Jaise - jaise samay beetne laga waise - waise soniya mere doston ke saath bhi ghul-mill gayi . Nishita aur soniya bhi saath time-spend karne lagi aur dono me koi ladaai yaa jhagdaa nahi hai . Aur inn sabko saath dekhke main sabse jyada khush hun . Ab baari hai Sanchit aur Aarav ki , hume khush karne ke liye . Dono orkut se raza-mandi toh paa chuke hai par ab hum sabko kaise manaayenge. Sabse pehle mera number hai kyuki unhe yeh pata hai ki agar main haan kardu toh baaki ke log bhi jyada nahi sochenge . Akal - mand hai dono , akhir dost kiske hai !
" Vishnu ! dekh orkut bhi raaji ho gaya hai ab . Humne pata liya usko , ab toh chal na . " Aarav jaise andar bol raha tha waise hi woh mere saamne bol raha hai . Sanchit jaise andar chup kar ke tha waise woh mere saamne bhi chup khada hai .
Haan ! mujhe pata tha ki tum orkut ko confess kar loge . Kaise manaaya waise ? Main jaanta hun ki aarav ne kya paath padhaaya hai andar par baaki nahi jaante aur dono sochte hai ki main bhi nahi jaanta .
" Hum andar gaye , bola ki ...ki .... hume baahar ghumne jaana hai ...aur....aur....thoda sa jhooth bola ...aur....aur....orkut maan gaya . " Aarav baatein banaane me hamesha aage rehta hai . Par jaise woh bol raha hai , waise koi bhi ajeebo-gareeb shaktiyon se lipt insaan samajh sakta tha ki woh jhooth bol raha hai . Par mere alaawa aisa koi nahi hai .
Tab se leke ab sanchit ne apni chuppi todi - " Yaar ! ab yeh sab baatein chodho . Pehle bataao chalna hai na ab ? "
Sanchit ko sunke aarav bhi seedha point pe aaya - " Haan ! final karo ab , kal chalna hai ki nahi ? "
Main na kaise kar sakta hun guys ? Aakhir tum dono ne itne sacchaayi se orkut se permission jo lee hai . Main chalunga . Baaki ko bhi padha do paath .
Bas iske baad kya hona tha , dono ne sabko ghuma diya . Ek hi line ek din me 6 baar .
Mere baad Raju ke paas gaya aarav - " Dekh raju ! yeh exams toh hote rahenge , par abhi jo plan bana hai woh doobara nahi banega . " Raju ko koi idea nahi hai ki aarav kya keh raha hai - " Kaisa plan ? Exams boycott karne ka kya ? Main tumhare saath hun be ? " Yeh toh exam chodhne ke liye taiyyar ho gaya . " Abe nahi ! camping pe jaane ka plan . 7 kms from our college . Soch ....."
Yehi baat aur yehi soch leke aarav priya ke paas gaya - " Soch ..... kitna majaa aayega ! Main , tum aur tum , main . Jungle me ...raat me.....thand ....chaand.....romantic mausam ...." Priya toh aarav ki baatein sunte hi kho gayi par - " Par wahaa aur bhi toh honge . Humaare alaawa baaki sab bhi toh honge . " Aarav ki baat kate usse pehle usne phir priya ko ghuma diya - " Nahi priya ! jungle me outing ka majaa hi kuch alag hai . Aur asli majaa toh sabke saath hai na . Ready ho ki nahi ? Final time puch raha hun bolo ! " Priya jyada sochti nahi kyuki aakhir woh hai toh ek ladki hi na - " Haan ! main ready hun par hum jaayenge kaise ? " Yeh sawaal bilkul sahi baithta hai par jawaab aarav ke paas hai - " Kaise ? Soch ...."
Yehi sawaal ka jawaab aur yehi soch leke sanchit gaya simmy ke paas - " Soch simmy !....tumhare paas vijay malliya toh nahi hai par main hun na - Sanchit Walliya. " Simmy ko jab tak har baat khul ke nahi samjhaayi jaati woh samajhti nahi kyuki woh hai toh ek ladki hi na - " Main samjhi nahi . Walliya toh tum ho par hum jaayenge kaise ? "
Ab kheer ko phailaane ka waqt aa gaya , samasya ka hal sanchit ko hi dena hai - " Mere paas paise hai kuch , matlab mere dad ke . Unki do mahindra bolero hai , un dono sawaari me thodi jagah hai jiss jagah me hum sab aa jaayenge . Ab toh samajh gayi na ? " Ab toh koi murdaa insaan bhi samajh jaata aur bhagwan ka shukar hai ki simmy usse behtar nikli - " Samajh gayi main , par hum kab jaa rahe hai ? " Ladkiyaan aisi kyun hoti hai ? Matlab har baat par sawaal hota hai inke paas . Par sanchit ko jawaab dena hi hai - " Soch ...."
Yehi aakhiri soch leke dono ne mujhe soniya ke paas bheja . Sab jaante hai ki soniya sabko naa bhale hi keh de par mujhe kabhi nahi . Ab meri baari hai soniya se baat karne ki - " Socho mat soniya ! sab kuch plan ho chuka hai . Sanchit ki do cars hai , aarav ki girlfriend hai , mere kuch friends hai aur tum ho . "
" Par vishnu , exams ek week next hai ."
Yeh huwi na baat . Aakhir kuch ladkiyaan hoti hai jinke paas dimaag bhi hota hai . Jo sawaal soniya ne pucha hai , woh bilkul sahi hai . Exams ek week baad hai na , hum to kal jaa rahe hai . Bas tum na mat kehna . Dekho ! agar tum nahi chalogi toh tum jaanti ho mujhe waha accha nahi lagega .
" Main tumhe kaise akele jaane dungi . Jab se aayi hun , tumhaare saath ek baar bhi ghumne nahi gayi hun . Main chalungi . Yeh mauka kaise jaane de sakti hun main "
Aur bas thoda sa emotional kya kar diya , soniya maan gayi . Thank you soniya ! Mujhe pata tha ki tum mujhe naa nahi karogi .
" Tumhe meri har haan pe haq hai vishnu "
7 logon ne haami bhar di . Par koi ek hai jo abhi bhi iss plan se bacha huwa hai . Sab ne haan kar di par abhi Nishita ki haan baaki hai . Soniya ke aane ke baad bahut kam hi baar haste huwe dekha hai kisi ne usse . Uski toh jaise duniya hi suni pad gayi ho . Aise mauke par uska haan kehna bahut mushkil hai par phir mera kaam liya gaya . Nahi , baat karne main nahi gaya , gaya toh sanchit uske paas - " Nishita ! toh tum kal chal rahi ho na ? "
Nishita ab pehle jaise nahi milti , chehre pe udaasi ke baadal chaye rehte hai , hothon pe sirf gham aur aankhon me nami - " Kal ? Main kya karungi chalke ? "
Jaisa socha tha waise hi paaya . Nishita ka koi interest nahi dikha . Par hum sabhi pakke dost hai , humaari khushi jab tak saath me nahi share hoti , khushi khushi nahi hoti . Jaana toh sabko hai , warna koi nahi jaayega .
Sanchit ko nishita ko manaana aata hai - " Dekho nishita ! ek baar chal ke toh dekho . You will feel better aur waise bhi bahut dino se tum muskuraayi nahi ho . Shayad thoda baahar ghumne-phirne se tumhe accha lage . Try it once ! "
Nishita ab bhi jaana nahi chahti hai - " Accha toh lagta hai mujhe , Pehle bhi aur aaj bhi . Tum log enjoy karo , main nahi aaungi . Please ! mujhe force mat karo . Exams hai , exams se pehle kabhi nahi ."
Nishita ne exams ka bahaana banaaya par sabko pata hai ki wajah exams nahi main hun . Woh jaanti hai ki soniya bhi aa rahi hai aur vishnu-soniya ek saath usse sirf dukh hi pahuncha sakte hai . Woh yeh sab bardaasht nahi kar sakti . Bahut jhel rahi hai aur nahi jhel sakti .
" Nishita ! main jaanta hun ki wajah kya hai ? Kyu tum aise despair si ho gayi ho ? Par kab tak aise rahogi tum ? Life ko ek aur mauka do , shayad life badal jaaye . Please nishita ! ab na mat kaho . Tum nahi chalogi toh hum sab chah ke bhi happilly nahi jaa paayenge . So please ! please ! "
Koi aur bhi hai jo yeh baatein sun raha hai aur mauke ka faayda uthaane baahar aa gaya , Priya - " Wao nishi ! dekho ! hum sab chahte hai ki tum chalo . Waha pe vishnu bhi hoga . Shayad tumhe usse baat karne ka mauka mill jaaye . Hope for the best na . "
Nishita jaan chuki hai ki ab baat karne se kuch nahi hone wala . Woh soniya se bhi jaan chuki hai aur vishnu toh sab kuch saamne hi hai - " Ab kya baat karungi vishnu se ? Aur waise bhi woh jab bhi mere saamne aata hai toh mujhe khud pe taras aata hai . Taras aata hai apne pyaar pe . Hamesha se bhagwan ne mujhse har woh cheej chheeni hai jisse mujhe pyaar huwa . Aur iss baar bhi bhagwan ne yehi kiya . Guys ! main nahi aaungi . " Itna kehke woh kamre se baahar chali gayi . Sab maan gaye par nishita nahi maani . Sanchit bhi maayus ho gaya - " Priya ! ab nishi ko kaun manaayega ? " Yeh sawaal ka jawaab sabke paas hai .
Raat ke 12 baj rahe hai . Har raat ki tarah saari battiyan bujh chuki hai . Aarav aur maine ek plan banaya hai . Plan hai nishita ko manaane ka . Pehli baar nishita mujhse milne aise hi aayi thi , raat ke sannate me . Sabki nazron se bachke , mere room tak . Ab shayad nishita ko manaane ke liye mujhe bhi yehi karna hoga . Aarav ! tum sure ho na ki hume koi dekhega nahi ? Main thoda sa ghabraaya hun par jaanta hun ki main bach jaaunga , bas aarav na phanse .
" Aarav ka plan kabhi fail huwa hai kya kabhi ? "
Nahi , kabhi nahi aur main jaanta hun ki aaj bhi nahi hoga . Ek baat toh hume pata hai ki agar hume kisi ne pakad liya aise toh hum seedhe jaayenge orkut ke paas aur aage ka anjaam kuch bhi ho sakta hai . Par abhi itna kuch nahi sochna hai , abhi toh mission nishita . Iss mission ka priya aur simmy ko bhi khabar hai , sirf nishita nahi jaanti . Jaise-taise hum girls hostel ke zameen par kadam rakh diye . Room ke baahar priya aur simmy humara intezaar kar rahi hai .
Hey ! tum dono baahar kyu khadi ho ? Tumhe toh andar hona chayiye tha ?
Dono ke paas ek hi jawaab hai - " Humse ek galti ho gayi . Nishi ko sab pata chal gaya hai aur woh darwaaza nahi khol rahi hai . Hum chilla bhi nahi sakte kyuki agar hum chillaayenge toh baaki ke log jaag jaayenge . "
Ab kya karna hai ?
" Ab tum hi kuch kar sakte ho vishnu ! " Sab meri taraf ek hope se dekh rahe hai , nishita sirf meri baat sunegi aur maanegi .
Ab andar toh jaa nahi sakte , darwaaje se hi fariyaad lagaani hogi .
Nishita ! darwaaja kholo . Mujhe tumse kuch baat karni hai . Hum jaante hai ki tum hume sun rahi ho .
Ab hum chaaron uske jawaab ka wait karne lage . Socha ki woh turant darwaaza kholegi par na woh boli aur na woh darwaaza kholi . Main dekh sakta hun ki nishita bilkul darwaaze se satke khadi hai . Uska mann toh hai baahar aane ka par apne gusse ki aadh me woh apne pyaar ko chupa rahi hai . Jo main dekh sakta hun , wo baaki teen nahi dekh sakte .
Nishita ! main jaanta hun ki darwaaje pe hi khadi ho so please darwaaja kholo .
Uske kaano me meri aawaaz jaa toh rahi hai par koi asar nahi kar pa rahi . Shayad thoda sa emotional karne se maan jaaye .
Ok ! tum wahi khadi raho . Darwaaja bhi mat kholo par sirf ek baat sun lo .
Woh apni jagah se hili toh . Ab darwaaje se kaan lagaake woh taiyyar ho gayi sunne ko . Ab woh maan jaayegi .
Toh kal tumhe aana hi hoga , samjhi . Koi bahaana nahi chalega .
Woh abhi bhi kaano ko darwaaze se lagaaye khadi hai . Uske aankhon me aansuun hai par woh bhi sookh chuke hai .
Hum sab jaa rahe hai aur agar tum nahi chalogi toh koi majaa nahi yaar .
Abhi bhi same reaction but no action .
Sanchit ki bolero taiyyar hai , orkut ne permission de di hai . So tum haddi mat bano please .
Andar koi dekh nahi sakta par meri baat sunke woh thoda sa muskuraayi . Lekin wo darwaaza nahi kholne waali abhi.
Dekho tum bhi aise hi aayi thi mujhse milne mere room tak . Aaj main aaya hun tumhe manaane . Chalo na yaar , sab enjoy karenge . Jungle ko na mat karo , waise bhi itne kam jungle bache hai bhaarat me .
Meri baatein aarav aur dono ladkiyon ko bahut stupid lag rahi hai , woh soch rahe hai ki main nahi kar paaunga par andar meri baato ka khoob asar ho raha hai . Ab jyada time nahi lagega . Par aarav mujhe disturb karne laga - " Abe ! kya bakwaas bakta jaa raha hai tu ? "
Pehle aarav se nipat leta hun - Ek second , main baat kar raha hun na . Ab waapis nishita - Accha ab bhi chipps khaa rahi ho ki chodh di ? Waise abhi mat batao , kal batana . Abhi bas yeh batado ki kal chal rahi ho na ?
Nishita haan karna chaahti hai par soch me hai ki kaise kahun . Toh maine socha ki yeh mushkil bhi hal kar du .
Agar tumhaari haan hai toh darwaaja khol do . Phir hum chale jaayenge aur kal aayenge tumhe lene . Ok ?
Nishita ke aansuuon ko kinaara mill gaya . Uske chehre pe phir se woh meethi si hansi aa gayi . Apne behte huwe tears ko usne pocha aur dheere-dheere darwaaza khol diya . Issi ke saath sabhi ke chehre pe smile aa gayi .
Now that's like my good girl . Ab kal milte hai . Bye !
So , mission completed and list too. Ab hogi baari camping in forest ki .