Expertise of My Ishtaar - Rights !

Archiving & lest Cherishing

Sunday 28 August 2011

Luv Me Twist Hai (LMTH) - Tattoo Sucks ! [ PART 1 ] :


Abhi ishq ka khumaar chhaaya hi tha ki ishq ke aasaar dikhaayi dene lage . Apne dost ke saath Vishnu gaya hai tattoo banwaane . Waise Vishnu hostel se hi keh ke nikla hai ki woh apne shareer ke kisi bhi ang pe tattoo nahi gudwaayega . Tatto ki sabse jyada zaroorat hai Kunal ko . Usko apni kisi khaas dost ko khush karna hai . 
" Hey ! tum sure ho ki yeh sahi hai ? " Vishnu ko aisi harkatein bilkul pasand nahi hai kyuki apne shareer pe aise waahiyaat chitra banaana aur khud ko dard dena bewkoofi hai . Log college me pahuchte nahi ki yeh sab faltu kaam shuru kar dete hai . 
"Aur nahi toh kya ! Main tattoo  ' S '  naam ka karwaaunga taaki koi bhi ladki jiska naam S se shuru hota hai woh impress ho jaaye yeh dekh ke . Ab samajh me aayi baat ? " Kunal ka plan bewkoofon wala aur Kunal ki soch usse bhi bachkaani . 
" Par agar ladki ka naam S se nahi huwa toh ? " Vishnu ne Kunal ko apna idea badalne pe majboor karne ke liye aisa pucha .
" Arre toh sirname S se hoga . " Vishnu ke sar pe haath rakhte huwe Kunal kehke uske saath andar ghusta hai Tatto Shop ke .
" Par woh bhi kisi doosre letter se huwa toh ? " Andar jaate hi Vishnu ne Kunal ko piche se rokte huwe kaha taaki ab bhi samay hai aur samay beetne se pehle dono waapis chal sake . 
Kunal waheen khadha ho jaata hai aur andar kisi se baat karne se pehle Vishnu ke muuh pe haath rakhkar kehta hai - " Toh uska koi nickname S se de dunga mere baap . Ab chup ! " 
Vishnu ab kya bolta kyuki uska muuh toh Kunal ne bandh kar diya . Phir Kunal counter pe jaata hai aur waha pe baithe ek insaan jaat se arz karta hai - " Excuse me ! " 
Woh insaan jaat Kunal ko ek nazar dekhta hai . Shayad kuch sochta hai par kuch bolta nahi . Hairaan khadha Kunal phir se apne dialogues repeat karta hai - " I mean excuse me ! " 
Is baar thode bhaari aawaaz me kunal ne dum lagaa ke kaha par shayad isse kuch jyada asar nahi huwa us insaan jaat par . Siwaay iske ki usne Kunal ko dekha aur - " Excused ! " 
Uske bolne ke tareeke se ek baat saamne aa gayi ki yeh insaan jaat ka gussa karna banta hai . Ab jiski bhagwan ne hi kaat li ho , woh toh khafa hoga hi . Aise log jab koi form bharte hai toh question hota hai ki ' Male  /  Female ' ? , toh yeh log '/ ' pe tick karte hai . Na ganga ke is paar aur na yamuna ke us paar . 
Vishnu kunal ko support dene ke liye uske piche se aage badhta hai aur insaan jaat se arz karta hai - " Humaare dost ko tattoo banwaana hai . "
" Then aise to the point bolne ka tha na pehle ! " Chalo , usne kuch bola toh sahi  - " Kisko chayiye ? " 
Sawaal aise dekhte huwe kiya usne ki Kunal confuse ho gaya ki yaha demand kis cheej ki huwi hai - " Kya ? " 
" Naughty boy !  Tattoo kisko chayiye ? " Ab saaf - saaf sahi shabdo ka prayog karega toh hi samajh aayega na !
" Me ! " Kunal ne uske counter pe lean hoker kaha .
" Right now or later ? " Woh insaan jaat bhi kunal ke kareeb jhukkar kehta hai .
Kunal turant seedhe khadhe ho jaata hai aur mere piche chala jaata hai - " Abhi tattoo karwaana hai agar place hai toh . " 
" Kaha banaana hai tattoo ? " Uska sawaal kaam ke hisaab se sahi hai par niyat me khot nazar aa rahi hai .
Is baar Vishnu ne jawaab diya - " Tatto tum karoge ? " 
" No ! I am the manager here . Artist andar hai ! " Manager aur woh bhi ek haath se kaam karne wala ? Thoda alag hai par koi jyada pareshaani nahi hai ! 
" Toh kya hum andar jaaye ? " Vishnu mard ki tarah yeh situation handle karte huwe .
Woh insaan jaat manager chehre ko sikoodte huwe haathon se ishaara karta hai ki jaao . Phir Kunal aur Vishnu dono andar chalte hai . Andar dhero mard apne shareer pe zulm dhaa rahe hai . Matlab sabhi tattoo jaisa kuch apne shareer pe banwa rahe hai . Unhe tattoo banaane me dard toh ho raha hai par kaun sa junoon hai jo unhe yeh karne pe majboor karta hai . Vishnu toh kabhi yeh nahi samajh sakta . Kunal bhi nahi samajhta par apni kisi khaas dost ke liye woh bhi banwaane aa gaya . 
" Yess ! toh aap tattoo karwaane aaye hai ? " Tabhi ek aadmi aaker Vishnu se puchta hai ki kya usko tattoo karwaana hai . Magar Kunal aage aaker bataata hai ki tatto vishnu ko nahi balki usko karwaana hai .
Woh aadmi jo pehle se hi tattoo machine liye huwe khadhe tha , bola - "  Tum  ?  " Phir ek khaali jagah pe point karte huwe kehta hai ki - " Sit there ! The artist will be coming in a few sec . " 
Uske bolte hi kunal waha jaaker baith jaata hai . Vishnu bhi uske saath , uske piche khadha hoker aazu - baazu dekhne laga . Sabhi artist kitne be -  rehmi se kisi ke shareer me chhed kar sakte hai . Jo tattoo banwa rahe hai unhe koi dard mehsoos nahi ho raha , jo tattoo machine liye tattoo bana rahe hai unhe koi dard mehsoos nahi ho raha par Vishnu ko toh yeh sab dekhke hi dard mehsoos hone laga . Vishnu ne piche se kunal ke kandhe pe haath rakhte huwe kaha - " Yaar ! Hume toh dekhne se hi dard ho raha hai . Tum pakka ho iske liye ? " 
Kunal baithe - baithe piche mudta hai par isse pehle ki woh  kuch kehta uska tattoo artist aa jaata hai . I mean tattoo artist aa jaati hai . Vishnu kunal ke piche khadha hai toh artist ko aate usne dekha nahi par Kunal jo ki Vishnu ki taraf mudaa huwa tha usne artist ko dekh liya . Woh tattoo artist ko dekhte hi kunal ka muuh khula ka khula reh gaya . Woh isliye kyuki yeh artist pehle toh male nahi female hai aur doosra ki yeh itni sundar ladki hone ke baad bhi yahaan tattoo karti hai . Woh usko dekhkar hi khadha ho gaya aur muuh kholke dekhne laga . 
" Kya huwa ? " Vishnu ko nahi maloom ki kunal aise kyu uth gaya apni jagah se . Ab dono hi khaali jagah ke paas khadhe hai aur Kunal ek taraf muuh kiya huwa hai aur Vishnu ne doosri taraf . 

No comments:

Post a Comment