Expertise of My Ishtaar - Rights !

Archiving & lest Cherishing

Thursday 19 May 2011

Luv Me Twist Hai !!! Seeta's 45th Break-up :


" Saale suwar ki aulaad ! tu samajhta kya hai apne aap ko ? Tujhe kya lagta hai ki main tujhse maafi maangungi ? Tere pair padke kahungi ki sorry Rahul , mujhe maaf kar do ? Dream on dude ! " 
Seeta poore gusse se aag - babooli ho gayi aur rahul jo ki uska boyfriend hai woh usse baat karne aaya hai - " Seeta ! dekho tum apni hadd me rehke bolo . " Rahul aur Seeta me baat itni bigad gayi hai ki dono break - up ke kagaar par aa gaye hai . 
Seeta bhi zidd pe adi hai , woh rahul se maafi nahi maangne wali - " Tu kaun hota hai mujhe meri hadd dikhaane wala ? Dekh chuje ! tujhe kya lagta hai ki main tujhse pyaar karungi ? No way ! tu bas mere liye iss mahine ka calender tha , samjha ? " 
Rahul seeta ki baat sunkar sab samajh gaya . Kayi baar uske doston ne usse kaha ki seeta usko dhoka de rahi hai par rahul toh seeta ki adaaon pe fida tha . Ab jab seeta usse uub gayi toh break - up ka bahaana bhi dhund liya aur rahul ka patta bhi kaat liya . Bechara rahul ! woh sar niche latkaaye waapis chala gaya .


" Toh ho gaya tera 45th break - up ? " Pooja , jo seeta ki bestest friend hai woh Dono ki baatein chhup ke sun rahi thi . Woh seeta ke is fitrat se vaakif hai aur 45 me se 40 break - up ke plan pooja ne hi diye the . 
" Haan yaar ! Is ladke ka ego itna hai ki i was sure ki jaise main apne pe utrungi woh mujhse break - up kar lega . And see , the outcome is superb ! " 
" Toh ab ghar chale ? " Pooja aur seeta house - mates hai aur ek chote se colony me ek single room rent pe leke rehte hai . Shaher se dur par gaav ke bhi jyada paas nahi . Shaher ne apne bhaav itne badhaa liye hai ki students ke rehne ke liye namumkin waali baat hai . Kam kiraaye me acchi jagah sabse badi zaroorat thi  jo seeta ki pooja se milke poori huwi . Dono phir ghar chali gayi apni bike pe . Bike waise toh pooja ki hai par ride seeta karti hai kyuki seeta ko bike riding ka bahut shauk hai aur woh bhi fast and furious . College me sab seeta ko kehte hai - " Chappan churi " . Haseen hai yeh jitni , dill dukhaye yeh usse kayi jyada . 


Room me jyada saamaan nahi milega siwaay dher saare un gifts ke jo seeta ko uske pichle 45 boyfriends de chuke hai . Aadhe se jyada jagah toh gifts hi bhar dete hai , baaki bachi jagah bed aur table ke liye hai . Ladki ke room me aur kya ho sakta hai ? Kuch heart - shaped pillows , kuch pink gadgets , ek pink bed - sheet , kuch chocalates boxes , ek chota sa fridge jisme dher saari beer ki bottles aur kuch fruits , kuch love letters aur vagera - vagera . Isse pata chalta hai ki pooja aur seeta kitna khul ke jeeti hai apni zindagi . Azaad panchi hai jinhe ghosle ki koi fikar nahi . Beparwaah man-mauji ladkiyaan jinke liye zindagi sirf masti karne ke liye hai . 
" Hey ! is baar tune break - up kaise kiya ? Maine toh koi bahaana nahi bataaya tha tere ko , phir kaise ? " Pooja ko yeh baat nahi samajh aa rahi ki uske idea ke bina Rahul kaise maan gaya . 
Seeta , jo jaadu ki pudiya hai , uske liye kuch bhi kathin nahi aur khaas - kar ladko ke baare me - " Arri yaar ! main toh usse apna bracelet lena hi bhool gayi . Shit ! phir saale se maangna padega . " Seeta pooja ke sawaal ko nazar - andaaz karte huwe , dekhti hai ki uska diya huwa bracelet woh waapis nahi le paayi . Woh bracelet seeta ne khud rahul ko diya tha valentine day ke din . Dono ne  gift diya tha ek - doosre ko . Seeta ne bracelet diya toh rahul ne bhi usko chocalate se bhara box diya tha . Khair ! chocalates jyada din nahi chale the kyuki pooja aur soniya pehle hi din chocalates ke dibbe pe dhaava bol di thi . 
Pooja ko apne sawaal ka jawaab chayiye , use bracelet ki koi fikar nahi - " Saali ! main tujhse kuch puch rahi hun ? Pehle mujhe jawaab de nahi toh "  , Pooja majaak me bed se uthke seeta ke paas jaati hai aur uske gale pe chaaku rakh ke bolti hai - " Main tera khoon pee jaaungi . And i mean it sweetie - pie ! " 
Seeta bhi pooja ke majaak me khud ko shamil karte huwe bolti hai - " Kill me kamini ! Kill me , phir tujhe mere khoon ke ilzaam me umar - kaid ki sajaa ho jaayegi . Aur jail me main tujhe bhoot banke sataaungi . " Itna kehne ke baad seeta chaaku pooja se chheen leti hai aur waapis uske gale pe lagaa ke kehti hai - " Lekin agar main tera khoon kar dun toh mujhe police aur sarkar ki taraf se inaam milega aur prize money bhi  kyuki maine dharti ki sabse badi kamini ko maar diya . " 
Phir room me hansi ki sheeshi khul gayi . Dono zor - zor se hansne lagi aur saare sawaal - jawaab hawa ho gaye . Dono bed pe lete huwe chocalates kha rahi thi . Par  pooja waapis apne sawaal pe aati hai - " Bata na saali , kaise break up kiya ? " 
Seeta ki aadat yeh hai ki woh kabhi seedha jawaab nahi deti . Baat jitni tedhi , soch utni kam . Seeta bas ek line kehti hai - " Where there is a wont , there is a will ! "  Yehi falsafa seeta apne saath leke chalti hai . 
Pooja phir bracelet pe aati hai - " Toh waapis kab le rahi hai rahul se ? " 
Seeta ke paas saara plan pehle se hi rehta hai -  " Tu apna cell phone dena zara . " Pooja ne seeta ko apna mobile de diya aur seeta ne seedhe rahul ko number lagaaya - " Oye kutte ! mera bracelets tere paas hai . Mujhe woh waapis chayiye ........ Kya ? .......Tere chocalates toh tabhi khatam ho gaye the saale .......Woh waapis nahi mill sakte par mujhe mera bracelet waapis chayiye , chindi chor ....... Kamina hoga tu . Main mera saamaan maang rahi hun jo mujhe chayiye .........Haan main pahuch jaaungi . Aur sun ! mujhe bracelet waisa hi chayiye jaisa maine tujhe diya tha . ..........Chal rakh ! " 
Pooja bed pe baithe huwe hi sab kuch sunna chahti hai par mobile me microphone thode hi laga rehta hai ki sab aaju - baaju ke log bhi sunle  - " Kya huwa ? Kaha bula raha hai ? " 
Seeta turant idhar - udhar bhaagne lagi , kapde badalne lagi aur jawaab dene ki bhi fursat nahi . Pooja phir se puchi - " Kya huwa ? Itna urgent bulaaya hai kya ? "  
Seeta ek minute ruki aur boli - " Mall me bulaaya hai . Keh raha hai ki woh wahi hai aur main jaake usse apna bracelet le lun . So , i need to hurry up warna woh bracelet apne next boyfriend ko kaise dungi . " Itna kehte hi seeta room se nikal gayi .  

Luv Me Twist Hai !!! (My new story - LMTH ) :


Do log jo rehen - sehen me bilkul zameen - aasmaan hai , kya kabhi ek ho sakte hai ? Sawaal thoda mushkil hai par jawaab asaan . Nahi , aisa mumkin hi nahi hai aaj ke zamaane me . Aaj agar ek aadmi kisi doosre aadmi se milta hai toh unme sirf ek hi cheej hoti hai - Vaad - vivaad . Iska matlab kisi na kisi baat ko leke afra - tafri . Yeh huwi baat do aadmiyon ki . Ab zara do ladkiyon ki taareef karte hai . Jab bhi koi do ladkiyaan milti hai toh sirf ek hi baat kabhi nahi hoti kyuki woh ladkiyaan hai . Kabhi ek - doosre ki khubsoorati se jalan , kabhi boyfriend yaa husband ko leke jhagdaa toh kabhi paise ki maap - taul aur na jaane kitni baatein . Ab zara baat karte hai ek ladka aur ek ladki ki . 


Jab ek ladka ek ladki se milta hai pehli baar toh kya hota hai ? Is baar sawaal bahut asaan hai par iska jawaab aur bhi jyada asaan . Dill ki dhadhkan badhne lagti hai . Aankhein aankhon se milti hai . Hawaaon me sirf mehek hi mehek ghulne lagti hai . Kaan me meethi si dhun bajne lagti hai . Lagta hai jaise sirf wahi do log hai duniya me aur koi nahi  hai unke alawa . Samay wahi tham jaata hai aur guzarne ka naam hi nahi leta . Samajh gaye ki isko kya kehte hai ? Arre ! isko kehte hai kisi ki poorani gandi shirt me perfume chidhak dena . Matlab isko kehte hai pyaar hona . Har kisi ki yehi kahaani hoti hai aaj ke zamaane me . Har kisi ko pyaar hota hai aaj ke zamaane me . Kabhi - kabhi kuch log isko ek khel samajhke team badalte rehte hai par jab pyaar hota hai toh usi team ke coach ban jaate hai . Zamaana badal raha hai . Pehle log pyaar karte the aur phir izhaar karte the aur phir shaadi karte the . Aaj bhi kuch aisa hi hota hai par thode badlaav ke saath . Aaj ke zamaane me kabhi pyaar karte hai  . Phir kabhi ek baar aur pyaar karte hai . Phir shayad ek - do baar aur pyaar karte hai . Jo pyaar saccha lagta hai usko izhaar karte hai aur agar izhaar gawaara hota hai toh shaadi karte hai . Aaj ki pyaar ki kahaani ek seere se nahi dekhi jaa sakti balki usko samajhne ke liye dono pahlu samajhna zaroori hai . Dar-asal galti kisi ki nahi . Galti toh humaare dimaag ki hai jo dill se jyada practical hota hai . Ji haan ! humaara dimaag apne dill se jyada practical hai . Isko har cheej ko samajhne yaa maanne ke liye chayiye hota hai reason . Nahi , kanoon ki tarah nahi par usse kuch kam bhi nahi . Badalte zamaane me pyaar jyadatar  khote sikke ki tarah nikalta hai . Na kaheen chalta hai aur na kaheen phenkne ko jee chahta hai . Yeh kahaani bhi aaj ke zamaane me bade ho rahe do aise logon ki hai jo pyaar ko samajhna chahte hai par thoda jhijhak me hai . Yeh do log humaari kahaani ki lead role bhi hai . 


Baat karte hai ladki ki pehle jo is kahaani ki hero hai . Sochiye mat ! Ladki ka naam hai Seeta . Jitna saaf - pavitra iska naam hai utni saaf - pavitra yeh bilkul hai nahi . Aankh ka andha par naam nainsukh . Yehi haal hai seeta ka .  Inke kisi dost ne kaha hai ki jaise har din ek sa nahi hota waise hi seeta ka har din koi ek boyfriend nahi hota . Log toh apna rumaal itna nahi badalte jitna seeta apne boyfriend badalti hai . Bilkul jhalli jaise , mufat par adaakaara aur batooni par jugaadu . Yeh zaroorat ke hisaab se ladke chunti hai . Jaisa inhe college me apni application principle tak pahuchaani hai toh yeh college ke peon ko apna boyfriend bana leti hai . Jaise inhe kisi restaurant me free ka khaana khaana hai toh yeh waha ke waiter ko pata leti hai . Jaise aane waale halaat hote hai waise yeh khud ko badal bhi leti hai . Inhe kisi baare me jyada jaankaari toh nahi par apni zaroorat aane par sab kuch jaan sakti hai . Ladke ghumaana toh seeta ka eklauta shauk hai .Chehre ki ek adaa se kayi ladko ko apna kaayal banana toh inka janam - siddh adhikaar hai . Khoobsurati ke maare , sabhi ladke inhe apna banaane ko taiyyar rehte hai . Chahe jitna bhi khel kar le , seeta ki ek acchaayi hai ki woh dill ki bilkul sacchi hai . Seeta ki ek best friend hai jo uske saath uske room me rehti hai - pooja . Seeta sirf pooja ki hi baat sunti hai aur maanti hai . Pooja toh ekdum woh haal hai jaise ki bhed ki khaal me bhediya , mera matlab ladki ke bhesh me ladka . Pooja aur Seeta agar kisi ke maarne me lag jaaye toh sabko chaba daalti hai . Seeta agar sahi karti hai toh usse sahi koi nahi aur jab bura karti hai toh uski buraai koi chhupa nahi sakta . Chote shaher ki ladki hai par taur - tareeke bilkul angrezi mam jaise hai . Bachpan se hi khule vichaar waali rahi seeta , jawaan hone par bhi nahi badli . Jyadatar pooja hi seeta ko buraai ke raaste se bachaati hai . Seeta baahar se jitni bindass aur kadwi hai , andar se usse kayi jyada shaant aur seedhi hai . Par zamaane se akele ladne ke liye khud ko rough & tough banaa liya hai . Agar koi ladka sirf time - pass ke liye ek ladki chahta hai toh seeta se better option koi nahi hai . Pooja uske liye messenger ka kaam karti hai . Ladke ke baare me sar aur pair pooja hi jaanti hai aur sahi - galat seeta ko batati hai . Ek aur dost hai soniya jo dono ke saath toh nahi rehti hai par college me saath hai . Soniya pooja ke jyada khaas hai aur seeta ke liye dushman jaisi . Asal me nahi par dono hamesha yeh baat pe ulajh jaate hai ki kiska recent boyfriend jyada tip - top hai . Unme yeh shart lagti hai ki kaun ladke ko jyada paplu bana sakti hai aur har baar shart seeta hi jeet jaati hai . Seeta ek acchi ladki hai magar tab hi jab woh kuch galat karti hai . Ek line hai jo seeta hamesha kehti hai - " Where there is a wont , there is a will . " 


Ab baari hai ladke ki - Vishnu . Inke maamle me jaisa naam waisa kaam . Maa - baap ne soch samajhke inko vishnu naam diya hai kyuki yeh dill ke bhi sacche hai aur karm se bhi . Inhe kuch karna hai apni zindagi me , kuch bada jisse inka naam ho  saari duniya me . Inhe paisa bhi chayiye aur shauhrat bhi . Par uske liye inka ek hi raasta hai aur woh hai mehnat aur sacchaayi ka . Zindagi ke sirf ek hi pahlu ko jaante hai yeh aur woh hai insaaniyat . Saari buraai , saare shatranji daav - pench se pare hai Vishnu . Dill me logon ke liye sirf pyaar hai aur kisi ka bura kabhi inhone socha nahi aur kabhi soche bhi na aisa inka dill hai . College me yeh mann laga ke padhaai karte hai aur college ke baahar bhi padhaai hi karte hai . Kabhi kisi ladki ko galat tareeke se nahi dekha . Kabhi dekha hi nahi aisa kahe . Inke liye zaroori hai inki padhaai aur inki imaandaari apni padhaai ke liye  . Kehte hai ki jahaan dill laga , waha dimaag kaam karna bandh kar deta hai . Par kehte hai na ki dill par kaabu toh bhagwan bhi nahi kar paaye the aur phir vishnu toh insaan hai . Naam toh bhagwan ka hai par dill toh insaan ka hi hai . Inka dill aa gaya Seeta pe . Waise seeta pe toh har ladke ka dill aa hi jaata hai kyuki seeta hai hi itni khoobsurat . Dill aaya par himmat kaha se laaye ? Saamne agar aa jaaye toh gunge ho jaate hai . Kuch bolne lage toh behre ho jaate hai . Kuch puchle toh na-samajh ho jaate hai . Inki majburi nahi par yeh inki kamzori hai . Pyaar karna toh aata nahi par pyaar me padna seekh liya . Seeta ke liye vishnu kuch bhi nahi hai kyuki vishnu se kayi jyada maaldaar aur bindass ladko ko woh use & throw kar chuki hai . Phir vishnu toh bas ek kambal hai jise woh ek sardi me istemaal karegi aur phir garmi aane par kaheen rakh degi . Vishnu phir bhi yehi kehta hai - " I will love till i die doing it and trust me i will never die before being loved . " 


Kya lagta hai aapko ki purab aur pacchim kabhi ek hi raste pe mill sakte hai ? Sooraj aur chaand ek hi samay roshni de sakte hai ? Vishnu aur seeta pyaar me ek ho sakte hai ? Vishnu toh seeta ko pyaar karta hi hai par kya seeta bhi vishnu ke pyaar ko pehchaan paayegi ? Vishnu seeta ke pyaar me hai aur uske liye sab kuch karne ko hai taiyyar . Seeta , jo kabhi vishnu naam ke ladke ko jaanti bhi nahi , kya dekh paayegi kabhi Vishnu ko  jo usse  karta hai pyaar ? Kahaani seedhi hai par iske raaste bade tedhe hai . Jo jitna asaan nazar aa raha hai , usme utna hi mashakkat karna padega . Kehte hai agar jungle me ped hai , toh unme bandar honge . Aur bandar kabhi seedhe nahi chalte , kabhi ek daali toh kabhi doosri . Raasta wahi par chaal ulti - palti . Idhar vishnu aur seeta ka kya hoga ? Kya kabhi seeta vishnu ke pyaar ko apnaayegi ? Kya seeta vishnu ko pyaar kar sakegi kyuki vishnu toh har aam ladke ki tarah hai jo seeta ke liye kuch bhi nahi hote ? Pyaar ki yeh kahaani toh hai badi seedhi par isme ek twist hai . Kehte hai na ki " Every love has a twist before it ceases . "