Expertise of My Ishtaar - Rights !

Archiving & lest Cherishing

Friday 15 July 2011

Untitled Story : Holidays Ofter Exams - "ROAD TO GORAKHPUR":

Safar ki shuruvaat ho chuki hai .
Aarav ne hume bus ki ticket dilaa di . 
Main aur Nishita dono ab bus me baithkar gorakhpur ke liye nikal chuke hai .
Bus se safar karna aur woh bhi itne raat me aur woh bhi kisi ladki ke saath , yeh mere liye saawan ki pehli baarish hai . Ab tak toh Nishita chup karke apna muuh bandh karke baithi huwi thi par achanak se uske andar ki ladki hosh me aa gayi aur woh bolna shuru kar di . 
" Do i have your permission to utter a word ? " Mujhse puch rahi hai ki kya main ek shabd bol sakti hun  aur yeh puchne ki liye na -jaane kitne shabd usne istemaal kiye . Main window seat pe baithkar bus ke baahar ka nazaara dekh raha tha . Ab apne doosre bagal me baithi south indian par bilkul gori ladki ko dekhna hoga kyuki uska mood hai mujhse kaun banega crorepati khelne ka . 
Agar main kahun ki no , toh kya tum nahi bologi ?
Main jaanta hun ki ladkiyon ko haan karo yaa naa karo , woh bolti dono hi case me hai toh mere jawaab ka koi arth nahi banta . Par nishita mere gusse ka shikaar nahi banna chahti hai , isiliye - " Ok ! fine . I wont say anything to you . But will you tell me why are you taking me along with you  ? And that too to your home ?  "
Tumhi ne toh ek baar mujhse kaha tha ki you want to feel what family is , what happens when every member of a family lives together . So i thought just to give you an experience sort of thing . Now happy na ? 
Nishita ko chup karaana hai toh usko emotional karne se accha tareeka aur kuch bhi nahi . Pata nahi tha mujhko ki south ki ladkiyan itni Senti - Mantle hoti hai  - " Tumne yeh mere liye kiya ? Oh ! i dnt know how to thank you even . You know i always wanted to live in my family . Mujhe bhi mummy daante aur jab mummy khafa ho jaaye toh paapa aaker mujhe dulaare . But kabhi ho na saka aisa but aaj jab main tumhare ghar pahuchungi tab mujhe bhi pata lag jaayega ki family hoti kya hai , family me rehte kaise hai . Thank you Vishnu ! Thanks a lot . " 
Aaj nahi , kal . We will reach home tomorrow .

Safar dheere - dheere cut raha hai yaa phir driver bus bahut dheere chala raha hai  , iska pata toh lagaana mushkil hai . Raat ke andhere me speed kam hi acchi lagti hai . Par agar itni kam speed hogi toh pata nahi shaher kab aayega ! Mera toh mann kar raha hai ki driver ki jagah khud bus chala kar shaher pahuch jaaun . Par nahi chala sakta kyuki mere paas license jo nahi hai . Nishita soo chuki hai aur soone me apne sar ko sambhaalna bhool chuki hai . Ladki din - bhar itna bol leti hai phir bhi inhe chain nahi aata hai . Soo rahi hai par phir bhi chabad - chabad muuh chala rahi hai . Pata nahi sapne me kiske saath gappe haank rahi hai . Uska sar achanak se mere kandhe pe aa gira . Pehle toh maine socha ki usko jagaa ke kahun - Ae ! apna sar apne paas rakho . Lekin jab maine usko jagaane ke liye uski taraf mudaa toh uska pyaara soota huwa maasum chehra dikha . Kitne shaanti se soo rahi hai yeh ! Isko apni koi fikr nahi hai jaise abhi ! Shayad yeh be - fikri meri wajah se hai ki main uske saath hun toh isko koi kya kar sakta hai . Uske chehre ko dekhke mera mann kiya ki aise hi sooti rahe hai , mere kandhe par sar rakh kar . Khoyi rahe apne raat ke haseen sapne me aur mere kandhe ko apna mulaayam takiya samjhkar aur bhi khoo jaaye . Iske chehre pe ek geeli muskaan hai jo uske gaalon pe sajj ke saamne aati hai aur kisi ko bhi apne vash me karne ki taaqat rakhti hai . Tabhi uska ek lamba reshmi baal uske chehre pe aa girta hai . Baal ke wajah se uski woh muskaan disturb ho rahi hai . Mujhe laga ki mujhe kuch karna chayiye taaki uski neend naa toote . Dheere - dheere apna haath badhaate huwe uske chehre par . Uska sar mere kandhe par hai aur ek baal uske chehre par jo usse neend me pareshaan kar raha hai . Maine jaise hi apne haath se uske uss ek baal ko piche kiya tabhi kambhakt bus - driver break lagaa deta hai . Aisa break jisse mere haath khud - ba - khud piche hatt gaya . Aisa break jisse bus me baithe sabhi passengers apne seat se uth hile . Aisa break jisse Nishita ki meethi neend toot gayi . Aisa break jisse nishita ka sar khud - ba khud mere kandhe pe se hatt gaya - " Hmmmm ....Kya huwa ? "  Neend se jagte hi nishita ne pucha ki bus aise achanak kyun ruk gayi . Main usko kaise bataau . Mera toh dhyaan khud kaheen aur tha . Yehi sawaal nishita hi nahi balki baaki ke passengers ne bhi kiya - 
" Oye ! kya huwa oye ? " Sardar ji toh seedhe driver tak pahuch gaye .
" Abe saale ! kya huwa ? " Ek local aadmi toh apni seat pe se niche gir gaya aur uthte hi conductor ko pakad liya .
" Abe Behen ke take ! gaadi chalaani nahi aati kya ? " Ek bihaari aadmi ne toh gaali tak deni shuru kar di kyuki jiske saath woh aaya hai , woh break lagte hi kisi aur ki godi me gir gayi . Jisske saath woh aaya hai woh aur koi nahi uski biwi hai . 
Ab jab itne log kisi ek insaan pe toot padenge toh bechaara driver pyaar se hi bolega na . 
Galat ! driver toh sabka baap nikla , bole toh dhedh shaana - " Ae Behenchodo ki manhoos aulaado ! Apun kya kare agar yeh khataara bus saali yaha bandh pad gayi . Koi maa ka doodh peeyela hai toh mard maafik aage badhen aur bus ko makhkhan lagaayen . " Jab driver baadal ki tarah sab par garzaa toh sabhi passengers ki bolti bandh ho gayi . Sardar ji apni pagdi sahi karte huwe apni seat pe baith gaye . Jo saale bolkar conductor ko pakdaa huwa tha , woh conductor ke gale lag ke sorry bolta hai . Aur jo bihaari babu the , woh toh apni biwi pe hi chillaane lage - " Tum pakad ke nahi baith sakti kya ? Ab gaadi hai toh break toh lagega na , tanik sambhaalo na ji ! " 
Ab shayad mujhe apni shakti aazmaani chayiye . Bus ko toh theek kar hi sakta hun main . Engineering student hun , thoda toh show - off kar hi sakta hun . Par main yeh soch raha hun ki mujhe dekhke driver kuch anaap = shanaap na bolne lage . Par agar bus driver ke hawaale kar di toh subah tak yehi khadhe reh jaayenge hum . 
Nishita ! zara hato . Main dekhta hun ki kya problem hai ! 
" Arre ! but what will you do ? Its a bus and tumne abhi padhaai complete kahaan kii hai engineering ki . " Nishita ne wahi kaha jo maine socha tha . Par maine usko thoda sa khas - kaate huwe  , aage badhte huwe  , bus se niche utraa taaki problem solve kar saku . 
Niche utraa toh dekha ki bus bilkul sunsaan jagah pe ruki huwi hai . Sadak ke dono taraf sirf jungle hai . Bilkul ghana jungle , mujhe laga ki yahaan kuch gadbad hai . Mujhe jaldi se bus ko theek karna hoga . Seedhe aage ki taraf gaya toh dekha ki driver , conductor aur kuch passengers chuppi saadhe huwe khadhe hai aur engine box ko dekh rahe hai . 
Kya huwa sir ? 
Maine sir kehke pucha taaki kisi ko mera sawaal gussa na dilaaye . Tabhi driver apna 5 by 5 inch bada muuh kholte huwe bakta hai - " Aey Bacchu ! tu sunle ...." Isse pehle ki woh aage kuch bolta maine usko baat poori karne hi nahi di aur majaak karte huwe kaha - Kya ? Mere Dill ka yeh order ? Baatein baad me karenge , pehle mujhe zara dekh lene do ki kya jhamelaa hai . 
Meri baat shayad yaha khadhe sabhi ko majaak lag rahi hai . Tabhi toh mere kuch karne ki baat sunke hi hasne lage sab . Par mujhe koshish karne ke liye jagah zaroor dedi . 
Zara piche ho jaayiye please ! 
Maine dekha ki engine ka kuch nahi ho sakta kyuki engine ki toh pehle hi maa - behen ho chuki hai . Jagah - jagah se dhuuan nikal raha hai aur jahaan jagah nahi hai waha se bhi dhuuan nikal raha hai . Agar mechanic ke liye rukenge toh poori raat sirf yehi dekhne me lag jaayegi ki engine ke purze kaha hai aur jab purze mill jaayenge toh aadha din yeh dekhne me lag jaayega ki kaun se purze me gad - badi hai . 
" Kya huwa re bacchu ! Bheja phir gaya na ? " Driver piche se meri taang khichne laga . Uske chehre se saaf pata chal raha hai ki usko ek baat ka poora bharosa hai ki main kuch nahi kar paaunga . 
Ab mujhe kuch alag aur anokha karna hoga warna ho jaayega popat . 
Sirf agle hi pal me maine poora kachra saaf kar diya aur bus waapis start ho gayi .
" Arre ! bacchu tune toh raaita hi phaila diya re ! Shabash ! Chalo bhai ! sab log waapis se andar chalo . Chalo chalo ! Bus theek ho geyli hai . " Driver ki khushi me hi hum sabki khushi . Bus chali , safar doobara shuru .  

No comments:

Post a Comment