Expertise of My Ishtaar - Rights !

Archiving & lest Cherishing

Tuesday 26 April 2011

Untitled Story - A plan for forest camping - Shrine Tunes !!!


Mandir ko bhagwan ka doosra ghar kehte hai . Kabhi suna nahi ki bhagwan ka bheja huwa doot usse milne mandir me gaya ho . Aaj main jaa raha hun , ajeeb sa mehsoos ho raha hai . Kisi se yeh ehsaas baant bhi nahi sakta . Khud hi iss ehsaas ko peena hoga . Socha ki ek mandir hi toh hai , bas andar jaana hai , bhagwan ki murti ke aage haath jodna hai aur prasad leke baahar aa jaana hai . Par phir bhi ek ajeeb si hulchul mach rahi hai andar . Pehli baar thode hi mandir jaa raha hun . Na hi akele hun , mere saath mere sabhi dost bhi hai . Soniya ne mera ek haath apne haathon me liya huwa hai . Mandir ki seedhiyaan chadhne me itna samay lagaunga toh andar pahunchme me saal beet jaayega . Jaise hi maine mandir ki aakhri aur sabse upar wali seedhi pe paav rakha , mandir me ujaala sa ho gaya . Achanak saare diyo me chamak aa gayi . Sabhi diye jagmagaane lage . Mujhe yeh toh samajh aa gaya ki yeh meri wajah se huwa hai . Par kisi ko mujhpe koi shak  jaisa nahi huwa . Mandir me aisa pehli baar huwa hai aur wo bhi din ke ujaale me . Bahut hi bada hall hai , kayi murtiyaan hai aur har murti ke paas ek sadhu . Kya pata kaun sa saccha hai aur kaun sa dhongi hai  ! 


" Chal ! pehle waha chalte hai ." Sanchit ne hum sabko mandir ki sabse badi murti ki taraf chalne ko kaha . Toh hum bhi chal diye . Mandir ki deewarein unchi hai , aur gol gumbat jo ekdum unchaayi pe hai woh safed rang ka gadaa huwa hai . Aisa hi ek mandir mere shaher me bhi hai magar wo iss wale se thoda chota lagta hai . " Maatha teko guys ! " Sanchit toh aise bol raha hai jaise humme se koi aaj tak mandir aaya hi nahi hai . " We know stupid ! " Usko seekhane ke liye simmy ne jawaab de diya . Waise jo baba jaise dikhne waale baba saamne baithe hai woh tumhare rishtedaar hai kya ? " Seriously ! No " Sanchit ka majaak udaane me kitna kajaa aata hai hume . Humne sar jhukaaya aur ek - ek karke prasad lete gaye . Baba prasad toh aise baant rahe hai jaise koi sone ki chain baant rahe ho . Ek haath me sirf mishri ka ek daana . Woh mishri ek toh itni choti hai aur usme bhi ek daana , bhaari kanjusi . Mandir me bhi recession dikha . Mere aage sabne prasad ko apne haathon me liya aur aage chalte bane . Mere theek aage soniya hai aur uske prasad lene ke baad aayi meri baari . Baba mere haathon me prasad rakhne se pehle mujhe dekhne lage. Kamaal hai ! mujhe dekhke thode se hairaan bhi hai aur muskura bhi rahe hai . 


Kya huwa baba ? Prasad dijiye ! 
" Aap yahaan pehli baar aaye hai na ? " 
Yeh kaisa sawaal hai ? 
" Nahi ! bas puch rahe hai . Mandir me pehle itni shakti nahi bhaapi hai humne . " 
Shayad unhe kuch aisa dikha jo sabko nahi dikh raha hai . Kaheen woh kuch aisa na bolde jo koi jaanta nahi . Isiliye maine baat kaat ke kaha - Baba ! prasad . 
" Aapke aane se mandir me roshni aa gayi hai . Sab jagmaga gaya hai . " 
Soniya mere aage hi hai aur sab sun bhi rahi hai . Baaki sab aage badh chuke hai . Main iss baar kuch nahi bola . Mujhse itne jhooth nahi bole jaate aur woh bhi mandir me bhagwan ke saamne . Kuch ulta-seedha muuh se nikal jaata toh raaz saamne aa jaata . Main socha ki prasad liye bina aage nikal jaaun par soniya ne rok diya - " Arre ! prasad toh le lo . "  Mujhe rukna pada aur maine phir se apne dono haath phaila diye baba ke samne . Baba ne prasad toh diya par ek se jyada daane diye - " Aap jo kahenge , wahi hoga . Sab kuch aapke upar jo hai . " Muskurate huwe main waha se aage badh gaya . Soniya ke paas phir se sawaal hai - " Woh baba aise kyu bol rahe the ? " Maine jyada kuch nahi kaha -  Mujhe kya pata ? Shayad umar ka takazaa hoga . Bas mere itna kehte , soniya hanse lagi . Soniya toh chup ho gayi par woh baba kaheen samajh toh nahi na gaye . Kaheen unhe sach nahi na pata lag gaya ? Iska matlab unhe meri shaktiyon ka andaaza mill gaya . Agar unhe yeh pata lag sakta hai toh shayad mujhe aise mandiron me jaana bandh kar dena chayiye warna sabhi mujhe pehchaan sakte hai . Sab nahi par woh jo sach me bhagwan ke shraddhaalu hai . Dhongi baba toh agar jannat bhi pahunch jaaye toh bhi bhagwan ko nahi pehchaan sakte . 


Mandir ke darshan toh kar liye par ab baari hai masti karne ki . Camping spot humaara intezaar kar raha hoga . Abhi tak toh jitna kuch huwa , mere liye bahut hai par aage kya hoga kisne dekha . Jo khatra mere doston pe mandraa raha hai uska bhi dhyaan dena hoga . Jungle me masti toh hogi par dekhte hai ki kya hai jo mera intezaar kar raha hai . 

No comments:

Post a Comment