad meri sawaari aa rahi hai. Jitna main soch raha hun , shayad utna nahi sochna chayiye mujhe. Yeh kitna aasaan hai sirf train ke samne jaana aur uske paas aane ka intezaar karna hai.  Baaki ka kaam to wo sawaari hi kar degi. Par jitna bolne me simple hai utna yeh asal me hai nahi. Samne maut khadi ho jaaye to acche-accho ki pant geeli ho jaati hai aur main to sirf ek 17 saal ka haara aur kaayar baccha hun. Par agar bacche hi ho toh yeh sab karke kya fayda? Kyun kisi ke diye gaye tohfe ko itni jaldi lauta rahe ho? Bhagwan ne agar jeene ko saanse di hai toh saanso ko chalte rehne ke liye kuch na kuch to bheja hi hoga. Par mere case me wo bahut late ho gaya tha. Mera oxygen ka dabba khatam ho chuka tha . Aur bharne ki koi gunjaayish bhi nahi thi. Achanak se samne se aakash pe kaale dhabbe dikhne lage. Neele-neele pani me zeher ghol diya ho kisine aisa lag raha hai . Yeh zeher mere liye hai aur uss zehereelay paani me mujhe akele hi dubki lagani hai. Train aa rahi hai . Kuch hi der me wo mere shareer ko paar kar degi. Ab time aa gaya tha ki main platform ka kona chodhdu aur patriyon par khada ho jauun. Mann me ajeeb si hulchul mach rahi hai . Andar se kaheen aawaaz aa rahi hai ki aisa mat kar. Mat jaa train ke saamne. Darr mere chehre par saaf jhalak raha hai . Maathe pe pasine ki pehli boond aur uske baad to pura jism hi uski thandak se kaapne sa laga. Hichkichahat hai ki kya yeh karna zaruuri hai. Par na karna kaayarta hogi. To suicide bhi kaun sa veerta ka kaam hai? Man ke mat-bhed ko bhedna bahut kathin hota hai. Jo ispe kaabu paa leta hai wo hi ucchaiyon ko mutthi me kar pata hai. Mere andar itni kaabiliyat hoti to shayad aaj main khud ko hi maaf kar deta. Kya soch raha hai Vishnu ? Train aayegi aur nikal jaayegi , tu bas saamne chala jaa. Maine socha apni dari hui aankhon ko dhak dun . Par yeh faisla toh aur bhi galat nikla. Ankhen band karte hi woh saari baatein saamne aane lagi jo kabhi mujhe pasand aaya karti thi. Jinse main tha aur jo mujhse thi. Mummy- papa , Meri behen , Mera chota bhai , mere dost , mera pyaar ; in sab ko main alvida kaise kahuun ? Train aur bhi kareeb aa chuki hai . Mere paas ab jyada time nahi hai . Sochne ka samay samapt ab uss khai me kudne ka waqt aa gaya hai jise maine hi gehraayi di thi. Ek baar phir se Ankhon ko band kiya aur platform ke neeche utar gaya . Aas-paas koi awaaz nahi hai. Maano sab meri maut ko dekhne ke liye shaant ho gaye hai. Koi aahat nahi . Na kisi pancchi ki chehchahahat , na hi kisi ke kadmo ki aahat. Duniya tham si gayi ho jaise. Train ki tej dhwani bhi ab kaano me nahi pad rahi hai. Shayad maut ke itne kareeb aaker shareer bhi saath chodh deta hai. Haath ek jagah nahi tik rahe hai . Kapkapi se pura badan jhalla utha hai . Achanak se ek tej awaaz aayi aur meri maut ki sawaari mere samne se nikal gayi . Train apna kaam kiye bina hi chali gayi. Usne uss insaan ke liye koi fikr nahi ki jo aaj apni jaan dene ke liye train ka sahara leeya huwa tha. Phir se sab kuch pehle jaisa ho gaya . Awaaze mujhe chilla ke keh rahi hai ki main zinda hun. Kaano me aaker mujhe kaayar keh rahi hai. Pancchi phir se apni meethi boli se mujhe jeene ki icchha dene lage. Hawaayein mere chehre ko jaise tamacha maarne lagi . Main khud ko maar bhi nahi saka. Darr itna hai to zinda kaise hun main ab tak ? Khud pe bahut gussa aa raha hai. Pura chance hone ke bawjood main fail ho gaya. Kya karun ? Aakhir fail hona hi likha hai life me toh aadmi kar bhi kya sakta hai. Bas yehi failure ka dhabba na lag jaaye mujhpe isiliye toh aaj marne aaya tha . Par aaj maut ke test me bhi fail ho gaya. Man toh kiya ki train ko peeche kheech ke phir se uske saamne aa jaauun. Na jee sakta hun , na mar paa raha hun. He Bhagwan ! mujhe le jaa na yaahaan se. Ab kaun sa bura din bach gaya hai jo maine dekha nahi hai ab tak . Waapas apne ghar jaana padega ab. Shayad kal subah mujhe isme safalta mill jaaye par ab dusri jagah par. Pehla attempt hi toh fail hua hai . Yeh keh kar khud ko sambhal to liya  par agli baar bhi yeh na ho aisa tay kar liya. Dusri baari me yeh ho jaana chayiye. Kitne din aur aise jeena padega? Station ko chhodha aur ghar ka rasta pakda. Peeche mud kar bhi nahi dekha uss jagah ko. Soch liya ki ab dekhunga toh upar wale ke sath hi.