Expertise of My Ishtaar - Rights !

Archiving & lest Cherishing

Monday 11 April 2011

Untitled : The Writer's Pen (Beginning of the Plot) :


Bhagwan ne insaan ko ek anmol tohfa diya hai jise zindagi kehte hai . Yeh utni hi zaroori vastu hai jitni ek machli ke liye paani . Hume ek zindagi milti hai jo kisi ke liye lambi hoti hai toh kisi ke liye choti . Lambi zindagi unke liye hoti hai jinhe dharti pe kuch bada aur bahut mahattvapoorna kaam karna hai . Choti zindagi isliye nahi milti kyuki bhagwan humse pichle janam ka paap ginaa rahe hai balki shayad kuch log kam jeete hai aur uss chote se jeevan-kaal me woh saare kaam kar lete hai jinke liye unhe dharti pe bheja jata hai . Hume iss tohfe ki kadr karni chayiye aur 
kabhi isse chodh kar phekna nahi chayiye . Insaan galti ka putla hota hai aur sahi ka taraazu ,kabhi jyada sahi toh 
kabhi kam sahi .Kabhi-kabhi insaan bahut dukhi ho jaata hai aur apni zindagi ko khatam karne ki soch leta hai . 
Kabhi - kabhi insaan apni har haar aur dukh se thak jaata hai aur aatma-hatya jaise kukarm kar baithta hai . Aur yehi 
wo apne jeevan ka sabse bada paap karta hai . Kudrat ko apne haath me lena sahi nahi . Bhagwan ke diye gaye tohfe 
ko wo ahmiyat na dena , aur thukra dena ek paap hi toh hai . Humare Hero Vishnu se bhi yehi galti huwi par kudrat 
ka karishma dekhiye ki utni unchaayi se girne ke baad bhi wo bach gaya . Shayad usse chuna gaya hai kuch bada karne 
ke liye , jiske liye usse jeena hoga . Kaam shayad bahut khatarnaak aur vishaal hai tabhi usse wo aseem shaktiyaan 
praapt huwi hai . Ji ! Mogul Vishnu jisse kisi khaas kaam ke liye chuna gaya hai . Bachpan me kiya gaya ek maut ka 
sauda  tab to ek khel lag raha tha par jab remitente ne vishnu ko saari shaktiyan de di . Ab woh koi aam insaan nahi 
hai aur ban chuka hai Mogul . Duniya ki saari jimmedaari uspe hai ab , ab yaa toh woh sab sahi karega yaa toh woh 
koi badi galti karega . Uski zindagi abhi abhi sambhli hai . Apne college me woh ek acchi life jee raha hai , padhai me 
accha aur dosti-yaari me bhi . Uske kuch bahut pakke dost bane hai - Aarav , Sanchit , Raju . Ek ladki Nishita jo usse 
 pyaar karne lagi hai . Sirf itna hi hota toh theek hota par Soniya bhi waapis aa gayi hai . Woh Soniya jo uski aatma-hatya ka ek sabse bada kaaran thi . Vishnu soniya se behad pyaar karta tha aur karta hai . Jab woh uski zindagi se gayi tab usne apni zindagi chodhne chahi . Tab ek samay tha jab sab uske khilaaf jaa raha tha aur ab ek samay hai jab sab uske saath hai . Kaamyaabi aur pyaar sab mill gaye hai vishnu ko . Aur kya chayiye ek bande ko ? Kuch cheeje bina maange milti hai aur kuch cheeje bina bataye chheen li jaati hai . Zindagi chali gayi par nayi jimmedaari mill gayi . Jaisa ki remitente ne kaha ki dill toh hai par dill dhadhakta nahi hai . Saansein toh hai par unki zaroorat nahi hai . Nishita ke mann me kya hai vishnu jaan chuka hai . Soniya aayi toh wo bhool gaya sab kuch . Jiske intezaar me do saal tha woh , wo uske liye waapis aa gayi . Aur jab yeh do log ek huwe tab yeh sab cheej choti si lagne uss jimmedaari ke saamne jo use nibhaani hogi . Tilak-kiran hone ke baad kya hoga ? Kya duniya me rehke woh sabki tarah ek aam zindagi jee payega ? Kya usko iss duniya me rehke wo saare kaam karne honge jo ek insaan ke bas ki baat nahi ? Kya ab woh apne pyaar aur doston ko woh ehmiyat de paayega jo woh pehle deta hai ? Kya woh khud ko khush dekh paayega jaise ki woh abhi dikh raha tha  ? Kya woh sab kuch chodhne ko taiyyar hai ? Aur sabse bada sawaal , kya woh itni shaktiyon ka maalik hone ke baad sirf acchayi ka hi saath dega ? Yehi toh jaanna hai hume , aapko aur sabko . Jab insaan ko shakti milti hai toh nayi shakti ke saath aati hai nayi jimmedaari aur jitni badi shakti , utni badi jimmedari  , tab do hi baatein ho sakti hai . Aur jab jimmedari badi hoti hai toh usko nibhaane ke liye chayiye hoti hai ek badi chah . Sach ki raah kabhi asaan nahi hoti hai . Jab aapke paas har cheej paane ka mauka hota hai toh kabhi-kabhi hum sach ki raah se bhi bhatak jaate hai . Humari soch kitni bhi seedhi aur choti kyu na ho , hamesha sahi honi chayiye. Ek taraf dharti hai jaha vishnu ko aam zindagi jeeni hai bina saanson aur dhadhkan ke . Aur ek taraf hai paap-punya ki ladaai jo aam insaan se pare hai . Ek taraf hai sach ki raah pe chalte huwe sab kuch bhool jaana aur ek taraf hai uski khud ki zindagi , uski dosti aur uska pyaar . Kahaani me bahut bada aur pehla mod aaya hai . Do raah hai vishnu ke paas , aur usse dono pe hi chalna hai . Aisa tab hota hai jab aap koi badi galti karne ki galti karte ho . Humara kaam hai dekhna ki kahaani kaha jaati hai . Pyaar aur kartavya ke beech phasa vishnu , kise jyadi ahmiyat dega . Ab uski kahaani uske haathon me nahi hai . Ab samay aa gaya hai ki main kahaani ko aage badhaau . Aapka kaam hai kahaani ke har pehlu ko samajhna aur har hisse ko padhna . Aisa hamesha nahi hota hai ki aam insaan apni zindagi tyaag kar ke ek naye safar pe chalne lage . Safar aisa jisme kya ho sakta hai koi nahi jaanta . 

Untitled Story - Fabrication of a Protagonist - The 3 vows !!!


Pehle se kayi jyada taaqatwaar mehsoos kar raha hun main ab . Kuch aisi shaktiyan jise main sambhaal nahi sakta . Yeh mujhpe kaabu paana chahti hai . Yeh mujhko apne vash me karna chahti hai . Mere andar ajeeb si hulchal mach rahi hai . Main inhe kaise roku ? Yeh toh mujhpe haawi hote jaa rahi hai . Inme ek junoon hai jo mujhe bhi shaamil kar raha hai . Phir se woh roshni ki tarange mere saamne uddne lagi . Ab kya hai inke paas jo yeh mujhe dena chahti hai ? Main inhe nahi jhel paa raha hun , bhale hi mujhme aseemit shaktiyan aa gayi hai par inke aage main bahut chhota hun. 


" Ab baari hai sabse mahattvapoorna tattva ki . Agar tum apna daayan haath uthaake dekhoge toh tumhe 3 rekha dikhengi . " Usne jaisa kaha maine waise kiya . Haan , mere daayein haath ki kalaayi me 3 kaale rang ki lines hai . 3 khadi lines jo kaise bani mujhe bhi nahi pata . "  Yeh 3 rekhayein tumhare kaal ko nirdhaarit karengi . Tum ab itne shaktishaali ho ki kabhi-kabhi tum apna dhairya , apni soch ko kho sakte ho . Jab shaktiyan aati hai toh ek nasha sa hota hai . Yeh nasha kabhi kabhi tumse galat kaarya bhi karwa sakta hai . Par tumhe apne upar ek bandhish banani hogi . Tum sirf apne liye nahi ho . Tum iss sansaar ke liye ho . Ab tum jo bhi karoge uska asar sirf tumpe nahi balki poore sansaar pe hoga . Tum acchayi ke liye banaye gaye ho . Par jab aadmi ke paas taaqat aati hai toh wo uske behakne ka kaaran bhi ban jaati hai . Kabhi agar tumpe yeh shaktiyan haawi ho gayi toh yeh 3 rekhayein tumhara saath dengi . Yeh tumhari madad ke liye hai . " Mujhe apne saamne 3 tattva dikh rahe hai . Teeno ka rang kaala hai aur teeno hi dhund ki tarah dikhayi pad rahi hai . " Tumhe 3 kadiyaan mili hai . Jo tumhare haathon pe 3 rekhayein hai unhe 3 kadiyaan kehte hai . Pehli kadi - agar tumne kabhi kisi bhi insaan ko apni shaktiyon ka ehsaas karwaaya toh tumhari ek rekha mit jaayegi. Doosri kadi - agar tumhari wajah se kisi bhi maasum yaa nirdosh aam insaan ki jaan gayi jisse tumhare kaarya se koi lena dena nahi hai toh tumhari doosri rekha mit jaayegi . Teesri aur sabse eham kadi - Agar kabhi tum acchayi ka raasta chodhke , buraai ko chunte ho yaa kisi buri shakti ki madad karte ho yaa burai ke liye koi kaarya karte ho jisse insaaniyat ko kasht pahuche toh tumhari teesri aur aakhiri rekha bhi mit jaayegi . Aur jab aisa hoga tab tumhare 4 dushman tumhare peeche lag jaayenge . Woh sirf tumhe maarne ke liye janme hai aur tumhe tab tak nahi chodhenge jab tak tum maroge nahi . Woh 4 akele tumhara saamna kabhi nahi kar sakte hai . Agar woh tumhe maar sakte hai toh sirf ek hoke . Jab tak woh saath nahi , wo tumhara kuch nahi bigaad sakte . Par humne tumhe chuna hai ki tum insaaniyat ki raksha karo na ki unke bhakshak bano . " Ab mujhe bahut badi jimmedaari se laad diya gaya hai. " Tumahri shaktiyaan kabhi khatam nahi hogi aur na hi kabhi kam hogi . Balki samay ke saath tumhari shaktiyon ka vistaar hoga . Apne andar ke jeev ko pehchano aur ab inn jimmedaariyon ko samjho. Tumhe yeh 3 kadiyan mili hai aur bhool kar bhi inhe khona mat . Agar yeh mit gayi toh koi tumhari madad nahi kar paayega. Bhagwan aur shaitan ki ladaai me tum ek hissa ban gaye ho . Jab yeh kalyug aaya toh humne ek aise insaan ka intezaar kiya jo mogul ban sake . Waise toh bahut se insaan the jinme se koi bhi yeh kaarya kar sakta tha par tum chune gaye ho . Ek toh tumhara naam jo ki bhagwan ke kareeb hai aur doosra tumhari janam-tithi . Soorya aur mangal ka yog , jo tumhe alag banata hai . Tumhare andar acchayi hai , ab uss acchayi ko sansaar ke liye istemaal karo . Yehi hai tumhara moolya . "  Itna sab kuch jaankar mujhe yeh pata chal gaya ki ab main woh vishnu nahi jo sirf ek aam insaan tha , jo apne doston aur jeevan ke saath khush tha , jo apne pyaar ke liye jeeta tha . Shayad yeh duniya ab mujhse door ho jaaye , mera sab kuch ab mera nahi kyuki ab woh sab kuch jo mera nahi tha ab mera hai . " Ab tum dharti pe laut rahe ho . Par yaad rakhna ki tum insaan nahi Mogul ho . Aaj se apna jeevan sirf jiyo nahi par seekho . Tum shaktishaali ho par amar nahi . Dharti par kayi aisi taaqte hai jo tumhe maar sakti hai . Har baar jab-jab tum apni shaktiyon ka istemaal  sahi kaamo ke liye karoge , yeh badhengi . Par jab jab tum buraai ka saath doge yeh shaktiyan tumhara hi ant kar dengi . " Phir se ek roshni , aankhon ke saamne se andhera gayab huwa aur main apni dharti pe pahuch gaya . Main ab alag hun , sabse alag . Toh kya yeh ek nayi shuruvaat hai ? Kya yeh mere aane waale kal ko aur bhi khatarnaak banayengi ? Jab shaktiyan mere saath hai to darr kis baat ka . Par yeh baat yaad rakhni hai ki buraai nahi acchayi ka doot hun. 

Untitled Story - Fabrication of a Protagonist part 1


Hum dono ek - doosre ke  bahut kareeb hai par kuch aisa hone ka darr hai jisme sab kuch jaa sakta hai . Sab kuch aa gaya hai mere paas , khushiyan , kuch avishwasneeya shaktiya aur sabse zaroori mera pyaar . Mujhe kyu darr lag raha hai ab , kis baat ka darr hai mujhe ? Kya hai jo main bhool raha hun ? Soniya mere kareeb hai , humara dill  ek hai . Mere kuch bahut acche dost hai jo meri khushi ka ek aham hissa hai par phir bhi ek cheej hai jo mere paas nahi - meri zindagi . Meri zindagi toh tabhi mujhse chheen  lee gayi thi jab main 16 saal ka tha . Yeh to woh udhaar hai jo mujhe chukana hai aur shayad phir se itni khushiyon ko paaker main bhool gaya tha . Woh remitente mere saamne hai jise sirf main hi dekh sakta hun . Soniya meri baahon me hai aur saara college mere charo-ore . Main remitente ko dekh sakta hun par baaki sab nahi dekh sakte hai . Mere chehre ki khushi udd gayi , ab kya hoga . Remitente waapis kyun aayi hai ? Har baar ki tarah woh apne kaale libaas me hai aur chehre pe sirf ek bhaaw. Dheere - dheere sab log mujhse door hote jaa rahe hai . Main unke paas hote huwe bhi paas nahi . College ka background jaane laga . Main kaheen aur hi jaa raha hun ab . Sab rang badal rahe hai . Koi mujhe dekh nahi paa raha . Soniya apni jagah pe hai par uske paas main nahi hun . Piche kaala rang chha raha hai . Aankhon ke saamne andhera badhta huwa . Main pahuch gaya ussi andheri jagah pe jahaan pe main pehle bhi do baar aa chuka hun . Ab koi nahi hai siwaay mere aur uss remitente ke . Kya karna hai mujhe aur kya batana hai isse ? 


" Tum kuch bol nahi paoge , toh bolne ki koshish bhi mat karna . Tum abhi yahaan ho aur aaj tumhara tilak-kiran hoga. Tumhara shareer abhi dharti pe hi hai bas rooh yahaan hai . Aaj ke baad tumhara insaan hone ka astitva sirf naam ka hi reh jaayega . Tumhe kuch nahi karna hai , saari shaktiyon ko tum bhaap chuke ho aur ab baari hai tumpe iss sansaar ki jimmedaari saupne ki . "  Main yeh sab nahi chahta hun kyuki meri zindagi me saari khushiyaan laut aayi hai . Ab mujhe yeh sab ki koi chaah nahi . Bachpan me kiya huwa maut ka sauda ab mujhe khal raha hai  . Mere saamne sirf andhera hai , neeche aur upar bhi . Dikhayi de rahi hai toh sirf ek cheej  aur wo hai remitente . 


" Yeh sansaar 3 tattvo se nirmit hai - sattva , raja aur tama. Yeh tino tattva har jeev ka nirmaan karti hai , Sattvik purush doosro ke liye jeeta hai . Unke liye jeevan bhagwan ki ek den hoti hai aur woh isse saare acche karma karke saadhna ka istar badhate hai . Rajasik purush sirf apne liye jeeta hai bhale hi uska mool aadhaar doosro ko haani pahuchana nahi hota . Raja se hi humare andar tama utpanna hota hai. Taamasik purush samaaj ke gande pahlu ko panaah deta hai aur sirf buraai ke maarg pe chalta hai . Inhe triguna kehte hai . Paani , dharti , aag , hawa - in sab me triguna ka niwaas hota hai . Ek saadhu ka jeevan siddh hota hai aur usme sattva ki sankhya sabse jyada hoti hai . Tum koi saadhu nahi ho . Tumhara raja-tama ka istar tab bahut badh gaya jab tumne aatma-hatya ki . Uske baad tumhari aatma pataal ke us saatve bhaag me pahuchti jahaan se na toh tum waapis aa pate aur na kabhi doosra janam le pate . Tumhe ussi waqt bachana humari majboori ho gayi . Aaj tum zinda ho , aam logon ke saath reh rahe ho par tum insaan nahi ho . Tum saansein le rahe ho par tumhe inki zaroorat nahi hai . Insaan paani me jyada der tak saans nahi rok sakte par tumhe saans lene ki koi zaroorat hi nahi hai . Tumhare paas dill toh hai par wo bejaan hai , dhadhkan nahi hai . Tum aaj ke baad se aam nahi rahoge , apni shaktiyon ko aazmaa toh chuke ho . Aaj se yeh divya shaktiyan tumhari hai , aur tum ho Mogul . " Itna sab kuch usne bataya aur phir mere theek saamne na-jaane kitni roshni ki tarange dikhne  lagi . Par yeh sirf safed rang ki nahi hai , kuch laal toh kuch kaali . Ek tarang ki tarah yeh sab udd rahi hai aur mere andar samaana chahti hai . Inme ek ajeeb si taaqat hai jo mujhe aur shaktishaali mehsoos karwa rahi hai . Ek-ek karke yeh mujhme samaati jaa rahi hai . Main bahut alag mehsoos kar raha hun .


" Inn shaktiyon ko mehsoos karo . Grahar karo inhe , yeh tumhari hai . Ab tum insaan ke shaktiyon se pare ho . Inka wajood ab tumse hai aur tumhara wajood inn shaktiyon se hai . Samaa jaane do inhe khud me . Taaqat aur  furti   tumhare aadhaar hai . "