Expertise of My Ishtaar - Rights !

Archiving & lest Cherishing

Sunday 26 June 2011

Untitled Story - Cant Even Assert !!


Ek - ek din ek saal jaise beet raha hai . Poora din sirf yehi sochta rehta hun ki kyu maine soniya se uss din ulta - seedha kaha . Kyu maine gusse me soniya ko itna kuch keh diya ? Agar uss din khud par thoda sa bhi kaabu paa leta toh aaj na toh soniya mujhse naraaz hoti na hi main yun gehri soch me pada hota . Pyaar ke ruth jaane pe usko phir se manaana bahut mushkil hota hai . Aur jab pyaar soniya jaisa koi ho tab toh mushkil aur bhi jyada hoti hai . Har din hum dono college me milte hai par sirf aate - jaate raaho me takraate hai . Kabhi baaton se apne zasbaat bayaan nahi kar paate . Hum sirf takraate hai kyuki jinki manjile ek hoti hai , woh raaho pe hi toh takraate hai . 


Humaara aakhiri paper hai aaj . Aaj ke paper khatam hote hi hume dus din ki chuttiyaan mil rahi hai . Iss baar mujhe chuttiyon me apne ghar bhi jaana hai . Bas aaj ka din hai jisme sab kuch suljhaana hai . Ruthi huwi soniya ko aaj hi manaana hoga warna kaheen der na ho jaaye . Chuttiyon me jab main ghar chala jaaunga toh na toh soniya sath hogi aur na hi woh paas hogi . Ek hafte se humne ek baar bhi baat nahi kii hai . Pehle kya karoon ? Paper shuru hone se pehle soniya se baat karoon yaa paper khatam hone ka intezaar karoon ? Shayad mujhe thoda aur intezaar karna chayiye ? Nahi , agar paper ke baad mauka nahi milaa toh kya karunga ? Abhi baat karni hogi . Jaise hi woh mere samne aayegi , waise hi usse baat karunga . Main exam hall ke liye campus se hote huwe guzar raha tha ki samne se soniya aate dikhi . Yehi accha mauka hai usse kuch bhi bolne ka . Woh mere samne se aa rahi hai . Hathon me kitaab liye . Kaandhe pe dupatta sambhaale huwe aur lambe - khule baal jo hawa ke sath udaan bhar rahe hai . Main dheere - dheere uski taraf badhne laga taaki woh mujhe apni raah me mujhe khadha paaye . Chalte  - chalte woh mere bilkul kareeb pahuch gayi .
Soniya ! 
Maine usse pukaara par woh mujhe ansunaa karte huwe aage badh gayi . Itne kareeb se guzri mere par phir bhi mujhe dekha tak nahi . Kitna krodh bhara hai soniya me ! Maine turant piche mudke uski taraf dekha par woh nahi mudi meri taraf . Jitna bhi badi ho jaaye yeh par iska gussa ab bhi choti bacchi jitna hai . Par maine bhi haar nahi maani . Main jaldi se uske piche gaya aur uska haath thaam ke usko roka -
Soniya ! I need to talk to you . Please ! 
Mere haath pakadte hi uske chehre ke bhaav badal se gaye . Ek pal mujhe laga ki woh mere ehsaas me kho gayi hai par doosre hi pal khud pe kaabu paa liya usne . Kaabu paate hi gusse ki aadh me mujhse boli - " Leave me ! Dont create yet another scene . Le me go ! " 
Uski baaton se mujhe bahut chot pahuch rahi hai par main yeh usse dikhaana nahi chahta ab . Jab usko khud ehsaas hoga ki jo huwa usme meri galti nahi thi tab woh khud - ba - khud samajh jaayegi . Maine uska haath chodh diya aur woh bina kuch bole chali gayi . Aas - paas jyada log maujood nahi hai par jitne bhi log hai unhone dekha sab kuch . Shayad sab samajh bhi gaye honge ki yeh sab kya ho raha hai mere aur soniya ke beech me . Main bhi waha se hall ki taraf jaane laga , thoda sa hataash aur thoda sa maayus . Andar ek tak gussa bhi hai aur ek tak aag bhi lagi huwi hai . Dill me dard bhi hai ki soniya itna naraaj ho gayi aur apne se nafrat ho rahi hai ki main khud ko sambhaal kyu nahi paaya uss din .  Kya zaroorat thi mujhe kabir se ulajhne kii ? Ab jo ho gaya usko main badal toh nahi sakta par aage kuch aur kharaab na ho jaaye uska dhyaan rakhna hoga . Main hall ki taraf jaane laga . Sar jhuka huwa hai kyuki apne se sharm aa rahi hai mujhe . 
Main nahi jaanta ki kisi apne ne yeh sab dekha ki nahi par nishita kaheen dur hoker bhi humaare beech ki dooriyon ko dekh sakti hai . Usne dekha abhi jo huwa par aage aane ki koshish nahi kii . 


Jab main hall me pahucha toh jo dekha uspe mere andar ka gussa baahar aane laga . Kabir mere aane se pehle aa chuka tha aur woh wahi kaam kar raha hai jise main bilkul bhi bardaasht nahi kar sakta . Muskuraate huwe woh soniya se baat kar raha hai . Soniya bhi uske sath khoyi huwi hai . Arre ! abhi kuch der me exam shuru hone waala hai , ek - doosre se time-pass karne ke bajaay dono padh lete toh jyada faayda hota . Ek pal toh mann kiya ki jaake soniya kabir se dur karke kabir ki naak tod dun . Lekin phir gusse me kiya gaya kaam hamesha galat hi hota hai isiliye maine kuch na karne ka socha aur chup - chap apni seat pe baith gaya . Main apni aage waali seat pe baith gaya aur sabhi mujhe aise dekh rahe hai jaise ki maine kuch galat kiya ho . 


" Soniya ! i hav heard that there is something wrong between you and vishnu . Is this really true or just a flying news ? " Kabir jaisa baatuni ladka kabhi kisi ladki ke sath chance maarne ka mauka nahi chodhta . Dono aapas me baatein kar rahe hai aur mujhe har minute apne badhte huwe gusse ko kaabu me karna pad raha hai . Mushkil hai aise chup - chap baithe rehna aur soniya ko kabir jaise ke sath baatein karte dekhna . Tabhi mere paas aarav aata hai aur jo main piche ghumke dekh raha hun wahi mujhe samne se bataa raha hai - " Ae Vishnu ! woh dekh kabir kitna has - has ke soniya se chat kar raha hai . " Aarav ko sunte maine uski ore dekha aur bola - Toh karne de na , tera kya jaata hai ? 


" No kabir ! we are absolutely fine . Nothing is wrong actually . " Soniya ne kabir se jawaab me kaha . " Are you sure na ? Mujhe bata sakti ho tum . I just want ki tum dono me koi mis-understanding ka create ho jaaye bas . " 
Dono ke chehro se toh lagta hai ki woh padhaai ke baare me toh nahi hi baatein kar rahe phir kya topic ho sakta hai ? Jo cheej mere dimaag me chal rahi hai , wahi cheej aarav bhi soch raha hai - " Abe dono kya batiya rahe honge ? Tu kuch karta kyun nahi be ? " Aarav dar - asal sahi keh raha hai ki main kuch kar kyun nahi raha . Main ab piche nahi dekhna chahta isiliye kitaab khol ke padhne laga aur aarav se bola - Main kyu kuch karu ? Tujhe kuch karna hai toh tu khud karle , mujhe padhne de . Main dono ki baaton nahi sunna chahta isiliye kitaab padhne laga . Aarav dono ki baatein sunna chahta hai par sun nahi paa raha aur mera dimaag khaa raha hai . 


" Bola na ki we are fine . Aur vishnu ki taraf se main tumse sorry kehna chahti hun . That day he just crossed his limit actually so  m sorry kabir ! " Meri ki gayi galti ki maafi soniya maang rahi hai . " Oh man ! no need to be sorry . Chill ! yeh sab chalta rehta hai between us . Waise main bhi that day thoda out of control ho gaya tha . So ! just chill . " Kabir ki toh poorani aadat hai ki kisi bhi ladki ke sath flirt karna hi hai warna ladki bura maan jaayegi . 
Idhar aarav aankhon - dekha haal mujhe diye jaa raha hai - " Vishnu ! abe kabir ne soniya ka haath pakad liya hai , Dekh ! " Jab aarav ne bola ki kabir ne soniya ka hath pakad liya toh main bhi kitaab se nikal ke baahar aa gaya aur piche mudke dekha . Aarav sahi bol raha hai . 
Main poora pak gaya baithe - baithe aur apne aap hi main uthke seedhe unki taraf gaya - Soniya ! hey listen to me .
 Maine soniya ka haath kabir se chudhaate huwe usko apni ore ghumaake kaha - When i asked you to talk , you refused me . And yaha tum iss lichar ke sath baat kar rahi ho . Jab maine soniya ka hath kas ke pakad ke yeh kaha toh soniya se pehle kabir bol pada - " Hey dude ! what you doing haan ? " 
Kabir ! i m warning you , stay out of it . 
Mere gusse ko dekhke kabir piche hat gaya . Lekin mujhe mere gusse ka ehsaas soniya ne karaaya - " Leave me vishnu . I said leave my hand ! " 
No ! first you listen to me . Maine bhi uski baat sune bina usko bola ki pehle woh meri baat sune , uske baad main kuch nahi karunga . Par woh mujhe nahi sunna chahti . Main itna gusse me hun ki mujhe ehsaas hi nahi huwa ki maine soniya ka hath bahut kas ke pakda huwa hai . Soniya ne kaha - " Leave my hand . You're hurting me . " Uske chehre pe dard dekha toh mere haath khud - ba - khud piche hat gaye . Mere kas ke pakadne se usse dard ho raha tha aur woh dard uske chere pe saaf dikh raha hai . Mujhe apni galti ka ehsaah huwa .
Did that hurt you haan ? But do you realize how much are you hurting me ? 
Apne dard ka ehsaas toh sabko hota hai par kya soniya mere andar ke dard ko bhaap paa rahi hai ? Yehi baat toh mujhe jaani hai aur main jaan bhi jaata par tabhi SRK hall me aate hai aur - " Sabhi vidyarthi apni jagah pe viraajiye kripa karke ! " 
Sir SRK ke aate hi sab log apni seat pe baithne lage . Mujhe bhi apni baat ko adhoora chodhne pada aur soniya bhi apni seat pe chali gayi . Main bhi dheere - dheere apni seat pe chala gaya aur baith gaya .