Expertise of My Ishtaar - Rights !

Archiving & lest Cherishing

Thursday 7 April 2011

Untitled Story - Friends have lots to talk about !

" Dekha ! aaj kya huwa class me ? " Aarav abhi bhi shock me hai ki maine bhukamp ko kaise naap liya . Mujhe samajh aa chuka hai ki yeh sab mere Mogul banne ki wajah se hai . Dheere-dheere meri shaktiyan mere andar ke insaan ko khatam aur maseeha ko jaga rahi hai . Main bina chahe hi apni shaktiyon ka use kar raha hun . " Abe ! Vishnu bata na kaise tune bhukamp ko mahsoos kar liya . " Main kya batau Aarav ko ? " Abe bol be ! Saanp soongh liya hai kya ? "  Nahi yaar , main bas baitha tha aur mere pairon ke neeche ki zameen hilne lagi toh mujhe laga ki yeh bhukamp hoga . Bas ! aur kuch nahi . Tabhi iss guftagu ko badhawa dene Sanchit bhi aa gaya  - " Saalo ! bhukamp ko goli maaro . Aaj kisi ne class me ek baat notice ki ? "  Kya Vicky aur Sameer ki punishment na ? " Nahi Vishnu , tu apna muuh bandh rakh . " Aarav bhi shuru ho gaya phir - " Sanchit , point pe aa na . " Main baitha hun par jaanta hun ki topic main hi hun iss gossip ka . Sanchit ko chup karna namumkin hai , wo shuru to sab soo gaye samjho . Wo phir se shuru ho gaya - " Class me sabne Vishnu ko answer dete toh dekha hi hoga aaj ? Dekha ki nahi ? " Sabne haan - haan kee . " Toh kya  sabne yeh notice kiya ki jab isne answer diya toh sabse pehle taali kisne bajaai ? " Iss conversation ko interesting paata dekh  Raju bhi bol pada - " Haan ! maine bajai thi ." Raju ka jawaab sunkar Sanchit gussa gaya par Raju ke darr se aaraam se bola - " Nahi Raju , koi aur guess hai kya kisi ke paas ? " Ab shayad baakiyon ko samajh aane laga ki Sanchit kya kehna chahta hai . Tabhi Aarav ki batti jali aur wo bhi muuh phaadne ko taiyyar ho gaya -" Haan , mujhe pata hai ki yeh taali kis saali ne bajaayi . Vishnu ! tu jaanta hai kya ? " Main chup-chap baat-chit ki garmi badhte dekh raha hun . Jab Aarav ka chehra dekha toh laga ki koi ladki hi hogi jisne taali bajaayi warna Aarav itna dimaag nahi chalata . Aarav sirf ladkiyon ki baat karne me vishwas rakhta hai aur baaki samay mute rehta hai . Main kuch bolta usse pehle Sanchit bol pada - " Wo taali wali saali thi - Nishita . " Sabhi mujhe chedhne ke liye zor - zor se hasne lage . Main sharam ke maare laal ho gaya . Yeh hai mere dost jo hamesha meri bajaane ki sochte hai . Par madad bhi yehi karte hai isiliye main inki baaton ka bura nahi maanta . Par isse pehle yeh mujhe aur chidhaate maine unse arzi ki - Yaar ! kya faltu ki baat kar rahe ho ? Kaun Nishita ? " Arre ! wahi Nishita jo hamesha tere pe apni aankhen sekti hai . "  Raju ke itna bolte hi shaam aur bhi khilkhilaane lagi . Sab mere ek jawaab ka bukhaar bana kar kitne khush hai ! Inki khushi ka main main part hun , par yeh Nishita kaun hai  mujhe aaj tak nahi pata chala. Dekha bhi nahi hai maine aaj tak usko . Haan par suna hai ki Nishita naam ki ladki apne class me hai , par kaha hai yeh mujhe nahi pata . Sanchit mere paas aaker bola - " Vishnu yaar ! ab toh usse baat karle , bechaari kab tak tujhe sirf dekhti rahegi woh . " Maine usko dekha tak nahi hai guys . Baat kyun karun main , padhne aaya hun ki kuch aur karne . Aarav phir se Bola " Haan-haan , agar tu  sirf padhne aaya hai yaha  toh apne wallet me kiski tasveer leke ghumta hai ." Aarav ne ab kuch jyada hi bol diya . Maine thoda sa gussa dikhana chaha par mujhe pata hai ki agar main ab bolunga toh sabko yeh baat pata chal jaayegi . Toh main waha  se utha aur room se baahar  verandah me jaa khada ho gaya. Main unki baat nahi sun sakta ab . Baahar aaker main shaanti chahta tha par mann hi mann yeh bhi soch raha hun ki wo mere aur meri wallet me rakhi tasveer ke baare me kya bol rahe hai . " Arre ! Vishnu aa jaa . Ab nahi bolenge hum . " Aarav ne rokne ki koshish ki par mujhe yeh baat buri lagi . Main baahar aa gaya par phir bhi main inki baatein sun raha hun . Sanchit ki aawaaz hai yeh shayad - " Aarav ! yeh kiski tasveer leke ghumta hai ? " Ab Aarav mera pakka dost hone ke bawjood bolega aur woh bola bhi" Pata nahi . Maine photu dekhi nahi par itna sure hun ki ladki hai koi . " Main bhale hi unse doorie par hun phir bhi unki baat mujhe saaf-saaf sunaayi de rahi hai . Mujhe Soniya ki baat pe kabhi sirf pyaar aata tha par aaj agar koi Soniya ki baat karta hai toh mujhe bahut dard hota  hai . Wo mera pehla pyaar hai aur shayad uske baad main kisi aur ko nahi pyaar kar sakta . Apni bhawnaao ko main nahi rok sakta . Soniya ki baat ab jab bhi hoti hai toh main apne aansuuon ko nahi rok pata hun . Shayad isiliye kam se kam sochta hun uske baare me aur uske hote huwe main kisi aur ke baare me kabhi nahi soch sakta. Kya abhi zindagi me kuch reh gaya hai jo ab aur kuch alag karu ? Pata nahi yeh meri nayi shuruvaat hain yaa ek ant . 

No comments:

Post a Comment