" Soniya ! tum kaun se shaher se ho waise ? "
" Main Gorakhpur se hun , 12th ke baad waha admission nahi mila toh idhar form bhara aur seat mill gayi . "
Main kitna bhi koshish kar lun par jab tak Soniya mere paas hogi main usse door nahi jaa sakta . Soniya aur Kabir baat kar rahe hai . Yeh break-time hai aur hum sab canteen me hai . Soniya new hai par usme khasiyat hai ki woh sabse jaldi gel-up ho jaati hai . Abhi bhi woh sabse has - has ke baat kar rahi hai . Main Aarav ke saath baitha hun . Uska saara concentration samose pe hai aur mera saara concentration Soniya pe . Waise Kabir humare batch ka Topper hai . Pehle internals me isne itna high score kiya kee professors bhi iske shaageer ho gaye hai . Kabir har cheej me aage rehta hai , ab chahe wo padhai ho yaa flirting . Mujhe usse tips leni chayiye shayad . Uff ! kitni pyaari muskaan hai Soniya . Hamesha uska haste huwe baat karna . Uske smile se gaalo pe wo dimples uski cuteness ke ratings aur badha dete hai . Usne mujhe abhi tak notice nahi kiya par koi baat nahi , main bhi taiyyar nahi hun uska saamna karne ke liye . Itne der se apne ko rok ke rakha hun , shayad mujhe uske paas jaana chayiye , usse milna chayiye . Jab se Soniya aayi hai tab se ajeeb si khushi mehsoos ho rahi hai . Charo taraf love-birds hi dikh rahe hai . Hawa me romance ghul gaya hai . Kaano me jaise violens baj rahe hai , aur gaane bhi filmy - fully romantic . Har jagah sitaare aur har sitaara chamakta huwa . Aate hi poore college pe jaadu chala diya ho jaise . Ek jagah Aarav aur Priya ek-doosre ke saath baithe hai . Ek jagah Nishita mere khayaalon me khoyi huwi hai . Sameer aur Vicky ek-doosre ke aankhon me aankhein daale huwe khoye hai , bhale hi unconventional love hai yeh . Kaheen koi toh kaheen koi aur , par har taraf sirf pyaar hi nazar aa raha hai . Par main Soniya se itne door kyu baitha hun ? Ab bahut ho gaya , ab time for some face off . Chal beta Vishnu , ab Kabir ko side karne ka waqt aa gaya . Par main chahke bhi uske paas nahi jaa paa raha . Mujhe yaad hai dhai saal pehle hum jaise alag huwe aur uske baad kabhi mile bhi nahi . Wo tab bhi mujhse naaraaz thi aur shayad aaj bhi hai . Agar usne mujhe pehchaanne se inkaar kar diya toh ? Abhi itne saare log hai aas-paas , abhi jaana theek nahi hoga . Shayad mujhe dispersal tak rukna chayiye . Woh mere saamne hai par main uske saath nahi . Mujhe ab Kabir ko dekhke gussa aa raha hai . Woh kursi pe baithke ishtyle maar raha hai . Soniya ka chehra dekhke pata chalta hai ki wo Kabir ki baaton se bore ho rahi hai . Uska chehra padh sakta hun main kyuki uske sabse kareeb bhi toh tha kabhi . Soniya ko bahut jyada act karne wale ladke pasand nahi aate . Woh bhale hi extra-ordinary hai par usse hamesha se simple log hi acche lagte hai , jaise ki main . " Vishnu ! class ka time ho gaya hai . Chale ? " Nishita shayad mere liye hi ruki huwi hai ab tak . Wo mujhe chahti hai , main uske mann ki baat padh sakta hun . Par jab usko pata chalega ki main sirf Soniya ka hun toh wo toot jaayegi . Yeh kyun ho raha hai ? Haan ! chalo , class ka time ho gaya . Hum class ke liye chal pade . Main saath to Nishita ke hun par paas Soniya ke . Main Soniya ko chahta hun , Soniya pata nahi kise chahti hai , Nishita mujhe chahti hai aur Kabir Soniya ke piche pada hai . Yeh sab aage ke confusion ko dikha raha hai .
No comments:
Post a Comment