" Toh Baccho ! apne dimaag ke gyaan-kacchu ko khol do aur humare saath gyaan ki sair karo . Safar lamba hone wala hai par agar hum saath rahenge toh khushi se gyaan ko grahad kar lenge . Kya aap humare saath hai ? Kya aapka haath humare haathon me hai ?Boliye ! " Yess sir ! Hum aapke sath hai . Waise yeh humare Professor hai , kyuki yeh Bihaar se hai isiliye hamesha bhojpuri touch dete rehte hai . Inka naam hai , kaafi chota hai par ajeeb hai - Mr. SRK . Ji SRK ! , matlab Shahrukh Khan nahi , Sooraj Ravishankar Kripal . Ab shayad sabka doubt clear ho gaya hoga. Shuddh hindi aur ashauddh padhai , yehi inka motto hai . Aaj tak inka padhaya kisi ko bhi zara sa bhi samajh nahi aaya hai phir bhi yeh iss college ke main professors me se ek hai .Kabhi kabhi kuch cheeje kyun hoti hai , koi samajh nahi pata . Shayad inka subject Physical Physics hai , pata nahi kyuki poora samay toh yeh philosophy jhaadhte rehte hai . Itihaas ke panno se hote huwe yeh bhugol pe aate hai aur phir hindi lipi pe khatam ho jaate hai , ab isme science kaha se aayega . Par inhone pucha ki hum inke sath hai ki nahi , toh humne haan kar dee. Class me bheedh par bheedh me main har baar ki tarah akela nahi hun aaj . Kal raat ke baad main apne piche baithi Nishita ko pehchaan gaya hun ab . Sach me yeh sirf mujhe hi dekhti rehti hai . Shayad yeh mujhe like bhi karti hai , par yeh nahi jaanti ki maine apna dill Soniya ko kayi saal pehle hi de diya tha aur ab bhi mera dill wahi Soniya ke paas hai . Mood accha hai toh socha ki kuch kiya jaaye . SRK toh padhate rahenge , par padhta kaun hai inke bell me . " Haan toh baccha ! hum keh rahe the ki Akbar bhi chahte toh engineer ban sakte the . Par .." Sir ke lecture ko interrupt karne ke liye humne ek ladka book kiya huwa hai , Raju . Raju har baar sir ko jawaab deta hai aur jawaab aisa ki poori class maja le le . Raju phir se bola -" Par uss zamaane me engineering colleges nahi the isliye . " Waah ! kya logic diya hai Raju ne . Poori class aur main phir se hass pade , aur koi option bhi nahi hai . Sir thoda gussate hai par Raju ke saamne toh unki bhi nahi chalti - " Baccha Raju , tumne theek kaha . Tumhara uttar prabhaavshaali hai par utteed nahi hai . Dekho baccho ! Akbar bachpan me ghodo ka bahut shauk rakhte the . Unke hi kaaran aaj hum gaadiyon - motor cycles me horse - power paate hai . Bolo Akbar ki jai ho ! " Jai ho ! Jai ho ! . Yeh hai SRK ki physics class . Piche kya haal hai ,dekhte hai . Nishita kya soch rahi hai , main sun sakta hun - " Vishnu , OMGee ! tum piche se bhi awesome lagte ho " Baap re ! aisa kya . Koi piche se awesome kaise lag sakta hai bhala . Chehra toh mera saamne hai , phie yeh kis part ko awesome keh rahi hai ? Ohh ! main thoda uncomfortable mehsoos karne laga ab . " Vishnu , tumhare baal toh kisi hero ki hair-ishtyl jaisi hai . " Maine bhi yeh jaanke apne baalon pe haath phiraya . Wo sirf mujhe hi dekh rahi hai piche se . " Ek baar ghum ke dekhlo piche , main har din tumhari ek nazar ke liye baithi rehti hun . Bhagwan ! please aap Vishnu se kaho na ki wo piche dekhe , mujhe dekhein . " Bhagwan se vinti kar rahi hai . Chalo , bhagwan ne iski sun li . Main bhi piche ghum hi gaya . Hiiieee ! kaisi ho ? " Wao ! main bilkul theek hun." Itna sunke main waapis aage dekhne laga warna sir hume pakad lete . Ab kya sochogi tum ? " He bhagwan ! tumne meri sun li. I luv u Vishnu ! " Arre baap re ! yeh toh kuch jyada hi khush ho gayi . Ab piche nahi mudne wala . Main yeh sab soch hi raha tha ki sab khade ho gaye , principal ji aa rahe hai . Mr SRK kinaare chale gaye . Humare principal sahab - " Students ! aaj humare college ka koi hissa banne wala hai . Koi naya player hai jo pitch pe utarega . " Woh kya hai na ki humare principal ko cricket bahut pasand hai . Sirf dekhte hi nahi , yeh cricket bolte bhi hai . Jaise hum students inke liye team players hai , yeh college inki franchise hai . Franchise isliye kyuki jabse IPl shuru huwa hai ywh IPL ke bhi deewane ho gaye . Waise principal sahab ka naam , i mean humare coach ka naam hai - ORKUT . Funny hai na ? Waise orkut ka matlab -Om Rishikesh Tripathi . Par saara shaher inhe orkut ke naam se jaanta hai . Orkut isliye kyuki hum sabne apna - apna account inhi ke college me banaya hai . Dekhte hai aaj ka naya player kaun hai . " Team apna naya member ka swaagat karo , hum inhe opening ke liye chunte hai . Give a warm welcome to Mis. Soniya Srivastava . " Darwaaze se ek pari andar aayi . Apne lambe kaale baal , gore - gore gaal aur madmast chaal ke saath , Soniya class me enter ki . Yeh Soniya hai , meri Soniya . Kitna saalo baad ? Main abhi kya mehsoos kar raha hun , main bilkul nahi samajh paa raha ab . Meri aankhen vishwas nahi kar paa rahi ki Soniya saamne hai . Sab kuch out-of-focus sa ho gaya . Soniya ke alawa aur koi nahi dikh raha . Meri aankhon pe aate hi kabja kar liya . Sab kuch tham gaya . Bas main aur Soniya aur koi nahi . Aaj hawa me khushi ki lehar beh rahi hai , taazgi mere chehre ko chhu rahi hai . Main usse dekh raha hun , dekhen jaa raha hun aur dekhta rahunga . " Toh Soniya Tendulkar , aap pehli seat pe baith jao kyuki opening aap ne hi karni hai . Okay , i will take ur leave now . " Main ab bhi hosh me nahi . Meri toh batti hi gul ho gayi ho jaise . Phir se wohi nazaara , main aur Soniya itne paas . Wo aayi aur seedhe mere thik saamne baithi hai . Yeh kya ho raha hai mere saath , sab kuch mere liye khaas hota jaa raha hai . Jo chayiye mill raha hai . Soniya sab kuch tha bas ek tum nahi thi . Par aaj tum bhi aa gayi . Main toh mann hi mann ucchal raha hun . Agar aas-paas koi nahi hota toh main zaroor khushi se jump karta . She is here now . The love never leaves you if it is yours . Aaj mujhe yakeen ho gaya iss baat par . Yeh mere liye sabse khushi ka pal hai , meri zindagi ka doosra sabse sunahra pal , pehla toh jab maine Soniya ko dekha tha tab . Sach kahun toh Soniya ki surat me har ghum ko fanaa karne ka raaz chupa hai . Abhi tak har raah me uska ehsaas juda tha par ab wo khud mere saamne hai . Aaj tak mera har khwaab usi se juda raha aur ab aage bhi rahega . Zindagi ka har pal toh pehle se hi uske naam hai . Aaj meri khushi ka koi kinaara nahi . Main , mere aage Soniya aur humari zindagi . Bhale hi Soniya mujhse baat na kare par pehchaan to sakti hai . Pehchaana toh chayiye hi yaar . I loved her and will always do .
The Ishtaar-Rights !!! In our effrts to provide advantages we have actly produced the most competitive, highly pressured, and over-organized generation of youngsters.Perfectly said by Le Shan.... Dream Big ....Let Our Aim be The Biggest Dream Bonanza Of ours...All successful people men and women are big dreamers. We r not Worth Waste...Our Talent is yet to be cherished.. Way to Show to Every1 - If u don't sell, it's not the product that's wrong, it's you,dis is here to do the same- The Next !
Expertise of My Ishtaar - Rights !
-
MK Gandhi - Nations's Bapuji : Now , remembered as the Father Of The Nation , this legend was also once the Child of the nation . A ch...
No comments:
Post a Comment