Expertise of My Ishtaar - Rights !

Archiving & lest Cherishing

Friday 29 April 2011

Untitled Story - A plan for forest camping - Fun fully in Forest !!!


" Waaoo ! Aarav kya location hai ! How romantic ! " Priya ko toh pehli hi nazar me hi camping spot raas aa gaya .
" Hey ! Dekho na kitna cool temperature hai yahaan ka . Its gonna be an awesome camping venture . " Aakhir jisne jagah chuni hai , woh bhi toh taareef karega khud ki aur iss jagah ki .
" Sach me vishnu , yeh romantic location aur tum mere saath . I really love this yaar ! "  Soniya ko bhi jagah bhaa gayi . 
Waise sach me yeh jagah bilkul sahi hai . Raju kab pahunchega yaha pe ?
" Woh aata hoga . Ruk , main phone karke puchta hun . " Aarav ke paas mobile hai toh usne Raju ko phone kiya . Phone se yaad aaya ki yaar mujhe college me 6 mahine hone jaa rahe hai aur aaj tak main bina mobile ke ghum raha hun . Khair koi baat nahi . Iss exam ke baad le lunga ek cell phone aur phir uske baad soniya ka phone lene woh Kumbhi ke paas nahi jaana padega . Chalo ! kuch kaam ho jaaye . Tent lagaana hai , bonfire jalaana hai aur phir masti karni hai . 


" Guys ! i have a plan . " Sanchit ka dimaag kaam karna shuru karta hai toh sab kuch majedaar ho jaata hai . Hum aag ke charo-ore aaraam se baithe hai . Kuch bhi nahi hai siwaaye baaton ke .Tabhi sanchit ke khaali bheje me kuch plan aaya . " Lets play truth or.......truth or fare ? " 
Aarav aur hum sabne iss game ke baare me sunaa tha par shayad game ka naam hai truth or dare . Aarav ko bhi laga ki sanchit kuch nayaa laaya hai - " Fare ? Yeh kuch nayaa lagta hai yaar ! Kaise khelna hai ? " 
" Dekho ! yeh rahi meri beer ki bottle . Yeh maine isse aise ghumaaya . Ab iss bottle ka muuh jiske saamne ruka , hum usse puchenge truth or fare . " 
Yeh toh hume pata hai . Kuch nayaa batao be ? 
" Aur be doston ! Hii simmy , hii priya . I m here . " Dekhiye cherry on the cake isko kehte hai . Bore ho rahe the hum sab , ab raju aa gaya . Asli majaa toh ab aayega . 
" Aa na dude ! hum sab khelne waale hai - truth or fare . " 
Sanchit truth bolne me itna zor diya jaise ki hamesha sach hi bolta ho . Itni buland aawaaz me usne sach ko apne muuh se nikaala ki saare sadhu uske aage fail ho jaaye . 
Raju ko game sahi nahi laga - " Abe yeh kaun sa faltu game hai be ? " 
Pata nahi charon ladkiyaan itna shaant kyu baithi hai . Waise ladkiyaan tab sabse jyada acchi lagti hai jab woh chup rehti hai . Par ladko ki yehi toh samasya hai ki ladkiyaan jyada samay tak chup nahi reh sakti . Simmy bol hi padi - " Guys ! sun toh lo ki san kehna kya chata hai . " 
Dekho bol padi savitri . Ab toh sanchit ko koi nahi rok sakta - " Waisa hi game hai jaisa hum khelte hai . Fare to bas maine new thing ke liye bol diya . No thoughts behind it . " 
Lo ji ! yeh huwi na andho waali baat . Aise hi bol diya . Shayad ab aarav aur priya ko ek-doosre se time mill gaya aur aarav bhi bola - " Bottle ki jagah , sanchit ko spin karaate hai . It will be more fun . " 
Aisi hi choti - choti baatein toh mann halka kar deti hai . 
Batao , hum yehi nahi decide kar paa rahe ki khelna kya hai toh aage ki raat ka kya sochenge . Itni der se main chup hun kyuki mujhe intezaar hai uss cheej ka jo yahaan mere liye khatraa ho sakti hai . Main bilkul satark rehna chahta hun kyuki apne kaaran apne doston ko kisi tarah ki musibat me nahi daalna chahta . 
Waise bhi bak-bak karne ke liye mere alaawa 7 log aur bhi hai . Unme se ek toh bak-bak ka baadshah hai , Sanchit - " Haan - haan ! mujhe spin karna . Par har baar tere pe hi muuh kholunga main . " 
" Chill be ! gussa nahi karo . Warna teri pol khul jaayegi . " Raju ne aarav ki side me bola kyuki ab sanchit ki lagne waali hai . 
" Kya khul jaayegi bro ? " Waise sanchit gussa toh huwa par raju ko kaise bol sakta hai kuch isiliye end me bhai keh diya . 
" Arre ! yehi ki gusse me teri bolti aur bhi bandh ho jaati hai . " Raju ne phir se entertain kar diya hum sabhi ko . Bhale hi iss baar nishaana sanchit hai par har baar bhi sanchit hi hota hai . 
Ab aarav kyun chup rahe , woh to raju se bhi jyada bol sakta hai - " Accha ! I have a question . Jab graham bell ne phone ki discovery ki thi toh sabse pehle kya huwa tha ? " 
Waah ! sawaal toh sochne waala hai . Sab soch bhi rahe hai . Kisi ke paas jawaab bhi nahi hai . 
" Socho mat guys ! main batata hun ." Aarav ne pucha toh aarav hi batayega - " Sabse pehle bell ko sanchit ke 2 missed calls aaye the . " 
Phir se sanchit bana mohra aur joke tha yeh doosra . Sab phir se sanchit pe hanse lage . Par hume usko jyada nahi chidhaana chayiye kyuki hum sab aaye toh ussi ki gaadi me hai . Kaheen leke chala gaya toh ? 
Mere bagal me soniya baithi hai par kuch bol nahi rahi . Shayad uske liye mera saath hi bahut hai . Mere kandhe pe sar rakhke aaraam se baithi hai , shayad itna aaraam usko apne sofe pe bhi nahi milta hoga . Agar main nazrein aage karuun toh nishita saamne hi baithi hai par chehre pe ek jhoothi muskaan ke saath . Sabhi logon ke liye toh muskura rahi hai par andar se dukhi hai .
" Guys ! ab mere pe stupid jokes crack karna bandh karo toh hum game shuru kare ? " Sanchit ne kaha ab bas . Game shuru karte hai chalo . 
Sab raazi ho gaye aur usne bottle ghumaayi .Jitne der tak bottle spin kar rahi thi , utna hum sab soch rahe the ki please hum pe na ruke . Par kismat toh dekho , bottle soniya ke saamne ruki sabse pehle . 
Aarav sabse pehle muuh khola - " Main puchunga soniya se ! " Waise bahut haq se usne puchna chaha - " Toh finally batado hum sabko ki vishnu se pyaar kaise huwa ? " 
Aarav ke sawaal pe sabne taali bajaai . Sawaal mere upar hai bhale hi bottle soniya ke taraf ruki . Soniya bhi sab kuch bolne ko taiyyar hai - " Class 10th me woh mere side me baitha tha april 26th . Sab boys ki seat change huwi thi aur vishnu ko mere bagal me baitha diya teacher ne . Miss . Shweta , haan yehi naam tha teacher ka . Pehle toh woh mujhe weird sa laga par jaise-jaise time beetta gaya , hum ek doosre se sab kuch kehne - sunne lage . Mujhe tab isse pyaar huwa jab vishnu ne mujhe bachaya tha . " 
Priya ko yeh baat interesting lagne lagi toh usne bhi puch liya - " Kisse bachaya tha yaar ? " 
Soniya ki baat phir se shuru - " Hum logon ke school me assembly hoti thi . Uske liye sabhi classes school campus me assemble hote the. Humara class 2nd floor pe tha . Neeche utarna padta tha aur phir upar do floor chadhna bhi padta tha . Ek din upar jaate time seedhi pe se mera pair phisal gaya , main gir hi jaati par vishnu ne mujhe bachaya . Main seedhe uske baahon me giri . Tab se he is my hero . " 
Priya - " Oh ! theek ussi tarah jiss tarah chutti ke din girne se bachaya tha ? " 
" Haan ! hamesha meri help karta aaya hai vishnu . Main hi samajhne me der kardi thi par now i m very happy coz he is with me . "  Jo bhi bola , jitna bola par mujhe bhaa gaya . Dill yeh baatein sunne ko kab se intezaar kar raha tha . Aaj soniya ne bol hi diya . 
Chalo round one over , ab baari hai second time spin ki . Sanchit ne phir bottle ghumaayi - " Now lets see whose chance .  Ohh ! vishnu . Teri baari hai dude . "  
Ok ! i take truth .
" Pata tha dare to tu kar hi nahi sakta . " Mujhse bhi aarav hi puchega - " So tell me , kabhi bhi soniya pe gussa yaa hate kind of feeling aayi tumhare andar ? " 
Mere jawaab dene se pehle soniya ne keh diya - " I dnt think ki vishnu kabhi mujhe hate kiya hoga . " 
Par iss baar mere paas alag jawaab hai - Actually ek time hate kiya tha . 
Meri baatein soniya ke liye thoda surprising hai - " Really ? U hated me ? Batao toh kab . " 
Actually , soniya jab mujhse alag huwi thi tab main bilkul paagal sa ho gaya tha. Phir soniya ne next year apna school bhi badal liya . Uss moment i hated her coz she left me alone . Ek baar socha bhi nahi ki main kya karunga . 
" Sorry baby ! tab main bahut choti thi . Pehchaan nahi paayi ki main kya chahti hun . Par ab toh main aa gayi na . Tumhare paas . " 
Phir soniya mere kandhe pe sar rakhi aur maine uska haath thaam liya . Par shayad yeh sab dekhke nishita ka dukh aur badh gaya - " Guys ! mujhe neend aa rahi hai . So m going to tent now . " 
Sanchit ne  usse rukne ke liye kaha - " Arre ! abhi toh game shuru huwa hau nishi . Wait na baby ! " 
" No sanchit ! mere sar me dard hai . " Itna kehke woh uthi aur tent ke taraf badh gayi .
par humne usse jaane diya kyuki hume laga ki she needs some time alone . Humne game roka nahi aur aage khelte gaye . 

No comments:

Post a Comment