Expertise of My Ishtaar - Rights !

Archiving & lest Cherishing

Thursday 21 July 2011

Untitled Story - Chit - Chat Throughout !!!


" What did you do outside ? " 
Nishita ! tum soo jaao . Tumhari aankhon me neend saaf dikh rahi hai mujhe . Have a sleep , its quite late now .
" No , m not feeling drowsy now . Tumne kaise theek ki bus ? " 
Nai baba ! maine kuch nahi kiya . Woh toh muscular driver ji ne sab sahi kiya . I was just standing there , nothing else . 
" Okay ! Fine !  " 
Yaar yeh ladki ! agar safar bhar aise hi question - answer khelti rahegi toh mera toh bheja fry ho jaayega . Abhi - abhi maine nishita ko samjhaakar chup karaaya toh driver aaker sab chaupat kar deta hai - " Bhai log ! aur Bhaaiyon ki behno ! Bole toh bus ka asli thekedaar udhar baitha woh Bacchu master hai . Taaliyaan ! "  Zaroori tha aisa karna , sabke saamne bolna ki bus ko maine akele hi theek kar diya ? Sab mere liye taali bajaane lage taaki driver ko buraa na lage aur mujhe accha lage . Bus waapis speed me chalne lagi aur abhi - abhi shaant huwi nishita bhi chalne lagi . Driver ne jaise sach ka pahaad banaa kar sabko sunaaya , nishita meri taraf gusse se ghurne lagi . Maine usko jhooth bola , ab yeh toh saamne hai uske . Agar nishita bolna shuru kii toh main jawaab ka chota ban jaaunga , isiliye maine usko kaha - Aaa......Ab soo jaao ! 
Par kehte hai na ki pracheen kaal se lekar ab tak sirf ladke hi ladkiyon ka kaha maante aaye hai , naa ki ladkiyaan ladko ka kaha maanti hai . Usko mujhpe thoda toh doubt hone laga hai . Par doubt kis baat ka hai , woh toh sirf nishita hi jaanti hai . 
" Why do you want me to sleep ? What is your plan haan ? " Bada hi shaq - mi - fuck sa sawaal hai yeh toh . Waise main toh sirf usse chup dekhna chahta hun . Aur woh chup tab hi hogi jab woh hosh me nahi hogi matlab soo jaayegi . Par ab meri baat mujhe khud ko kuch alag lagne lagi . 
Hey ! mera koi plan nahi hai , samjhi ? Mujhe laga ki tumhe neend aa rahi hogi so that ' s why i m asking you to take a nap and shed off your wearyness . Nothing else dumbo ! 
" Par main hi kyu sooun ? Pehle tum soo , after you . " Nishita toh mere sar chadh gayi ab . Waise yeh idea bhi sahi hai . Mujhe shaanti chayiye . Ab uske liye main soo jaaun yaa nishita , baat toh ek hi hai na . 
Ok ! if you insist , m going to sleep . But tum jaagti raho warna main kuch kar dunga . Good Night ! 
Maine jhatt se apni aankhein bandh karli . Mere double meaning line sunte hi nishita ne apne haath mere gale tak laa diye taaki mera galaa dabaa sake par aakhiri moment pe khud ko rok leti hai woh . 


Raat ka nasha shayad neend ko hi kehte hai kyuki iske baad kya ho raha hai kisi ko pata nahi chalta . Mujhe bhi koi hosh nahi tha par sirf tab tak jab tak mere bagal waale kandhe pe kisi ka haath baar - baar nahi lag raha tha . Koi lagataar mere kandhe pe vaar kiye jaa raha hai apne haath se . Aankh kholne se pehle maine muuh kholke cheenkha - Kaun hai ? 
" Arre ! Its me dumbo . " Aawaaz sunke laga ki yeh toh sach me nishita hi hai . Tab se mujhe jagaane ki koshish kar rahi hai - " Time kya huwa hai ? " aur jagaa ke time puch rahi hai . Yeh ladki hai yaa aafat ki pudiyaa ? Koi insaan chain se kharraate le raha hai aur yeh madam usko jagaa ke time puchti hai ! Mann toh kiya ki iske muuh pe cello tape lagaa dun par mann toh kuch bhi karta hai . 
What ? Tum mujhe itne horrible way me jagaa ke time puch rahi ho ? 
" Mujhe jaanna hai . I want to know . "  Ab toh yeh zidd hai . Isko main time kahaa se bataau . Maine toh kabhi wrist watch lagaayi hi nahi hai . 
I dont know . Apne mobile me dekho .
" Vishnu ! mujhe time nahi jaanna hai . " 
Phir ? 
" Arre ! see bus ruk gayi hai ." 
Phir se ruk gayi ?
" But this time koi problem nahi hai baba . " 
Phir Kya hai ?
" Baahar chalo mere saath . " 
Baahar kyu par ?
" Dont ask qustions ? " 
Woh kyu ?
" Awwwhhhh ! Wake up and see . " Usne mera muuh baahar ki taraf ghumaaya toh dikha ki baahar ek dhaaba hai . Bus dhaabe pe ruki hai - " I wanna use the washroom . Bus will wait 15 mins here so that we can get fresh n up . Ab chaloge ? " Maine aage kuch puchna zaroori nahi samjha aur uske saath baahar utar gaya . 
Arre ! abhi toh raat hai . 
" So ! tumhe kya laga ki its morning sirji ? " 
Hey ! tumhe washroom jaana hai ki nahi ? Go now ! 
Nishita ne apna hand - bag mujhe thamaa diya . Woh gayi washroom aur main bus ke baahar ki thodi si hawa le leta hun ab . 
Pata nahi aur kitna jhelna padega aisi south indian ladki ki baaton ko !
Tabhi woh waapis aati hai aur muskuraate huwe - " My bag ? " apna bag le leti hai . Hum waapis bus me baithte hai aur driver bus ko bhagaane lagta hai . Pata nahi abhi aur kya - kya jhelna baaki reh gaya hai aaj ki raat me ! 
Iss baar main window seat pe waapis aa gaya aur phir se sapno me sone ki koshish karne hi waala tha ki nishita ne sapno ko chakna - choor kar diya - " Vishnu ! please mujhe window pe baithne do na . " 
Window pe baithna hai ki seat pe ? 
" Very funny ! I mean mujhe window seat pe baithne do na . Please  ! " Itni mushkil se maine yeh seat apne liye bachaayi aur aise - kaise main seat ko haath se jaane dun . 
Chalti bus me idhar - udhar nahi kiya karte hai , so be at your own place . 
" What chalti bus haan ? " Shayad bus ke andar isko hindi samajh me nahi aati . 
Means we should not move here and there in a moving bus . Its not advisable 
" I know that . Main toh bas window seat chahti hoon . Tum idhar baith jaao na please ! " Nahi manegi baat nishita . Waise bhi kehte hai ki kuch paane ke liye kuch khona padta hai . Mujhe agar shaanti chayiye toh mujhe meri window seat ko khona padega  , jo ki mujhe manjoor hai . Maine soch hi raha tha ki usne apne haathon se mere gaal khichne shuru kar diye aur request karne lagi - " Aa jaao na , please ! " Ab aisi situation me koi ladka kaise naa kar sakta hai ? 
Okay ! but dont touch me like this . 
Itna kehke humne apni seats exchange kar li . Ab woh window seat pe baithke baahar ka nazaara dekhne lagi . Main bhi andar ki taraf hoon par apna muuh doosri taraf karke baitha huwa hoon taaki kisi bhi bahaane nishita ka muuh na khule . 
Chup - chaap baithe dono ke dimaag me kuch atkheliyaan chal rahi hai ....
Mujhe aage kya karna hoga ? Abhi toh nishita mere saath hai , mere paas hai . Par aage kya karna hoga mujhe ? Abhi toh hum dono ghar jaa rahe hai , mere ghar . Par waha sab surakshit hoga iski guarantee kaun lega ? Kya pata jo khatra nishita ko yahaan hai , wahi khatra nishita ko waha bhi huwa toh ? Nahi ! kuch bhi ho jaaye mujhe nishita ki raksha karni hai . Usko har musibat se bachaana hoga kyuki jo bhi musibat uspe abhi mandara rahi hai uski wajah main hi hoon . Toh yeh meri jimmedaari hai ki mere rehte huwe nishita pe koi aanch na aaye . Sab kuch mere upar hai par mere saath koi nahi hai . Na koi mujhe samajh sakta hai aur na koi samajhne waala hai . Soniya toh jaane se pehle mujhse milli tak nahi . Uska bhi gussa uski naak pe rehta hai aur na jaane kab utrega . Shayad mogul banke mujhe kuch shaktiyaan milli hai jinse main sansaar ke siddhaanton ko badal sakta hun par aise kuch badlaav mujhme bhi aaye hai jinse meri zindagi badal gayi hai aur shayad yeh badlaav hamesha ke liye hai . Iss badlaav ka main akela waaris hun . Khair ! jo bhi sahi ho yaa galat ho . Abhi toh mujhe sirf yeh dekhna hai ki nishita ko kuch na ho . Sirf kuch dino ki baat hai phir main khud remitente se baat karunga ki iska koi aur hal hai ki nahi . Bahut dino se remitente mere samne prakat nahi huwi . Shayad swarglok me bahut jyada kaam hoga . Itna sochna sehat ke liye haanikaarak hota hai . To main nishita ki ore dekha toh woh khidhki ke baahar dekh rahi hai . Baahar har aage jaati cheej ko piche jaati dekh rahi hai . Maine usko dekhke yeh soch raha hun ki kitni maasumiyat se yeh baahar ki har cheej nihaar rahi hai . Isko toh sabhi cheejein simple lag rahi hogi . Har cheej me pyaar aur acchaayi dikh rahi hogi . Par yeh bilkul anjaan hai iss baat se ki abhi iski jaan gale tak khatre me phansi huwi hai . Jab tak main hun , tab tak iski raksha karne waala koi hai par jab main nahi rahunga toh kaun raksha karega iska . Nishita meri soch me apni chhaap chodhti hai aur apna muuh meri taraf karte huwe mujhe dekhne lagti hai . Main dimaag ke khel me khoya huwa hun aur mujhe pata bhi nahi chala ki woh meri taraf dekh rahi hai - " Vishnu ! kaha khoye huwe ho ? " Uski aawaaz sunke mujhe hosh aaya aur maine apna muuh phir doosri taraf kar liya taaki nishita ko jawaab na dena pade . 
Woh meri taraf muuh karke muskuraati hai aur phir khidhki ke baahar dekhne lagti lagti hai - " Nishita ! yeh kya kar rahi ho tum ? Jo bhi ho raha hai , usko tum itni asaani se kaise hone de sakti ho ? Na kuch kaha aur na kuch bola vishnu ne , phir bhi tum raazi ho gayi uske saath jaane ko ? Aakhir kaun ladki aisa karti hai kisi aise ladke ke liye jo usko zara sa bhi pyaar  nahi karta hai ? Apne dill ko kyu nahi sambhaal paati ho tum ? " Khud se mann hi mann itne sawaal kar rahi hai . Par shayad ek bhi sawaal ka jawaab nahi hai nishita ke paas - "  Why m i so addicted to you , vishnu ? Kya yeh zaroori hai ki tum jo kaho , mujhe wohi karna hoga ? Lekin phir bhi main tumhari har baat kyun maan leti hun ? Aaj main tumhare itne kareeb baithi hun . Koi aur nahi hai humaare beech me , main hun aur sirf tum ho . Phir bhi hum ek - doosre se meelon dur hai . Na mere paas kuch kehne ko hai aur na tum kuch kehte ho . Main ab - bhi believe nahi kar paa rahi hun ki main tumhare saath hun aur tumhare saath tumhare home jaa rahi hun . God ! sirf tumhare saath hone ka khyaal hi mujhe kitni happiness deta hai . Par tum phir bhi mere nahi ho aur shayad na hoge . I love you and only you par tum yeh jaan ke bhi itne anjaan kyu rehte ho ? Meri place pe agar koi aur hoti toh shayad itne jaldi nahi maan jaati aise trip ke liye but main maan gayi and that too without any mess . Phir bhi tum aise react kar rahe ho ? I hate you . But why do i love you so much ki i cant hate you more ? Kaash ! yeh trip kuch magic karde aur hum saath ho jaaye forever ! I wish ! " 


Humare beech koi baat nahi ho rahi  . Aur shayad yeh baat mere doosri taraf baithe couple ko acchi nahi lag rahi , tabhi to uss couple ki dominating personality ne mujhko apna kaan paas laane ko kaha aur mujhse phus - phusaake boli - " Main kab se notice kar rahi hun tum dono ko . Jab se bus me baithe ho tab se ek pyaar ki baatein nahi kii hai tum dono ne . " 
Main unki baat sunke kya kahun . Unke bagal waali seat pe unke husband baithe hai jo ki chup - chap apni wife ko mujhse baat karte dekh rahe hai . Mere bagal me nishita baithi hai jo chup - chap mujhe mere bagal waali seat pe baithi ladki se baat karte dekh rahi hai . Dono hi taraf khamoshi hai par khamoshi ke piche ek aag lagi hai dono ore . Hum dono phus - phus karke baat kar rahe hai aur yeh phus - phus hum dono ke bagal waali seats ke naak me dum kar rahi hai . 
Nahi ! nahi ! aapko koi galat - fehmi huwi hai shayad ...
Main unhe samjhaana chahta hun ki jo woh soch rahi hai , waisa kuch bhi nahi par unhone mujhe poori baat bolne hi nahi di - " Kya galat - fehmi ? Jab pyaar kiya toh darna kya ! Waise yeh college love ka mujhe bhi bahut experience hai . " Jab aisi baat kisi ki biwi apne zubaan se karti hai toh uska pati to zaahir si baat hai ki kaan kya khud beech me aa hi jaayega . Unke pati ne gale ki kharaash dur ki aur apni biwi ki zubaan bhi . Lekin unhone bolna bandh nahi kiya - " Mera matlab yeh jo mere hubby hai na , woh bhi college se hi aaye hai . Hum bhi aise hi ek - doosre se gussa rehte the pehle lekin inhone har baar ruthi huwi namrata ko manaaya yaani ki mujhe . Aur uske baad ..." 
Uske baad ? 
Maine bhi unki baaton me ghusne ki koshish kii par iss baar jawaab unke pati ne diya - " Uske baad we had sex and unfortunately we had to get married . " 
Majaak me kaha par jo bhi kaha solid kaha . Unki biwi toh sharmaa hi gayi aur phir dono  ek - doosre me khoone lage . Maine bhi unhe disturb na karne ka socha par agle hi pal woh phir mujhe bulaate huwe kehti hai - " Dekho ! chalo main maan leti hun ki tum dono me kuch nahi . Ok ? But phir bhi woh tumhare saath hai . Ek ladki ko kabhi aise treat nahi karte hai . Pyaar se baatein karo , pyaar se dekho . Bhale pyaar na karo " 
Thanx ma'am !
Unki baatein choti hai par shayad jo unhone kaha woh sahi tha . Nishita ko apne saath laane ka faisla mera hai toh mujhe uske saath acche se pesh aana chayiye . Sirf gusse se sab kuch theek nahi hone waala . Uske mood off ko switch on karna chayiye mujhe . 

No comments:

Post a Comment