Jaise hi exam khatam huwa , main fauran soniya ke piche - piche bhaaga . Khud uske muuh se sunna hai mujhe ki uska paper kaisa gaya .
Soniya ! wait .
Maine piche se aawaaz di par woh mujhe sun ke bhi ansuna karte huwe aage badhti rahi . Main samajh gaya ki kuch toh zaroor hai . Shayad woh mujhse naraaz hai , par kyu ?
Main thoda tej aage badhne laga taaki soniya ko rok sakun .
Soniya ! wait yaar . What happened ?
Main uske paas jaaker uske haath ko pakadte huwe bola taaki iss baar woh mujhse dur na bhaag jaaye . Par haath ki narmi , chehre ki garmi ko nahi dikha paayi . Uske chehre pe wahi poorana gussa hai jo kuch saal pehle maine dekha tha school ke samay me . Usne ussi look se mujhe taaka , main samajh nahi paa raha ki yeh expression kis liye hai .
Kya huwa tumhe ?
Yeh sawaal ek ghabraahat ke sath pucha maine ki kaheen kuch theek nahi shayad . Mujhe fikr hone lagi ki soniya aise kyu jaa rahi hai . Jawaab ke bajaay usne kaha - " Shall we go to canteen now ? "
Maine bhi sar hilaa ke haan kaha aur phir hum canteen me chale gaye .
Idhar baaki ka group apne me mashvara kar raha hai . Kuch baatein paper ke baare me toh kuch baatein kabir ki .
Aarav toh exam dene ke baad turant hostel bhaag gaya . Kyu bhaaga ? Uska pet jo kharaab hai na . Sanchit haathon pe apni kitaab ko gol-gol ghumaate huwe bola - " Guys ! how was your first exam ? "
Baap re , itna khatarnaak sawaal aur woh bhi seedhe exam ke turant baad ! Yeh toh aisa huwa ki abhi - abhi shadi huwi aur dulhe ko talaak ka letter mil gaya . Lekin ek hai jo aise sawaalo ke sahi jawaab dene ko hamesha taiyaar rehta hai , Raju - " Abe ! tu toh aise bol raha hai jaise tu Sridharacharya jitna accha paper karke aaya hai . Apna bata na , humpe kyu pistol taan raha hai . "
Sanchit ko mill gaya na uska jawaab . Abhay tabhi aata hai - " No yaar ! start ke toh questions easy lag rahe the but jab unhe lagaane baitha toh mushkil se ek hilaa tha . " Raju jab abhay ko aise react karte dekhta hai toh usko apne kiye huwe pe bhi shaq ho jaata hai - " Kya bola tu ? Start ke hi questions nahi hile ? Aise ke ho gaya yaar ? Manne toh kewal starting ke hi questions aa rahe the aur woh bhi fast - fast . "
Sabhi raju ko sunkar khoob hansne lage , tabhi sanchit aarav ke baare me bolta hai - " Hey ! yeh aarav itna instantly kahaan gaya ? Paper jaise khatam huwa , waise hi woh bhaag gaya . " Iska bhi jawaab raju ke paas hai , bhale hi galat hai par phir bhi kuch hadd tak sahi hai - " Arre ! gaya hoga apni priya ke piche - piche . "
Sahi laga na jawaab , aarav jo bhaaga hai woh bhale hi priya ke liye nahi par wajah priya hi toh hai . Maafi chahta hun , aadhi wajah golgappe bhi hai . Iss maamle me sabse accha jawaab sanchit ke paas hai - " Dude ! agar meri bhi koi priya jaisi girlfriend hoti na , toh main toh padhai me top karta , top . Din bhar ussi se tuitions leta . " Abhay sanchit ko aisa jawaab deta hai jisse sanchit ki bolti bandh ho jaati hai - " Suno beta ! girlfriend bana lo chahe one , two ya four par zindagi ki jo bail - gaadi hai usse padhai naam ka bail hi khichega na . "
Idhar main aur soniya canteen me ek corner ki seat pe baithe hai aur baatein kar rahe hai . " Was that really needed that you did in the hall ? " Itni der sath baithke pata chala ki soniya ki naraazgi iss baat se hai ki main kabir se kyu ulajh gaya .
" Abhi examination time hai , sabhi professors firaak me hai ki kahi koi student mill jaaye jisse woh exam me nibtaa sake aur aise crucial time me tum kabir se haatha - paayi karne ko taiyyaar ho gaye . That was really immaturish . " Main tab se soniya ki khari - khoti chup - chap sun raha hun par iska matlab yeh nahi ki soniya kuch bhi bolti jaayegi aur main sirf sunta jaaunga . Lekin main soniya ke gusse ko aur badhaana bhi nahi chahta isiliye tej aawaaz me baat karne ke bajaay maine dheeme swar me kaha - Nahi ! main bhi yeh baat jaanta hun soniya . I know ki aaj main thoda out of control ho gaya tha but tumne shayad kabir ko nahi dekha . Agar tum meri jagah hoti toh shayad wahi karti jo maine kiya .
" The point is not ki main tumhare jagah kya karti . The point is ki jo bhi tumne kiya that was totally wrong . I hate people who show off for some kind of mean stuffs . Tumne jo kiya , mujhe bahut buraa laga usse . " Soniya bina kuch jaane kuch bhi bolti jaa rahi hai . Mujhe bolne ka mauka tak nahi de rahi . Aisa kya kar diya maine jo itna react kar rahi hai ? Sirf kabir ka collar hi toh pakda hai , usko jaan se thode na maara hai . Mujhe laga tha ki soniya iss baar mera sath degi par jiss tareeke se woh mujhse baat kar rahi hai , woh mere nahi balki kabir ke saath lag rahi hai . Mujhe pehle tanik bhi gussa nahi aa raha tha par jab soniya ne yeh bola ki maine jo kiya woh sirf dikhaane ke liye kiya tab mere se bhi raha nahi gaya - Listen ! you think that i did that for show - off . Waao ! maine socha tha ki ab shayad tum mujhe samajhti hogi par No . You are still that old soniya that i knew during school days jo sirf khud ki feelings ko importance deti hai and she dont even care ki doosre kya feel karte hai aur kyun . You are wrong this time and you will come to know the reason why .
Shayad main kuch jyada bol gaya par iss samay main yeh nahi soch paa raha hun . Maine jo bhi bola , woh sirf soniya ke gusse se milaate huwe bola . Na toh inn baaton ka koi wajood hai aur na hi main khud ab inn baaton ko maanta hun . Mere itna bolte hi soniya seat se uthke - " Accha ! toh aakhir tum yehi sochte ho na ? Thanks for that honest opinion of yours , now i think i should go . Bye ! " aur canteen se baahar jaane lagi . Maine bhi usse rokne ki koshish nahi ki kyuki woh ab rukne waali nahi . Kuch bhi bolta toh galat hi lagta . Jab soniya canteen se jaa rahi thi toh woh humaare group se takraa gayi , Nishita ne usse dekhke - " Hii ! where are you going ? " Usne haste huwe soniya se bola par soniya jiss haal me hai , uss haal me usne nishita ko jawaab dene ke liye rukna sahi nahi samjha aur aage chalti rahi . Soniya ko itna gussa dekhke sanchit bolta hai - " Isko kya huwa hai ? " Sabhi yeh soch rahe hai ki soniya itne gusse me kyu jaa rahi hai . Phir jab woh log canteen me ghuse toh unki nazar mujh par aayi . Main wahi baitha hun sar jhukaa ke aur thoda gusse me . Woh sab meri taraf aate hai aur thoda hich - kichaate huwe par puchte zaroor hai - " Kya huwa vishnu , yeh soniya aise kyu jaa rahi hai ? " Mujhe khud pe itna gussa aa raha hai ki main kuch bhi bolunga toh zeher lagega isiliye main unse kuch bole bina uthke chala gaya .
" Lagta hai aaj subah jo huwa usse dono ke beech kuch huwa hai ? " Nishita samajh gayi humaare mood - off hone ki wajah ko . Soniya ek ore baithi hai aur main doosre kinaare par humaare beech me bahut doorie hai .
No comments:
Post a Comment