Expertise of My Ishtaar - Rights !

Archiving & lest Cherishing

Tuesday, 7 June 2011

Movie Pack-Up Tym - READY !!!

SALMAN KHAN
READY
"Ek baar jo maine commitment kar di , uske baad toh main khud ki bhi nahi sunta . "
"Hum tumme itne ched karenge ki confuse ho jaaoge ki saans kaha se le aur paade kaha se ."
After Wanted & Dabangg , Fans were eager & super - excited for Salman's next READY . Jaise do dumdaar dialogues humne sune , waise hi dialogues hum phir se sunne ko betaab the par Ready iske muqable thoda fiki padti hai . Agar short me kaha jaaye toh not a fitting Salman's outfit .
Jitni highs movie ko milni chayiye utni popularity aur collections toh Salman bator hi lenge kyuki abhi tak fans pe Dabangg ka jaduu chadha hai par weekend ke beetne par yeh demand kam ho sakti hai kyuki naa toh yeh movie Dabangg kar paayi aur naa hi jyada der Wanted rahegi . Lets start with the story -

The movie starts with a family mis-conception . Padosi ki shadi me Prem aka Salman Khan dulhan ko bhaga le jaata hai , Zarine Khan . She plays a guest role for Sallu . Phir aata hai Character Dheela , song jo aapko apni seats se uthaa deta hai not to go out & leave but to move & groove with its tune . But phir pata chalta hai ki prem ne dulhan bhagaayi toh par khud ke liye nahi balki kisi aur ladke se shadi karaane ke liye jisse ladki pyaar karti thi . Court me shadi karaate hai Sanju Baba aur dulha bante hai Ajay Devgan . Too many ishtaar casts to help the movie's star rise . Then there is a happy family of prem jisme papa hai , mummy hai , ek bade chacha aur chachi aur ek chote chacha aur chachi . Bhagwan ki daya aur guru ji ki kripa se do sundar naukrani bhi hai . Baat aati hai prem ki shadi ki toh guru ji america se bhejte hai ek sundar sushil kanya jiska naam pooja hai aur jiske samaan koi na duja hai . But co-incidently airport pe pooja ki jagah prem ghar laate hai sanjana aka Asin . Sanjana apne mama aur mama ki gang se bhaagkar ghus jaati hai prem ke sukhi parivaar me . Sabse apni asliyat chupaake sanjana banke rehti hai pooja . Prem ko nayi pooja acchi toh lagti hai par shuruvaat toh hamesha hi ladne - jhaghadne se hi hoti hai na . Eventually , prem sach ka pata laga leta hai kyuki movie me prem Salman hai aur prem sab kuch kar sakte hai . Kabhi trees pe monkeys jaise jump kar sakte hai , kabhi fast cars aur bikes chala lete hai toh kabhi gundo ko akele hi coma me pahucha dete hai . Man , dabangg ka thoda toh hang-over hoga hi ready me . Phir jab prem aur sanjana ki prem kahaani shuru hoti hai toh sanjana ke dirty mama usko dhoond lete hai aur usko le jaate hai . Ab aage ki kahaani yehi hai ki kaise prem sabhi dons se sanjana ko bachata hai aur apne prem ko haasil karta hai . Prem dono hi mama dons ke saath shuru karta hai bluff games aur dono hi mamas ki hell life ko heaven banata hai - " Dono dons ki zindagi ko hilaa - hilaa ke hell kar dunga . " 

After his flop Thank You , Anees Bazmee presents the Salman starrer Ready but phir unki kharaab direction ki wajah se ready ready hote hote reh gayi . Film bahut badi block-buster ban sakti thi agar woh movie me Salman ka formula sahi tareeke se use karte . Fans jab Salman ki movie dekhne jaate hai toh yehi expect karte hai ki out & out action hoga aur drama hoga . Movie me family drama toh bahut hai par jab baat aati hai action part ki toh ready lacks the plot . Agar action scenes me thodi si jaan dikhti hai toh woh sirf Salman ke jhatko ki wajah se hai . Prem ko present kiya gaya ek seedhe , spectacles lagaate huwe tie aur full shirts pehne huwe jiski wajah se Salman look disturb ho jaata hai . Fans ko yehi baat sabse jyada dissapoint karti hai . But still salman is the reason for all the hype surrounding this movie . He did his part so well and used his superb sense of humour to light up the scenes . Asin ka bhi role utna impactful nahi tha kyuki Salman ke aage sab paani kam chaai lagte hai . Baaki bahut se characters hai movie me aur sabne chote - chote roles me theek - thak kaam kiya kyuki usse jyada unke paas scope hi nahi tha . 

Ready ko log kyu pasand karenge apart from Sallu's stardom ? Movie me do aise hit chartbusters songs hai jo aapko theatres tak khich hi laayenge . Start with CHARACTER DHEELA , is gaane ne aisi peepri bajaayi ki movie ko shuru me hi taaliyaan aur waah-waahi mill gayi . It was really refreshing to admire the gorgious Zarine Khan after a long break . Veer se bilkul hatke get-up aur make-up tha par Zarine Khan pulled the opportunity with both hands . The second but the best song , keh sakte hai ki year 2011 ka outstanding dance number hai DHINKA CHIKA . The song is a bollywood smash hit , with his favourite tunes influenced from south indian masala tunes . These two songs are the saving grace along with Salman's magnetic screen presence . Unke dance steps bhi ek formula hote hai movie ko hit karne ke liye . Pritam ka music ready ko block-buster banane ke bilkul kaabil tha . 
To sum up , yehi keh sakte hai ki Ready ko Readymade block-buster opening toh zaroor mili par phir naiyya doobne ke bahut chance hai bhai . Ek family entertainer drama , jisme thoda sa romance hai aur usse thoda sa comedy hai aur usse bhi thoda sa action hai , not a jaunar of Salman but still movie ka only plus point wahi hai . Agar movie ke action aur scenes pe thoda kaam kiya jaata toh ready bhi dabangg macha deti par ab pachtaye hott kya jab chidhiya chuk gayi khet . Kitna dhamaal machaaya prem ne sanjana ke khatir , uske liye main Ready hun dene ke liye Ready ko sirf 2.5 pure gold . For Salman's superb sense of humour , kuch diamonds aur silver ke bracelets bhi ready ko . A movie good , neither the best nor the worst . 

No comments:

Post a Comment