Expertise of My Ishtaar - Rights !

Archiving & lest Cherishing

Monday 4 April 2011

Untitled Story - After Deces Syance part 2 !


Dont scream even if  you are chased  by an executioner. Par agar wo executioner khud aapko bataye  ki aap zindaa ho toh dimaag khasak hi jaata hai . Mere liye yeh ladki kisi executioner se kam nahi hai iss waqt . Wo bolti kam  aur ghoorti jyada hai . Samjhati kam aur uljhaati jyada hai . Pari kam aur witch jyada hai . Jab main bahut chota baccha tha tab main superman aur popeye jaise heroes bahut pasand karta tha aur Female superwomen bilkul nahi pasand karta tha. Par jaise jaise main bada hota gaya meri pasand supergirls banti gayi. Yeh ladki bhi mujhe kisi supergirl ki tarah lag rahi hai jo mujhe himmat aur zindagi dene aayi hai . Par pata nahi yeh kaun hai aur ab tak mujhe iska naam bhi nahi pata hai . Haan ! mujhe iska naam puchna chayiye kyuki abhi yeh chup-chap mere saamne baithi hai aur mujhe hi ghoor rahi hai.  Jab mujhe koi aur aawaazein nahi sunaai dene lagi tab maine apni aawaaz hawa me ghol  di . Apka naam kya hai waise ? Naam hai bhi  ki nahi ? Wo mere sawaal pe apna sar neeche karke kahi " Tum insaan kabhi dimaag se kaam nahi lete ho na , aur khaas kar tum ."  Aap kehna kya chahti ho ? " Yehi  ki tumhe kaise wo chun sakte hai . Na to tum dekhne se himmatwale lagte ho aur na hi tum kuch karne laayak  lagte ho . "  Kisne chuna hai mujhe ? Kya karna hai mujhe ? Ma'm aap please mujhe bataogi ! " Tumhe batane hi toh main yahaa aayi hun "  Haan ! to batao na main behra thode hi hun . Wo phir se apna sar neeche ki aur aise sar hilaayi jaise ki main sach me koi paagal hun aur wo mera operation karne aayi hai . Maine phir pucha - Kya huwa ? Mere face pe kuch laga hai kya ? Aap aise sar kyun hilaa rahi ho ? " Main hairaan hun ki  tum kisi kaam ke ho yaa nahi ." Ab main kya bolta . Baithe-baithe meri bezzati kardi iss ladki ne . Sharam se main neeche dekhne laga . " Tumme aatma-vishwas nahi hai , vyaktitva  ki soch me kami hai , insaaniyat hai par insaan ko samajh nahi paate , Bhole ho par dabboo banke rehte ho , saahsi ho par kaayarta dikhate ho , sacche ho par sacchai ka saamna nahi kar sakte ."  Main kya kahu ab ? Itna bolkar  to usne mujhe chup hi kar diya . Thanks for giving sho much details about myself . Ahh ! main bolne me thoda sa kaccha raha hun . Main typical bihaari jaise shaadi , shayad aur baaki aise shabdo ko saadi , sayad  bolta hun . Ab zubaan saaf nahi toh kya karun . Main kuch aage bolta usse pehle wo bol padi . "  Tum ek insaan ho par sabho se alag ho . Tumhe Ishwar ne chuna hai . Kisi khaas kaam ke liye aur ab peeche hatne ka koi sawaal hi nahi uthta . Isiliye yeh mat kehna ki mujhe koi khaas kaam nahi karna hai ."  Khha - Khaas kaam ? " Haan ! abhi tumhe yeh batane se mana kiya gaya hai par samay ke anukool hote hi tumhe apna kaam bhi pata chal jaayega." Par aap yeh batao ki main zindaa kyun hun ? " Kya tum jaante ho ki yeh sansaar me kitne jagah hai jahaan insaan yaa aatma rehti hai ?"  Hmm ! Haan ..Shayad 3 , ek to earth matlab ki yeh dharti , ek  swarg aur teesra narkh . Yehi hai 3 jagah . " Nahi 3 nahi 14 . Seven positive planes and 7 negative planes " Maine usko beech me hi rok diya . Main shocked ho gaya yeh sunke . Yeh sunke nahi ki 14 planes hote hai , balki main yeh sunke shock huwa ki usne English boli . Ek surprise , ki upar bhi english boli jaati hai . Aap english kaise boli abhi ? " Tumhe kya lagta hai ki Duniya me sirf Indians hi banaaye gaye hai aur yeh America , France , China - yeh sab tumhare jeb se nikle hai aur inki bhasha Hindi se nikli hai . Tum insaan jitna dekhte ho , jitna samajhte ho sirf utna hi vishwas karte ho . Aage kya hai tumhe pata hi nahi chalta . Shayad isi kaaranvash tum sab abhi tak  Bhooloka me hi seemit ho ." Bhool kya ? Main samjha nahi . " Bhooloka - jahaan tum sabhi rehte ho . Swargaloka - jahaan humari jaisi kuch pariyaan rehti hai . Par kya tum jaante ho abhi agar tum mar jaate to kaha pahuchte ?" Hmmm ...Swarg me ? batane ke liye kam , main yeh sawaal ke roop me bola . Kyuki main sure nahi ." Paatal ka saatva bhaag . Yaani ki antim charan jahaan se puna-janam paana bhi naamumkin hai . Sattva , raja aur tama - yeh 3 cheeje hai jisse jeev ke maansik posho ka nirmaan hota hai. Sattva se insaan pavitrata aur gyaan praapt karta hai , raja se insaan me kuch karne ki chaah jaagti hai aur tama se insaan me aalasya , laalach aur tucch vastuon se lagaav hota hai . Iska matlab sattva sabse shuddh hota hai jo insaan me hi sabse kam maatra me hota hai aur raja-tama insaam me sabse achik maatra me hote hai jo use galat aur vinaash ka raasta dikhate hai . Agar tum aaj aatma-hatya kar lete to tumhare andar ka tama sabse jyada badh jaata aur aisa hone par insaan sirf paatal me jaata hai aur kabhi waapas nahi aa pata . " To kya sirf mujhe bachane ke liya aap aayi ho ? Mujhe aur jeena hoga ? " Haan , kyuki tum MOGUL ho ." Main kya hun ? " Mogul matlab ki tum sabse shaktishaali ho , tumhe insaani shakti nahi maar sakti . " Kya ? Waaoo ! Main shaktishaali hun , mujhe koi maar nahi sakta ? Iska matlab main kuch bhi kar sakta hun . Yeh sunkar mere aankhon me chamak si aa gayi . Meri khushi saatve aasmaan pe hai . Maine kya socha aur kitni badi khushi mili mujhe mar ke . Yehi to bas mujhe chayiye tha , taaqat aur sabse jyada taaqat . " Yeh shaktiya abhi tumhe nahi mili hai , sirf kuch jhalkiyaan hongi tumhare saath taaki tum doobara aisi harkat na kar sako . Tum Mogul ho , par Mogul hona kya hota hai tum jaante bhi nahi ho . Yeh ek  jimmedaari  hai , koi khilona nahi  ki tum khelne lago . " Main Mogul aur aap ? Aap kaun ho , pari ? " Main pari thi , par ab nahi . Main pehli baar yeh kaam karne ke liye chuni gayi hun . Mere upar bhi ek jimmedaari hai ki main tumhara khayaal rakhun , jab tak tum Mogul banne ke laayak nahi ho jaate tab tak tum meri jimmedaari ho . Main har-pal tumpe nazar rakhoongi , chahe sath hoon chahe naa hoon. " Haan par aap ho kya , pari thi aur ab kya ho ? " Mujhe Swargaloka se ek paaiydaan upar bheja gaya hai , Janaloka . Yahaan mujhe Bhagwan ne chuna hai REMITENTE  ke liye ." Yeh kya hota hai ? Koi English word hai kya yeh ? " No ! I m a sender ."  Ohh ! to aap bhi chuni gayi ho . Aap rakho mera khayaal . Main taiyaar hun . Abhi yeh sab mujhe sapna jaisa lag raha hai. Na main iske baare me soch raha hun aur na hi sochne ki koshish kar raha hun. Jo mujhe sunaaya jaa raha hai wo mujhe interesting lag raha hai aur accha bhi . " Abhi tum 16 saal ke ho " Ji Nahi ! main 17 saal ka hun . 1993 bhi count karo na aap , 1993 me toh ho hi gaya tha main . " Tum bhagwan se chupa nahi sakte . Tum tab tak kuch nahi kar sakte jab tak tum 18 ke nahi ho jaate . " 18 saal . kya koi election me vote karna hai jo aap log mere 18 ke hone ka wait kar rahe ho ? " Haan , tumhe jo samajhna hai samjho . Suna nahi kya Child Labour is Banned . "  Pata hai . To ab kya karna hai mujhe ? " Ab tum waapis apni duniya me jaoge .Phir se apni zindagi jeeyoge aur sab galtiyon ko sudhaaroge . Apne andar ke sattva ko talaasho . " Phir mujhe abhi kyun yeh sab bataya . Main waapis jaaker aam insaan ke tarah  ab kaise jee paaunga ? Yeh sawaal aaya mere dimaag me toh maine puch liya. Jab main itna sab jaan chuka hun apne baare me , to main sabke sath aam zindagi kaise jee paaunga ? " Tum waapis jaate sab bhool jaoge . Kisi prani ko bhanak bhi nahi hogi ki tum kahaan the . Shayad tumhe ehsaas huwa hoga ki jab tum yahaan aa rahe the tab sab kuch thama huwa tha. Wo karna zaroori tha. Ab tum waapis chale jaaoge . "  Par aap phir kab aaoge ? Rukiye - rukiye ! mujhe kuch maangna hai aapse . " Yehi na ki tum pass ho iss saal ki nahi ? Tumhare sath kuch bura nahi hoga ab . Bas tum apna dhairya banaye rakho , jo hota hai acche ke liye hota hai . Sirf koi galat kadam uthane se pehle ek baar yeh soch lena ki bhagwan tumhe har samay dekh rahe hai . Apne andar ke Vishnu ko pehchanne ki koshish karo. Usme wo baat zaroor hogi jo bhagwan ne dekhi tumme . Aur phir humare jaise log tumhe sambhaalne ke liye toh hai hi ." Itna kehke wo meri nazron ke saamne se chhu-mantar ho gayi . Main chillaya - Kaha gayi aap ? Main kaha jaaun? Mere saamne phir sab kaala hote jaa raha hai . Meri aankhen band ho rahi hai . Shayad ab maim bhi waapis jaa raha hun. 


Ahh ! mera sar dukh raha hai . Main ab kaha hun ? Main kya karne jaa raha tha ? Aur main yeh chhat pe kya kar raha hun ? Itni dhoop hai , mujhe apne kamre me jaana chayiye . Aur mera sar kyun dukh raha hai ? Main neeche gaya , mummy mujhe rok ke boli - " Vishnu ! kya kar rahe the upar ? " Main jawaab dena chahta hun par mujhe pata nahi ki main kya kahu . Main chhat pe tha par kya kar raha tha .Pata nahi ,bas aise hi khade the shayad . " Beta ! tum baadaam khaya karo , buddhi kamzor  ho rahi hai tumhari . Isiliye padha huwa sab bhool rahe ho , meri baat maana karo na . " Main yeh sab sun sun ke pak chuka hun ab , par akhir main waha kyun tha ?