Expertise of My Ishtaar - Rights !

Archiving & lest Cherishing

Thursday, 14 April 2011

Untitled Story - Ubel's Intentions :

" Jab maut sar chadhkar taandav karti hai tab bhagwan bhi zindagi nahi bacha pata . Aur batao uss ladke ke baare me ." Ubel dheere-dheere saari jaankari haasil karna chah raha hai . Aur yeh saabu bhi sab kuch batane ko taiyyaar hai . Pataal ki yeh saajish poore swargalok ko hila sakti hai . Saabu ko vishnu ki itni jaankari kaha se mili par wo yeh sab Ubel ko bata raha hai - " Sarkar ! wo abhi sirf 18 saal ka baccha hai . Kisi vidyalay me apni padhaai kar raha hai . 16 saal ki umar me usne aatma-hatya kee thi . Waha woh bilkul akela hai . Sarkar ! ek baat puchni hai , jab hume pehle se pata tha ki woh hi mogul hai toh humne usko pehle hi kyun nahi maar diya ? " Waise yeh sawaal thoda chaukane wala hai . Inhe yeh sab pehle se hi pata tha , yeh jaante the ki vishnu hi mogul hai . Kya ubel vishnu ko maarna chahta hai ? " Saabu ! suna nahi kya dharti pe ek niyam hai ki samay se pehle na kisi ko kuch milla hai aur na kisi ka kuch gaya hai . Marna toh tay tha uss bacche ka par shayad bhagwan ko yehi manjoor tha . Hum usse maarenge par abhi nahi . Abhi aur bahut kuch karna hai usko . Woh humare bahut kaam aayega . Jaise insaano ke dushman hai , waise humare bhi hai . Maarega woh sabko , jeetayega humko . " Saare bhed khul rahe hai . Vishnu nahi jaanta ki uska yeh kaam bilkul asaan nahi hai . Paap aur punya ki ladaai me paap ke paas jyada tazurbaa hai par punya ke paas hai shakti . Saabu abhi chup nahi rehne wala tha - " Huzoor ! aapke bure dimaag me kya chal raha hai ? Kahi aap usko istemaal to nahi na karna chahte hai ? " Iss sawaal ka jawaab ubel ne ek badi daraavni hansi se diya . Pataal ke uss kamre me achanak se diye jalne lage . Hawa me haiwaniyat aur bhi jyada phail gayi . Zameen ke  andar se aag ki lapte ajeeb - ajeeb si aawaaze nikaalne lagi . Mare huwe bande ab aur bhi teji se un lapto me samaane lage . " Sarkar ! aapki jai ho " Saabu ubel ki chaaplusi karne se nahi thak raha . Woh ubel ka wafaadar hai . Ubel ki krur hansi phir se pataal ki buraai ko badhane lagi - " Murakh ! meri nahi , paap hi paap karega raaj . " Itna kehte hi aag ki lapte kursi ke peeche se uthne lagi aur ubel apni jagah se gaayab ho gaya . " Sarkar ! Sarkar ! aap kaha chale gaye ? "  Saabu bhi vishwaas nahi kar paa raha , " lagta hai sarkar ki saari shaktiyaan jaag rahi hai . Kitna intezaar karna padega hume dharti pe raaj karne se . Paap hi paap karega raaj "  

No comments:

Post a Comment