Highway ke side me ek bada sa dhaaba dikha . Arre ! yeh toh wahi dhaaba hai jahaan main aaya karta tha . Yahaan ka ek waiter toh mujhe jaanta bhi hoga . Maine socha ki agar bhookh itni tej lagi hai toh kam se kam ek cup chaai to yahaan pee hi sakta hun . Poori raat sirf skooty chalaayi hai . Darr bhi lag raha tha ki kaheen koi anhoni na ho jaaye andhere me par sar par jo junoon sawaar tha uski wajah se subah dekh paaya . Skooty ko maine dhaabe ke side me roka aur andar jaake ek khatiye pe baith gaya . Sab kuch waisa hi hai jaisa pehle huwa karta tha . Wohi chota sa rasoyighar , jisme 4 aadmi lage huwe hai . Koi chaai ke bhagone pe aankh sek raha hai toh koi kadhaai me naashta bana raha hai . Dhaabe me aapko kabhi sabhya waiter nahi milenge kyuki yeh dhaaba hota hi aisi jagah hai jahaan wahi kaam karte hai jinhe tedha bolna aata hai . Seedhe baatein karne waale toh dhaabe me kuch karne laayak nahi hote . Bada sa maidaan dhaabe ke saamne jahaan dher - saare truck khade hai . Sabhi ko kuch chayiye , kuch chaai ki chuski le rahe hai aaraam se toh kuch roti tod rahe hai kabaab ke saath . Main yeh dhyaan de raha tha ki yahaan jyada paise na kharch kar dun . Ginke apna wallet bhara hai , aur ginke usse kharch bhi karna hai . Ek board pe likha tha ki chaai 4 rupaiye ki hai . Mere shirt ki upar waali jeb me 5 ka sikka hai . Bas isi 5 ke sikke ko alvida kehna padega yahaan . Tabhi ek dhaabe ka waiter aaya - " Sahab ! kya laau ? "
Waise main ise nahi jaanta hun . Yeh shayad pichle mahine ke baad hi yahaan naukri karne aaya hoga kyuki pichle mahine jab hum apni car se baahar aaye the toh isi dhaabe pe khaana khaane ruke the aur yeh aadmi yahaan kaam nahi karta tha tab . Khair ! ab yeh naya ho yaa poorana mujhe koi fark nahi padta . Main dekh chuka tha ki chaai 5 rupaiye ki hai par phir bhi maine chaai ka daam pucha , yeh sochte huwe ki shayad board se kuch kam daam ho chaai ka . Woh mere sawaal pe sawaal karne laga - " Sahab ! sirf chaai loge ? Is samay nashta bhi mill jaayega . "
Uski baat sunke muuh me paani bhi aa gaya par phir apne pet ki laalsa ko kaata kyuki abhi ek din bhi nahi huwa hai aur main aise fizool kharche nahi kar sakta . Wallet jyada bhaari nahi hai mera aur isko aur jyada halka nahi karna chahta main . Maine usse kaha - " Nahi ! nashta kar chuka hun . Bas chaai le aao . Waise ek cup kitne ka hai ? "
Bhookh toh bahut lagi thi par jab soch liya ki bina kaam ke khaan nahi karna hai toh bas nahi karna hai . Woh aadmi bhi shayad yeh samajh gaya ki mere paas paise nahi hai . Isiliye aur kuch na puchte huwe , usne kaha - " Ek cup 5 rupaiye . Masale waali chaai 7 rupaiye . " Jab naam suna ki masala chaai toh mann toh kiya ki abhi 2-3 cup masala chaai mangaalu . Par un cups ka daam kuch jyada hi hoga . Maine usse kaha ki saadhi chaai le aao . Woh phir chala gaya apne rasoighar me . Maine apni nazrein apne shoes pe jamaa li kyuki agar saamne dekhta toh bhookh aur badh jaati . Saamne ek parivaar baitha tha jo apna order de raha hai . Unke muuh se mujhe ek paneer masala , ek daal fry , ek mutton biryani aur kuch tandoori rotiyan sunaai di . Itna sab sun ke pet me jo chuhe the woh toh baahar aaker chhalaang maarne lage . Yehi sab meri pasandida dishes hai . Pehle aisa tha ki kaheen bhi baahar jaata tha toh paneer aur biryani ke alawa aur kuch nahi order deta tha . Par ab bilkul alag hi baat hai . Na toh mere dad mere saath hai jo mere extra - feeding habits ke paise bharenge aur na toh meri mummy saath hai jo dad se meri demand poori karwayengi . Isiliye niche dekhna hi better laga mujhe . Tabhi chaai mere saamne rakhte huwe koi bola - " Arre babuji ! aap ? Akele kaise ? "
Yeh wahi aadmi hai jiske baare me pehle bataya tha . Yehi waiter hai jo hamesha humara order leta tha . Mujhe chaai dene ke saath isne ek yaad bhi de di mujhe - " Haan ! exam deke laut raha tha toh socha ki ek chaai peete jaaun . " Woh shayad aur baat karna chahta tha . Usko yaad tha ki main hamesha kya order deta tha pehle - " Khaane ke liye paneer aur biryani laau ? " Hamesha yehi order dene ke wajah se main yahaan itna famous ho jaaunga , maine kabhi socha nahi tha . Par uske ek chote se sawaal ne mujhe flash-back me bhej diya . Bhej diya un yaadon me , us khoobsurat pal me jab main aur mera parivaar yahaan aaya karte the :
Apni car se hum dhaabe pe aate the jab bhi hume shaher ke baahar jaana hota tha . Hari Om Dhaaba , jahaan sirf trucks hi nahi balki family cars bhi rukti thi kyuki yahaan ke khaane me bahut swaad hota hai . Mere Dad , meri mummy , meri behen Simran aur main jaise hi aate waise hi seedhe dhaabe ke eklaute room waali jagah pe baith jaate . Family spot jo hamesha shayad humaare liye hi khaali rehta tha . Bhookh tab bhi itni hi hoti thi . Ek waiter aata aur menu card rakh ke chala jaata . Card isilye kyuki woh sirf ek page hi hota tha jispe plastic chadha hota tha . Baaton kki shuruvaat meri mummy karti thi - " Vishnu ! order tum dena . "
Main jab bhi dad ke saath aata toh yehi sochta ki order woh denge . Main sirf khaane pe concentrate karna chahta tha - " Nahi ! jab dad aaye hai toh order bhi wahi denge . "
Mummy jaanti thi ki main majaak kar raha tha - " Abhi order dete samay bhool jaayenge ki kya bolna hai . Isiliye tum bolna . " Waiter order lene aa raha tha tabhi dad bhi bole - " Kya khaana hai bol do . "
Par main chup tha kyuki main dad ko bhoolte huwe dekhna chahta tha . Apna muuh doosre ore karke main chup - chaap baitha rehta . Par apne kaan poore khule rakhta tha .
Wohi waiter bola - " Haan sahab ! boliye . " Phir dad shuru ho jaate - " 4 nan ."
Har dish ke saath dad ek pause lete kyuki aage ka unhe yaad nahi rehta aur menu kabhi padhte nahi the . Main doosri taraf muuh karke hasta toh mummy dad ko dekhke hasti . Meri behen simran toh waiter ke saamne hi hasne lagti kyuki woh choti hai aur dad ki aadat pe hasne se majboor .
Dad ka order jaari tha - " Ek paneer butter masala ..............Ek dal makhani ............ "
Ab dad phanse . Kyuki woh bhool gaye the ki aage kya order dena hai . Toh hamesha ki tarah woh meri taraf dekhkar bole - " Aur jo khana hai woh bol do . "
Phir main apni hansi ko rokte huwe order complete karta - " ....aur ek plate biryani . "
Order dene ke baad jab waiter chala jaata toh sabke chehre pe hansi khul ke dikhne lagti siwaay dad ke kyuki hum sab dad pe hi toh hans rahe the . Mummy ko khaane ke baad chaai peene ka shauk tha aur mujhe masala chaai peene ka .
Khaana jaldi table pe saj jaata tha aur usse bhi jyada jaldi hum khaane ke plate khaali kar dete . Dad waiter ko bulaate taaki woh bill pay kar sake par mummy bill se pehle chaai bolna nahi bhoolti kyuki bhoolte toh dad the .
Aise me main bhi piche nahi rehta aur masala chaai ka order de deta kyuki tab paise ki mujhe fikar nahi thi .
" Babuji ! kya huwa ? " Woh waiter aaj bhi mere saamne hai aur kal bhi tha . Aaj bhi woh chaai leke aaya hai aur kal bhi laaya tha . Par aaj mere dad nahi hai mere bagal me jo paise denge , aaj mujhe hi chaai ke paise chukaane honge .
" Kuch nahi . Tum ye lo 5 rupaiye . "
Maine itna kehte huwe usko apni upar waali jeb se 5 ka sikka de diya . Par woh abhi bhi khada tha - " Arre ! aap khaa lo aur paisa baad me de dena jab aage kabhi apne papa ke saath aayenge . " Usko yehi lagta hai ki main ab bhi wahi ladka hun jo apne dad aur mummy ke saath aaunga aur phir wahi khaane ka order dunga . Par usko yeh nahi maalum ki kya huwa hai aur ab sab kuch kitna badal chuka hai . Kal sab mere saath the aur aaj meri skooty ke alawa aur kuch mere paas nahi .
Maine jaane se pehle usko yahi bola ki - " Apne dad ke saath aana ,
Maine chodh diya . "
No comments:
Post a Comment