Nishita ! Mujhse naraaz ho kya ?
Maine iss baar thoda aaraam se , thoda pyaar se , thoda softly nishita se baat karne ki koshish ki taaki woh har pal sirf khush rahe naaki mere wajah se apna mood off na rakhe aur khaskar jab woh mere saath travel kar rahi hai abhi . Uski taraf ghumte huwe maine usse pucha ki kya woh mere kiye se naraaz hai taaki hum bina lade baat kar sake . Woh baahar dekh rahi thi aur muuh phulaaye baithi huwi thi . Par jab maine usse pucha toh meri taraf ek tak dekhne lagi .
Mere sawaal pe react karne ki jagah woh apne khayaalon me hi sawaal karne lagi - " Kya ladka hai yeh ! Ek toh khud naraaz karta hai apni stupid arrogant way of talking se aur phir kuch der baad itne pyaar bhari aankhon se dekhke puchta hai ki mujhse naraaz ho kya . Ab agar koi itni mohabbat se puchega toh main kaise kahun ki haan main naraaz hun tumse kyuki tumhe meri one pinch bhi fikar nahi hai . "
Uske mann me jo ladki sirf maasum nigahon se mujhe ghoor rahi hai , kabhi - kabhi toh lagta hai ki jo asal me mere samne baithi hai woh wahi nishita hai yaa koi aur . Koi andar itna soft hoker bhi baahar se itna patthar banne ki koshish kyun karta hai ? Mere hi baare me soch rahi hai aur woh bhi mere samne baithke mujhe ghoorte huwe . Maine bhi sar niche kar liya kyuki mujhe yeh nahi soojh raha ki main usko hosh me kya kehke laaun . Mere doosre bagal me jo couple baitha hai woh bhi nishita ko aur mujhe dekhkar muskura rahe hai par woh silent wali hansi taaki mujhe pata na chale . Maine socha ki jo yeh soch rahi hai mann me , uska jawaab main agar uske samne se de dunga toh aise sochna bandh kar degi .
Tumhari fikar hai tabhi toh apne saath ghar le jaa raha hun .
Meri baat sunkar nishita jaise chauk si gayi . Uske mann ki lehron ko maine ek kinaara de diya jisse uski naav paar lag gayi par ek kinaare se woh doosri ore behne lagi - " Aiyyo ! yeh toh mere mind ke thoughts bhi padh le raha hai . How is this possible ? Kya yeh mere ko itna dominate kar raha hai ki he can read my mind too ? Shit ! " Mujhe pata tha ki yeh ladki aisa hi kuch sochegi .
Ab mind me itna loud think karogi toh main kya koi bhi sun lega . Bas mere itna bolte hi nishita ke chehre pe se gussa aur hairaani dono hi gayab ho gaye aur uski jagah wahi uski poorani meethi muskaan ne le lii . Yehi muskurahat mujhe uss raat dekhne ko milli thi jab hum pehli baar samne aaye the .
" Noo ! kisne kaha ki main kuch think kar rahi hai ? Nahi ! bas aise hi . " Ab apne jasbaaton ko chupaane ke liye insaan jhooth ka hi toh sahara leta hai , nishita bhi wahi kar rahi hai .
Dont lie to me now ! Tumhari yeh jo khoobsurat aankhein hai na , yeh sab bata deti hai mujhe . Tum soch rahi thi aur mere baare me soch rahi thi . Hain na ?
Maine bhi muskurate huwe uske jhooth ko pakda aur haste huwe uske mann ki baat uske samne rakh di . Nishita sharmaa ke sar niche kar leti hai . Uska safed jhooth mere samne aa gaya toh nazar milaane se jhijhak rahi hai . Par yeh jhooth bilkul sahi tha .
Toh ab batao mere se yeh naraazgi kyu ?
Maine pehla sawaal phir kiya . Main jaanna chahta hun ki nishita ke aise behaviour ki wajah kya hai - " Nahi ! kisne kaha ki main tumse naraaz hun . No ! " Par nishita mujhe tab tak nahi batayegi jab tak main kuch alag nahi kehta usse .
Give me your hand !
Nishita ne turant apna haath meri taraf kar diya , bina mujhse puche kyun . Maine uske haath ko apne haathon se thaama aur Uske haath ko dekhte huwe kaha - " Jab se hum iss khataraa bus me baithe hai , tab se humne ek second bhi acche se baat nahi ki . Aur iska only reason main hun , i know . Main tab se itna rudely behave kar raha hun aur tum tab se mujhe tolerate kar rahi ho , i know . But now i m telling you that i wont start any shit arguement with you . Sorry ! .
Nishita ne mujhe tokna chaha , kuch bolne hi waali thi par maine apni baat poori karni hai - Hang on ! i m not done yet . Tumhe saath le jaane ka plan mera tha and you didnt even knew about that . So mujhe aisa behave nahi karna chayiye tumhare saath kyuki yeh mera plan hai aur ab jab tum mere paas ho toh tumhari har khushi , har like ka mujhe poora khyaal rakhna hoga . But abhi tak main sirf tumhe daantta aaya hun . Sorry for that ! par ab se leke waapis dehradun pahuchne tak main tumse nahi ladunga aur na hi tumhe naraaz karunga . Promise !
Meri baatein sunkar nishita ki aankhein bhar si aayi . Uska haath ab bhi mere haathon me hai . Uski nazrein meri nazron me khoyi huwi hai . Bus kya , safar kya , hume parvaah nahi ki hum kaha hai . Mere bagal me baitha couple bhi hume ek - doosre me khoya huwa dekh muskura raha hai . Nishita ke liye yeh pyaar hoga par mere liye pyaar nahi yeh farz hai jo mujhe nibhaana hai har haalat me . Par abhi main pyaar aur farz me antar nahi dikhaana chahta nishita ko .
" No ! actually sorry toh mujhe kehna chayiye ki maine tumse itne rudely talk ki . Ek toh tum mujhe apne saath apne home le jaa rahe ho and m arguing with you without any reason . I m sorry ! " Aankhon me aansun hai , shayad khushi aur satisfaction ke , par apne aap ko sambhaalte huwe usne apni bhi galti maan lii .
Iske baad humaara aage ka safar bina kisi ladaai aur bina kisi jhagdge ke guzraa . Hum the , humaari pyaari baatein thi , hansi - khushi se mehki hawa thi aur ...aur bus ka driver bhi tha .
Phir agle din hum pahuch gaye mere shaher - Gorakhpur . Aur jaisa ki maine socha tha ki bus - adde par koi hume lene nahi aaya hai kyuki ghar pe kisi ko pata nahi ki main kab pahuchne waala hun . Maine apna aur nishita ka bag liya sirf uska hand - bag chodhke aur niche utarte waqt wahi couple ki dominating personality ne mera hath pakadkar mujhe rokkar kaha - " Dekha ! pyaar se sab kuch kitna easy ho jaata hai . " Yeh kehte huwe unhone mujhe ek aankh maari aur mera haath chodh diya . Maine bhi unhe kuch kaha nahi , sirf haste huwe bus se niche utar gaya . Safar khatam ho gaya hai . Yahaan se ghar ka raasta hume rikshaw pe tay karna hoga .
Nishita ! i m sure ki tum kabhi aisi taxi me nahi baithi hogi .
Maine rikshaw ko roka aur apna aur nishita ka bag uspe laad diya . Nishita ki aankhon me surprised look saaf dikh raha hai mujhe . Sach me usne UP ka rikshaw nahi dekha hai aaj tak .
Haan bhaiya ! Suryavihar chalna hai .
Maine rikshaw wale ko bataaya ki hume kahaan jaana hai aur usne sar hilaa ke kaha haan . Yahaan ke rikshaw waale kisi nawaab se kam nahi hote . Apne ko akbar aur apni sawaari ko saleem samajhte hai , simple bole toh khud ko humaara baap samajhte hai . Nishita kuch bolne ke bajaay sirf shaher ko ghum - ghum dekh rahi hai .
Kitna loge kiraaya ?
Yeh sawaal aisa hai jo har sawaari ko rikshaw pe baithne se pehle puchna hi chayiye . So maine bhi pucha . Aur jab uska jawaab suna toh mol - bhaav toh karna hi hai - " Do jan ka 25 rupaiyya lenge . "
25 kyun bhai 100 le lo . Suryavihar ka 25 rupaiy ? Arre yaar ! 15 me chalo toh theek hai .
Maine wahi kiya jo har agla bandaa karta , kiraaya kam karne ki maang . Nishita meri aur rikshaw waale ki baat sunkar sirf hairat me padi khadhi hai .
" Nahi ! do jan ka kiraaya itna hi hai . Aap kya jaanenge yahaan ka kiraaya kitna hota hai ? " Rikshaw wala wahi kar raha hai jo usko bakhubi aata hai , mujhe patti padhaana . Main usse aur bhi jhadhap karta par nishita beech me bol padi - " Leave it no ! give him 25 , its not that much . " Maine bhi rehne diya aur 25 rupaiy dene ko taiyyar ho gaya . Chal bhai rikshaw waale ! tu bhi kya yaad rakhega . Hum baith gaye rikshaw pe jo humse 25 rupaiy lene waala hai .
Raaste me jo - jo jagah dikhi , wo - wo jagah ke baare me maine nishita ko bataaya .
Yeh dekho , yeh hai ghum - ghar . Yeh area yahaan ka porsh area hai . Idhar har choti se lekar badi - badi cheej tumhe mill jaayegi . From shops to hotels , everything , anything . Nishita ke liye jagah kuch khaas nahi hai par har nayi jagah insaan ko lag hi lagti hai .
Yeh hai dharm - bagh . Means yeh jagah nukkad gali hai . Yahaan tumhe har lazeez aur tasty khaane ka saamaan mill jaayega . Samose , kachori , jalebi aur saare delicious items , sab yahaan saste me milte hai . Woh sadak ke kinaare dekhne lagi . Aur dekhte - dekhte uske muuh me paani bhi aa gaya .
Hum log baatein kar hi rahe the raaste me ki tabhi ek jagah pahuch kar rikshaw waala beech me bolne laga - " Sahab ! yeh jagah bhi dikha do madam ko . Iske baare me bhi bataao . " Rikshaw waala na - jaane kyun mere se tapa baitha hai jab ki main usko 25 rupaiye dene ko ready bhi ho gaya . Maine socha ki yeh jagah ko beet jaane do kyuki yeh jagah bataane laayak nahi hai . Par nishita bhi rikshaw waale ki baaton me aa gayi - " Haan ! yeh kaun sa area hai ? Aur yahaan aise ladies kyun ghoom rahi hai road pe ? "
Nishita ! this is not descent place that you should know about . Maine usko chup karne ko kaha par rikshaw wala phir beech me taang ladaane laga - " Arre ! sahab bata do , pata nahi aap madam ko kabhi yahaan doobara laao yaa nahi . " Rikshaw waala meri bajaane me laga hai . Nishita bhi ussi ki bhasha me bolne lagi - " Haan sahab ! tell me na . " Shayad mujhe bataana hi padega ki yahaan auratein sadak pe kyu ghoom rahi hai . Aur yahaan itne chote - chote ghar kyu hai .
You wanna know , ok then . This is a red light area aur agar tumhara kabhi mood bane toh mujhe bataa dena . I will arrange a guy for you and also arrange a place room for you . Nice na ?
Ab nishita ki bolti bandh huwi aur rikshaw wala agar aage kuch bolta toh main pakka uska muuh tod deta . Par bhala ho usne kuch nahi kaha . Hum aage badhe aur suryakund pahuch gaye .
Yeh suryakund hai . Pehle humaara ghar yahi tha phir hum suryavihar me shift ho gaye .
Aur baaton hi baaton me hum apne ghar pahuch gaye , suryavihar pahuch gaye . Rikshaw wale ko uske 25 rupaiye diye aur usko chalta kiya . Humne apna - apna bag uthaaya aur ghar ki taraf chal diye jo sirf kuch hi kadam ki doorie pe hai .
No comments:
Post a Comment