Expertise of My Ishtaar - Rights !

Archiving & lest Cherishing

Friday 25 March 2011

Shaheed Bhagat Singh - Flashes !!!

March 23 - a date which is termd as Shaheed Diwas in India. Most of Indians dnt care about this day . The feeling of patriotism is something which every citizen posses for its country but never shows it in rage. It just has to be called once. Hum Bhartiya kabhi Apne Desh ki buraaiyaan nahi sun sakte aur naa hi unki jo hamare desh ke Shaheedon par sawaal karte hai. Aise hi ek Shaheed hai Sardar Bhagat Singh. Inke baare me bolne wala main koi nahi , par inke us tyaag ko phir se jeevit karne ka haq mujhe hai. He lived for India and he died for India. Let me make it more grt , He didnt Die .....He jus left his body becoz he gave his soul to India.At the age of 23 ,if anyone was smiling just before he was being hanged to death, it was Shaheed Bhagat Singh . Jab India British empire ke one-sided Rules & Regulations se Struggle kar raha tha , Tab bahut se Krantikariyon ne Unko Desh se dur karne ka morcha sambhala. Their sacrifices are not bound of words. Aaj hum Azaad Saans le rahe hai to inhi Veero ke Balidan ke badaulat.


At an early age , Bhagat Singh started dreaming of uprooting the British Empire.Never afraid of fighting during his childhood , he thought of growing guns in the fields so that he could fight against the Angrez. In 1916 , the young blood came in contact with some well known political leaders lyk Lala Lajpat Rai and Ras Bihari Bose.


He realised that the overthrow of British rule should be accompanied by the socialist reconstruction of Indian society and for this political power must be seized by the workers.Though portrayed as a terrorist by the British, Sardar Bhagat Singh was critical of the individual terrorism which was prevalent among the revolutionary youth of his time and called for mass mobilization. Bhagat Singh gave a new direction to the revolutionary movement in India. He differed from his predecessors on two counts. Firstly, he accepted the logic of atheism and publicly proclaimed it. Secondly, until then revolutionaries had no conception of post-independence society. Their immediate goal was destruction of the British Empire and they had no inclination to work out a political alternative. Bhagat Singh, because of his interest in studying and his keen sense of history gave revolutionary movement a goal beyond the elimination of the British. 


To continue his studies, Bhagat Singh joined the National College in Lahore, founded by Lala Lajpat Rai. At this college, which was a centre of revolutionary activities, he came into contact with revolutionaries such as Bhagwati Charan, Sukhdev and others.
He went to Lahore and formed a union of revolutionaries by name 'Naujavan Bharat Sabha'. He started spreading the message of revolution in Punjab.


While protesting against Simon Commission in Lahore, Lala Lajpat Rai was brutally Lathicharged and later on succumbed to injuries. Bhagat Singh was determined to avenge Lajpat Rai's death by shooting the British official responsible for the killing, Deputy Inspector General Scott. He shot down Assistant Superintendent Saunders instead, mistaking him for Scott. Bhagat Singh had to flee from Lahore to escape death punishment.


In search of revolutionary groups and ideas, he met Sukhdev and Rajguru. Bhagat Singh, along with the help of Chandrashekhar Azad, formed the Hindustan Socialist Republican Army (HSRA). The aim of this Indian revolutionary movement was now defined as not only to make India independent, but also to create "a socialist India."To avenge Lala Lajpat Rai's death, Bhagat Singh and Rajguru killed Mr. Saunders (one of the deputy officers in connection with the Simon Commission).When the British government promulgated the two bills "Trade Union Dispute Bill" and "Public Safety Bill" which Bhagat Singh and his party thought were Black Laws aimed at curbing citizens' freedom and civil liberties, they decided to oppose these bills by throwing a bomb in the Central Assembly Hall .



He and his friends wanted to be shot dead, since they were termed as prisoners of war. Their request was not fulfilled, and on March 23, 1931, Bhagat Singh, Shivram Rajguru, and Sukhdev were hanged to death. 
This man's only mission in life was to see his country free from British rule. He did his best and when he was being led to the gallows, he was satisfied that he had lived up to his principles, irrespective of the consequences. The only thing that made him sad was that he couldn't do more for his country.





The aim of life is no more to control the mind, but to develop it harmoniously; not to achieve salvation here after, but to make the best use of it here below; and not to realise truth, beauty and good only in contemplation, but also in the actual experience of daily life; social progress depends not upon the ennoblement of the few but on the enrichment of democracy; universal brotherhood can be achieved only when there is an equality of opportunity - of opportunity in the social, political and individual life." — from Bhagat Singh's prison diary.





Nothing else I can mark out from the life of such greatness and love for one's country. Jo yeh kar gaye , wo shayad hi koi kar sake aaj ke iss " least caring " world me. Hum inki tarah aggression to nahi dikha sakte , jo pyaar inke dill me tha utna hum bhi rakhte hai  aur ise sambhalke rakha hai. Desh ke liye hum yuva aage aa rahe hai . India ko development ki seedhi hum youngster ko hi chadhani hai. Kehte hai na ' Har desh perfect nahi hota , Use perfect banaan padta hai'. His works and ideologies were at peak and if we follow such a personality then the route to India's Pride is gonna be at ease. Take inspiration and always remember such personalities , becoz they were our past , they did everything to secure our presesnt , the India's present and now its upto us to make the future brighter . Hum jo bhi karenge , apne Desh ki shaan ko barkaraar rakhte hue , sar ko uuncha aur samman badhate hue karenge. 





Lets give Sardar Bhagat Singh a Salute for showing us the right path to Azaadi . Under Pressure Living is not India's habit. We feel free to live , we live to be free. 


Youngistan me itni taaqat hai ki wo India ko har race me Winner banade. We are on the Correct way and though the path is full of ups & downs , We are gonna cross all the hurdles. 


I apologize to the nation for posting this segment of Flashes a day later. Main sacche dill se maafi maangta hun. Yehi chaahta hun ki jaise mujhe Bhagat Singh ke jeevan ko jaanne ka Yeh avasar mila waise aap sab bhi iss post ko padhe aur jaane ki Struggle kya hota hai, Desh-prem kya hota hai  aur mahaanta ki koi had nahi hoti . 

Main koi utna bada insaan nahi hun jo Aise freedom fighter ko tribute dun , yeh bas ek baby-step hai inko sammaan  karne ka .....So he deserves -
Flashes !!! Flashes !!!

Untitled Story - The Beginning part 1

Hamesha se yehi sunta aa raha hun ki agar zindagi mili hai to kuch karke dikhao , aage badho aur kuch banke dikhao. Shayad isi chakkar me main yahan khada hun .17 saal jee liya , kuch bahut bada nahi kiya par kuch glat bhi nahi kiya tha ek saal pehle tak. Kise pata tha ki 1 saal me hi haar maan lunga main. Sab to yehi kehte the ki main jaroor kuch alag karunga. Pure khandaan me main hi sabse unche post par pahuchunga. Lekin shayad main is sabka asli haqdaar nahi hun. Abhi zindagi ke pehle hi kadam me fisal gaya aur aisa fisla ki taang hi tudwa baitha.Abhi jahaan main khada hun , wahaan yaa to meri zindagi khatam ho jaayegi yaa phir zindagi ek aur mauka degi phir se marne ke liye. Mere liye yeh mera last spell tha. Aage jeene ki himmat nahi hai mujhme. Waise shayad aap mujhe nahi jaante .  Mera naam Vishnu hai . Aur isse jyada jaanke aap kya karoge kyuki abhi to main marne wala hun. Aaas paas koi nahi hai jo mere iss faisle ko badal sake. Kuch hi der me ek train aayegi. Wo train yaa to mujhe kuchal ke apna raasta aage naapegi yaa to mujhe jeene ka ek mauka degi. Bahut kuch seekha maine apne chote se safar me , aur bahut suffer kiya maine in 1 saal me.Jab aapse ummeed lagane walon ki taadaat jyada ho , to do hi baate ho sakti hai, yaa to aap un ummeedo pe khade utarte ho yaa phir un ummeedo par pani pher dete ho. Dusra wala kissa mere saath hua. Platform ke bilkul kinaare hun , Aur zindagi ke ant pe . Jaise hi koi train aayegi main patriyon par jaaker khada ho jaaunga. Mujhme to itni bhi himmat nahi ki main saamne se aati hui train ko apni aankhon se dekh sakun. Socha tha blind fold ho jau par utna taam-jhaam kyu karna jab end me marna hi hai. Bas ! ab baaton ka samay samaapt . Patriyon ka kap-kapana shuru ho gaya tha . Shayad meri sawaari aa rahi thi. Jitna main soch raha hun , shayad utna nahi sochna chayiye mujhe. Yeh kitna aasaan hai sirf train ke samne jaana aur uske paas aane ka intezaar karna hai.  Baaki ka kaam to wo sawaari hi kar degi. Par jitna bolne me simple hai utna yeh asal me hai nahi. Samne maut khadi ho jaaye to acche-accho ki pant geeli ho jaati hai aur main to sirf ek 17 saal ka haara aur kaayar baccha hun. Par agar baccha hi ho toh yeh sab karke kya fayda? Kyun kisi ke diye gaye tohfe ko itni jaldi lauta rahe ho? Bhagwan ne agar jeene ko saanse di hai toh saanso ko chalte rehne ke liye kuch na kuch to bheja hi hoga. Par mere case me wo bahut late ho gaya tha. Mera oxygen ka dabba khatam ho chuka tha . Aur bharne ki koi gunjaayish bhi nahi thi. Achanak se samne se aakash pe kaale dhabbe dikhne lage. Neele-neele pani me zeher ghol diya ho kisine aisa lag raha tha . Yeh zeher mere liye tha aur uss zehereelay paani me mujhe akele hi dubki lagani hai. Train aa rahi hai . Kuch hi der me wo mere shareer ko paar kar degi. Ab time aa gaya tha ki main platform ka kona chodhdu aur patriyon par khada ho jauun. Mann me ajeeb si hulchul mach rahi thi. Andar se kaheen aawaaz aa rahi thi ki aisa mat kar. Mat jaa train ke saamne. Darr mere chehre par saaf jhalak raha tha .Maathe pe pasine ki pehli boond aur uske baad to pura jism hi uski thandak se kaapne sa laga. Hichkichahat thi ki kya yeh karna zaruuri hai. Par na karna kaayarta hogi. To suicide bhi kaun sa veerta ka kaam hai? Man ke mat-bhed ko bhedna bahut kathin hota hai. Jo ispe kaabu paa leta hai wo hi ucchaiyon ko mutthi me kar pata hai. Mere andar itni kaabiliyat hoti to shayad aaj main khud ko hi maaf kar deta. Kya soch raha hai Vishnu ? Train aayegi aur nikal jaayegi , tu bas saamne chala jaa. Maine socha apni dari hui aankhon ko dhak dun . Par yeh faisla toh aur bhi galat nikla. Ankhen band karte hi woh saari baatein saamne aane lagi jo kabhi mujhe pasand aaya karti thi. Jinse main tha aur jo mujhse thi. Mummy- papa , Meri behen , Mera chota bhai , mere dost , mera pyaar ; in sab ko main alvida kaise kahuun ? Train aur bhi kareeb aa chuki thi . Mere paas ab jyada time nahi tha . Sochne ka samay samapt ab uss khai me kudne ka waqt aa gaya tha jise maine hi gehraayi di thi. Ek baar phir se Ankhon ko band kiya aur platform ke neeche utar gaya . Aas-paas koi awaaz nahi thi. Mano sab meri maut ko dekhne ke liye shaant ho gaye hai. Koi aahat nahi . Na kisi panchi ki chehchahahat , na hi kisi ke kadmo ki aahat. Duniya tham si gayi ho jaise. Train ki tej dhwani bhi ab kaano me nahi pad rahi hai. Shayad maut ke itne kareeb aaker shareer bhi saath chodh deta hai. Haath ek jagah nahi tik rahe the. Kapkapi se pura badan jhalla utha tha. Achanak se ek tej awaaz aayi aur meri maut ki sawaari mere samne se nikal gayi.Train apna kaam kiye bina hi chali gayi. Usne uss insaan ke liye koi fikr nahi ki jo aaj apni jaan dene ke liye train ka sahara leeya huwa tha. Phir se sab kuch pehle jaisa ho gaya.Awaaze mujhe chilla ke keh rahi thi ki main zinda hun. Kaano me aaker mujhe kaayar keh rahi thi. Panchi phir se apni meethi boli se mujhe jeene ki icchha dene lage. Hawaayein mere chehre ko jaise tamacha maarne lagi . Main khud ko maar bhi nahi saka. Darr itna hai to zinda kaise hun main ab tak ? Khud pe bahut gussa aa raha hai. Pura chance hone ke bawjood main fail ho gaya. Kya karun ? Akhir fail hona hi likha hai life me toh aadmi kar bhi kya sakta hai. Bas yehi failure ka dhabba na lag jaaye mujhpe isiliye toh aaj marne aaya tha . Par aaj maut ke test me bhi fail ho gaya. Man toh kiya ki train ko peeche kheech ke phir se uske saamne aa jaauun. Na jee sakta hun , na mar paa raha hun. He Bhagwan ! mujhe le jaa na yaahaan se. Ab kaun sa bura din bach gaya hai jo maine dekha nahi hai ab tak.Waapas apne ghar jaana padega ab. Shayad kal subah mujhe isme safalta mill jaaye par ab dusri jagah par. Pehla attempt hi toh fail hua hai . Yeh keh kar khud ko sambhal to liya  par agli baar bhi yeh na ho aisa tay kar liya. Dusri baari me yeh ho jaana chayiye. Kitne din aur aise jeena padega? Station ko chodha aur ghar ka rasta pakda. Peeche mud kar bhi nahi dekha uss jagah ko. Soch liya ki ab dekhunga toh upar wale ke sath hi.