Expertise of My Ishtaar - Rights !

Archiving & lest Cherishing

Sunday, 27 March 2011

Untitled : The Beginning - Bed Dream !!!

"And the student of this year is - Vishnu ".Main apni muskurahat se apni khushi zaahir kar raha tha. Itna mehnat kiya aur pure saal ki mehnat ka itna accha fal mila ,Student of the year. Yeh to har us student ka sapna hota hai jo puri lagan se padhai ko apna dost maanta hai. Maine maana aur mujhe yeh award mila. Ab main stage pe jaaker apne principal se award lunga. Mere principal ko pehle se hi bharosa tha ki yeh haq mera hai. Unhone mere track records dekhe the aur usi waqt mujhse kaha tha ki iss award ko mujhse behtar saathi nahi mill sakta hai.Main saatwe aasmaan pe tha. Sabhi mere classmates mere liye taali baja rahe the , kuch khushi se to kuch mann ki kadwaahat ko apni jhoothi muskaan ke peeche chipa kar. Aise log dost kam aur competetor jyada maane jaate hai. Inki muskaan hi inki gaaliyon ko raasta deti hai. Par mujhe ab in sabki kya padi hai? Award to main jeet hi chuka hun. Meri bhi photo khichegi , School ke panno pe mera bhi naam likha jaayega aur wo bhi bold marker se. Sabhi teachers mujhe garv se nihaar rahi thi. Inko lagta hai ki maine yeh award inke padhane ki wajah se jeeta hai. Khair ! galatfehmi sabko hoti hai. Par main bhi inko khush karne ke liye haste hue keh gaya " Mam ! its becoz of ur way of teaching . Thanks a lot ." Yeh bhi khush. Ab chal Vishnu , award intezaar kar raha hai tera. Kaheen principal ke haath se phisal gaya to muuh dekhta reh jaayega sabka. Stage ki seedhiyan bahut lambi lagne lagi. Main jitna upar jaaun , stage utna hi dur jaaye. Yeh kya ho raha hai? Principal mujhe haste hue dekh rahe hai , mera intezaar kar rahe hai. Par main sirf seedhiyon pe chadhta jaa raha hun , un tak pahuch nahi paa raha hun. Yeh aakhir ho kya raha hai ? " No ! let me go . Whats happening ? " Main chilla raha hun , poori zor laga raha hun par main upar nahi jaa pa raha.Achanak sab bacche mere upar hasne lage. Teachers mujhe gusse  se dekhne lage. Yeh in sab logo ka behaviour mere liye aise badal  kyu raha hai ? Principal award ko phenk dete hai aur mere taraf aa rahe hai. Yeh award mera hai isse mat phekiye . Main chilla raha hun par utni bheed me meri cheenk  koi nahi sun raha . " Tum best student nahi ho. U r a failure." Itna kehke wo hasne lage. Main apne aansuoon ko rok nahi paaya . Itni bezzati maine kabhi nahi sahi. Stage ki seedhiyon par khada hoker apna mazaak bana raha tha main. Main chilla-chilla ke rone laga par sab aur zor se hasne lage. Main unke liye kisi circus ke joker se kam nahi . " Please ! dnt do this to me. " Kehte -kehte thak gaya par kisi ne meri ek na suni. Achanak se meri aankh khuli . Sapna tha yeh , par kya yeh sapna ek paheli thi yaa aane wale kal ka sanket. Maine kabhi aisa sapna nahi dekha tha. Khud ko itna Helpless kabhi mahsoos nahi kiya jitna iss sapne me kiya. Main chilla raha hun , ro raha hun aur wo bhi poore school ke samne. Kya aisa sach me hone wala tha? Yeh ho bhi sakta hai , kyuki jis hisaab se maine 10th ki padhai ki hai uss hisaab se to mujhe school se nikaal dena banta hai. Bed pe pade-pade yeh kaise khayal aa rahe hai mujhe ? Bad thinking to suna tha , par Bed thinking pehli baar suna . Ghadhi ko nigaah talaashne lagi. Andhere me kitna baj raha tha , yeh bhi nahi dikh raha tha.Uthke apne kamre ka darwaza khola aur hall ki badi ghadhi ko dekha. Abhi 5 bajne me thoda tym tha. Par yeh tym bilkul sahi tha. Shayad aap log bhool gaye par main nahi bhool sakta . Kyuki yeh meri zindagi ka sawaal hai , Sorry , meri maut ka sawaal hai. Maine socha tha ki 5 baje main subah ki walk ke liye niklunga aur bandhe ke kinaare nadi me kud jaaunga. Swimming classes kabhi ki nahi to dubke mar sakta hun na. Shayad isiliye itni jaddho-jahad ke baawjood koi mujhe swimming nahi seekha paya.  Jogging suit pehana aur aadhe andhere me nikal gaya. Is samay aakash me na suraj poori tarah se nikla tha aur na hi chaand poori tarah se chipa tha. Yeh samay hamesha mujhe pasand raha hai. Main chutti ke dino me morning walk hamesha se karta aaya hun . Par shayad yeh meri aaj  ki aakhiri walk hogi. Ek baar upar dekha. Ghar ka darwaza band kiya aur apni maut ko gale lagane chal diya.  

No comments:

Post a Comment