Expertise of My Ishtaar - Rights !

Archiving & lest Cherishing

Saturday 23 April 2011

Untitled Story - A plan for forest camping - The Peligrar Espera !!


Ubel apni badi aur aag ugalti kursi pe aaraam kar raha hai . Tabhi Saabu uske paas aata hai  - " Huzoor ! hum kab tak aise hi khaali baithe rahenge ? " 
Ubel ke chehre pe hamesha ek krur hansi viraajmaan rehti hai jo dekhne me sirf darr paidaa karti hai . Uski uss hansi me na jaane kitna paap chhupa huwa hai -
 "  Shakti hi hoti hi sabse bada nasha ,
     insaano ke liye hai yeh ek keh-kasha ,
     Kitna bachega woh baccha ,
    Jhelega in sabko toh yeh phansa ." 
Ubel ki yeh gol-gol baatein sunke saabu thoda hairaan ho gaya - " Sarkar ! andhere ki kasam par hum kuch samajh nahi paaye . " 
" Samajh toh tumhe tab aayega jab main chahunga ki tum samjho . " 
Saabu yeh toh samajh gaya ki ubel ke shaitaani dimaag me kuch chal raha hai , par unse puchne ka woh himmat nahi kar sakta . 
Ubel khud hi sab kuch bataane ko taiyyar hai - " Murakh ! jab insaan ko pata lagta hai ki woh shaktishaali hai toh ghamand ke baadal usse gher lete hai . Shuruwaat acchi hai par anjaam hoga paapi . " 
Saabu khud ko rok nahi paaya aur puch hi liya - " Paap hi paap , karega raaj . Par sarkar , hume karna kya hai ? " 
Ubel ki woh krur hansi tham gayi , saabu ab darne laga . Kursi se aag ki lapte nikalni bhi bandh ho gayi . Aisa lagta hai jaise kursi ki aag aur ubel ki muskaan ek hi hai . Dono ki  chhaabi ek hi lohe se bani ho jaise . " Murakh ! humaare pehla mohra toh kaam kar hi raha hai par ab baari hai doosre ki . " 
Saabu samajh gaya ki ubel ne koi krur chaal chal di hai -  " Sarkar ! Kaun sa mohra ?  Aur phir aap toh jaante hai ki hum uss bacche ko nahi maar sakte , phir kyun ? " 
Aag nikalna phir se shuru aur ubel ki hansi waapis uske chehre pe - " Hum yeh jaante hai ki shakti hone ke wajah se hum uska kuch nahi bigaad sakte . Hum jaante hai ki hum tab tak be-asar hai jab tak uski 3 kadiyaan maujood hai . Taaqat ko aazmaana woh jaanta hai par kahaan tak aur kaise aazmaana hai , usse nahi pata . Hum bhi toh dekhein ki mogul , mogul ke laayak hai bhi ki nahi . Kaam me aayega tabhi toh kaam me laayenge . " Itna bolkar woh zor-zor se hasne laga . 


Waha hostel me sanchit aur vishnu baat kar rahe hai , camping ko leke - 


Dekho sanchit ! main jaanta hun ki hum sirf fun n masti ke liye jaa rahe hai par ek baat hai jo sahi nahi hai . 
" Kaun si baat ? " Sanchit ko yeh abhi nahi pata hai ki main jaanta hun ki usne orkut se jhooth bola hai ki hum jungle nahi mandir jaa rahe hai . 
Yehi ki hum kaha jaa rahe hai . 
" Kya bol rahe ho baba ji ? Clear bolna " 
Agar sanchit ko sab clear sunnaa hai toh - Hum mandir bhi jaayenge . 
" Mandir ? Kaun sa mandir ? " 
Wahi mandir jo humaare camping spot se 1 km pehle padta hai . Hum mandir bhi ho lete hai na yaar . Kya kehte ho ?
" Tumhe pata hai ki aarav ne orkut se kya bola tha ? " 
Poori recipee pata hai mujhe . Ab bolo , mandir bhi hona hai ki nahi ? 
" Abe yaar ! mandir is so boring yaar . " 
Boring hai par socho ! 
Tumne jhooth toh bola hai bhagwan ke naam par . Ab kaheen yeh jhooth ki wajah se humaare exams kharaab ho gaye toh ? Ab saap ko pakad hi liya hai toh zeher se toh bachna hi hoga na . 
" Par yaar mandir jaana kitna old-fashion hai ."
Jaanta hun par bhagwan ke naam par jhooth nahi chalta yaar . Ab padhai karke toh number aate nahi , ab shayad bhagwan ke aashirvaad se number mill jaaye . 
Sanchit sunke chaukk  gaya ki yeh line toh aarav ne office me boli thi - " Hey dude ! tune sab sun liya tha na ? Theek hai , hum pehle mandir jaayenge aur phir camping . Ab toh ok hai na ? " 
Bas ! sab changaa hai praa . 


Sanchit chala gaya aur main ab room me akela hun . 


Main bas kuch soch raha tha ki achanak mere saamne wohi remitente aa gayi . 
Aap ? Aap yahaan kaise ? Mujhe samajh nahi aa raha hai ki main kya kahun . Yeh kyu aayi hai , kaheen kuch huwa toh nahi ? 
" Mujhe dekhke itne hairat me mat pado ." 
Dekhke hairat me mat pado ? Kaise na padu ? Aap aise achanak yahaan ? 
" Bas , aane waale khatrein se aagaah karne aayi hun ." 
Khatra ? Ab kaisa khatra hai mujhe ? 
" Nahi ! khatra tumhe nahi hai . " 
Phir ? Phir kise hai ? 
" Woh log jo tumhare aas-paas honge . Jahaan tum jaa rahe ho , woh jagah tumhaara intezaar kar rahi hai . Sambhalke rehna aur baakiyon ko bhi sambhaal lena . Aakhir tum ek Mogul ho , raksha karna tumhara kaam hai . " 
Mere aas-paas walo ko ? Matlab mere doston ko ? 
Main soch hi raha tha ki remitente meri nazron ke saamne se gaayab ho gayi . 
Aap kahaan gayi ? Hello ! aap hai ki gayi ? 
Phir se aadhe-adhoore baaton ko mere kaano me chodhke woh chali gayi . Par jitna usne bataya , utna kaafi hai . Iska matlab jungle me khatraa hai mere doston ko . Main unhe kuch nahi hone dunga . Main karunga unki raksha . Kuch nahi hone dunga main unhe . Dekhte hai kya intezaar kar raha hai mera jungle me ! 
Main uljhaa hi huwa tha ki achanak se Sanchit room me aa gaya - " Kiska intezaar kar raha hai dude ? Chal baahar gaadiyan ready hai , chalne ko . Aur sab mandir jaane ko bhi ready ho gaye hai . Ab chal . Bag utha apna ! "