" BED DREAM "
Achanak se meri aankh khuli . Sapna tha yeh . Haah ! Baap re , bach gaye . Agar yeh sach ho gaya toh ? Jaise mere muuh se yeh sentence nikla , maine deewar pe tangi ghadhi dekhi . 4 baj rahe hai . Subah ke 4 ? Kehte hai ki subah ka sapna sach ho jata hai . Nahi ! Yeh sach nahi ho sakta . Nahi ! nahi , ho sakta . Kaise ho sakta hai kyuki Principal ne mujhse Hindi me kaha tha . Mere school ke principal sab students ke saamne hindi kabhi nahi bolte . Unhone kaha tha ki main best student nahi hun . Haan , yehi kaha tha principal ne . Hindi me ? Nahi , kabhi sach nahi ho sakta yeh Bed Dream .Par kya yeh sapna ek paheli hai ? Ya aane waali musibat ka sanket . Maine kabhi aisa sapna nahi dekha ab tak . Yeh bahut hi daraawna sapna tha . Matlab aisa nahi hai ki mujhe daraawne sapne nahi aate . Jaise ek baar maine sapne me dekha tha ki laal naak waala joker mujhpe chaaku se vaar karne waala hai jab main bathroom me baitha hun . Par yeh sapna us list se alag hai . Horror nahi but terrifying ! Ajeeb sa joker mehsoos kiya maine khud ko . Khud ko itna Helpless kabhi mahsoos nahi kiya jitna is sapne me kiya. Main chilla raha hun , ro raha hun aur wo bhi poore school ke samne. Kya aisa sach me hone waala hai ? Yeh ho bhi sakta hai , kyuki jis hisaab se maine 10th ki padhai ki hai us hisaab se to mujhe school se nikaal dena banta hai. Bed pe pade-pade yeh kaise khayal aa rahe hai mujhe ? Bad thinking to suna tha , par Bed thinking pehli baar suna . Ek baar phir deewar pe tangi ghadhi ko nigaah talaashne lagi. Ghadhi me ab bhi 4 hi baj rahe hai . Kya meri ghadhi bhi kharaab ho gayi ? Uthke apne kamre ka darwaza khola aur hall ki badi ghadhi ko dekha . Abhi 5 bajne me thoda samay hai . Par yeh samay bilkul sahi hai . Shayad baaki log bhool gaye par main nahi bhool sakta . Kyuki yeh meri zindagi ka sawaal hai . Sorry , meri maut ka sawaal hai. Maine socha tha ki 5 baje main subah ki walk ke liye niklunga aur bandhe ke kinaare nadi me kood jaaunga. Swimming classes kabhi ki nahi to dubke mar sakta hun na. Shayad isiliye itni jaddho-jahad ke baawjood koi mujhe swimming nahi seekha paya . Jogging suit pehana aur aadhe andhere me nikal pada . Is samay aakash me na suraj poori tarah se nikla hai aur na hi chaand poori tarah se chipa hai . Yeh samay hamesha se mera pasandida raha hai . Main chhutti ke dino me morning walk hamesha se karta aaya hun . Par shayad yeh meri aaj ki aakhiri morning walk hogi . Ek baar upar aasmaan ki ore dekha . Ghar ka darwaza band kiya aur apni maut ko gale lagane chal diya . "And the student of this year is - Vishnu " . Main apni muskurahat se apni khushi zaahir kar raha tha. Itna mehnat kiya aur pure saal ki mehnat ka itna accha fal mila , Student of the year ! Yeh to har us student ka sapna hota hai jo puri lagan se padhai ko apna dost maanta hai. Maine maana aur mujhe yeh award mila. Ab main stage pe jaaker apne principal se award lunga. Mere principal ko pehle se hi bharosa tha ki yeh haq mera hai . Unhone mere track records dekhe the aur usi waqt mujhse kaha tha ki iss award ko mujhse behtar saathi nahi mill sakta hai . Main saatwe aasmaan pe tha. Sabhi mere classmates mere liye taali baja rahe the , kuch khushi se to kuch mann ki kadwaahat ko apni jhoothi muskaan ke peeche chhipa kar . Aise log dost kam aur competetor jyada kehlaate hai. Inki muskaan hi inki gaaliyon ko raasta deti hai. Par mujhe ab in sabki kya padi hai? Award to main jeet hi chuka hun. Meri bhi photo khichegi , School ke panno pe mera bhi naam likha jaayega aur wo bhi bold marker se. Sabhi teachers mujhe garv se nihaar rahe the . Inko lagta hai ki maine yeh award inke padhane ki wajah se jeeta hai. Khair ! galatfehmi sabko hoti hai. Par main bhi inko khush karne ke liye haste hue keh gaya -" Mam ! its becoz of ur way of teaching . Thanks a lot . " Yeh bhi khush. Ab chal Vishnu , award intezaar kar raha hai tera. Kaheen principal ke haath se phisal gaya to muuh dekhta reh jaayega sabka . Stage ki seedhiyan bahut lambi lagne lagi. Main jitna upar jaaun , stage utna hi dur jaaye. Yeh kya ho raha hai? Principal mujhe hastey hue dekh rahe hai . Mera intezaar kar rahe hai. Par main sirf seedhiyon pe chadhta jaa raha hun . Un tak pahuch nahi paa raha hun. Yeh aakhir ho kya raha hai ? No ! I wanna go . What's happening here ? Main chilla raha hun , poori zor laga raha hun par main upar nahi jaa pa raha . Achanak sab bacche mere upar hasne lage. Teachers mujhe gusse se dekhne lage. Yeh in sab logo ka behaviour mere liye aise badal kyu raha hai ? Principal award ko phenk dete hai aur mere taraf aane lagte hai. Yeh award mera hai isse mat phekiye . Main chilla raha hun par utni bheed me meri chheekh koi nahi sun raha . " Tum best student nahi ho . You are a failure ..... a FAILURE !!! " Itna kehke principal mujhpe hasne lage . Itni bezzati maine kabhi nahi sahi . Stage ki seedhiyon par khada hoker apna mazaak bana raha hun main . Main foot - foot ke rone laga . Sab aur zor se hasne lage . Main unke liye kisi circus ke joker se kam nahi . Please ! dnt do this to me. Kehte -kehte thak gaya par kisi ne meri ek na suni.