Expertise of My Ishtaar - Rights !

Archiving & lest Cherishing

Tuesday 11 October 2011

Untitled Story : Home-Standing -- Almaari & TV :


" Aunty , Jaldi kariye na please . Mujhe woh things dekhni hai before Vishnu comes back home . " Nishita ne mummy ka haath pakad kar unhe baahar laate huwe kaha .
" Tumhe sach me dekhna hai ? " Mummy un cheejon ko saamne laane se pehle Nishita se ek baar puchti hai . 
Nishita itni excitement me hai ki usse naa toh bola hi nahi jaayega - " Haan ! I want to see them . " Iske baad na koi sawaal aur na koi jawaab . Mummy ne Nishita ka haath pakdaa aur phir dono mere kamre ki taraf jaldi se badhne lagi . Aisa kya hai jo Nishita itni excited hai dekhne ke liye ? Aisa kya hai jo Mummy mere kamre me usko le jaa rahi hai .
Dono feminine mere kamre me pahuchte hi kamre ka darwaaza bandh kar deti hai taaki agar main iss beech ghar pahuch bhi gaya toh kamre me naa aa paaun . Phir Mummy chhaabhi nikaalti hai aur mere almaari ka taala kholti hai . Meri woh almaari jo maine ghar se jaane ke baad kabhi bhi nahi kholi thi . Yeh almaari mere liye khazaana jamaa karne ki ek khufiyaa jagah huwa karti thi . Yeh almaari me maine kuch aisi cheejein jamaa kar ke rakhi thi jisse mujhe pyaar tha . Kuch aisi cheejein jo mere alaawa aur kisi ne nahi dekhi hai . Mummy ko yeh pata tha ki main almaari me sapne jamaa karta tha . Mere sapne bandh the iss bandh almaari me . Maine khud ghar aaker mere iss almaari ko haath nahi lagaaya tha . Par Mummy dikhaana chahti hai ki maine apne kaun se sapne ko bandh karke rakha hai iss almaari me . 
Almaari ko kholte hi mere beete pooraane dino ki saari baatein Nishita ke aankhon ke saamne aa gayi . Yeh almaari anokhi hai kyuki iske andar maine kapde nahi balki apne sapne rakhe hai . Woh sapne jo ab chah kar bhi main nahi jee sakta hun . Sabse pehli cheej jo saamne aayi woh hai ek aadhe handle waala cricket bat . Chhota aur bahut pooraana par sambhaal kar rakha huwa , cricket bat . 
" Jab school ke liye pehli baar team me select huwa tha tab ka bat hai yeh . Apne papa se chhupaa kar khud jaaker kharidaa tha vishnu ne . Tab se bade jatan se rakha hai iss bat ko yahaan . " Mummy se raha nahi gaya aur aankhon me aansuun bhi aur chehre pe ek muskaan bhi , dono hi bhaawon ko peerote huwe Nishita ko mere bat ki kahaani bataayi . 
Woh bat Nishita ne ek tak nihaar kar apne bagal me rakha aur phir uski nazar un trophies aur shields par gayi jo almaari ke sabse upar khaane me rakhi huwi hain - " Aunty , yeh prizes aur award sab .....sab Vishnu ke hai ? " 
Mummy ne aagey rakhe sabse badi trophy ko baahar nikaala . Trophy ke niche jo jagah thi uspe mote - mote aksharon me likha huwa hai - ' Inter School Tournament Winner ' . Mummy ke haath ki ungliyaa un likhe huwe shabdo ko chhute huwe gayi , iski bhi ek kahaani hai - " Yeh dekh rahi ho ? Yeh Vishnu ki sabse badi uplabdhi hai . Cricket team ka captain aur apne team ko jeetaya tha tab yeh trophy lekar lauta tha . Bahut khush tha uss din jab usne yeh trophy apne haathon me pakdi thi . " 
Bade trophies ke beech ek chhoti si shield bhi dikhi Nishita ko jispar bhi kuch likha huwa hai par dhul jamaa hone ke kaaran kuch saaf nahi dikh raha . Mummy ne Nishita se woh shield maangkar kaha - " Laa , saaf kar deti hun . " aur phir apne saaree ke pallu se jami dhul ko saaf kiya . Tab dikha ki shield ke niche kya leekha huwa hai - ' Shakti Cricket Team ' . Nishita ko samajh nahi aaya ki iska matlab kya hai - " Aunty , yeh kis liye hai ? " 
" Yeh ? .....Arre yeh toh apne colony ke ladkon ne jeeta tha par Vishnu ne zidd kar ke yeh shield maang li thi . Chhota tha na isliye kisi ne manaa bhi nahi kiya aur de diya . Shayad yaheen se usse yeh mehsoos huwa ki woh cricket ke liye kuch bhi kar sakta hai . Laao isse main rakh deti hun . Chhoti si hai , kaheen gum na ho jaaye . " Toh mere cricket prem ki shuruvaat ek chhote se shield ne kee thi . Phir Mummy ne sabse khaas cheej ko baahar nikaala . Ek kitaab jo ki almaari ke locker me rakhi huwi hai . Kitaab jiska cover hi sab keh deta hai . Cover pe hi 1983 aur 2011 world cup winner team ki ek tasveer chipki huwi hai , yaani ki Indian team ki . Ek me Cup Kapil Dev ke haathon me hai toh doosre me Cup Dhoni ke haathon me hai . Mummy ne yeh kitaab Nishita ko dete huwe kaha - " Yeh dekho . Roz , jab - bhi  koi nayi tasveer newspaper me nikalti thi na , toh usse kaat ke apni iss kitaab me chipka deta tha . " 
" Oh really , How sweet is that ! " Nishita yeh sunkar hasne lagi . Kuch deewaane aisi aadaton se ladde huwe hote hai . Mujhe bhi yeh aadat thi . 
" Vishnu ki iss aadat se inko bada gussa aata tha . " Mummy ne aagey bhi baat zaari rakhi .
" You mean uncle ? " Nishita ko pehle toh ' Inko ' kaun hai nahi pata laga lekin phir samajh gayi ki Mummy papa ki baat kar rahi hai . 
" Haan ! Inke paper padhne se pehle woh paper pe idhar - udhar kanchi chala deta tha aur inki news aadhi reh jaati thi . Bada gussa karte the yeh par Vishnu kabhi nahi sunta tha . " Mummy ko pehle se hi papa ke gusse me baare me pata tha aur yeh bhi pata tha ki papa mujhe kabhi cricket khelne nahi denge . 
Nishita ne kitaab ko khola aur ek - ek karke saare panno ko dekhne lagi . Har panne me ek kahaani hai . Har panne pe cricket ke baare me woh sab kuch hai jo ek cricketer tak nahi jaanta hoga . 
In sab me samay bahut lag gaya . Tabhi Mummy ki nazrein kamre ki wall clock pe gayi . " Ab hume almaari pe taala maar dena chayiye warna kaheen Vishnu aa gaya toh na jaane kaise react karega . " Mummy ne saara saamaan waapis andar rakh diya , theek ussi tarah jaise ki woh pehle tha . Almaari pe maara taala aur dono hi kamre se baahar chali aayi . Nishita mummy ke saath niche toh aayi par phir wahaan se mummy kitchen me aur Nishita apne room me yaani ki guest room me chali gayi . 
Apne kamre me pahuchte hi Nishita bed pe jaaker baith jaati hai . Kuch soch rahi hai . Mann me kuch chal raha hai . Chup - chaap bed pe baithi hai . Palkein jhuki huwi hai par dekh kuch aur rahi hai . Na - jaane mere adhoore sapne ko kis nazariye se dekha hai Nishita ne - " Yeh reason hai tumhare aise attitude ka . Apne dad ke kahe ko maan toh liya par khare nahi utar paaye . Karna kuch aur chahte ho par kar kuch aur rahe ho . Oh god ! aur upar se main hun jo hamesha tumhe pareshaan karti rehti hun . Ek toh waise hi tumhe itna dukh jhelna pad raha hai aur uske upar se main tumhe hamesha tang karti rehti hun . I m sorry , Vishnu ! I promise you ki aaj ke baad se ....aaj kya abhi se main kabhi tumhe pareshaan nahi karungi . Nahi ! ...kabhi - kabhi karungi par phir maafi bhi maang lungi . I will make sure that there is a big smile on your face from now on . " Nishita ke dill me jo feelings thi woh ab pehle se jyada gehri ho gayi hai mere liye . Pyaar me dukh dena toh bada asaan hai par pyaar ko khushi dena aur bhi jyada asaan hai . Nishita ko yeh toh samajh aa gaya ki Vishnu ke aise hone ki wajah kya hai par woh yeh nahi jaanti ki ab Vishnu kuch nahi badal sakta . 


Raat ke do baj rahe hai yaa phir dhaai . Andhere ki wajah se kuch saaf nahi dikh raha hai par yeh toh pakka hai ki chaand ki roshini sabse jyada hai is samay . Ghar me sabhi log chain ki neend soo rahe hai . Mummy - papa bhi apne kamre me soo hi rahe hai . Par mujhe har raat ki tarah aaj ki raat bhi neend nahi aa rahi hai . Jab se hosh khoya hai tab se neend toh udd si gayi hai meri . Baahar hall me baithke TV dekh raha hun . Waise itni raat ko sirf do hi tarah ke channels on - air hote hai . Ek sports channels aur doosre woh silent movie channels . Par main India ka match dekh raha hun . Live nahi hai , highlights . Hall ki batti maine bujhaa di hai taaki baahar koi yeh na samjhe ki andar log jaage huwe hai . 
" Vishnu , is that you ? " 
Main TV pe nazrein gadaaye baitha tha ki mujhe piche se ek aawaaz sunaai di . Mujhe pata tha ki itni raat bhi mujhe chain nahi milne wala . Palat ke dekha toh andhere me ek roshini ki kiran ke bilkul beecho - beech khadhi hai Nishita . Uske kamre ka darwaaza khula huwa hai jahaan se lights on hone ki wajah se roshini hall me aa rahi hai . Woh phir aagey badhne lagi , mere sofe ke paas .
Tumhe neend nahi aa rahi kya ? 
Maine dheemi aawaaz me Nishita se yeh pucha ki itni raat me bhi woh mere piche kyun aayi hai . Dabi aawaazein kabhi - kabhi shabdo ke do arth nikaal deti hai . 
" Nahi . But what about you ? Tum raat me soote nahi ho kya ? " Bolte - bolte Nishita sofe pe baith hi gayi . Ab usko jaane ke liye directly toh bol nahi sakta isliye apne aap hi chup ho gaya . 
Nahi ! Monsters raat ko nahi soote isliye jag raha hun . 
Nishita khil - khilaate huwe TV ka remote apne haath me leti hai aur sports channel ki jagah doosra channel lagaa kar bolti hai - " Monster ? " 
Haan ! monster . Par aaj jaan gaya ki chudail bhi raat me nahi sooti . 
Yeh bolte huwe maine bhi TV ka remote uthaaya aur waapis se sports channel lagaa diya . Nishita phir se muskuraane lagi . Waise uski yeh hansi apne upar thi kya ? 
" Itni raat ko kya dekh rahe ho ? " Obvious sa sawaal tha . Main soo bhi nahi raha aur TV pe time - pass kar raha hun .
Match dekh raha hun . Dekhne dogi ? 
Thoda uunchi aur gusse bhari aawaaz me maine Nishita se kaha kyuki usne phir se TV ka remote apne haath me pakad liya aur channel badalne lagi . 
" Mujhe F-tv dekhna hai . Kabhi dekhne ka mauka nahi milta na so aaj dekh hi lena chayiye . " Nishita ne yeh bolte huwe channel badal kar F-tv laga diya . Mera match wahi reh gaya .
F-tv rehne do . Kal main tujhe poori picture dikha dunga .
Itna bolte huwe maine uske haath se TV ka remote le liya . Channel turant badal diya aur waapis sports channel laga diya .Isse pehle ki woh phir channel badalti , maine Nishita ko baaton me uljhaane ki koshish ki . 
Tum jaaker soo kyu nahi jaati ? 
" Mere kamre me bahut garmi ho rahi hai . Neend hi nahi aati isliye baahar chali aayi . Its so hot in there . " Nishita ka ajeeb - o - gareeb bahaana ki kamre me garmi jyada hai . Itne thand ke mausam me kisi ko garmi bhi lag sakti hai . 
Tum jaao mere room me . Udhar AC on kar ke soo jaao .  Jaao ! 
Do baar jaane ko isliye kaha kyuki mere baat ke beech hi Nishita ne mere haath se TV ka remote le liya aur F-tv laga diya .
" Thanks ! But pehle yeh dekh luun . " Nishita ke aisa karne se mujhe thoda gussa aane laga . Ek toh mujhe sports channel lagaane de rahi hai aur uske upar se F-tv lagaa rahi hai . 
Dekho ! iske alaawa kuch aur dekh lo . Remote mujhe do . Do ! 
Maine remote lene ki koshish ki par usne TV ka remote kas - kar pakad rakha hai . 
" No ! " 
Uski bhi zidd toh meri bhi zidd . Maine remote lene ke liye dono haath lagaa diye . Nishita ne bhi remote ko dono haatho se dabaa liya . Hum dono ki chheena - chhapthi ki wajah se TV ka volume bahut jyada badh gaya . Aawaaz itni jyada tej ho gayi ki ab toh sabhi uth jaayenge . 
Aawaaz kam karo ! 
Maine remote lene ke liye Nishita se chilla ke kaha ki TV ka volume kam kare . TV ke aawaaz ki wajah se meri aawaaz dab hi gayi . Nishita ne hadh - badi me remote chodh diya aur phir . Phir naa to remote mere haath me aaya . 
" Oouuchh ! " Nishita zor se chheenkhi jab uske haath se remote chhoot gaya aur seedhe sofe ke cushion ke niche ghus gaya . 
Maine fauran jaldi se ek haath cushion ki choti si jagah me haath phiraaya . TV ka remote niche hi hai , maine jaldi se remote nikaala aur TV switch off kar diya . Par shayad maine thodi der kar di . 
" Kya kar rahe ho dono ? " 
TV bandh karte hi ek aur aawaaz Nishita aur mujhe dono ko sunaai padi . TV toh off hai . Phir yeh kaun bola . 
Palat kar dekha toh piche Mummy khadhi dikhi . Chehre pe hairaani aur neend se jagne par gussa . 
" Kya ho raha hai yahaan ? " Mummy ne phir se sawaal kiya ki hum dono kya kar rahe hai . 
Phir maine yeh baat realise kiya ki Nishita aur mujhe iss waqt koi bhi dekhta toh yehi puchta - Kya kar rahe ho ? 
Maine jab yeh realise kiya toh niche dekha . Mere niche Nishita hai jo sofe pe aadhi padi hai . Maine remote lene ke liye jhuka tha niche toh maine dekha nahi ki nishita bhi wahi hai . Mere ek haath me TV ka remote hai aur doosra haath Nishita ke kandhe pe hai . Main theek uske upar hun aur woh bhi uske taraf muuh karke . Aise haalat me toh koi kuch bhi soch sakta hai . Main fauran bina agle sawaal ka intezaar kiye bina apni jagah se piche hat gaya .
Kuch nahi ......Aabbbaaa...bababa....Woh .....wo TV ...TV ka volume loud ho gaya tha na toh.....
" Aunty ! .....Ga...gaga...ga.....galti se volume .....woo...woo...woh loud ho gaya tha . " Nishita bhi girte - padte shabdo ka istemaal karte huwe sofe se uth khadhi huwi . 
Mummy andhere se nikal kar roshini me aa gayi - " Nishita ! beta tum jaaker soo jaao . Raat bahut ho gayi hai na . " 
Mummy ke order ko maante huwe Nishita turant mere kamre ki ore chal padi - " Good night aunty ! " 
Nishita chali gayi aur ab meri baari . " Aur tum ? Tum bhi jaao . Jaaker soo jaao ab . " Mummy ka order aur main bhi chal pada Nishita ke kamre ki ore .
Acchhaa ! ! 

5 comments:

  1. Yaar please is story ko complete krdo. I love it.

    ReplyDelete
    Replies
    1. due to prior commitments , m unable to blog ...... but m writing it in personal so ll do post smday forsure

      Delete
  2. dude when will u post the remaining part of this story? plz... post it na... its been very long time.

    ReplyDelete