Expertise of My Ishtaar - Rights !

Archiving & lest Cherishing

Thursday 7 April 2011

Untitled Story - Friends have lots to talk about !

" Dekha ! aaj kya huwa class me ? " Aarav abhi bhi shock me hai ki maine bhukamp ko kaise naap liya . Mujhe samajh aa chuka hai ki yeh sab mere Mogul banne ki wajah se hai . Dheere-dheere meri shaktiyan mere andar ke insaan ko khatam aur maseeha ko jaga rahi hai . Main bina chahe hi apni shaktiyon ka use kar raha hun . " Abe ! Vishnu bata na kaise tune bhukamp ko mahsoos kar liya . " Main kya batau Aarav ko ? " Abe bol be ! Saanp soongh liya hai kya ? "  Nahi yaar , main bas baitha tha aur mere pairon ke neeche ki zameen hilne lagi toh mujhe laga ki yeh bhukamp hoga . Bas ! aur kuch nahi . Tabhi iss guftagu ko badhawa dene Sanchit bhi aa gaya  - " Saalo ! bhukamp ko goli maaro . Aaj kisi ne class me ek baat notice ki ? "  Kya Vicky aur Sameer ki punishment na ? " Nahi Vishnu , tu apna muuh bandh rakh . " Aarav bhi shuru ho gaya phir - " Sanchit , point pe aa na . " Main baitha hun par jaanta hun ki topic main hi hun iss gossip ka . Sanchit ko chup karna namumkin hai , wo shuru to sab soo gaye samjho . Wo phir se shuru ho gaya - " Class me sabne Vishnu ko answer dete toh dekha hi hoga aaj ? Dekha ki nahi ? " Sabne haan - haan kee . " Toh kya  sabne yeh notice kiya ki jab isne answer diya toh sabse pehle taali kisne bajaai ? " Iss conversation ko interesting paata dekh  Raju bhi bol pada - " Haan ! maine bajai thi ." Raju ka jawaab sunkar Sanchit gussa gaya par Raju ke darr se aaraam se bola - " Nahi Raju , koi aur guess hai kya kisi ke paas ? " Ab shayad baakiyon ko samajh aane laga ki Sanchit kya kehna chahta hai . Tabhi Aarav ki batti jali aur wo bhi muuh phaadne ko taiyyar ho gaya -" Haan , mujhe pata hai ki yeh taali kis saali ne bajaayi . Vishnu ! tu jaanta hai kya ? " Main chup-chap baat-chit ki garmi badhte dekh raha hun . Jab Aarav ka chehra dekha toh laga ki koi ladki hi hogi jisne taali bajaayi warna Aarav itna dimaag nahi chalata . Aarav sirf ladkiyon ki baat karne me vishwas rakhta hai aur baaki samay mute rehta hai . Main kuch bolta usse pehle Sanchit bol pada - " Wo taali wali saali thi - Nishita . " Sabhi mujhe chedhne ke liye zor - zor se hasne lage . Main sharam ke maare laal ho gaya . Yeh hai mere dost jo hamesha meri bajaane ki sochte hai . Par madad bhi yehi karte hai isiliye main inki baaton ka bura nahi maanta . Par isse pehle yeh mujhe aur chidhaate maine unse arzi ki - Yaar ! kya faltu ki baat kar rahe ho ? Kaun Nishita ? " Arre ! wahi Nishita jo hamesha tere pe apni aankhen sekti hai . "  Raju ke itna bolte hi shaam aur bhi khilkhilaane lagi . Sab mere ek jawaab ka bukhaar bana kar kitne khush hai ! Inki khushi ka main main part hun , par yeh Nishita kaun hai  mujhe aaj tak nahi pata chala. Dekha bhi nahi hai maine aaj tak usko . Haan par suna hai ki Nishita naam ki ladki apne class me hai , par kaha hai yeh mujhe nahi pata . Sanchit mere paas aaker bola - " Vishnu yaar ! ab toh usse baat karle , bechaari kab tak tujhe sirf dekhti rahegi woh . " Maine usko dekha tak nahi hai guys . Baat kyun karun main , padhne aaya hun ki kuch aur karne . Aarav phir se Bola " Haan-haan , agar tu  sirf padhne aaya hai yaha  toh apne wallet me kiski tasveer leke ghumta hai ." Aarav ne ab kuch jyada hi bol diya . Maine thoda sa gussa dikhana chaha par mujhe pata hai ki agar main ab bolunga toh sabko yeh baat pata chal jaayegi . Toh main waha  se utha aur room se baahar  verandah me jaa khada ho gaya. Main unki baat nahi sun sakta ab . Baahar aaker main shaanti chahta tha par mann hi mann yeh bhi soch raha hun ki wo mere aur meri wallet me rakhi tasveer ke baare me kya bol rahe hai . " Arre ! Vishnu aa jaa . Ab nahi bolenge hum . " Aarav ne rokne ki koshish ki par mujhe yeh baat buri lagi . Main baahar aa gaya par phir bhi main inki baatein sun raha hun . Sanchit ki aawaaz hai yeh shayad - " Aarav ! yeh kiski tasveer leke ghumta hai ? " Ab Aarav mera pakka dost hone ke bawjood bolega aur woh bola bhi" Pata nahi . Maine photu dekhi nahi par itna sure hun ki ladki hai koi . " Main bhale hi unse doorie par hun phir bhi unki baat mujhe saaf-saaf sunaayi de rahi hai . Mujhe Soniya ki baat pe kabhi sirf pyaar aata tha par aaj agar koi Soniya ki baat karta hai toh mujhe bahut dard hota  hai . Wo mera pehla pyaar hai aur shayad uske baad main kisi aur ko nahi pyaar kar sakta . Apni bhawnaao ko main nahi rok sakta . Soniya ki baat ab jab bhi hoti hai toh main apne aansuuon ko nahi rok pata hun . Shayad isiliye kam se kam sochta hun uske baare me aur uske hote huwe main kisi aur ke baare me kabhi nahi soch sakta. Kya abhi zindagi me kuch reh gaya hai jo ab aur kuch alag karu ? Pata nahi yeh meri nayi shuruvaat hain yaa ek ant . 

Untitled Story - The Hidden Powers !!!

Insaan kabhi  bheedh me tabhi akela mahsoos karta hai jab uska koi khaas uske sath na ho . Mere sath bhi aisa hi hai . Class me akela baithta hun aur apni bagal wali khaali place pe Soniya ko dhundhta hun. Class 10th ke baad maine apna school badal liya tha aur uske baad maine usse kabhi nahi milla . Na wo kabhi mere samne aayi . Class ki  daastaan shuru . Sir Rajan ne padhana shuru kar diya . Unke lectures dhyaan dene pe lagte hai ki bahut easy hai , sab ho jaayega par agar na suno toh lagta hai ki jaise economics padha rahe ho . Mera poora dhyaan lectures par nahi raat pe tha . Mera kya kaam ho sakta hai ? Mogul hun main par Mogul karega kya ? Udhar sir ka lecture chal raha hai aur idhar mera dimaag . " For proper working of a transistor , the voltage at the base must be positive than that of the emitter ." Main positive hone ki koshish kar raha hun par mere dimaag me sirf bure khayaal hi aa rahe hai . Na toh mujhe apna aaj pata hai aur na hi mujhe apna kal pata hai . " This movement of  electrons from emitter to collector  creates a  flow of electricity through the transistor  and its through the base . Do you all get me ? "  Main inn sabse bhaag bhi nahi sakta hun ab . Agar koi  insaan hota toh peecha chudhane ka main soch bhi sakta hun par idhar toh bhagwan mere peeche pade hai . Main bhagwan se kya kahun ? Main unhe kaise batayu ki main iss sab ke liye bilkul taiyyar nahi hun abhi  ? Mujhe Mogul nahi banna hai , main aam aadmi rehna chahta hun . Par kya aam hona meri kismat me likha hai bhi ki nahi ? " So now will anyone remind me the 3 elements of transistors ? Anyone here ? Ha , Vishnu ! give me the answer right now . "  Mere khayaalo ki deewar pe chuna lagane aa gaye Sir Rajan . Main hadbada gaya , dhyaan kaheen aur hai aur sawaal bhi kaano me nahi pada . Sirf apna naam sun ke khada huwa . " Yess , yess . I hope you have the answer with you , dnt you  ?" Answer kya mujhe toh question bhi nahi sunaayi diya hai . Yeh main sir se kaise kahun ab . Class me jo answer nahi de pata hai uski toh sir band bajaa dete hai . Main apni baarat nahi nikalwana chahta hun par ab kya karun . Muuh kholne ki koshish kee toh garam saansein hi nikli jo mujhe answer nahi bata sakti . Abbbb . . . .ba baa. .3 elements sir ? " Yes , 3 parts that all transistors have in them ? " Okay sir . Yeh students ka janam-siddh adhikaar hota hai ki chahe answer aaye na aaye , confidence zaroor aana chayiye . Maine bhi thoda sa aatma-vishwas dikhane ki koshish kee . Socha ki acting karke bach jaaunga aur sir se keh dunga ki pata hai par bhool gaya , jaisa har bechare student ke sath hota hai . The 3 elements are emitter , base and collector . "  Very good Vishnu  ! mujhe laga ki tumhara dimaag kaheen aur tha par good . Sit down !!! " Thank you sir ! Yeh maine kaise kar diya ? Mere jawaab dete hi mere tareef me class me taaliyaan bajne lagi . Sab sochte hai ki main hamesha padhta hun aur har sawaal ka jawaab rakhta hun jeb me par abhi jo huwa woh maine nahi kiya . Taaliya sunke toh accha laga par kya yeh nayee shaktiyon ke badaulat hai ? Maine jab question hi nahi suna toh main answer kaise de sakta hun ? Yeh kaisi shakti hai ? Waise insaan ka ek sub-conscious mind bhi hota hai jisme insaan ka dimaag wo sab baatein store karta hai jise hum sunte yaa dhyaan nahi dete hai par humara dimaag unhe catch kar leta hai . Sub-conscious mind active hota hai normal case ma , bekaar hota hai bewkoofo ke case me aur extra-ordinary hota hai paaglo ke case me . Kya yeh paagalpan hai mera  ? Kaheen main yeh sab sapne me toh nahi na dekh raha hun ? Main apna dhyaan class me bilkul bhi nahi laga paa raha hun . Achanak se class me kuch ajeeb sa lagne laga . Saans lene me dikkat hone lagi . Aankhen samne ka view dikhaane ki jagah kuch aur hi dikha rahi hai . Aas-paas kuch bura hone ka ehsaas ho raha hai . Yeh kya hai , kya hone wala hai  ? Main samajh nahi paa raha hun par jo hone wala hai woh kisi khatre se kam nahi . Everybody ! rite now , GET DOWN . Sab log apni bench ke neeche chup jaao . Class me afra-tafri mach gayi. Sab darke neeche ho gaye . Yaha tak ki Rajan sir bhi apni table ke neeche chup gaye . Mujhe nahi pata ki main kyu chillaya par ab main bhi neeche hi hun . Achanak se dharti hilne lagi . Saari cheeje apni jagah se girne lagi . Dill ki dhadkan badhne lagi . Par kuch hi der me quake ruk gaya . Yeh shayad ek minor sa earthquake tha jo hum sabko dara ke chala gaya . Sab normal huwa toh hum apni place pe wapis aa gaye . Sir hairaan hai , sab hairaan hai , sab kya main khud hairaan hun . Mujhe kaise pata chala ki bhukamp aane wala hai . Sab mujhe aankhen phaad ke dekhne lage . Main sirf chup karke khada hun abhi aur sabki nazron se kinaara chahta hun . Tabhi sir ne chuppi ko toda - " I think class should be stopped now . All of you go back . Class dismissed . " Sab class se bhaagne lage aur main intezaar kar raha hun ki sab nikal jaaye . 6th sense ? Suna toh bahut tha iske baare me , par shayad ab yeh mere ghulaam hai .