" Ae Vishnu ! uth be , der ho rahi hai . Abe ae , uth be ." Haan ! Kya hua yaar ? " Kya hua ? Pagla gaya hai ke , pee nahi na lee tune ? " Kya hua ? Kyu jaga rahe ho ? " Saale ! tu Vishnu hi hai ki koi aur hai ." Ae Aarav , sone de na yaar . Raat ko der se soya tha na . " Abe class hai 7 baje . Chalna nahi kya ? Lecture bunk karega ? " Ohh ! I forgot re . Bas 5 minute me aaya . Tum intezaar karo , mere bina chale mat jaana . " Accha tu ready hoja , main baahar field pe hun . " Yaar , field pe kyu , yahi ruk na . " Abe samjha kar beta ." Kya samjha karu ? " Arre ! neend me tha yaa pub me saale ? Wahi se Priya jaati hai . Taadna bhi toh hai be . " Accha jaa. Main kapde badal ke aaya . " Jaldi kariyo saale ! " Haan , aata hun . Sar me dard hai , pichli baar bhi jab wo aayi thi milne toh sar me dard utha tha aur aaj bhi . Aarav samajh raha tha ki main neend me tha par usko pata nahi ki pichli raat mujhe neend naseeb nahi huwi. Class hai subah aaj toh jaana toh padega . Dard itna jyada hai ki chalne me kathinaayi ho rahi hai . Par class miss nahi kar sakta warna aaj ka concept kaun samjhayega . Raat ki aadhi-adhoori baatein abhi bhi dimaag me daud rahi hai . Wo aayi mujhe mera kal dikhake chali gayi . Mogul , shakti , bhagwan , dushman , maut - yeh shabd kaano me luka-chupi khel rahe hai . Jo bhi huwa , woh mere sath hi kyun huwa ? Haan , main maanta hun ki ek samay tha jab main zindagi se haarke suicide karna chahta tha . Par ab main apne liye jeena chahta hun , kuch banna chahta hun . Mere bhi kuch sapne hai jo main poora karna chahta hun . Iss bhagwan-shaitaan ki kitaab me kyun main khud ko phasaoon ? Ab main iss college me padhne aaya hun , itna sab ho raha hai mere sath toh main kaise padhunga ab . Shayad ab mujhe class ke liye taiyyar ho jaana chayiye warna late hone pe daant padegi mujhe bhi aur Aarav ko bhi . " Abe saale ! phir se soo gaya kya ? " Nahi , ho gaya . Chal chalte hai . " Abe mujhe toh laga ki aaj tera dimaag khisak gaya hai . " Haan yaar , aisa hi kuch .
Class me har-baar ki tarah kuch hi padhne wale bacche hai , jaisa ki har roz hota hai . Gin chun ke 5 hi aise ladke hai jo class me padhne aate hai , baaki ladke toh ladkiyon ko dekhne aate hai . Main unn 5 ladko me apna place bana chuka tha aur aage bhi banaye rakhne ki koshish karunga . Har baar ki tarah main apni dusri bench pe baith gaya aur mere bagal me khaali , koi nahi baithta . Maine hi mana kiya tha Aarav aur baaki ke doston ko ki class me mujhe akele baithne de . Sab maan gaye aur hamesha mere liye ek place rakhte hai . Class shuru hone hi wali hai . Aaj class har baar se jaldi lagi hai kyuki aaj hume half day milna hai . " Vishnu ! yaar tu extra pen laya hai kya ? " Pen ? Haan hai . Yeh lo . Maine apne pocket se extra pen nikaal ke Sanchit ko de di . Waise yeh pehli baar nahi hai , Sanchit roj aise hi maangta huwa paya jaata hai class me , kabhi pen ,kabhi copy toh kabhi book. Sanchit humare group ka mann-mauji ladka hai . Kabhi padhai me mann nahi lagata kyuki uske baapu ke bade khet hai , wo to yehi kehta rehta hai " Saala main padhke ke kar lunga , jab aage jaake mere ko hal hi chalana hai bhains ke sath . " Jaisa ki usne abhi bola . " Aur Vishnu , kaisa hai ? Aaj bhi class karne ke liye jaldi aa gaya tu . " Yeh mera dost , actually sabka dost Abhay hai . Serious aur future ko leke hamesha serious , yehi hai Abhay . Nahi yaar , aaj sabse pehle nahi pahucha class me . Late ho gaya thoda sa ." Koi baat nahi , main apni place pe jata hun warna professor pakad lega. " Ek halki si muskaan deke main usse hata toh samne Raju dikh gaya . Waise Raju wo ladka hai jo gaadi me engine ka kaam karta hai . Agar wo mera dost nahi hota toh main bhi college ke seniors ke haathon pita hota . Usne pehle hi din seniors se panga liya tha mere liye . Help karne me sabse aage aur Padhne me , padhne wali line me toh kabhi gaya hi nahi . Wo college sirf maja karna aaya hai aur karta bhi hai . " Hey dude ! wats up ? " Good yaar , mujhe kya ho sakta hai . Muskurate huwe usse jawaab diya aur woh bola " Agar koi problem ho toh turant bolna . Sochne ka nahi , boss ! " Ok , Ok , zaroor bataunga yaar . Ab jao baith jao , sir aa gaye . " Abe iss teacher se ke darta hai ? " Dekha , thode se hi baat me hasa diya isne . Comic timing toh iski perfect hai , par on time class me bahut kam aata hai . Kisi bhi pareshani ko pal me bhula deta hai . Main bhi raat ki baat ko bhul gaya ek pal ke liye . Par main jaanta hun ki jo ab hoga woh mere liye pal bhar ki baat nahi hai . Class me shaanti ho gayi . Iska matlab shikari taalab me aa chuka hai , matlab professor apne lecture ke liye class me pravesh kar chuke hai . " Good early morning Students ! I hope u all have taken shower . " Sab hasne lage . Yehi toh khasiyat hai sir me , har lecture me joke crack kar ke lecture ko interesting bana dete hai . Aaj mere aage wali bench khaali hai . Waha Vicky aur Sameer baithte hai , dono room-mate hai aur dono abhi soo rahe honge . Jab aankh khulegi toh daudte huwe aayenge . " Why is this first seat vacant ? Where are the victims ? " Ji ! victims , jab Rajan sir gussate hai tab hume victims se milne ko milta hai . Unka gussa students ke liye sirf punishment deta hai . Aaj agar Vicky aur Sameer aa gaye toh aaj ke victim wo banenge . Main toh yehi mana raha hun ki aaj wo class me aaye hi na . Par dono daudte huwe door pe khade ho gaye " May we come in sir ?" Dono ki haalat dekhne laayak hai . Ek apne raat ke pajame me toh ek apni baniyaan me hi aa gaya . Humari hasi roke nahi ruki . Poori class me zor - zor se hasi ki aawaaz gunj uthi . Par do log hai jo bilkul hasne ka zhokhim nahi le sakte - Vicky aur Sameer . " Silence everyone ! " Sir Rajan apni tej aawaaz se khatre ka sanket dene lage . Class phir se shaant ho gayi . Wo dono baahar khade hai aur chehre pe neend liye huwe hai . " Haha haha hahaahhah " Sir rajan khamoshi me apni khilkhilahat chodh diye . Yeh hasi khushi nahi deti , yeh hasi khatre ka elaan hai par humare liye nahi un dono ke liye . Dono ko hosh hi nahi hai iss waqt . Dono phase aur bure phase . Punishment - jab tak class chalegi wo dono college ke door pe aise hi haal me zameen pe baithe rahenge . Bechare ! kash aaj nahi aaye hote class me . Wo bhi soch rahe honge ki kaheen aaj subah-subah ek-dusre ka chehra toh nahi na dekh liya dono na . Sach me , college saari problems bhula deta hai .