Expertise of My Ishtaar - Rights !

Archiving & lest Cherishing

Monday 25 April 2011

Untitled Story - A plan for forest camping - The Highways Turns !!!


2 Mahindra Bolero , ek ki driving kar raha hai Sanchit jisme baithe hai 3 log - main , Soniya aur Nishita aur doosre ki  driving kar rahe hai Aarav aur usme baithe hai Priya aur Simmy . Soch rahe honge ki Raju kaha hai . Waise Raju bhi aayega lekin apni rajdoot se . Woh seedhe camping spot pe pahuch jaayega . Waise safar toh bahut chota nikla , par humaari gaadi me sirf sanchit aur soniya hi baatein kar rahe the . Soniya mere baare me aur sanchit apne baare me bol raha tha . Khair jungle se pehle mandir jaana hai . Main mandir bahut kam hi jaata tha par ab mujhe mandir me apna ghar sa lagta hai .  Shayad yeh badlaav ka asar hai mujhpe . Jo kabhi mandir ke saamne sar nahi tekta tha , aaj wo mandir me darshan karne ki jidd kar raha hai . Waise sanchit bhi kamaal ka banda hai , ek hi bolero me saaton log aa jate par usse 2 bolero bulaane ka shauk jo hai . 


Haan ! pahuch gaye mandir . Baap re ! kitna bada maidaan hai mandir ke saamne . 
Mere hairaan hone ki wajah jaayas hai kyuki gaadi park karne ki itni badi jagah toh shaheron me bhi nahi hoti hai . Sanchit bhi dekhke hairaan hai - " Haan yaar ! its quite big outside . "  Humaari gaadi pehle pahunchi aur doosri gaadi theek baad . Gaaid band karke sanchit aur hum aage badhne lage , mandir ki taraf . Par Aarav achanak se chillaaya - " Oye San ! gaadi sambhaal ! " Pehle toh humne dekha nahi toh samajh nahi aaya ki aarav kyun chilla raha hai . Phir jab main peeche ghooma toh dikha ki humaari gaadi reverse jaa rahi hai . Oye ! tune hand-break nahi lagaya kya ? 
Sabhi apni baat jaldi - jaldi kehne lage . Arre Sanchit ! roko yaar . Par sanchit toh apni jagah se hilne me bhi darr raha hai . Gaadi dheere-dheere main highway pe jaa rahi hai . Hum sabhi yeh sochne lage ki gaadi kaun rokne jaayega . Chaaron ladkiyaan toh ek-doosre ka haath thaam ke dekhne lagi . Sanchit itna darra huwa hai ki uska jaana toh banta hi nahi aarav gaadi ke paas hai par jab tak woh daudke pahuchega humaari gaadi sadak ke doosri ore khaai me gir jaayegi . Ab shayad meri baari hai ki main hi kuch karoon. Main jitna tej ho sake utna tej bhaaga . Kuch hi der me main gaadi tak pahuch gaya , par uss samay tak gaadi highway ke beecho-beech pahunch chuki hai . Gaadi ke khidhki ke sheeshe khule hai toh maine usme se apna haath andar daala aur break lagake gaadi rokli . Abhi sab yehi dekhke chauk gaye the ki main itni tej kaise daud gaya ki saamne se ek truck bahut hi teji se meri taraf aa rahi thi . Main jab tak gaadi ka dawaaza kholta aur baithke usse aage karta , tab tak truck mujhe kuchal chuka hota . Truck ka driver sharaab ke nashe me hai aur mujhe dikh gaya ki uski nazar sadak pe nahi hai . 


" Vishnu ! watch out ! " Soniya cheekhi kyuki usse saamne se aati truck dikh gayi . Phir sabki nazar uspe gayi . 
" Vishnu ! come back ! " Ab nishita bhi sahem gayi , agar main gaadi chodh ke sadak ke doosri ore chala jaata toh mujhe kuch nahi hoga par gaadi ko main bacha sakta hun . Shakti toh hai , uska istemaal bhi kar leta hun . Shayad pehli mulaakaat yehi hai . Truck ka driver ab bhi mujhe nahi dekh raha aur na hi sadak pe , saara dhyaan toh uska apni sharaab ki botal pe hai . Main gaadi ke peeche se aage khada ho gaya aur truck bhi takraane tak aa gayi , " Vishnu " Sabhi ki cheekh nikal gayi , unke liye toh yeh meri maut hi hai . Sab daud ke mere paas aa gaye - par main wahi khada hun apni jagah pe , jaha pehle khada tha . Aur truck ? Aur truck  mere theek saamne . Maine apne haath se truck ko rok diya tha . Theek mere saamne hi truck ruk gayi. Ruki kya , maine apne ek haath se roki . Sawaalon ka silsila toh ab shuru hoga . Sabse pehle soniya mere kareeb aayi aur aate hi mere gale lag gayi . Aur jaise hi soniya mere gale lagi toh mujhe laga jaise meri zindagi mujhse mill gayi . " Vishnu ! tum theek toh ho na ? O god ! " Uska sawaal uske andar ke pyaar ko darshaata hai . Ajeeb sa darr aur bechaini hai uski aawaaz me . Main kuch bolta usse pehle sab mujhpe toot pade . Aarav -" Abe ! tu theek hai ? Thank god ! " Sanchit pehle mere paas aaya par mujhse kuch bolne se pehle Truck driver ko kheencha - " Dude ! tujhe road pe dikhta nahi kya ? "  Sanchit ko aarav ne bhi saath diya - " Abe saale ! sadak tere baap ki hai kya ? " Aarav ne toh driver ka gala hi daba liya . Arre chodho na yaar ! Jaane do ! 
Ab shayad sriver ko hosh aa gaya - " Bhaiya ji ! mujhe dikha nahi . Maafi , galti ho gayi . " Par aarav apna saara gussa nikaalna chahta hai - " Kya galti be ? Sharaab peeke gaadi chalaata hai . Ab toh police hi dekhegi tujhe . "  Driver bhi haar nahi maanne wala , woh seedhe apne dono haath jodke gidgidaane laga - " Maaf kar dijiye saahab . Mujhe dikha nahi sadak pe baau ji hai . Police ko mat bulaayiye saahab ! " Sanchit ne aarav se uska gala chudwaaya . Chodh yaar ! Jaane do isko . Bahut jaddo-jahad ke baad driver chala apni raah pe aur humne apni gaadi waapis parking pe khadi kee aur chal diye mandir ke andar . Ab dekhte hai ki sab apne sawaal kaise karte hai . 


" Hey ! woh truck tumne kaise rokli aur woh bhi apni ek haath se ? " Soniya tab se bilkul mere ek haath pakad ke chal rahi hai . Shayad uss vaakye ke baad woh mujhe akele ek pal bhi nahi chodhna chahti . Bilkul mere ek haath se chipki huwi . Maine truck nahi roki thi soniyo .  " Nahi maine dekha tha . Tumne apne haath se truck roki thi . " Nahi soniyo ! truck driver ne roki thi . Maine toh bas apne bachaav me apna haath aage kiya tha . More of fear than safety . " Hmm ! jo bhi hai , tum waha se bhaag bhi toh sakte the ? " Soniya ke iss sawaal me nishita ne bhi saath diya - " Tum theek ho shayad yeh bhagwan ke wajah se . Kya zaroori hai ki tum apne se pehle gaadi ko bachaao ? "  Arre ! agar gaadi nahi bachaata toh sanchit ke dad usse khaa jaate , mera kya hai . Main toh bas aise hi hun . Maine baat ko ghoomane ki koshish ki . Soniya - " Tum aise hi nahi ho , samjhe ? Tum bahut important ho mere liye . Agar tumhe kuch ho jaata toh mera kya hota ? Do you hav any idea how much i love you ? " Waise iss baar soniya ne apne baawnaao ko kathor shabd me kaha . Mujhe kuch nahi hota  aur na hi kuch hoga . Jab tak tum saath ho , kuch nahi hoga . Jab tak hum mandir ke andar nahi pahunche tab tak sawaalo ka silsila khatam nahi huwa .