Likhte - likhte toh hosh hi nahi raha mujhe ki humara ek sathi toh yahaan hai hi nahi . Golgappo se yaad aaya ki aarav kaha hai ab tak ? Agar hum sab yahaan paper de rahe hai toh aarav ko bhi yaheen hona chayiye paper dene ke liye . Aarav kahaan reh gaya ? Paper ko huwe ek ghante beet gaye magar aarav abhi tak hall me nahi aaya . Waise subah ko dekha jaaye toh -
Soniya ke ghar se nikla aur seedhe hostel ke main gate pahuchaa . Par apne room me ghusne ke liye agar main gate se jaata toh gate-keeper mujhe pakad leta aur shayad puchta - " Oye ! itne subah - subah kahaan se chale aa rahe ho ? Kya night bar me cabre karte ho tum ? " Issi darr se maine main - gate se jaane ke bajaay , piche se ghusne ka socha taaki seedha khidhki se apne room me pahunch jaaun . Bas ek baat ka khyaal rakhna hai ki room me ghuste samay koi mujhe dekh na le . Aaraam se par jaldi se main room me dabe paav entry karke dekhta hun ki aarav apne bistar pe nahi hai . Oh God ! iska matlab hai ki aarav ko ab tak pata lag gaya hoga ki main kamre me nahi tha . Pata nahi dekhte hi kitne sawaalon ki jhari lagaa dega - " Kahaan tha ? Raat bhar kya kiya ? Kahaan gaya tha itni raat ko ? Kyu gaya tha ? Kab ? Kyun ? Kahaan ? Kaise ? " Hey Bhagwan ! iske pehle woh mujhse puchna shuru kare , mujhe behra bana do .
Phir mujhe dhyaan aaya ki itne subah aarav ko bahut kam hi hosh rehta hai . Subah jaise suraj ugta hai waise hi aarav bhi bas uthta hai par apna dimaag wahi bistar pe chodh deta hai . Main uske waapis andar aane se pehle room ke bathroom me ghus gaya . Main andar tha aur aarav ke aane ka intezaar kar raha tha . Mera intezaar khatam huwa aur mera yaar room me aa hi gaya . Aate hi bathroom ka darwaaza zor-zor se khat-khataane laga - " Oye ! jaldi baahar nikal . Jaldi nikal ! Mujhe badi zor ki lagi hai . "
Main toh socha ki woh baahar se hi sawaal puchega par woh toh khud bathroom jaana chahta hai . Main bhi ussi waqt baahar aaya aur woh andar ghuste darwaaza bandh kar leta hai .
Oye Aarav ! kya huwa ?
Woh andar se hi jawaab maarne laga - " Yaar ! mera pet kharaab hai , ekdum solid kharaab hai yaar . Tu jaa ! "
Kamaal hai ! subah - subah kya khaa liya tune ?
Andar se kaam chaalu hai , aur sath hi sath mujhse baat bhi kar raha hai - " Aaj se nahi . Kal se yaar . Woh priya ko golgappe bhot pasand hai na , toh humne golgappe khaaye the kal . Usko toh aadat hai golgappo ki magar mera pet jal gaya yaar . Raat me sirf dard tha laga ki subah tak sahi ho jaayega par aaj subah pata chala ki dard aaj ke toofan ke aane ki wajah se tha . "
Uski baat sunte mujhe poora yakeen ho gaya ki usne bilkul bhi mere na hone pe dhyaan nahi diya . Khair ! manaaya maine aur shukar hai priya ka jo usko golgappo ka itna shauk hai . Shukar hai uss golgappe waale ka jisse masaledaar paani daalne ka shauk hai . Shukar hai ki aarav ka pet jal raha hai aur uska dimaag ubal raha hai . Main toh apni aur golgappe ke connection ke kahaaniyaan aage apne baccho ko bhi sunaaunga . Maine aage usko disturb nahi kiya kyuki aise kaam akele hi kiye jaate hai . Waise bhi kaamyaabi aur bathroom ki badboo dono hi tabhi bardaasht hoti hai jab dono khud ki ho . Main usko exam ke liye der na karne ko kaha aur taiyyar hoker hall me aa gaya .
Lekin mere room se nikle aur abhi tak me itna samay beet chuka hai phir bhi aarav nahi aaya . Main bas soch hi raha tha ki tabhi aarav daudte huwe hall me aata hai - " Sir ! may i come in ? "
SRK sabse piche khadhe the aur aarav ki aawaaz sunte hi fauran aage aaye - " Yess ! janaab aap iss waqt padhaar rahe hai ? Sirf 1 ghanta bachaa hai pariksha samaapti me . Jaldi se viraajiye ! "
Aarav question paper aur sheets leke mere paas se jaate - jaate kehta hai - " Abe ! kya likhun paper me ? "
Bolne ke liye jyada samay nahi tha toh maine bhi keh diya - " Time nahi hai answer likhne ka toh question paper hi poora utaar de . "
Woh mujhe sunke aur bhi baukhla gaya aur piche nishita ke paas pahucha - " Jaldi se meri help karo , please ! "
Jab usko meri madad nahi mili toh ek ladki se cheating karne ko kaha par nishita bhi itne jaldi maanne wali nahi thi - " Rumb nalli illa , vella null illa . "
Nishita ki kannad sunke aarav ka phira huwa dimaag dahi jaise jam gaya aur woh nishita se dur gaya aur phir sanchit ke paas gaya . Ek - ek kar ke woh apne saare patte dekh raha hai ki kaheen kisi ek paate me uska ikka nikal jaaye . Sanchit ke paas khadha hoker kehta hai - " Abe ! kya likhun ? Bata na ! " Sanchit woh ladka hai jo khud ke paper me kuch nahi likhta toh woh aarav ko kya kehta - " Dude ! late kyun pahucha wahi story likh de with some anti-climax scenes . Examiner samajh jaayega . " Phir apne jeb se 100 rupaiye ka note nikaal ke aarav ko thamaa ke kehta hai - " Aur story ke end me yeh note chipka diyo . Examiner tera dard bhi samajh jaayega . " Aarav uss jagah pe thoda jyada hi der khadha tha toh SRK ne tej aawaaz me bola - " Jajmaan ! aap pariksha dene aaye hai ki apne mitro ke haal lene aaye hai ? "
SRK ki taraf mudke aarav bahaana deta hai - " No sir ! main bas yahaan ki jal - vaayu ka prashikshar kar raha tha . Sorry ! " Itna bolte hi woh apni seat pe jaake baith jaata hai aur likhne ke liye pen toh uthaata hai par chalaata dimaag hai - " Zaroorat padne par sacchi me koi kaam nahi aata . Kya karu main ? Kya likhun paper me ? Yeh saare questions toh out of course lag rahe hai . " Itna dimaag chalaane ke baad aarav likhaai karta hai -
NAME __ Aarav Saxena .
Itna likhte hi woh apne pen ka dhakkan bandh karke baith jaata hai . Main bhi kahaan lag gaya . Phir apne paper pe concentrate karne laga . Sabhi aakhiri ghante me aur bhi teji se likhne lage . Sabko paper accha karna hai kyuki sabhi ko acche scores chayiye . Mujhe bhi kuch hadd tak yehi chayiye .
Hum likh hi rahe the ki SRK ne hall ke sannaate me apne daant peeste huwe kaha - " Vidyaarthiyon ! aapke paas 1 minute shesh reh gaye hai . Jaldi kare ! " Paper apni samaapti par hai . Jitna likha hai , sahi likha hai . Ab bas ek nazar dekhna baaki hai . Sabhi pen ko aur bhi teji se ghisne lage taaki kuch bhi likhna baaki na reh jaaye . Mera kaam toh ho gaya hai par dekhte hai ki baakiyon ka kya haal hai -
" Finished . Jaise paper kiya hai maine , waise toh number atleast 70 aane chayiye . Thank you god ! " Soniya ka paper accha gaya yeh sunke mera mann bahut khush huwa . Chalo ! raat ka koi asar nahi pada uske paper par .
" Hey bhagwan ! aaj jaise - taise paper kar diya . Bas aage bhi aise hi chalte rehne dena . " Sanchit ka bhi paper theek - thak gaya iska matlab ki pappu pass ho jayega .
" Oh shit ! question paper itna chota tha ? Aisa paper banta hi kyu hai yaar ? " Aarav ke mann ko padhte mere mann me hulchul mach gayi . Usko paper chota laga ? Aisa kaise ho sakta hai ? Doobta huwa insaan nahaane ka majaa kaise le sakta hai ? Phir aur suna toh kahaani ka conclusion pata chala - " Ek baar saare questions chaap diye phir bhi do hi page laga . Issi wajah se ek hi paper ko 4-5 baar likhna pada . Bhagwan ! this time bachaa lena , i shapath next time golgappe nahi khaaunga . " Oh ! toh yeh baat hai .
SRK ne sheets collect karni shuru kar di . Hum dheere - dheere hall se baahar nikalne lage . Chalo ! ek padaav toh paar huwa ! Aage ka next time dekhenge .
No comments:
Post a Comment