Mere dono pair hawa me the. Uss ladki ne mera hath pakda aur hum dono hawa me tairne lage . Mera matlab hai hum dono hawa me udne lage kyuki mujhe tairne toh aata nahi tha . Mujhe bahut maja aa raha hai ab. Shayad yeh koi pari hai aur mere wishes poori karne aayi hai . Par ab main wish maangke kya karunga , yaa phir yeh mujhe bhi apni toli me shaamil karna chahti hai. Iss waqt main usse kuch puchna nahi chahta , pehle jaha yeh mujhe le jaa rahi hai waha pahuch toh jaaun. Kaha jaa raha hun main ? Abhi toh sirf upar . Main mere ghar se upar nikal chuka hun . Ajeeb baat hai door-door tak ek bhi panchi nazar nahi aa rahe . Shayad chutti pe honge yaa phir soo rahe honge . Dopahar me toh insaan bhi so jaata hai aur phir yeh toh chote se maamuli jeev hai . Ajeeb baat hai ki pedon ke patte bhi nahi hil rahe the. Itni unchhayi par kuch hi ped hai aur unke patte bhi tham gaye hai . Shayad hawa nahi chal rahi hogi . Main inn sab baaton ki bilkul parvaah nahi kar raha . Main to iss baat se khush hun ki yeh ladki mera hath thaame hui hai . Kitna accha mahsoos hota hai jab jannat ki koi pari aapka hath pakad kar apne sath upar le jaa rahi hoti hai . Par main chahta hun ki yeh apne kapde badal le aur kuch insaano jaisa pehanle . Yeh kapde ispe suit nahi kar rahe . Hum kaha jaa rahe hai ? Akhir maine puch hi liya desperate hoker. Wo mere chehre ko dekhne lagi aur bina palak jhapkaaye dekhti rahi . Maine apna sar neeche kar liya . Mere aas-paas ab dher-saare baadal hai , par ajeeb baat hai yeh baadal bhi apni jagah par ruke hue hai . Ab kya saare baadal chutti pe hai ? Ab mujhe kuch alag sa mahsoos hone laga . Meri palke bhaari hone lagi . Meri aankhen band hone lagi . Yeh mere saath kya ho raha hai ? Mujhpe neend haawi hone lagi . Ab main chahke bhi jaaga nahi reh paa raha.
Achanak mere chehre pe kisi ne paani pheka. Main hadbadi me uth khada huwa. Main kaha hun abhi ? Kya main swarg me hun ? Tum jawaab kyu nahi deti mujhe ? Maine yeh sawaal thode gusse se pucha. Wo ab bhi mujhe dekh rahi thi . Main kaha hun mujhe bataogi tum ? Please bata do na . Wo mere paas aayi aur mere chehre ko aise dekhne lagi jaise ki maine kisi zoo ka bandar hun. Usne aapne hoth mere kaan ke paas laakar kuch kaha par main samajh nahi paaya kyuki wo hindi nahi kisi aur bhasha me boli. Yeh kya tha ? Yeh tumne abhi kya kaha mere kaano me ? Wo ab bhi chuppi saadhe huwi thi. Ab main aage kuch puchne se behtar , wahi baith gaya chup-chaap. Uss jagah pe wo aur main hi the. Wo ab bhi mere chehre ko dekh rahi thi. Uske aise dekhne se main thoda uncomfortable ho raha tha. Par uss tarah se nahi. Main itna puchne ke baad ab kuch nahi puchna chahta. Jawaab milta hi nahi kisi sawaal ka. Ab meri nazar mere aas-paas gayi. Main yeh figure-out nahi kar paa raha tha ki main aakhir hun kaha. Sirf andhera charo -ore. Kaala rang , kaala farsh aur kaale kapdo me wo gori ladki. Chalo ek to odd nikla. Wo ladki aakhir mujhme dekh kya rahi hai ? Kya usne kabhi insaan nahi dekhe jo aaj mujhpe nazrein gadhayi khadi hai . Na wo kuch bolna chahti hai aur na wo kuch bolegi . Toh main hi bol pada - Tum kaun hai ? Pari ho ki Daayan ho ? Wo yeh sunte hi ghum gayi. Shayad mere sawaal se gussa gayi . Maine kaha - Accha ! m sorry. Main majaak kar raha tha. Wo nahi palti aur apni peeth mujhe aise dikha rahi hai jaise abhi mujhe paatal bhej degi. Hum kis cheej ka intezaar kar rahe hai yahaan pe . kya koi aane wala hai ? Wo iss baar palti . Mere paas aayi aur jhuk ke mere kareeb aake boli - "Tumhari maut aane wali hai yaha. Ab chup raho. " Kya ? Yeh kya , main abhi to marke aa raha hun na . To phir ab kaun si maut aa rahi hai ? Wo itna kehke phir khadi ho gayi aur mujhe apni peeth dikhane lagi. Main yeh sunke bahut ghabraa gaya. Mere pasine chutne lage ab toh . Meri maut ab aa rahi hai toh pehle kya maine trial maara tha . Mujhe laga ki shayad wo majaak kar rahi hai . Aisa nahi ho sakta yaar . Maut ke baad Maut , yeh kaha ka neeyam hai . Main usse phir puch baithe - Aap majaak kar rahe ho na ? Wo kuch nahi boli na hi meri taraf palti. Bas ! ab bahut ho chuka . Main kab tak aise baitha rahunga. Ab yaa to wo bole nahinto main chala jaaunga. Par main yahaan se jaaun kaha ? Aas-paas to sirf kaala andhera hai aur kuch nahi . Mann me thoda sa gussa hai , thoda sa darr hai , thoda sa dukh hai aur thoda sa disappointment bhi hai . Maine socha ki ab ek aakhiri sawaal puchta hun - Kya aap bataogi ki main zindaa hun yaa mar chuka hun ?
Wo iss baar bhi bilkul nahi hili . Main haar maan chuka hun ab . Haarkar apna sar neeche kar liya aur wahi baitha raha par iss baar wo boli " Sahi sawaal ka intezaar kar rahi thi main ." Itna kehke wo ghumi , mere taraf phir se badhne lagi . Usne mera hath pakda main bhi khada huwa aur uske sath chalne laga . Shayad wo ab mystery girl se kuch jyada banke dikhayegi mujhe. Mera muuh khula tha ki ab main kaha jaa raha hun . Hum andhere se ujaale me aa gaye. Wo kaala ghana andhera peeche chala gaya. Ab aage sirf safed rang tha . Har taraf sirf ujaala aur roshini . Usne mera hath pakda rakha hai . Meri nazar ek-tarfa neeche gayi. Maine aaj tak suna tha ki pairo ke neeche se zameen khisak jaana par aaj dekh liya . Main hawa me chal raha hun abhi . Dekhke to ab main aur bhi darr gaya . Main idhar-udhar dekhne laga. Kaheen main yahaan se gira to agla janam bhi lene ke laayak nahi bachunga. Maine pana haath uske haath me dekha aur jaise main kuch bolta , usne peecha mudke mujhe dekha aur kaha " Daro mat ! jab tak maine tumhara haath pakda hai tum nahi giroge . Daro mat ! Main hoon na . " Iss waqt mere paas uspar vishwas karne ke alawa aur koi chara bhi nahi hai. Maine aankhen band ki chalta chala gaya. Aage ka sab wo hi maalik. " Main tumhe bhuvaloka le jaa rahi hun. Hum pahuch gaye ab " Bhuvaloka ? Yeh kaun si jagah hai ? Pehle kabhi to yeh suna nahi aur nahi kisi ne kaha iss jagah ke baare me aaj tak . Chalo ! ab jaisi bhi jagah hai , main pahuch chuka hun Bhuvaloka me. Yahaa to sirf dhuan hai charo-taraf. Main khada bhi dhuan pe hun. Hawa bhi chal rahi hai par na wo mere chehre ko chu paa rahi hai aur na hi main hawa mahsoos kar raha hun. Maine apne dill pe haath rakha , meri saansen toh chal rahi hai . Iska matlab hawa toh hai idhar. Upar mere sab khula tha . Kya kahu ki kya tha bas Aakash jaisa lag raha hai jisme koi baadal na ho. Mera ek haath ab bhi usne pakda huwa hai. Hum ek aaker jagah ruk gaye. Maine socha ki ab kuch puchun na , wo khud hi bata degi . " Kuch puchna nahi chahoge tum ?" Usne sawaal kiya par main kuch nahi bola . Apna sar daaye-baaye hila diya jiska matlab hai ki nahi . Main ab puchna nahi chahta bas yeh kya ho raha hai jaanna chahta hun isiliye ab chup hun. " Tumhe jaanke dukh hoga ki tum abhi mare nahi ho , zinda ho " Itna kehke wo neeche baith gayi . Main itna sunke khada ho gaya . Usne mera haath bhi chodh diya , par main neeche nahi gira . Mere muuh khula ka khula reh gaya. Kya ? Main ab bhi zinda hun ? Oh GOd ! aisa kaise ho sakta hai ? Maine usse pucha . Yeh sawaal bhale hi sahi na ho par ab mujhe iska jawaab chayiye .
No comments:
Post a Comment