The movie starts with a family mis-conception . Padosi ki shadi me Prem aka Salman Khan dulhan ko bhaga le jaata hai , Zarine Khan . She plays a guest role for Sallu . Phir aata hai Character Dheela , song jo aapko apni seats se uthaa deta hai not to go out & leave but to move & groove with its tune . But phir pata chalta hai ki prem ne dulhan bhagaayi toh par khud ke liye nahi balki kisi aur ladke se shadi karaane ke liye jisse ladki pyaar karti thi . Court me shadi karaate hai Sanju Baba aur dulha bante hai Ajay Devgan . Too many ishtaar casts to help the movie's star rise . Then there is a happy family of prem jisme papa hai , mummy hai , ek bade chacha aur chachi aur ek chote chacha aur chachi . Bhagwan ki daya aur guru ji ki kripa se do sundar naukrani bhi hai . Baat aati hai prem ki shadi ki toh guru ji america se bhejte hai ek sundar sushil kanya jiska naam pooja hai aur jiske samaan koi na duja hai . But co-incidently airport pe pooja ki jagah prem ghar laate hai sanjana aka Asin . Sanjana apne mama aur mama ki gang se bhaagkar ghus jaati hai prem ke sukhi parivaar me . Sabse apni asliyat chupaake sanjana banke rehti hai pooja . Prem ko nayi pooja acchi toh lagti hai par shuruvaat toh hamesha hi ladne - jhaghadne se hi hoti hai na . Eventually , prem sach ka pata laga leta hai kyuki movie me prem Salman hai aur prem sab kuch kar sakte hai . Kabhi trees pe monkeys jaise jump kar sakte hai , kabhi fast cars aur bikes chala lete hai toh kabhi gundo ko akele hi coma me pahucha dete hai . Man , dabangg ka thoda toh hang-over hoga hi ready me . Phir jab prem aur sanjana ki prem kahaani shuru hoti hai toh sanjana ke dirty mama usko dhoond lete hai aur usko le jaate hai . Ab aage ki kahaani yehi hai ki kaise prem sabhi dons se sanjana ko bachata hai aur apne prem ko haasil karta hai . Prem dono hi mama dons ke saath shuru karta hai bluff games aur dono hi mamas ki hell life ko heaven banata hai - " Dono dons ki zindagi ko hilaa - hilaa ke hell kar dunga . "
After his flop Thank You , Anees Bazmee presents the Salman starrer Ready but phir unki kharaab direction ki wajah se ready ready hote hote reh gayi . Film bahut badi block-buster ban sakti thi agar woh movie me Salman ka formula sahi tareeke se use karte . Fans jab Salman ki movie dekhne jaate hai toh yehi expect karte hai ki out & out action hoga aur drama hoga . Movie me family drama toh bahut hai par jab baat aati hai action part ki toh ready lacks the plot . Agar action scenes me thodi si jaan dikhti hai toh woh sirf Salman ke jhatko ki wajah se hai . Prem ko present kiya gaya ek seedhe , spectacles lagaate huwe tie aur full shirts pehne huwe jiski wajah se Salman look disturb ho jaata hai . Fans ko yehi baat sabse jyada dissapoint karti hai . But still salman is the reason for all the hype surrounding this movie . He did his part so well and used his superb sense of humour to light up the scenes . Asin ka bhi role utna impactful nahi tha kyuki Salman ke aage sab paani kam chaai lagte hai . Baaki bahut se characters hai movie me aur sabne chote - chote roles me theek - thak kaam kiya kyuki usse jyada unke paas scope hi nahi tha .
Ready ko log kyu pasand karenge apart from Sallu's stardom ? Movie me do aise hit chartbusters songs hai jo aapko theatres tak khich hi laayenge . Start with CHARACTER DHEELA , is gaane ne aisi peepri bajaayi ki movie ko shuru me hi taaliyaan aur waah-waahi mill gayi . It was really refreshing to admire the gorgious Zarine Khan after a long break . Veer se bilkul hatke get-up aur make-up tha par Zarine Khan pulled the opportunity with both hands . The second but the best song , keh sakte hai ki year 2011 ka outstanding dance number hai DHINKA CHIKA . The song is a bollywood smash hit , with his favourite tunes influenced from south indian masala tunes . These two songs are the saving grace along with Salman's magnetic screen presence . Unke dance steps bhi ek formula hote hai movie ko hit karne ke liye . Pritam ka music ready ko block-buster banane ke bilkul kaabil tha .
To sum up , yehi keh sakte hai ki Ready ko Readymade block-buster opening toh zaroor mili par phir naiyya doobne ke bahut chance hai bhai . Ek family entertainer drama , jisme thoda sa romance hai aur usse thoda sa comedy hai aur usse bhi thoda sa action hai , not a jaunar of Salman but still movie ka only plus point wahi hai . Agar movie ke action aur scenes pe thoda kaam kiya jaata toh ready bhi dabangg macha deti par ab pachtaye hott kya jab chidhiya chuk gayi khet . Kitna dhamaal machaaya prem ne sanjana ke khatir , uske liye main Ready hun dene ke liye Ready ko sirf 2.5 pure gold . For Salman's superb sense of humour , kuch diamonds aur silver ke bracelets bhi ready ko . A movie good , neither the best nor the worst .