Expertise of My Ishtaar - Rights !

Archiving & lest Cherishing

Friday 7 October 2011

• »The Iѕнтααя - Rιgнтѕ !!! « •: Untitled Story : Home-Standing -- Acepto Home :

• »The Iѕнтααя - Rιgнтѕ !!! « •: Untitled Story : Home-Standing -- Acepto Home :: Aur baaton hi baaton me hum apne ghar pahuch gaye , suryavihar pahuch gaye . Rikshaw wale ko uske 25 rupaiye diye aur usko chalta kiya . Hu...

Untitled Story : Home-Standing -- Acepto Home :


Aur baaton hi baaton me hum apne ghar pahuch gaye , suryavihar pahuch gaye . Rikshaw wale ko uske 25 rupaiye diye aur usko chalta kiya . Humne apna - apna bag uthaaya aur ghar ki taraf chal diye jo sirf kuch hi kadam ki doorie pe hai . Waise main Rikshaw wale ko 25 rupaiye dete huwe kaafi ukhdaa huwa dikha kyuki sach me station se suryavihar ka kiraaya 20 rupaiye hi hota hai , 25 nahi . Jab woh waapis ghumaaker apna Rikshaw chalaake jaane laga tab maine sirf yehi kaha ki - Kash ! kisi tarah atirikt 5 rupaiye uske kisi kaam na aaye . 
Bhale hi gusse me par meri soch ke hisaab se yeh bilkul sahi duaa hai . Jab tak uska Rikshaw sadak paar karke mere nazaron se dur nahi chala gaya tab tak main usko dekhta raha . 
Nishita aas-paas ke gharo ko aise dekh rahi hai jaise kabhi aise ghar naa dekhi ho - " I wish i was born here , this place . " 
Yeah ! You could have wished that .
Phir chalte - chalte hum mere ghar pahuch gaye . Waise koi bhi darwaaze pe khadha nahi hai humaare swaagat ke liye . Shayad yeh isliye kyuki kisi ko pata hi nahi ki main kab aane waala hun yahaan par . Aur shayad yeh bhi nahi socha hoga kabhi ki aaunga toh akele nahi balki apne saath ek ladki ko leke aaunga . 
" No one is out here to welcome us ?  " Nishita bhi yehi soch rahi hai par uski soch jyadatar sawaal banke saamne aati hai . Jaise ki abhi usne sawaal kiya . 
Maine bell bajaakar andar maujood sabhi logon ko yeh aagaah kar diya ki senapati aa chuka hai aur baahar darwaaze pe intezaar kar raha hai . Ghanti baji . Mujhe bhi sunaai di . Nishita ne bhi suni kyuki woh mere bagal me khadhi hai . Jab baahar bell bajaane waalo ne sun liya toh andar AC me baithe logon ko bhi sunaai diya hoga . Main bas yehi soch raha tha ki darwaaza khula aur humaare saamne , darwaaze ke doosri ore Papa aur Mummy dikhe . Mummy ke haath me ek badi si thaali bhi hai . Thaali me pooja ka saamaan hai aur shayad in sabhi saamaano se meri pooja ki jaayegi . 
" Aakhir itne samay baad magar tum ghar aa hi gaye . " Mummy ne dekhte hi woh poorana emotional senti sa dialogue bolkar swaagat kiya . 
Maine sar hilaaker andar jaane ke liye kadam badhaaye tabhi Mummy ne mujhe roka aur bola - " Ruko ! Pehle teeka toh lagaalo . "  Papa hamesha ki tarah Mummy ke piche khadhe hai aur shayad mere aane ki wajah se unki aankhon me aansuun bhar aaye hai . Magar woh aansuun andar hi hai kyuki - ' He is the man of the house . And men don't cry . ' .
Mummy ne bade hi pyaar se mere maathe par laal teeka lagaaya . Phir unki nazar mere doosri ore khadhi ladki par gayi . Mummy ne thaali pe rakhe teeke pe phir se ungli chhuuaayi aur usse sawaal kiya - " Tum Nishita ho na ? " 
Nishita ke mann me kya chal raha hai woh toh main nahi jaanna chahta par mera tilak - abishek dekh ke uske aankhon me bhi aansuun aa gaye . Aur kitni emotional ladki niglegi yeh ! 
Mummy ke poochne par usne apne sar ko upar - niche hilaate huwe haan kaha . Mummy hamesha se bahut milansaar rahi hai isliye unhone nishita ke bhi maathe pe teeka lagaaya . Magar sirf teeka hi nahi , mummy ne Nishita ke sar pe haath bhi phiraaya aur mujhe dekhkar bola - " Chalo ! ek toh dost tumne banaaya jo itni khoobsurat hai . " Woh teeka Nishita ke maathe pe jyada der tak nahi tika aur kuch laal rang uske kapdo pe bhi gir gaya .


Rikshaw wala apna teen pahiya chala hi raha tha ki uski gaadi thoda aage jaaker ruk  gayi . Toh woh rikshaw chaalak dekhke bhi utarta hai aur phir utarker yeh dekhta hai ki kaheen piche ke pahiye puncture toh nahi na ho gaye - " Yeh aagey kaahen nahi badhat hai ? Kaa ho gayil ab ? " 
Woh piche ke pahiyo ko dabaaker dekhta hai - " Hawa toh hai isme ! " . Phir bhi rikshaw aage nahi chal raha . Woh thoda piche hatke phir jhukkar dekhta hai ki kya ho gaya . Tabhi piche wala ek pahiya zor se aawaaz karta hai . Ek pahiya blast . Rikshaw wala yeh dekhkar wahi gir padta hai . Tabhi piche ka doosra pahiya bhi zor se aawaaz karta hai . Doosra pahiya blast . Rikshaw wala jo pehle se gira huwa tha , woh uthke bhaagta hai rikshaw ki doosri ore . Aur pahuchke yeh dekhta hai ki piche ke dono hi pahiye blast kar chuke hai . 
Uska jo aadha thaka huwa dimaag tha woh yeh dekhkar aur bhi jyada choor ho gaya - " Arre Baap re ! Yeh keise ho gaya ? "  
Woh yeh soch hi raha tha ki aagey ka pahiya bhi zor se aawaaz karta hai . Teesra pahiya bhi blast . Rikshaw wala toh teeno pahiye blast ho jaane par yehi chilla ke kehta hai - " Haaye Raam , humaare 5 rupaiye ka nuksaan ho gayil ab toh ! "  Isko kehta hai - Paisa bhi Vasool ho jaana aur apna haath bhi ganda na hona .


" Ab andar bhi toh bulaao . " Papa ne sahi kaha kyuki ghar ki baatein ghar ke andar hi karni chayiye warna baahar bheed jamaa ho jaati hai . 
Sabhi itne pyaar se muskuraaye jaa rahe hai aur bas baahar darwaaze pe khadhe hai . Papa ne jab yeh yaad dilaaya ki ghar ke andar bhi jagah hai toh mummy ko khayaal aaya - " Haan Aao ! " . 
Mummy ! Meri sena jung jeet gayi . 
Mummy ne itne taam - jhaam kiye humaare swaagat ke liye toh mujhe yehi laga jaise koi raja jung jeet ke apne mahal lauta hai . Itna majaak karna toh banta hai ! Aur aakhir - kaar hum andar pahunch hi gaye mere ghar ke . Nishita bhi yehi soch rahi hogi ki accha huwa ki yeh Family melo - drama khatam huwa .