" Tumne bell kaise bajaayi ? " Jaise hum andar hall me gaye aur sofe pe baithe waise Papa ne mujhse yeh pucha ki maine door - bell kaise bajaayi . Yeh sunke toh main bhi hairaan ho gaya kyuki maine toh aam tareeke se hi bell bajaayi thi . Ab isme puchne wali kya baat hai ? Lekin ab Papa ne pucha hai toh bataana toh padega hi kyuki woh Man Of The House jo hai . Ghar ke saare jawaab un tak toh pahuchne hi chahiye .
Kyu ? Kya huwa ? Baji nahi thi kya ?
Maine bhi sawaal pe betuka sawaal kar diya kyuki seedha jawaab toh sirf seedhe sawaal ka hota hai .
" Nahi ! baji thi . Tabhi toh hum puch rahe hai . " Papa ne hume itna bolne ke baad Mummy ko dekhte huwe unse pucha - " Kyu ! Door bell toh kharaab thi na ? "
Mummy humaare liye chaai - paani lekar khadhi thi tabhi Papa ka sawaal un tak pahuch gaya . Chaai ko table pe rakhte huwe - " Haan ! Aaj subah bhi nahi baji thi jab dhoodhwala aaya tha . "
Sabhi ek - doosre ke hairaan chehron ko dekhne lage kyuki kisi ko nahi samajh aaya ki door - bell apne aap sahi kaise ho gayi . Nishita jiske liye yeh sab pehli barsaat jaise hai , woh toh poori gumsum se baithi hai . Main yeh jaanta hun ki door bell kaise baj gayi mere haath lagaate . Shayad meri shakti mere saath hai .
Mere samne table pe paani aur cream biscut rakha huwa hai aur mujhse raha nahi jaa raha hai . Par aise situation me khaa bhi nahi sakta . Tabhi Mummy ne maahaul ko sambhaal liya - " Lagta hai Vishnu ke aate hi sab kuch apne - aap hi sahi ho gaya . " Jaise Mummy ne apni baat khatam kii , maine cream biscut uthaa liya .
" Lo , aate hi biscut pe jhapatta maar diya tumhare bete ne ! " Papa ne meri is harkat ko dekh liya . Mujhe laga ki uthaate hi muuh me bhar lunga aur koi dekh nahi paayega par Papa ki nazron se kaun bach paaya hai . Maine aage kuch na bolte huwe cream biscut ke tukde kar diye aur daaton tale chaba liya . Phir toh Mummy aur Nishita jo mujhpe hanse hai , uska main kya bataau !
" Beti ! tumhara poora naam kya hai ? " Mummy ne Nishita se interview ka silsila shuru kar diya .
" Aunty ! .....Wo kya hai na mera poora naam bahut long hai . " Nishita ne bhi apni dikkat ko mummy ke saamne rakh diya .
" Aisa kyu beti ? " Kitna bhi bach lo par meri Mummy se nahi bach sakte aap . Kuch jaanne ka soch le toh jaan ke hi saans leti hai .
" Aunty ! .....Actually main ....South Indian hun . Sabka full name bhot long hota hai . Aage - piche poora south indian aa jaata hai full name me . " Waah ! emotional toh thi hi ab humourous bhi ho gayi hai yeh ladki . Nishita aur mummy ki baatein shuru ho gayi .
Kehte hai na jab do auratein baatein karna shuru karti hai toh uska kabhi ant nahi hota . Abhi aisa lagta hai ki shayad baat khatam par agle hi pal kisi doosre vishay pe baat shuru ho jaati hai . Waise main dono ki baaton pe jyada dhyaan nahi de raha hun par kya karu . Mummy mere saamne baithi hai , Nishita mere bagal me aur Mummy ke bagal me Papa . Unki baaton se mujhe yeh pata chala ki jab Nishita 2 saal ki thi toh usne walker chalaana seekha tha . Mummy ne mujhe dhedh saal me hi bolna seekha diya tha . 12 saal ki umar me Nishita ka apne orphanage me pehli baar paer toota tha . Mummy ke hisaab se mere kabhi bhi kuch - bhi nahi toota hai . Yeh jaanke maine shukar manaaya ki chalo ! mera shareer itna kamzor nahi . Jaise - jaise dono apni chit - chat kar rahi hai , waise - waise Papa aur main cream biscut khatam karte jaa rahe hai . Humaare biscut toh khatam bhi ho gaye par baatein ..... Abhi toh shuru huwi hai .
Isi dauraan darwaaze pe khat - khat ki aawaaz sunaai di . Matlab koi aaya hai . Kaun hai jo papa aur mujhe bachaane aaya hai ? Yeh jaanne ke liye dekhte hai hum log . Papa uthkar gaye aur darwaaza kholte hai . Baahar koi pizza delivery boy khadha hai , apne haathon me pizza ke dher saare dibbe lekar .
" Bell Kyu nahi bajaai bhai ? " Papa ne pizza thaamte huwe usse pucha . Mummy bhi uthkar andar gayi pizza ke payment ke liye paise lene .
Woh pizza boy apni topi utaarkar Papa se kehta hai - " Sir ! 4-5 baar try kiya par shayad bell khoti hai . Isliye knock karna pada . I hope you dont mind . Well ! aapke pizza on time aapke ghar . "
" Thank you bhai ! " Papa ne mummy ke haath se paise lekar usko thamaate huwe kaha - " Yeh aapki payment . " . Pizza boy toh gaya . Ab dekhte hai ki 3 bade dibbo me kitna maal hai .
Yeh pizza kyu order kiya hai papa ?
Maine pucha toh Papa se hai par har baar ki tarah Mummy hi jawaab deti hai - " Poora shaher jaanta hai ki tumhe pizza kitna pasand hai . Tum jaise aaye , waise hi maine aur tumhare papa ne order de diya . "
Mummy ne jaane - anjaane me meri ek aur pasand ke baare me bataa diya . Nishita bhi yeh jaankar khush si ho gayi - " You really like pizzas ? I did not know that ! "
Haan ! Pizzas kisko nahi pasand hote i mean . Jab chota tha tab pizza mera fav fast food huwa karta tha .
Maine yeh sabko sunaane ke liye kaha isliye pehle 3 shabd Papa ko dekhte huwe , baad ke 3 shabd mummy ko dekhte huwe aur aakhri ke shabd Nishita ko dekhte huwe kaha . Koi bhi mere baad bol sakta tha par Nishita ne kamaan sambhaali - " Fav huwa karta tha means ? Not now ? "
Yehi socha tha maine ki yeh ladki nahi samjhegi - Means chota huwa karta tha . Not ki pizza fav huwa karta tha . I like pizza even now . 6 mahino se ek bite tak nahi lee hai maine iski .
Iske baad baaton me samay vyarth na karte huwe hum sabne pizza ke ek - ek piece ko khaana shuru kar diya .