Pehle se kayi jyada taaqatwaar mehsoos kar raha hun main ab . Kuch aisi shaktiyan jise main sambhaal nahi sakta . Yeh mujhpe kaabu paana chahti hai . Yeh mujhko apne vash me karna chahti hai . Mere andar ajeeb si hulchal mach rahi hai . Main inhe kaise roku ? Yeh toh mujhpe haawi hote jaa rahi hai . Inme ek junoon hai jo mujhe bhi shaamil kar raha hai . Phir se woh roshni ki tarange mere saamne uddne lagi . Ab kya hai inke paas jo yeh mujhe dena chahti hai ? Main inhe nahi jhel paa raha hun , bhale hi mujhme aseemit shaktiyan aa gayi hai par inke aage main bahut chhota hun.
" Ab baari hai sabse mahattvapoorna tattva ki . Agar tum apna daayan haath uthaake dekhoge toh tumhe 3 rekha dikhengi . " Usne jaisa kaha maine waise kiya . Haan , mere daayein haath ki kalaayi me 3 kaale rang ki lines hai . 3 khadi lines jo kaise bani mujhe bhi nahi pata . " Yeh 3 rekhayein tumhare kaal ko nirdhaarit karengi . Tum ab itne shaktishaali ho ki kabhi-kabhi tum apna dhairya , apni soch ko kho sakte ho . Jab shaktiyan aati hai toh ek nasha sa hota hai . Yeh nasha kabhi kabhi tumse galat kaarya bhi karwa sakta hai . Par tumhe apne upar ek bandhish banani hogi . Tum sirf apne liye nahi ho . Tum iss sansaar ke liye ho . Ab tum jo bhi karoge uska asar sirf tumpe nahi balki poore sansaar pe hoga . Tum acchayi ke liye banaye gaye ho . Par jab aadmi ke paas taaqat aati hai toh wo uske behakne ka kaaran bhi ban jaati hai . Kabhi agar tumpe yeh shaktiyan haawi ho gayi toh yeh 3 rekhayein tumhara saath dengi . Yeh tumhari madad ke liye hai . " Mujhe apne saamne 3 tattva dikh rahe hai . Teeno ka rang kaala hai aur teeno hi dhund ki tarah dikhayi pad rahi hai . " Tumhe 3 kadiyaan mili hai . Jo tumhare haathon pe 3 rekhayein hai unhe 3 kadiyaan kehte hai . Pehli kadi - agar tumne kabhi kisi bhi insaan ko apni shaktiyon ka ehsaas karwaaya toh tumhari ek rekha mit jaayegi. Doosri kadi - agar tumhari wajah se kisi bhi maasum yaa nirdosh aam insaan ki jaan gayi jisse tumhare kaarya se koi lena dena nahi hai toh tumhari doosri rekha mit jaayegi . Teesri aur sabse eham kadi - Agar kabhi tum acchayi ka raasta chodhke , buraai ko chunte ho yaa kisi buri shakti ki madad karte ho yaa burai ke liye koi kaarya karte ho jisse insaaniyat ko kasht pahuche toh tumhari teesri aur aakhiri rekha bhi mit jaayegi . Aur jab aisa hoga tab tumhare 4 dushman tumhare peeche lag jaayenge . Woh sirf tumhe maarne ke liye janme hai aur tumhe tab tak nahi chodhenge jab tak tum maroge nahi . Woh 4 akele tumhara saamna kabhi nahi kar sakte hai . Agar woh tumhe maar sakte hai toh sirf ek hoke . Jab tak woh saath nahi , wo tumhara kuch nahi bigaad sakte . Par humne tumhe chuna hai ki tum insaaniyat ki raksha karo na ki unke bhakshak bano . " Ab mujhe bahut badi jimmedaari se laad diya gaya hai. " Tumahri shaktiyaan kabhi khatam nahi hogi aur na hi kabhi kam hogi . Balki samay ke saath tumhari shaktiyon ka vistaar hoga . Apne andar ke jeev ko pehchano aur ab inn jimmedaariyon ko samjho. Tumhe yeh 3 kadiyan mili hai aur bhool kar bhi inhe khona mat . Agar yeh mit gayi toh koi tumhari madad nahi kar paayega. Bhagwan aur shaitan ki ladaai me tum ek hissa ban gaye ho . Jab yeh kalyug aaya toh humne ek aise insaan ka intezaar kiya jo mogul ban sake . Waise toh bahut se insaan the jinme se koi bhi yeh kaarya kar sakta tha par tum chune gaye ho . Ek toh tumhara naam jo ki bhagwan ke kareeb hai aur doosra tumhari janam-tithi . Soorya aur mangal ka yog , jo tumhe alag banata hai . Tumhare andar acchayi hai , ab uss acchayi ko sansaar ke liye istemaal karo . Yehi hai tumhara moolya . " Itna sab kuch jaankar mujhe yeh pata chal gaya ki ab main woh vishnu nahi jo sirf ek aam insaan tha , jo apne doston aur jeevan ke saath khush tha , jo apne pyaar ke liye jeeta tha . Shayad yeh duniya ab mujhse door ho jaaye , mera sab kuch ab mera nahi kyuki ab woh sab kuch jo mera nahi tha ab mera hai . " Ab tum dharti pe laut rahe ho . Par yaad rakhna ki tum insaan nahi Mogul ho . Aaj se apna jeevan sirf jiyo nahi par seekho . Tum shaktishaali ho par amar nahi . Dharti par kayi aisi taaqte hai jo tumhe maar sakti hai . Har baar jab-jab tum apni shaktiyon ka istemaal sahi kaamo ke liye karoge , yeh badhengi . Par jab jab tum buraai ka saath doge yeh shaktiyan tumhara hi ant kar dengi . " Phir se ek roshni , aankhon ke saamne se andhera gayab huwa aur main apni dharti pe pahuch gaya . Main ab alag hun , sabse alag . Toh kya yeh ek nayi shuruvaat hai ? Kya yeh mere aane waale kal ko aur bhi khatarnaak banayengi ? Jab shaktiyan mere saath hai to darr kis baat ka . Par yeh baat yaad rakhni hai ki buraai nahi acchayi ka doot hun.
No comments:
Post a Comment