Expertise of My Ishtaar - Rights !

Archiving & lest Cherishing

Tuesday 5 April 2011

Untitled Story -The Second Coming of the Remitente !!!


Aankh khuli toh kuch dikhayi nahi diya . Sar me dard uthne laga . Iss dard ko main nahi seh paa raha hun . Aankh mal ke dekha toh charo - ore wohi kaala rang jo mere sapne me aaker mujhe pareshan karta tha . Pata nahi kyun par main apni zindagi me kaale rang se bahut darta hun . Mujhe kuch yaad bhi nahi ki aisa kyun hai par phir bhi mujhe kaala rang bilkul pasand nahi . Mujhe darr lag raha hai kyuki itne andhere me mujhe na to kuch dikhayi de raha hai aur na hi mujhe pata hai ki main kaha hun . Hello ! koi hai ? Mujhe darr lag raha hai , please mere se majaak mat karo . Aarav , kya yeh tum ho ? Sanchit , agar yeh tumhara prank hai to ab bandh karo ise . Hello ! kya mujhe sun raha hai koi ? Main chilla raha hun par meri aawaaz ghum ke waapis mere hi kaano me sama gayi . Jaise ki aas-paas koi nahi hai . Agar yeh kaam mere doston ka nahi hai toh yeh kisne kiya hai ? Pehle toh kisi ne aisa majaak nahi kiya mere sath aur naa hi koi aisa karne ki sochega . Mera darr ab badhta jaa raha hai . Hello ! please mujhe chodh do . Maine tumhara kya bigaada hai ? Koi hai ? Koi hai ? Meri aawaaz gunj rahi hai , andhera meri cheekh bhi kha jaa raha hai . Kuch bhi dikhayi nahi de raha , main apni jagah se hilne ki koshish bhi nahi kar sakta . Mere haath-paav khule huwe hai , matlab mera apaharan nahi huwa hai . Par main hun kis jagah par ? Mere aansu mere aankhon ko chodh kar mere gaal ko bighone lage . Darr ke maare haal behaal ho raha hai . Itna darr to mujhe tab bhi nahi laga tha jab high school me fail hone ka darr tha . Bhale hi aaj main acche college me padh raha hun par ek samay tha jab main 10th class me hi fail ho sakta tha . Par jab pass huwa toh aage ke do saal sirf padhai me laga diye . Koshish yehi ki saari buri yaadon ko bhula sakun . Kuch hadd tak kaamyaab bhi huwa . Par iss waqt dill apni roj ki speed se tej dhak-dhak kar raha hai . Darr ke maare hi meri maut na ho jaye kaheen . Please ! agar koi mujhe shun raha hai to saamne aao . Ahh ! main bolne me thoda sa kaccha raha hun . Main typical bihaari jaise shaadi , shayad aur baaki aise shabdo ko saadi , sayad  bolta hun . Ab zubaan saaf nahi toh kya karun . Isse pehle ki main ek baar phir chillata mujhe kisi ki parchayi dikhayi di . Yeh baat mujhe hairan kar di ki andhere me kisi ki parchayi kaise dikh sakti hai ? Kaala rang kabhi kaale rang ko bhar nahi sakta kyuki kaale se jyada andhkar aur kaheen nahi . Main aur bhi jyada darne laga , kuch bolta-kehta usse pehle mere kaan sunne lage . " Tum wahi par ho , jaha tum 2 saal pehle aaye the . " Aap kaun ho ? Main yaha kab aaya , yeh jagah to dehradun me hai hi nahi , itna andhera aur kaha ho sakta hai ? " Tum yahaan aaye ho , par  yaad nahi kar paa rahe kab " Aap kya bol rahe ho , aap to mujhe dikh bhi nahi rahe ho ? Please , aap kaun ho ? Aawaaz se toh yeh koi ladki lag rahi hai . Par ladki itne andhere me mujhse kya keh rahi hai ? Shayad main iss aawaaz se pehle bhi mill chuka hun , par yaad nahi kab . Mera dimaag mujhe kayi tasveere dikha raha hai par sab tasveere dhundhuli hai . Ek ke baad ek channel samne chal rahe hai par ek  bhi saaf nahi . Yeh kya ho raha hai mere sath ? Shayad main iss jagah par pehle bhi kadam rakh chuka hun . Iss andheri jagah ka main pehli baar darshan nahi kar raha hun . " Ab tumhe sab yaad aa jayega . Bas , paaglo jaise dekhna bandh karo ." Itna kehke wo mere samne se chhu-mantar ho gayi . Shayad yeh pehle bhi ho chuka hai .Meri palein bhaari hone lagi . Main soo raha hun , chah kar bhi andhkaar ko jhel nahi pa rahi hai meri aankhen . Jo bhi hai , mujhe apna shikaar bana chuka hai yeh andhera . 


" Ab tum apni aankh khol sakte ho , kisi ne mana nahi kiya hai . Dekho aur pehchano iss ujaale ko ." Aankhen kholi toh sirf ujaala. Pehle kaala aur ab sirf safed . Duniya Black & white ho gayi jaise meri . Aap Remitente ho na ? " Toh tum sab pehchaan gaye . Ab kaam ki baatein kare , Woh kaam jiske liye tum zinda ho ? " Kya ab yeh sab karna zaroori hai ? Main bilkul sahi jaa raha hun meri zindagi me . Acche college me hun aur acchi life jee raha hun . " Maine tumhe bataya tha ki tum chune gaye ho aur waapis jaane ka koi sawaal hi nahi ."  Par ab main yeh sab karna nahi chahta . Kya aap bhagwan ko keh nahi sakte ki woh kisi aur ko chun le ? " Tum ab bacche nahi ho , tum ab insaan nahi ho , na tum jeevit ho aur na hi mrit ho . Ab kya kehna chahte ho iske baare me ? "  Main soch me pad gaya . Yeh to wahi baat huwi ki aasmaan se gira aur khajoor me atka . Pehle maut chahi to zindagi mili aur jab aaj zindagi chahi toh pata nahi kya mill raha hai . Pehle main jaanna chahta hun ki main hoon kaun ? Aap mujhe swarg dikhao , for a confirmation ki aap bhagwan ke sath ho ,shaitaan ke nahi ." Hmm ! tum kaafi samajhdaar ho gaye ho , tum maut se shart rakh rahe ho . Ab pata chala ki bhagwan ne tumhe kyu chuna tha . " Thank you but sow me the heaven now . " Chalo mere sath . " 


Usne ek baar phir mera hath thaama aur main ek pal me ek bade se darwaaze ke saamne aa pahucha . 2 saal baad isne mera hath apne haathon me liya hai aur iss baar main swarg ke dwaar par khada hun . Kya kabhi koi zinda insaan swarg me gaya hai , nahi par aaj main jaaunga . Hum andar kyun nahi jaa rahe ? Mujhe andar jaana hai , chalo na ! " Tum sirf baahar se dekho , abhi tum poori tarah se mare bhi nahi ho toh andar jaana galat hai .  Khoobsurati ko baahar se taako . "  Mere samne jannat ka darwaza hai  aur main faltu ki soch me pada hun . Sunahre rang ka bada sa darwaza jo ki kam se kam 20 feet uunchha hoga . Iska upar ka hissa toh dikh hi nahi raha hai . Itna lamba darwaza kabhi nahi dekha . Sirf sona aur heera , darwaze ki keemat anmol kar rahe hai . Aas-paas dhuon ka baadal , zameen tair rahi hai jaise . Kash ! yeh darwaza khul jaata aur main andar ka nazaara dekh sakta  . Sona , sona aur sona , charo taraf sirf anmol sona . Kya yeh mujhe mill sakta hai ? " Tum iss cheej ka kya karoge ? Paisa kamaana thode hi hai tumhe . "  Sirf sukoon hai charo-ore , kaano me itni madhur aawaaz pehle kabhi nahi aayi . Aankhon ko isse sundar  view kabhi nahi dikha . Jannat ki khushbu mujhe apni ore khich rahi rahi hai . Mera ise chodh ke jaane ka mann bilkul nahi kar raha. Jee to chah raha hai ki yaheen ka ho kar reh jaaun . " Ab hume lautna hoga kyuki  main nahi chahti ki tum kisi dev ki nazron me aao . " Par kyu ? " Kyuki tum Mogul to ho , par tumhare bhi kuch dushman hai ."  Mere dushman ? Kya aap mujhe spiderman ya superman toh nahi na bana rahe ho ? " Kya tum kitaabo me paaye jaate ho ?" Nahi , par mere kaun dushman ho sakte hai ? " Tumhare 4 dushman hai iss sansar me , jo sirf tumhe maarne ke liye janme hai . Jab tum apni shaktiyon ko galat jagah pe aazmaoge  tab yeh 4 dushman tumhe maar denge . " Aap aisa kyu keh rahi ho , main galat kaam kyu karunga ? Aap ho na mere sath ? Aap hi ne toh bola tha ki aap mujhe sambhalogi . " Ab tumhare jaane ka samay aa gaya hai , raat beet chuki hai aur tumhara shareer tumhara intezaar kar raha hoga . " 

Untitled Story - The 18th B'day ....


" To beta , ab college me aaker kaisa lag raha hai ?" Mere dad mujhe mere b'day ki party me shaamil hone ke liye college me milne aaye the  . Unhe mujhpe  garv tha ki main itni kharaab taiyyari ke bawjood acche number paaker acche se college me admission paa gaya. Green Park , Niranjanpur , Dehradun ke ek acche se college Excellence University for Electronics ka ek  bright student ban gaya hun main . College me mujhe aaj 5 mahine ho chuke hai . Yeh mera 19th b'day hai , actually waise toh main 18 ka huwa hun par sabke liye 19 ka. Yeh bas mujhe accha lagta hai isiliye main apni umar badha ke batata hun taaki main bada lagu sabse . " Beta ! ab mera jaane ka samay aa gaya hai . Thik hai tum log enjoy karo aur main chalta hun warna raat ho jaayegi to driving me dikkat hogi . Tum to jaante hi ho na ki yaha driving raat ke tym kitni mushkil hai . " Thik  hai dad , aap nikaliye aur yeh sab bhi chale jaayenge thodi der kyuki kal subah class hai humari. Byee - byee . 


Chalo , party ho gayi aur neend abhi baaki hai . Waise apne college ka popular student to nahi hun par jitne log jaante hai woh meri izzat karte hai kyuki apne group me bahut hi seedha hoker rehta hun , bhale hi mann me kuch bhi ho. Main mere room me akela hun , siway Aarav ke  . Mera hamesha se yehi sapna raha tha ki main hostel me , apne room me , apne room-mates ke saath rahu. Mujhe akela rehna ab pasand aane laga hai  . Waise mere hostel  me rules ki bahut kami hai . Koi bhi raat me 12 baje tak ghumta rehta hai aur koi bhidin ke  8 baje tak sota rehta hai .Koi accha wardon bhi nahi hai yahaan par . Usko apne paiso se pyaar hai aur kaam se inkaar . Khidhki par se chaand kitna sundar lagta hai . Abhi 11 baj rahe hai , sabhi dost apne room me laut chuke hai aur mera room-mate Aarav jo mera sabse khaas dost hai , so chuka hai .Asal me  humare group ka Kumbhkaran hai Aarav . Mujhe neend nahi aa rahi hai iss waqt . Pata nahi dimaag me kuch chal raha hai jise main samajh nahi paa raha hun . Kuch ajeeb si baatein hai jo ek film ki tarah yaad aa rahi hai . Kuch aisi yaadein jo kabhi mere sath huwi hi nahi . Aaj mera b'day tha , din - bhar sabse badhayiyan mili , professors ne aashirvaad diya par phir bhi kuch kami thi . Soniya ka khayaal aaya toh mann udaas ho gaya . Main ab bhi uski yaadon ke ghere me hun . Shayad isiliye aaj bhi kisi ladki se baat karne se katrata hun  . Baahar ajeeb si thand hai . Raat me yaha hamesha thand badh jaati hai kyuki mausam hi aisa hai . Aas-paas pahad hai , ek kinaare nadi hai jisse garmi ka ehsaas hi nahi hota . Mere paas iss samay koi kaam nahi hai siway sone ke . Shayad ab mujhe sapno ko panaah de deni chayiye . Khidhki bandh kar ke main apne chote se bed pe jaa hi raha hun . Achanak se bijli chali gayi . Yeh kya ? Aisa yaha pehle to nahi huwa ki charo-taraf pura andhera ho jaye. Yeh andhera mujhe apni ore khich raha hai . Main kuch kar bhi nahi paa raha hun . Yeh kya ho raha hai yahaan ? Khidhki apne aap khul gayi , hawa mujhe apne sath le jaane lagi . Yeh kaisi aandhi hai jisme main apne aap ko kho raha hun ?