Do log jo rehen - sehen me bilkul zameen - aasmaan hai , kya kabhi ek ho sakte hai ? Sawaal thoda mushkil hai par jawaab asaan . Nahi , aisa mumkin hi nahi hai aaj ke zamaane me . Aaj agar ek aadmi kisi doosre aadmi se milta hai toh unme sirf ek hi cheej hoti hai - Vaad - vivaad . Iska matlab kisi na kisi baat ko leke afra - tafri . Yeh huwi baat do aadmiyon ki . Ab zara do ladkiyon ki taareef karte hai . Jab bhi koi do ladkiyaan milti hai toh sirf ek hi baat kabhi nahi hoti kyuki woh ladkiyaan hai . Kabhi ek - doosre ki khubsoorati se jalan , kabhi boyfriend yaa husband ko leke jhagdaa toh kabhi paise ki maap - taul aur na jaane kitni baatein . Ab zara baat karte hai ek ladka aur ek ladki ki .
Jab ek ladka ek ladki se milta hai pehli baar toh kya hota hai ? Is baar sawaal bahut asaan hai par iska jawaab aur bhi jyada asaan . Dill ki dhadhkan badhne lagti hai . Aankhein aankhon se milti hai . Hawaaon me sirf mehek hi mehek ghulne lagti hai . Kaan me meethi si dhun bajne lagti hai . Lagta hai jaise sirf wahi do log hai duniya me aur koi nahi hai unke alawa . Samay wahi tham jaata hai aur guzarne ka naam hi nahi leta . Samajh gaye ki isko kya kehte hai ? Arre ! isko kehte hai kisi ki poorani gandi shirt me perfume chidhak dena . Matlab isko kehte hai pyaar hona . Har kisi ki yehi kahaani hoti hai aaj ke zamaane me . Har kisi ko pyaar hota hai aaj ke zamaane me . Kabhi - kabhi kuch log isko ek khel samajhke team badalte rehte hai par jab pyaar hota hai toh usi team ke coach ban jaate hai . Zamaana badal raha hai . Pehle log pyaar karte the aur phir izhaar karte the aur phir shaadi karte the . Aaj bhi kuch aisa hi hota hai par thode badlaav ke saath . Aaj ke zamaane me kabhi pyaar karte hai . Phir kabhi ek baar aur pyaar karte hai . Phir shayad ek - do baar aur pyaar karte hai . Jo pyaar saccha lagta hai usko izhaar karte hai aur agar izhaar gawaara hota hai toh shaadi karte hai . Aaj ki pyaar ki kahaani ek seere se nahi dekhi jaa sakti balki usko samajhne ke liye dono pahlu samajhna zaroori hai . Dar-asal galti kisi ki nahi . Galti toh humaare dimaag ki hai jo dill se jyada practical hota hai . Ji haan ! humaara dimaag apne dill se jyada practical hai . Isko har cheej ko samajhne yaa maanne ke liye chayiye hota hai reason . Nahi , kanoon ki tarah nahi par usse kuch kam bhi nahi . Badalte zamaane me pyaar jyadatar khote sikke ki tarah nikalta hai . Na kaheen chalta hai aur na kaheen phenkne ko jee chahta hai . Yeh kahaani bhi aaj ke zamaane me bade ho rahe do aise logon ki hai jo pyaar ko samajhna chahte hai par thoda jhijhak me hai . Yeh do log humaari kahaani ki lead role bhi hai .
Baat karte hai ladki ki pehle jo is kahaani ki hero hai . Sochiye mat ! Ladki ka naam hai Seeta . Jitna saaf - pavitra iska naam hai utni saaf - pavitra yeh bilkul hai nahi . Aankh ka andha par naam nainsukh . Yehi haal hai seeta ka . Inke kisi dost ne kaha hai ki jaise har din ek sa nahi hota waise hi seeta ka har din koi ek boyfriend nahi hota . Log toh apna rumaal itna nahi badalte jitna seeta apne boyfriend badalti hai . Bilkul jhalli jaise , mufat par adaakaara aur batooni par jugaadu . Yeh zaroorat ke hisaab se ladke chunti hai . Jaisa inhe college me apni application principle tak pahuchaani hai toh yeh college ke peon ko apna boyfriend bana leti hai . Jaise inhe kisi restaurant me free ka khaana khaana hai toh yeh waha ke waiter ko pata leti hai . Jaise aane waale halaat hote hai waise yeh khud ko badal bhi leti hai . Inhe kisi baare me jyada jaankaari toh nahi par apni zaroorat aane par sab kuch jaan sakti hai . Ladke ghumaana toh seeta ka eklauta shauk hai .Chehre ki ek adaa se kayi ladko ko apna kaayal banana toh inka janam - siddh adhikaar hai . Khoobsurati ke maare , sabhi ladke inhe apna banaane ko taiyyar rehte hai . Chahe jitna bhi khel kar le , seeta ki ek acchaayi hai ki woh dill ki bilkul sacchi hai . Seeta ki ek best friend hai jo uske saath uske room me rehti hai - pooja . Seeta sirf pooja ki hi baat sunti hai aur maanti hai . Pooja toh ekdum woh haal hai jaise ki bhed ki khaal me bhediya , mera matlab ladki ke bhesh me ladka . Pooja aur Seeta agar kisi ke maarne me lag jaaye toh sabko chaba daalti hai . Seeta agar sahi karti hai toh usse sahi koi nahi aur jab bura karti hai toh uski buraai koi chhupa nahi sakta . Chote shaher ki ladki hai par taur - tareeke bilkul angrezi mam jaise hai . Bachpan se hi khule vichaar waali rahi seeta , jawaan hone par bhi nahi badli . Jyadatar pooja hi seeta ko buraai ke raaste se bachaati hai . Seeta baahar se jitni bindass aur kadwi hai , andar se usse kayi jyada shaant aur seedhi hai . Par zamaane se akele ladne ke liye khud ko rough & tough banaa liya hai . Agar koi ladka sirf time - pass ke liye ek ladki chahta hai toh seeta se better option koi nahi hai . Pooja uske liye messenger ka kaam karti hai . Ladke ke baare me sar aur pair pooja hi jaanti hai aur sahi - galat seeta ko batati hai . Ek aur dost hai soniya jo dono ke saath toh nahi rehti hai par college me saath hai . Soniya pooja ke jyada khaas hai aur seeta ke liye dushman jaisi . Asal me nahi par dono hamesha yeh baat pe ulajh jaate hai ki kiska recent boyfriend jyada tip - top hai . Unme yeh shart lagti hai ki kaun ladke ko jyada paplu bana sakti hai aur har baar shart seeta hi jeet jaati hai . Seeta ek acchi ladki hai magar tab hi jab woh kuch galat karti hai . Ek line hai jo seeta hamesha kehti hai - " Where there is a wont , there is a will . "
Ab baari hai ladke ki - Vishnu . Inke maamle me jaisa naam waisa kaam . Maa - baap ne soch samajhke inko vishnu naam diya hai kyuki yeh dill ke bhi sacche hai aur karm se bhi . Inhe kuch karna hai apni zindagi me , kuch bada jisse inka naam ho saari duniya me . Inhe paisa bhi chayiye aur shauhrat bhi . Par uske liye inka ek hi raasta hai aur woh hai mehnat aur sacchaayi ka . Zindagi ke sirf ek hi pahlu ko jaante hai yeh aur woh hai insaaniyat . Saari buraai , saare shatranji daav - pench se pare hai Vishnu . Dill me logon ke liye sirf pyaar hai aur kisi ka bura kabhi inhone socha nahi aur kabhi soche bhi na aisa inka dill hai . College me yeh mann laga ke padhaai karte hai aur college ke baahar bhi padhaai hi karte hai . Kabhi kisi ladki ko galat tareeke se nahi dekha . Kabhi dekha hi nahi aisa kahe . Inke liye zaroori hai inki padhaai aur inki imaandaari apni padhaai ke liye . Kehte hai ki jahaan dill laga , waha dimaag kaam karna bandh kar deta hai . Par kehte hai na ki dill par kaabu toh bhagwan bhi nahi kar paaye the aur phir vishnu toh insaan hai . Naam toh bhagwan ka hai par dill toh insaan ka hi hai . Inka dill aa gaya Seeta pe . Waise seeta pe toh har ladke ka dill aa hi jaata hai kyuki seeta hai hi itni khoobsurat . Dill aaya par himmat kaha se laaye ? Saamne agar aa jaaye toh gunge ho jaate hai . Kuch bolne lage toh behre ho jaate hai . Kuch puchle toh na-samajh ho jaate hai . Inki majburi nahi par yeh inki kamzori hai . Pyaar karna toh aata nahi par pyaar me padna seekh liya . Seeta ke liye vishnu kuch bhi nahi hai kyuki vishnu se kayi jyada maaldaar aur bindass ladko ko woh use & throw kar chuki hai . Phir vishnu toh bas ek kambal hai jise woh ek sardi me istemaal karegi aur phir garmi aane par kaheen rakh degi . Vishnu phir bhi yehi kehta hai - " I will love till i die doing it and trust me i will never die before being loved . "
Kya lagta hai aapko ki purab aur pacchim kabhi ek hi raste pe mill sakte hai ? Sooraj aur chaand ek hi samay roshni de sakte hai ? Vishnu aur seeta pyaar me ek ho sakte hai ? Vishnu toh seeta ko pyaar karta hi hai par kya seeta bhi vishnu ke pyaar ko pehchaan paayegi ? Vishnu seeta ke pyaar me hai aur uske liye sab kuch karne ko hai taiyyar . Seeta , jo kabhi vishnu naam ke ladke ko jaanti bhi nahi , kya dekh paayegi kabhi Vishnu ko jo usse karta hai pyaar ? Kahaani seedhi hai par iske raaste bade tedhe hai . Jo jitna asaan nazar aa raha hai , usme utna hi mashakkat karna padega . Kehte hai agar jungle me ped hai , toh unme bandar honge . Aur bandar kabhi seedhe nahi chalte , kabhi ek daali toh kabhi doosri . Raasta wahi par chaal ulti - palti . Idhar vishnu aur seeta ka kya hoga ? Kya kabhi seeta vishnu ke pyaar ko apnaayegi ? Kya seeta vishnu ko pyaar kar sakegi kyuki vishnu toh har aam ladke ki tarah hai jo seeta ke liye kuch bhi nahi hote ? Pyaar ki yeh kahaani toh hai badi seedhi par isme ek twist hai . Kehte hai na ki " Every love has a twist before it ceases . "
No comments:
Post a Comment