" So , I guess ki humaari deal pakki ? "
Principal Orkut aur koi anjaan aadmi office me na jaane kis vishay pe charche kar rahe hai . Tabhi sms hamesha ki tarah bina darwaaza khat - khataaye office me ghus jaata hai . Orkut ko toh sms ki yeh aadat ki aadat ho chuki hai par na jaane kyun sms ke andar aate hi uss anjaan aadmi ke chehre se hansi gayab ho gayi aur woh kisi gussail chote bacche ki tarah chilla kar bola - " Hey You ! Tum . Idhar aao ! "
Sms toh sirf table pe rakhi chaai ki pyaali ko lene aaya tha par usko kya pata ki uska saamne ek aise ajnabi se hoga jo ki uska aana bilkul pasand nahi karega . Thoda darte huwe sms uske paas jaaker bola - " Ji sir ! "
Sms ki sehmi huwi aawaaz sunke koi bhi pighal jaata par woh aadmi jiske chehre pe gussa sajaa huwa hai aur uss gusse se kayi gunaa jyada bhara huwa hai ghamand . Na jaane kis baat ka ghuroor hai par saaf - saaf nazar aa raha hai uska ghuroor . Ussi gusse ke saath usne sms ko fatkaara - " Yeh naukri jo tum kar rahe ho , kya iske paise tumhe nahi milte hai ? "
Ajeeb sawaal hai par jiss lahajje me pucha gaya , uss hisaab se seedha - seedha jawaab banta - " Ji ! Milti hai tankhwaah . "
Orkut iss samay bilkul chup - chap khadhe hai aur sms ko sunte huwe sirf sun rahe hai . Par sunaane wala aadmi - " Aainda se kabhi bhi office me bina darwaaza khat - khataaye ghusa toh jo kapde pehanke tum andar aaye ho na , woh khadhe - khadhe utarwa dunga . Samjha ?" Sms darr ke maare sar hilaa ke haan kehta hai . Woh aadmi usko darwaaze ki taraf ishaara karta hai aur - " Ab jaa ! " Sms bina chaai ki pyaali liye baahar chala jaata hai . Dekhne me toh woh aadmi bahut rutbe waala maalum pad raha hai . Usne kaala coat pehan rakha hai aur usko compliment dene ke liye ek laal tie jo uske gambhirta ko sirf kapdo se hi darsha rahe hai . Uske samne toh orkut ki bhi zubaan pe taala sa lag gaya ho jaise - " Sir ! kaha aap third umpire pe dhyaan de rahe hai . Match pe dhyaan dete hai , please ! "
Jab orkut ne apne cricket ke andaaz me uss aadmi ko kaam ki baat karne ko kaha toh uski nazrein orkut pe gayi . Woh bhuri tej nazrein jinse yeh lagta hai ki woh nirbhay hai , jisse kisi baat ka darr nahi hai , jiske upar koi nahi ho , jisme sab kuch haasil karne ki chahat hai . Uski nazrein orkut ki nazron ko niche dekhne par majboor kar deti hai . Woh phir se ussi tareeke se orkut se kehta hai - " Bell bajaa ke uss ladke ko phir se bulaao . "
Bina ek sawaal kiye orkut ghanti bajaate hai . Phir agle hi pal me koi darwaaze pe aaker knock karta hai . Orkut andar se bolte hai - " Come in ! "
Par darwaaza khol ke andar sms hi aata hai kyuki orkut ne bell bajaake usko bulaaya jo tha . Uss ajnabee ke daant ka asar sms pe saaf dikh raha hai - " Ji Sir ! aapne bulaaya ? "
Sms ko andar aane ka tareeka ek hi pal me sikha diya usne . Jo kaam itne saalo se nahi huwa , woh kaam uss aadmi ne bas kuch shabdo me hi kar diya - " Idhar aao aur yeh cup yahaan se le jaao . "
Sms phir se usko sunte hi sahem sa gaya aur dabe paav aage badhke cup uthaata hai . Woh toh itna daraa huwa hai ki chalne ki bhi aawaaz nahi kar raha ab . Magar abhi kuch aur bhi hai jo uss ajnabee ne karna hai . Jaise hi sms cup uthaata hai woh sms ko rokta hai - " Thehro ! " , apne jeb me haath daalta hai . Usme se apna wallet nikaalta hai aur ek 500 rupaiye ka note sms ko deta hai . Paise leke sms ke chehre pe rangat laut aati hai - " Shukriya sir ji ! " aur phir bina aawaaz kiya waapis chala jaata hai .
Orkut uske vyavhaar se samajh gaya ki yeh tedhi kheer hai . Seedhi ungli se kaam nahi chalega . Orkut apni kursi pe baithke phir se usko kaam pe aane ko kehte hai - " Sir ! hum pitch pe aaye ? "
Iss baar uski aankhon me haiwaaniyat ki jagah rehem - dili dikhayi padi aur unhi nazron se usne orkut se kaha - " Mr. Tripathi ! maine apni batting kar li hai . Ab baari hai aapke chase ki . "
Hamesha jab khud aise uljhe huwe baatein karte the toh theek par aaj jab koi doosra orkut ko orkut ke andaaz me kuch kehta hai toh orkut khud hi ulajh gaye - " Ji ! yeh toh mere liye wide ball thi . Main samjha nahi ! "
Kehte hai ki jab apni hi pant ki zip khuli hoti hai toh sabko pata chalta hai par khud ko bhanak tak nahi hoti . Wahi haal orkut ka bhi ho raha hai . Par uss aadmi ko kaisa sauda karna hai - " Main , as a trustee of this prestigious college EUE , aapko financial stability dunga aur aap , as the rightful principal of this leading college of the city Dehradun , mere son ko admission denge . " aur apni tafteshi samne rakhne ke baar usne orkut ke aage saude ka haath badhaaya .
Orkut apne college ki tarakki ke liye koi bhi sauda karne ko taiyyar hai . Haath aayi lakshmi ko naa kehna toh na-samjhi hogi - " Sir ! aapne toh meri muuh ki baat chheen li , bolo . Aaj se yeh IPL ki team aapki samjho aur aapka beta iss team ka captain . Promise . " Orkut bhi sauda kar chuke hai college ka aur uss aadmi ke badhaaye huwe haath se apna haath milaate hai . Haath me rolex ki ghadhi dekhke toh orkut ki aankhon me chamak aa gayi .
" I think i should leave now , Mr.Tripathi . " Woh aadmi uthta hai aur orkut se alvida leta hai . Par orkut ab - bhi ek cheej jaanna chahte hai - " Sir ! ek second sir . "
Isse pehle ki woh baahar jaata , orkut ne usse piche se roka - " Now what Mr.Tripathi ? "
Thoda sa haste huwe aur nazrein jhepke orkut - " Aapka naam bhool gaya main , sorry . Kya batayaa tha aapne , Mr ....? "
" Mr.Somdev Rathore , asli thakur hain hum . Doobara naam bhoolne ki galti na kijiyega ! " Itna kehke woh aadmi office se baahar chala gaya aur orkut ko sunna zaroori nahi samjha . Par orkut ko isse jyada kuch nahi chayiye .
Unke jaate hi sms phir se darwaaze pe aaker knock karte huwe puchta hai - " Hum andar aa jaaye principal sahab ? "
Orkut sms ko dekhke hasne lagte hai aur ishaare se usko andar bulaate hai .
Sms ab apne sawaal kar sakta hai kyuki woh aadmi toh gaya - " Kaun the yeh saahab ? "
Sms ke puchne se orkut ne uss anjaan aadmi ki history bataaye - " Arre ! koi aisa - waisa aadmi nahi hai yeh . Naam suna hai ? Mr.Somdev Rathore , bole toh asli thakur hai woh . Iss shaher me naye - naye hai aur aate hi apna business jamaa liya bolo . Arre ! itna fast toh shoib akhtar bowling bhi nahi karta hai jitne jaldi inhone deal pakki karli mere se . Kamaal ka rutba hai inka ! Dekha nahi tumne kitna paisa waala hai ? 500 ka note paaker khush hai na ? Amir logon ki yehi khasiyat hoti hai beta , jab gussa karenge toh bezzat kar dete hai par jab sahi mood me hote hai toh jeb bhar dete hai . Aaj se yeh humaare college ke naye trustee hai . Bahut chandaa diya hai hume . Ek aur baat , inka beta hai koi jo aaj se humaare college me hi padhega . Uska dhyaan rakhna hoga hum logon ko kyuki woh suna hai ki inse bhi jyada gusse waala hai . Thoda sambhal ke kaam karna aur agli baar jab sahab aaye toh darwaaza knock karke aana . "