Hum dono ek - doosre ke bahut kareeb hai par kuch aisa hone ka darr hai jisme sab kuch jaa sakta hai . Sab kuch aa gaya hai mere paas , khushiyan , kuch avishwasneeya shaktiya aur sabse zaroori mera pyaar . Mujhe kyu darr lag raha hai ab , kis baat ka darr hai mujhe ? Kya hai jo main bhool raha hun ? Soniya mere kareeb hai , humara dill ek hai . Mere kuch bahut acche dost hai jo meri khushi ka ek aham hissa hai par phir bhi ek cheej hai jo mere paas nahi - meri zindagi . Meri zindagi toh tabhi mujhse chheen lee gayi thi jab main 16 saal ka tha . Yeh to woh udhaar hai jo mujhe chukana hai aur shayad phir se itni khushiyon ko paaker main bhool gaya tha . Woh remitente mere saamne hai jise sirf main hi dekh sakta hun . Soniya meri baahon me hai aur saara college mere charo-ore . Main remitente ko dekh sakta hun par baaki sab nahi dekh sakte hai . Mere chehre ki khushi udd gayi , ab kya hoga . Remitente waapis kyun aayi hai ? Har baar ki tarah woh apne kaale libaas me hai aur chehre pe sirf ek bhaaw. Dheere - dheere sab log mujhse door hote jaa rahe hai . Main unke paas hote huwe bhi paas nahi . College ka background jaane laga . Main kaheen aur hi jaa raha hun ab . Sab rang badal rahe hai . Koi mujhe dekh nahi paa raha . Soniya apni jagah pe hai par uske paas main nahi hun . Piche kaala rang chha raha hai . Aankhon ke saamne andhera badhta huwa . Main pahuch gaya ussi andheri jagah pe jahaan pe main pehle bhi do baar aa chuka hun . Ab koi nahi hai siwaay mere aur uss remitente ke . Kya karna hai mujhe aur kya batana hai isse ?
" Tum kuch bol nahi paoge , toh bolne ki koshish bhi mat karna . Tum abhi yahaan ho aur aaj tumhara tilak-kiran hoga. Tumhara shareer abhi dharti pe hi hai bas rooh yahaan hai . Aaj ke baad tumhara insaan hone ka astitva sirf naam ka hi reh jaayega . Tumhe kuch nahi karna hai , saari shaktiyon ko tum bhaap chuke ho aur ab baari hai tumpe iss sansaar ki jimmedaari saupne ki . " Main yeh sab nahi chahta hun kyuki meri zindagi me saari khushiyaan laut aayi hai . Ab mujhe yeh sab ki koi chaah nahi . Bachpan me kiya huwa maut ka sauda ab mujhe khal raha hai . Mere saamne sirf andhera hai , neeche aur upar bhi . Dikhayi de rahi hai toh sirf ek cheej aur wo hai remitente .
" Yeh sansaar 3 tattvo se nirmit hai - sattva , raja aur tama. Yeh tino tattva har jeev ka nirmaan karti hai , Sattvik purush doosro ke liye jeeta hai . Unke liye jeevan bhagwan ki ek den hoti hai aur woh isse saare acche karma karke saadhna ka istar badhate hai . Rajasik purush sirf apne liye jeeta hai bhale hi uska mool aadhaar doosro ko haani pahuchana nahi hota . Raja se hi humare andar tama utpanna hota hai. Taamasik purush samaaj ke gande pahlu ko panaah deta hai aur sirf buraai ke maarg pe chalta hai . Inhe triguna kehte hai . Paani , dharti , aag , hawa - in sab me triguna ka niwaas hota hai . Ek saadhu ka jeevan siddh hota hai aur usme sattva ki sankhya sabse jyada hoti hai . Tum koi saadhu nahi ho . Tumhara raja-tama ka istar tab bahut badh gaya jab tumne aatma-hatya ki . Uske baad tumhari aatma pataal ke us saatve bhaag me pahuchti jahaan se na toh tum waapis aa pate aur na kabhi doosra janam le pate . Tumhe ussi waqt bachana humari majboori ho gayi . Aaj tum zinda ho , aam logon ke saath reh rahe ho par tum insaan nahi ho . Tum saansein le rahe ho par tumhe inki zaroorat nahi hai . Insaan paani me jyada der tak saans nahi rok sakte par tumhe saans lene ki koi zaroorat hi nahi hai . Tumhare paas dill toh hai par wo bejaan hai , dhadhkan nahi hai . Tum aaj ke baad se aam nahi rahoge , apni shaktiyon ko aazmaa toh chuke ho . Aaj se yeh divya shaktiyan tumhari hai , aur tum ho Mogul . " Itna sab kuch usne bataya aur phir mere theek saamne na-jaane kitni roshni ki tarange dikhne lagi . Par yeh sirf safed rang ki nahi hai , kuch laal toh kuch kaali . Ek tarang ki tarah yeh sab udd rahi hai aur mere andar samaana chahti hai . Inme ek ajeeb si taaqat hai jo mujhe aur shaktishaali mehsoos karwa rahi hai . Ek-ek karke yeh mujhme samaati jaa rahi hai . Main bahut alag mehsoos kar raha hun .
" Inn shaktiyon ko mehsoos karo . Grahar karo inhe , yeh tumhari hai . Ab tum insaan ke shaktiyon se pare ho . Inka wajood ab tumse hai aur tumhara wajood inn shaktiyon se hai . Samaa jaane do inhe khud me . Taaqat aur furti tumhare aadhaar hai . "
No comments:
Post a Comment