Aankh khuli toh kuch dikhayi nahi diya . Sar me dard uthne laga . Iss dard ko main nahi seh paa raha hun . Aankh mal ke dekha toh charo - ore wohi kaala rang jo mere sapne me aaker mujhe pareshan karta tha . Pata nahi kyun par main apni zindagi me kaale rang se bahut darta hun . Mujhe kuch yaad bhi nahi ki aisa kyun hai par phir bhi mujhe kaala rang bilkul pasand nahi . Mujhe darr lag raha hai kyuki itne andhere me mujhe na to kuch dikhayi de raha hai aur na hi mujhe pata hai ki main kaha hun . Hello ! koi hai ? Mujhe darr lag raha hai , please mere se majaak mat karo . Aarav , kya yeh tum ho ? Sanchit , agar yeh tumhara prank hai to ab bandh karo ise . Hello ! kya mujhe sun raha hai koi ? Main chilla raha hun par meri aawaaz ghum ke waapis mere hi kaano me sama gayi . Jaise ki aas-paas koi nahi hai . Agar yeh kaam mere doston ka nahi hai toh yeh kisne kiya hai ? Pehle toh kisi ne aisa majaak nahi kiya mere sath aur naa hi koi aisa karne ki sochega . Mera darr ab badhta jaa raha hai . Hello ! please mujhe chodh do . Maine tumhara kya bigaada hai ? Koi hai ? Koi hai ? Meri aawaaz gunj rahi hai , andhera meri cheekh bhi kha jaa raha hai . Kuch bhi dikhayi nahi de raha , main apni jagah se hilne ki koshish bhi nahi kar sakta . Mere haath-paav khule huwe hai , matlab mera apaharan nahi huwa hai . Par main hun kis jagah par ? Mere aansu mere aankhon ko chodh kar mere gaal ko bighone lage . Darr ke maare haal behaal ho raha hai . Itna darr to mujhe tab bhi nahi laga tha jab high school me fail hone ka darr tha . Bhale hi aaj main acche college me padh raha hun par ek samay tha jab main 10th class me hi fail ho sakta tha . Par jab pass huwa toh aage ke do saal sirf padhai me laga diye . Koshish yehi ki saari buri yaadon ko bhula sakun . Kuch hadd tak kaamyaab bhi huwa . Par iss waqt dill apni roj ki speed se tej dhak-dhak kar raha hai . Darr ke maare hi meri maut na ho jaye kaheen . Please ! agar koi mujhe shun raha hai to saamne aao . Ahh ! main bolne me thoda sa kaccha raha hun . Main typical bihaari jaise shaadi , shayad aur baaki aise shabdo ko saadi , sayad bolta hun . Ab zubaan saaf nahi toh kya karun . Isse pehle ki main ek baar phir chillata mujhe kisi ki parchayi dikhayi di . Yeh baat mujhe hairan kar di ki andhere me kisi ki parchayi kaise dikh sakti hai ? Kaala rang kabhi kaale rang ko bhar nahi sakta kyuki kaale se jyada andhkar aur kaheen nahi . Main aur bhi jyada darne laga , kuch bolta-kehta usse pehle mere kaan sunne lage . " Tum wahi par ho , jaha tum 2 saal pehle aaye the . " Aap kaun ho ? Main yaha kab aaya , yeh jagah to dehradun me hai hi nahi , itna andhera aur kaha ho sakta hai ? " Tum yahaan aaye ho , par yaad nahi kar paa rahe kab " Aap kya bol rahe ho , aap to mujhe dikh bhi nahi rahe ho ? Please , aap kaun ho ? Aawaaz se toh yeh koi ladki lag rahi hai . Par ladki itne andhere me mujhse kya keh rahi hai ? Shayad main iss aawaaz se pehle bhi mill chuka hun , par yaad nahi kab . Mera dimaag mujhe kayi tasveere dikha raha hai par sab tasveere dhundhuli hai . Ek ke baad ek channel samne chal rahe hai par ek bhi saaf nahi . Yeh kya ho raha hai mere sath ? Shayad main iss jagah par pehle bhi kadam rakh chuka hun . Iss andheri jagah ka main pehli baar darshan nahi kar raha hun . " Ab tumhe sab yaad aa jayega . Bas , paaglo jaise dekhna bandh karo ." Itna kehke wo mere samne se chhu-mantar ho gayi . Shayad yeh pehle bhi ho chuka hai .Meri palein bhaari hone lagi . Main soo raha hun , chah kar bhi andhkaar ko jhel nahi pa rahi hai meri aankhen . Jo bhi hai , mujhe apna shikaar bana chuka hai yeh andhera .
" Ab tum apni aankh khol sakte ho , kisi ne mana nahi kiya hai . Dekho aur pehchano iss ujaale ko ." Aankhen kholi toh sirf ujaala. Pehle kaala aur ab sirf safed . Duniya Black & white ho gayi jaise meri . Aap Remitente ho na ? " Toh tum sab pehchaan gaye . Ab kaam ki baatein kare , Woh kaam jiske liye tum zinda ho ? " Kya ab yeh sab karna zaroori hai ? Main bilkul sahi jaa raha hun meri zindagi me . Acche college me hun aur acchi life jee raha hun . " Maine tumhe bataya tha ki tum chune gaye ho aur waapis jaane ka koi sawaal hi nahi ." Par ab main yeh sab karna nahi chahta . Kya aap bhagwan ko keh nahi sakte ki woh kisi aur ko chun le ? " Tum ab bacche nahi ho , tum ab insaan nahi ho , na tum jeevit ho aur na hi mrit ho . Ab kya kehna chahte ho iske baare me ? " Main soch me pad gaya . Yeh to wahi baat huwi ki aasmaan se gira aur khajoor me atka . Pehle maut chahi to zindagi mili aur jab aaj zindagi chahi toh pata nahi kya mill raha hai . Pehle main jaanna chahta hun ki main hoon kaun ? Aap mujhe swarg dikhao , for a confirmation ki aap bhagwan ke sath ho ,shaitaan ke nahi ." Hmm ! tum kaafi samajhdaar ho gaye ho , tum maut se shart rakh rahe ho . Ab pata chala ki bhagwan ne tumhe kyu chuna tha . " Thank you but sow me the heaven now . " Chalo mere sath . "
Usne ek baar phir mera hath thaama aur main ek pal me ek bade se darwaaze ke saamne aa pahucha . 2 saal baad isne mera hath apne haathon me liya hai aur iss baar main swarg ke dwaar par khada hun . Kya kabhi koi zinda insaan swarg me gaya hai , nahi par aaj main jaaunga . Hum andar kyun nahi jaa rahe ? Mujhe andar jaana hai , chalo na ! " Tum sirf baahar se dekho , abhi tum poori tarah se mare bhi nahi ho toh andar jaana galat hai . Khoobsurati ko baahar se taako . " Mere samne jannat ka darwaza hai aur main faltu ki soch me pada hun . Sunahre rang ka bada sa darwaza jo ki kam se kam 20 feet uunchha hoga . Iska upar ka hissa toh dikh hi nahi raha hai . Itna lamba darwaza kabhi nahi dekha . Sirf sona aur heera , darwaze ki keemat anmol kar rahe hai . Aas-paas dhuon ka baadal , zameen tair rahi hai jaise . Kash ! yeh darwaza khul jaata aur main andar ka nazaara dekh sakta . Sona , sona aur sona , charo taraf sirf anmol sona . Kya yeh mujhe mill sakta hai ? " Tum iss cheej ka kya karoge ? Paisa kamaana thode hi hai tumhe . " Sirf sukoon hai charo-ore , kaano me itni madhur aawaaz pehle kabhi nahi aayi . Aankhon ko isse sundar view kabhi nahi dikha . Jannat ki khushbu mujhe apni ore khich rahi rahi hai . Mera ise chodh ke jaane ka mann bilkul nahi kar raha. Jee to chah raha hai ki yaheen ka ho kar reh jaaun . " Ab hume lautna hoga kyuki main nahi chahti ki tum kisi dev ki nazron me aao . " Par kyu ? " Kyuki tum Mogul to ho , par tumhare bhi kuch dushman hai ." Mere dushman ? Kya aap mujhe spiderman ya superman toh nahi na bana rahe ho ? " Kya tum kitaabo me paaye jaate ho ?" Nahi , par mere kaun dushman ho sakte hai ? " Tumhare 4 dushman hai iss sansar me , jo sirf tumhe maarne ke liye janme hai . Jab tum apni shaktiyon ko galat jagah pe aazmaoge tab yeh 4 dushman tumhe maar denge . " Aap aisa kyu keh rahi ho , main galat kaam kyu karunga ? Aap ho na mere sath ? Aap hi ne toh bola tha ki aap mujhe sambhalogi . " Ab tumhare jaane ka samay aa gaya hai , raat beet chuki hai aur tumhara shareer tumhara intezaar kar raha hoga . "
No comments:
Post a Comment