Expertise of My Ishtaar - Rights !

Archiving & lest Cherishing

Saturday, 21 May 2011

Luv Me Twist Hai - World's Smallest Love Story !!!



Seeta mall me rahul ka intezaar kar rahi hai par woh jab tak nahi aata tab tak  seeta ne socha ki thodi shopping kar le . Waise agar ladki mall aaye aur shopping na kare , aisa kabhi ho hi nahi sakta . Woh ek showroom me gayi jahaan kuch  kapde the . Seeta ko naye dresses ka bahut craze hai aur khaas - kar chote chote mini skirts ka . Uska dressing sense bhi aisa hi hai . Badan pe  mini - skirt aur upar tan dhakne ke liye rang - biranga top . Uske haath me ek almaari hai . Matlab ek bag jisme choti si lipstick se leke badi - badi make - up kit ka saamaan tak hai . Isliye bag kam almaari jyada hai . Seeta ke mann me alag si khwaish jagi aur woh dupatte ke stall me chali gayi . Pata nahi kya sochke dupatte lene chali gayi . Tabhi uske bag se kuch hilne laga , uska mobile vibrate karne laga . Usne call attend kiya - " Hello ! whose dis  ? "
Call uthaaya toh line ke doosri taraf pooja  - " Teri maa bol rahi hun saali . Kya huwa ? Aaya nahi kya tera Bracelet wala ? " 
" Nahi yaar ! pata nahi kaha mar gaya woh . " Seeta bahut der se intezaar kar rahi thi par rahul ka koi ata - pata nahi  hai .
" Toh kya kar rahi hai tu waha ? "  Pooja ko laga ki woh shopping kar rahi hogi kyuki shopping karna uski hoby hai par phir bhi dost hone ke naate puch hi leti hai . 
" Kuch nahi yaar . Just checking out some shawl - dupatta . " Seeta ki yeh shopping list sun ke pooja bhi shocked ho gayi . 
" Dupatta ? Are you serious ? " Jaisa kaha tha maine , waise hi shock huwi pooja .
" Haan yaar ! bas aise hi mann kar raha hai ki kuch alag kharidun . " Seeta baaton - baaton me ek - ek karke dupatte dekhne lagti hai . Ek - ek karke dupatta uthati hai aur apne kandhe pe rakh ke dekhti hai ki kaun sa jyada accha hai . 


Showroom me ek ladka bhi aaya hai jise log Vishnu kehte hai . Vishnu abhi - abhi showroom me aaya aur aate hi usko  seeta nazar aati hai . Seeta ko dekhta hai toh uske kadam wahi pe ruk  jaate hai . Uske aankhon ko sirf seeta hi nazar aa rahi hai . Par seeta toh dupatte aur pooja me lagi huwi hai . Seeta use dekh nahi rahi par vishnu sirf seeta ko hi ghoor raha hai . Woh kisi bhi kaam se aaya ho par abhi toh seeta ko dekhne ke  alawa koi kaam nahi uske paas . Woh dekh raha hai ki kaise seeta ek - ek karke saare dupatto ko apne upar try kar rahi hai par yeh nahi decide kar paa rahi ki kaun sa uspe jach raha hai . Vishnu seeta ki is uljhan ko dekhke sochta hai ki woh seeta ki madad karde . Par agar woh uske paas jaayega toh woh bhi usko galat samjhegi aur mall ke sabhi log bhi . Toh woh dur khade hoker seeta ko dekhne laga  . Vishnu ko pehle kabhi koi ladki pehli nazar me itni sundar aur pyaari  nahi lagi thi  jitni ki seeta lagi . Uski nazron ko isse haseen drishya aaj tak kabhi nahi dikha . Uske dill ki aawaaz woh khud sun sakta hai . 
Apne chehre pe ek halki si muskaan liye seeta dupatto me uljhi huwi hai aur vishnu bhi muskuraate huwe usko nihaar raha hai . Uske dimaag ke har channel pe sirf ek hi serial aa raha hai . Uska tower sirf ek hi signal catch kar raha hai . Uski aankhein bhi sirf ek hi cheej dekh sakti hai aur woh hai Seeta aur uska thoda pareshaan  -  sa chehra  - " Tum itni confused kyu ho is waqt  ? Koi bhi dupatta lo , tumpe sabhi jachega . Itni khoobsurat ladki ke kandho pe aane ke liye har dupatte me jung chidhi hogi par yeh toh tumpe hai ki tum kise chunti ho . " 
Vishnu mann hi mann sirf seeta ke khyaalon me khoya hai .Woh chahta toh hai ki woh turant jaaye aur seeta ko ek dupatta pasand kar ke dede . Par yehi toh uski kamjori hai ki woh kuch jyada hi shareef hai . 
" Hey ! tum itna mat confused ho . Zara ek nazar humari taraf toh dekho shayad hum tumhari koi help kar sake .  Humara toh mann kar raha hai ki tum aise hi humare saamne khadi raho aur hum tumhe yuhi dekhte rahe . " 


Showroom ki ek sales lady aati hai aur vishnu se puchti hai - " May I help you sir ? " 
Par vishnu ki help woh sales lady nahi kar sakti . Kaun hai woh ladki jo uske dill ke dhadhkano ko badha rahi hai ? Na toh woh us ladki ka naam jaanta hai , na pata aur na hi kuch bhi jaanta hai . Jaanta hai toh sirf yeh ki woh is waqt uske saamne hai aur use dekh bhi nahi rahi ek nazar . Par phir bhi vishnu itne der se sirf seeta ko dekhte jaa raha hai . Seeta abhi bhi phone pe pooja se baat kar rahi hai par dupatte me apni choice woh khud nahi jaanti hai . Vishnu ko pehli nazar me kuch hone laga hai . Aisa ehsaas hai jo uske apne saamne khadhi ladki se jod raha hai . Par woh andaaza nahi laga paa raha ki yeh kya ho raha hai . Vishnu ke bagal me bhi ek ladki hai jo showroom me kaam karne ke tahat usse puch rahi hai - " Sir ! can i help you out ?  " Par Vishnu ko khabhar kaha ki kaun uske left me hai aur kaun uske right me . Shukar hai Vishnu saamne dekh sakta hai aur saamen sirf Seeta hai aur dher saare dupatte . Sales lady vishnu ko disturb kiye bina chali jaati hai  . Par vishnu ko toh pata bhi nahi chala ki koi uske bagal me tha bhi yaa nahi . 
" Yeh hume kya ho raha hai ? Hum apni nazrein is ladki se hata kyu nahi paa rahe hai ? Aisa pehle toh kabhi nahi huwa humaare saath ? Par is ladki me ek ajeeb si kashish hai jo hum par koi jaadu kar rahi hai . Iska chehra jispe halki muskaan bhi hai , thoda sa gussa aur jhijhak bhi hai kyuki woh decide nahi kar paa rahi ki kaun sa dupatta le aur itni khoobsurat ki khoobsurati ka bhi ghamand toot jaaye  . Isme hum kya kare ? Agar hum isko jaante toh abhi iski problem solve kar dete . Par hum iske paas bhi toh nahi jaa sakte . Shayad hume ab aage badhna chayiye . Par humaara mann hi nahi kar raha ki hum isse dur jaaye . Dill ki aawaaz itni clear hume kabhi sunaai nahi di jitni aaj is ladki ko dekhke sunaai de rahi hai . " 


Seeta apne mobile me lagi  huwi thi ki achanak se uski nazrein vishnu pe gayi . Jab vishnu dekhta hai ki seeta uski taraf dekh rahi hai toh woh apni nazrein jhuka leta hai aur idhar - udhar dekhne lagta hai . Shayad woh yeh dikhana chah raha hai ki uska dhyaan Seeta par nahi balki kaheen aur hai . Aisa isliye kyuki woh darr gaya ki kaheen saamne jo ladki gusse me usko kuch bura - bhala na bol de . Seeta ek look ke baad phir mobile me bhid jaati hai par phir agle hi pal dekhti hai ki vishnu phir se uski taraf dekh raha hai . Wo is baat se gussayi nahi kyuki woh jaanti hai ki ladke hote hi aise hai  . Jahaan khoobsurat ladki dikhi , wahi dera laga dete hai . Par jo ladke hamesha uske liye marte hai woh Vishnu se kayi gunaa dikhne me acche hai . Seeta ko jo ladka ghoor raha hai usme koi aisi baat nahi ki woh bhi use dekhe . Usne Vishnu ko nazar - andaaz kiya . Vishnu na chah ke bhi baar - baar sirf seeta ko hi dekh raha hai . Jab woh use dekhti toh woh apni nazrein churaane lagta  . Phir agle hi pal seeta ko dekhne lagta hai . Nazron ki luka - chupi dono ke saamne ho rahi hai par dono ek - doosre se anjaan hai . Seeta ke liye yeh koi nayi baat nahi hai . Ladko ka ghoorna uske liye poorani daal jaisi baat hai . 
Vishnu jo abhi tak sirf aankhon se kaam le raha tha , agle hi pal seeta ki madad karne ki sochta hai .  Ekdum se Seeta dekhti hai ki vishnu uski taraf aankhon ka ishaara kar raha hai . Pehle toh seeta ko samajh nahi aaya ki vishnu kya ishaare kar raha hai . Phir woh ek dupatta leti hai aur apne kandhe pe rakhti hai . Dupatta rangeen hai , jisme laal , kaala aur hara rang mila huwa hai . Vishnu sar ko daayein - baayein hilaata hai , matlab na . Seeta usko waapis rakhti hai aur doosra uthaake apne kandhe pe rakhti hai aur phir vishnu ki taraf dekhti hai ki usko dupatta pasand aaya ki nahi .Yeh wala dupatte bhure rang ka hai jispe kadhaai ki huwi hai . Vishnu sar ko phir se daayein - baayein hilaata hai , matlab phir se na . Seeta yeh wala bhi waapis rakh deti hai . Ek aur dupatta uthaati hai aur phir se apne kandhe pe rakhti hai aur phir vishnu ke haan yaa na ka intezaar karne lagti hai . Is baar dupatta vishnu ko pasand aa jaata hai kyuki woh seeta ke upar khilaa sa  lag raha hai . Woh sar ko upar - neeche hilaate huwe haan ka ishaara karta hai . Hal ho gayi seeta ki uljhan . Par tabhi seeta ko baahar Rahul nazar aata hai aur woh dupatte ko wahi rakh deti hai . Woh vishnu ki pasand ko razamandi toh deti hai par kharidti nahi kyuki usko intezaar tha apne bracelet ka jo ki Rahul ke paas hai aur Rahul baahar khadha  hai . Woh vishnu ke saamne se hote huwe baahar chali jaati hai par jaane se pehle ek muskaan vishnu ko deke jaati hai . Vishnu aage badhta hai aur woh dupatta uthaake apne seene se laga leta hai . Woh ehsaas leta hai seeta ka , uske haathon ke sparsh ka  , uski mehak aur khoshboo ka jo ki  us dupatte me mill gayi hai  . Yeh kyu ho raha hai aur Vishnu aisa kyu kar raha hai , iska usko koi ilm nahi hai . Par ho na ho par vishnu ko ho gaya love at first sight  .
" Shit ! Itne kareeb the hum uske phir bhi kuch keh nahi paaye . Achanak se kahaan baahar chali gayi ? Humaari pasand ko kharida bhi nahi . " Phir dupatte ko dekhte huwe kaha - " Shayad yeh thi duniya ki sabse chhoti love story  . "