Expertise of My Ishtaar - Rights !

Archiving & lest Cherishing

Saturday 7 May 2011

Untitled Story :Vishnu - Nishita Panels It Down !


Ab tum theek toh ho ab ? 
Aaj college bandh hai kyuki do din ke baad humaare exams shuru ho rahe hai . Exam se jyada important hai nishita se baat karna . Jungle me jo huwa , usse kuch sawaal zaroor uthe hai . Sawaal jitna upar jaayenge utna hi baadal ki tarah sar pe sawaar ho jaayenge isiliye behtar hoga ki unhe pehle hi daba diya jaaye. 
" Mujhe kya huwa hai ? Main bilkul theek hun . " Mujhe pata tha ki nishita seedhe - seedhe kuch nahi batayegi . Apne dard ko apne gusse ki aadh me chupa rahi hai . Shayad aise kuch nahi sunne ko milega . 
Pair toh sahi hai na ? Is it paining now ? Kehte hai ki pyaar se baat karo toh patthar bhi pighal jaaye aur nishita toh woh ladki hai jiska dill mom ka hai . Sawaal chahe jitna sahi kyun na ho , jawaab tab tak nahi milta jab tak tareeka sahi na ho . 
" Pair ka saara dard toh raat me hi chala gaya tha . Par tumhe kuch huwa to nahi na ? " Har jawaab me sawaal karna ladkiyon ki aadat hoti hai . Mere liye fikr hai usse , isiliye maathe pe lakeere dikh rahi hai uske . 
Arre ! Galat question ! Saanp ne mujhe nahi tumhe kaanta tha . 
" Ek minute . Agar shikaar main huwi thi toh main bilkul theek kaise huwi ? Tumne kya kiya tha , vishnu ? " 
Haan , shayad woh zehreela nahi raha hoga . Lucky girl ! 
" Zehreela nahi tha ? Majaak mat karo ! Itna bada aur daraawna saanp zehreela kaise nahi hoga ? Tumne mujhe bachaya na ? " 
Dumbo ! anaconda dekha hai kabhi . Usse bada snake kaheen nahi hai par woh zehreela nahi hota . Samjhi ? 
Aur itna kehte hi uske maathe pe jitne shikand the sab , hawa ho gaye aur ek wahi pehle waali meethi si muskaan chehre pe khil gayi . 
Hostel canteen chale ab ? 
Usne apna sar hilaaya jiska matlab tha haan . Phir hum waapis hostel ki taraf badhne lage . 


Nishita ka mood sahi ho gaya tha aur woh ek badi si muskaan apne chehre pe banaayi huwi hai . Uske mann me sirf ek hi baat chal rahi hai - " Vishnu ! tum kaise mere saare ghum - saare dard itni aasaani se bhoola dete ho ? Tumhare saath hone se lagta hai jaisi main duniya ki sabse khushnaseeb ladki hun . Kya jaadoo hai tumme jo main sirf tumhare baare me sochti rehti hun ? Jab nahi sochti toh tum khud hi mere saamne aa jaate ho . Accha huwa jo main south se yahaan dehradun aa gayi padhai karne  , nahi aati toh tum kaise milte , zindagi kaise milti . " 
Hey ! kya sochne lagi ? 
" Kuch nahi . Tum yahaan kaise aaye ? " 
Mujhe pata nahi tha ki tum iss restaurant me part-time job karti ho . Aaj tumse milna tha toh aarav ne bataya ki tum yahaan , Mamma - mia Cafe me milogi . 
" Nahi wo hostel fees ke liye thoda earn karna padta hai warna wardon mujhe saare saamaan samet baahar phenk dega . " 
Hostel fees ? Main samjha nahi ...tumhaare dad nahi dete fees kya ? 
" Dad ? Dad toh mere aane se pehle hi guzar chuke the . Mummy ne bhi jyada saath nahi diya mera . Jab main 4 saal ki thi toh mummy bhi God ke paas chali gayi . Aur tabse main karnataka ke orphan house me rehti thi . Phir orphanage se yahaan college ka offer mila aur main yahaan aa gayi apni padhaai karne . " 
Jab nishita ki life ko jaana toh dill baith gaya . Uska koi nahi hai , hai toh sirf kuch dost , uski himmat aur bhagwan . Yeh ladki bachpan se akeli hai . Meri wajah se yeh ladki ki jaan khatre me pad gayi thi . Mujhe thoda darr laga ki jaise kal raat huwa nishita ke saath , waisa kaheen phir se na ho . 
Nishita ! I m sorry . 
" Arre ! you dont be sorry . Friends me chalta hai . " 
Tumne mujhe pehle kyun nahi bataya ? 
" Kab batati ? Shuru - shuru me toh tumhare saamne aane se bhi darr lagta tha aur ab jab hum dost ban gaye hai toh waqt humaare saath nahi hai . "  Humaari baatein phir se gambhir hone lagi toh maine phir se topic badal liya . 
Tum south indian ho kya ? Mind it types ? 
" Born as a south indian kyuki meri mummy ek south indian thi but living as a north indian kyuki paida main delhi me huwi thi because mere dad delhi se the . Baad ki life karnataka ke orphanage me beeti . " 
But tum bilkul south indian nahi lagti ho . Sach me  ! i mean waha toh sab log thoda dark types hote hai par you are quite fair . 
Meri iss baat pe woh thoda sharmane lagi - " Ohh ! thanks . But aisa zaroori nahi ki har southi dark ho . For example , me . Aur meri mummy bhi bahut fair thi . " 
Now i got it . 
" Tum waise mujhse kyu milna chahte the ? " 
Aise hi bas dekhna tha ki tum theek ho ki nahi . 
" Toh ab ? Mujhe kuch khila rahe ho ki nahi kyuki mujhe bahut bhukh lagi hai ? I m very hungry right now . " 
Hum canteen pahunch gaye the . Main turant gaya aur nishita ke liye kuch snacks le aaya . Phir hum khaane ka majaa lete huwe baatein karne lage . Canteen me aur koi nahi tha , bas nishita , main aur woh canteen owner kam waiter . 


Tum exams ke baad jo chutti ho rahi hai , usme kahaan jaogi ? Waapis karnataka ? 
" Nahi . Main chuttiyon me hostel me hi rehti hun . Kabhi - kabhi priya ke ghar chali jaati hun aur kabhi - kabhi simmy ke ghar . But jyada time hostel me hi . " 
Mujhe toh iss baar apne ghar jaana hoga . Iss time mummy zidd pe hai ki main ghar aaun . 
" Zidd toh karengi hi , tum last holidays me bhi ghar nahi gaye the na . Zidd toh karni hi chayiye . " 
Tumhe kisne bataya ki main pichli baar ghar nahi gaya tha ? 
" Pata chal jaata hai . Mummy bahut care karti hai na tumhari ? " 
Haan , thoda bahut karti hai . 
" Meri mummy agar aaj alive hoti toh mujhe chuttiyon me zabardasti ghar leke jaati . Sab kehte the ki woh meri bahut care karti thi . Dad ke expire karne ke baad woh meri guardian angel ban gayi thi but unhe bhi jaana pada . Ab toh main family life bhool si gayi hun . Room ke do friends ko hi family maan leti hun . " 
Uski baaton me gehra dard chupa hai aur parivaar ki yaad phaili huwi hai . Kitna akelapan mehsoos hota hoga apne parivaar se itna dur rehna , itna ki woh kabhi waapis hi na aaye . Iss samay saare bacche exams ki taiyyari me jute hai isiliye canteen sunsaan hai . 


Waise ek baat batao . Tum utne ghane jungle me akele kyun gayi thi ? Aisa kya soch rahi thi ki har khatre se anjaan thi ? 
" Nahi bas , kuch der akela rehna chahti thi isiliye jungle me chali gayi . Aur pata hi nahi chala ki kab itne andar chali gayi ."
Wahi toh main bhi puch raha hun ki pata kaise nahi chala ?
" Bas nahi pata chala . Kisi ke baare me soch rahi thi . Sochte - sochte waha pahuch gayi . " 
Ohh ! koi itna important hai tumhare liye ki tum khud ko kisi bhi khatre me daal sakti ho uske liye . 
Nishita phir soch me kho gayi - " Kaise kahun ki woh koi aur nahi balki tum ho . Tumhare hi baare me soch rahi thi . Jab bhi tumhare baare me sochti hun toh saamne kuch nahi dikhta . Sirf tum dikhte ho aur sunaai dete ho . " 
Arre ! phir kho gayi . Lagta hai ma'am ko koi special mill gaya hai ? 
Usne apni nazrein neeche karte huwe kaha - " Nahi ! its not like that re . " 
Hum bahut der se baatein kar rahe the . Ab toh woh canteen owner kam waiter bhi jaa chuka tha .
  
Shayad ab hume bhi chalna chayiye ?
Nishita phir kuch sochne lagi , shayad abhi bhi kal ke baare me hi khoyi huwi hai - " Oh shit ! yehi to main hate karti hun , tumse dur jaana . Kal exam bhi hai aur aaj itna happy moment guzar raha hai . How do i concentrate on paper now ? " 
Shayad  tum abhi bhi ussi ki soch me ho ?
" Nahi . Yaa ! lets go now . I got to study for tomorrow's exam . Shayad tumhe bhi padhna hoga ? So lets go ! " 
Iske baad main apne hostel ki taraf chal diya . Nishita bhi apne room chali gayi . 


" Kal jo tumne kiya , woh sahi nahi kiya ! " Remitente mere room me pehle se hi khadi thi . Aarav kahaan hai ? Sanchit bhi nahi hai . Pata nahi jab remitente saamne aati hai tab sab kahaan gaayab ho jaate hai ? 
Aap ? Ab maine kya galat kiya ?
Woh phir mere kareeb aane lagi . Apna haath mere sar pe rakhte huwe boli - " Yeh jo tumhara dimaag hai , isse jaldi kaam me laao . " 
Maine toh nishita ki jaan bachaayi .
" Uss ladki ki aur uss shaitaan ki bhi . " 
Aap seedhe se kehna kab shuru karengi ? 
Unka wahi bhaaw chehre pe waapis aa gaya . Jaise ki woh mujhe koi bewkoof samajhti ho - " Tum chahte toh uss shaitaan ko bhi maar sakte the . Par tum apni jagah par aise khade the jaise ki tum koi aam insaan ho . " 
Uss waqt nishita ko meri zaroorat thi . Woh mar rahi thi , agar main usse chodh ke jaata toh woh mar jaati . 
" Yeh socho ki woh uss haalat me thi kiski wajah se . " 
Unki yeh baat sunke mujhe apne kusoorvaar hone ka ehsaas huwa . Nishaana main tha par chot pahuchi nishita ko . Shayad meri wajah se sabko khatra ho sakta hai par jab tak mere paas shaktiyaan hai main unhe har problem se bacha lunga , maut se bhi chheen lunga . 
" Dekho ! tum ek mogul ho . Mogul hona asaan nahi hai par tum chune jaa chuke ho toh iska matlab yehi hai ki sirf tum hi yeh kaam kar sakte ho . Apni jimmedaari ko samjho . Apni shaktiyon ko pehchaano . Tumse jyada shaktishaali aur koi nahi hai dharti pe . Mogul ko ek kaam saupa gaya hai , aur mogul ko woh kaam karke dikhaana hi hoga . " 
Jab tak main hoon , mere doston ko kuch nahi ho sakta  . Aur ek aur baat , main hamesha rahunga . 
" Woh ladki surakshit nahi hai . Itna jaanna zaroori hai tumhare liye . " Itna kehte hi woh phir se gaayab ho gayi . 
Aap jahaan kaheen bhi ho , mujhe pata hai aap mujhe sun sakti ho . Mere hote kisi ko kuch bhi nahi hoga. Ab jab mujhe khud pe thoda sa vishwaas hone laga hai , toh aapka vishwaas kahaan hai . Main shayad jyada hi gusse me bolne laga aur apna aapa kho chuka tha . Room me aarav aata hai - " Kya huwa vishnu ? Tu chillaaya kyu ? " 
Kuch nahi ? Phir main waha se nikal gaya . 

No comments:

Post a Comment