Expertise of My Ishtaar - Rights !

Archiving & lest Cherishing

Saturday, 21 May 2011

Luv Me Twist Hai - World's Smallest Love Story !!!



Seeta mall me rahul ka intezaar kar rahi hai par woh jab tak nahi aata tab tak  seeta ne socha ki thodi shopping kar le . Waise agar ladki mall aaye aur shopping na kare , aisa kabhi ho hi nahi sakta . Woh ek showroom me gayi jahaan kuch  kapde the . Seeta ko naye dresses ka bahut craze hai aur khaas - kar chote chote mini skirts ka . Uska dressing sense bhi aisa hi hai . Badan pe  mini - skirt aur upar tan dhakne ke liye rang - biranga top . Uske haath me ek almaari hai . Matlab ek bag jisme choti si lipstick se leke badi - badi make - up kit ka saamaan tak hai . Isliye bag kam almaari jyada hai . Seeta ke mann me alag si khwaish jagi aur woh dupatte ke stall me chali gayi . Pata nahi kya sochke dupatte lene chali gayi . Tabhi uske bag se kuch hilne laga , uska mobile vibrate karne laga . Usne call attend kiya - " Hello ! whose dis  ? "
Call uthaaya toh line ke doosri taraf pooja  - " Teri maa bol rahi hun saali . Kya huwa ? Aaya nahi kya tera Bracelet wala ? " 
" Nahi yaar ! pata nahi kaha mar gaya woh . " Seeta bahut der se intezaar kar rahi thi par rahul ka koi ata - pata nahi  hai .
" Toh kya kar rahi hai tu waha ? "  Pooja ko laga ki woh shopping kar rahi hogi kyuki shopping karna uski hoby hai par phir bhi dost hone ke naate puch hi leti hai . 
" Kuch nahi yaar . Just checking out some shawl - dupatta . " Seeta ki yeh shopping list sun ke pooja bhi shocked ho gayi . 
" Dupatta ? Are you serious ? " Jaisa kaha tha maine , waise hi shock huwi pooja .
" Haan yaar ! bas aise hi mann kar raha hai ki kuch alag kharidun . " Seeta baaton - baaton me ek - ek karke dupatte dekhne lagti hai . Ek - ek karke dupatta uthati hai aur apne kandhe pe rakh ke dekhti hai ki kaun sa jyada accha hai . 


Showroom me ek ladka bhi aaya hai jise log Vishnu kehte hai . Vishnu abhi - abhi showroom me aaya aur aate hi usko  seeta nazar aati hai . Seeta ko dekhta hai toh uske kadam wahi pe ruk  jaate hai . Uske aankhon ko sirf seeta hi nazar aa rahi hai . Par seeta toh dupatte aur pooja me lagi huwi hai . Seeta use dekh nahi rahi par vishnu sirf seeta ko hi ghoor raha hai . Woh kisi bhi kaam se aaya ho par abhi toh seeta ko dekhne ke  alawa koi kaam nahi uske paas . Woh dekh raha hai ki kaise seeta ek - ek karke saare dupatto ko apne upar try kar rahi hai par yeh nahi decide kar paa rahi ki kaun sa uspe jach raha hai . Vishnu seeta ki is uljhan ko dekhke sochta hai ki woh seeta ki madad karde . Par agar woh uske paas jaayega toh woh bhi usko galat samjhegi aur mall ke sabhi log bhi . Toh woh dur khade hoker seeta ko dekhne laga  . Vishnu ko pehle kabhi koi ladki pehli nazar me itni sundar aur pyaari  nahi lagi thi  jitni ki seeta lagi . Uski nazron ko isse haseen drishya aaj tak kabhi nahi dikha . Uske dill ki aawaaz woh khud sun sakta hai . 
Apne chehre pe ek halki si muskaan liye seeta dupatto me uljhi huwi hai aur vishnu bhi muskuraate huwe usko nihaar raha hai . Uske dimaag ke har channel pe sirf ek hi serial aa raha hai . Uska tower sirf ek hi signal catch kar raha hai . Uski aankhein bhi sirf ek hi cheej dekh sakti hai aur woh hai Seeta aur uska thoda pareshaan  -  sa chehra  - " Tum itni confused kyu ho is waqt  ? Koi bhi dupatta lo , tumpe sabhi jachega . Itni khoobsurat ladki ke kandho pe aane ke liye har dupatte me jung chidhi hogi par yeh toh tumpe hai ki tum kise chunti ho . " 
Vishnu mann hi mann sirf seeta ke khyaalon me khoya hai .Woh chahta toh hai ki woh turant jaaye aur seeta ko ek dupatta pasand kar ke dede . Par yehi toh uski kamjori hai ki woh kuch jyada hi shareef hai . 
" Hey ! tum itna mat confused ho . Zara ek nazar humari taraf toh dekho shayad hum tumhari koi help kar sake .  Humara toh mann kar raha hai ki tum aise hi humare saamne khadi raho aur hum tumhe yuhi dekhte rahe . " 


Showroom ki ek sales lady aati hai aur vishnu se puchti hai - " May I help you sir ? " 
Par vishnu ki help woh sales lady nahi kar sakti . Kaun hai woh ladki jo uske dill ke dhadhkano ko badha rahi hai ? Na toh woh us ladki ka naam jaanta hai , na pata aur na hi kuch bhi jaanta hai . Jaanta hai toh sirf yeh ki woh is waqt uske saamne hai aur use dekh bhi nahi rahi ek nazar . Par phir bhi vishnu itne der se sirf seeta ko dekhte jaa raha hai . Seeta abhi bhi phone pe pooja se baat kar rahi hai par dupatte me apni choice woh khud nahi jaanti hai . Vishnu ko pehli nazar me kuch hone laga hai . Aisa ehsaas hai jo uske apne saamne khadhi ladki se jod raha hai . Par woh andaaza nahi laga paa raha ki yeh kya ho raha hai . Vishnu ke bagal me bhi ek ladki hai jo showroom me kaam karne ke tahat usse puch rahi hai - " Sir ! can i help you out ?  " Par Vishnu ko khabhar kaha ki kaun uske left me hai aur kaun uske right me . Shukar hai Vishnu saamne dekh sakta hai aur saamen sirf Seeta hai aur dher saare dupatte . Sales lady vishnu ko disturb kiye bina chali jaati hai  . Par vishnu ko toh pata bhi nahi chala ki koi uske bagal me tha bhi yaa nahi . 
" Yeh hume kya ho raha hai ? Hum apni nazrein is ladki se hata kyu nahi paa rahe hai ? Aisa pehle toh kabhi nahi huwa humaare saath ? Par is ladki me ek ajeeb si kashish hai jo hum par koi jaadu kar rahi hai . Iska chehra jispe halki muskaan bhi hai , thoda sa gussa aur jhijhak bhi hai kyuki woh decide nahi kar paa rahi ki kaun sa dupatta le aur itni khoobsurat ki khoobsurati ka bhi ghamand toot jaaye  . Isme hum kya kare ? Agar hum isko jaante toh abhi iski problem solve kar dete . Par hum iske paas bhi toh nahi jaa sakte . Shayad hume ab aage badhna chayiye . Par humaara mann hi nahi kar raha ki hum isse dur jaaye . Dill ki aawaaz itni clear hume kabhi sunaai nahi di jitni aaj is ladki ko dekhke sunaai de rahi hai . " 


Seeta apne mobile me lagi  huwi thi ki achanak se uski nazrein vishnu pe gayi . Jab vishnu dekhta hai ki seeta uski taraf dekh rahi hai toh woh apni nazrein jhuka leta hai aur idhar - udhar dekhne lagta hai . Shayad woh yeh dikhana chah raha hai ki uska dhyaan Seeta par nahi balki kaheen aur hai . Aisa isliye kyuki woh darr gaya ki kaheen saamne jo ladki gusse me usko kuch bura - bhala na bol de . Seeta ek look ke baad phir mobile me bhid jaati hai par phir agle hi pal dekhti hai ki vishnu phir se uski taraf dekh raha hai . Wo is baat se gussayi nahi kyuki woh jaanti hai ki ladke hote hi aise hai  . Jahaan khoobsurat ladki dikhi , wahi dera laga dete hai . Par jo ladke hamesha uske liye marte hai woh Vishnu se kayi gunaa dikhne me acche hai . Seeta ko jo ladka ghoor raha hai usme koi aisi baat nahi ki woh bhi use dekhe . Usne Vishnu ko nazar - andaaz kiya . Vishnu na chah ke bhi baar - baar sirf seeta ko hi dekh raha hai . Jab woh use dekhti toh woh apni nazrein churaane lagta  . Phir agle hi pal seeta ko dekhne lagta hai . Nazron ki luka - chupi dono ke saamne ho rahi hai par dono ek - doosre se anjaan hai . Seeta ke liye yeh koi nayi baat nahi hai . Ladko ka ghoorna uske liye poorani daal jaisi baat hai . 
Vishnu jo abhi tak sirf aankhon se kaam le raha tha , agle hi pal seeta ki madad karne ki sochta hai .  Ekdum se Seeta dekhti hai ki vishnu uski taraf aankhon ka ishaara kar raha hai . Pehle toh seeta ko samajh nahi aaya ki vishnu kya ishaare kar raha hai . Phir woh ek dupatta leti hai aur apne kandhe pe rakhti hai . Dupatta rangeen hai , jisme laal , kaala aur hara rang mila huwa hai . Vishnu sar ko daayein - baayein hilaata hai , matlab na . Seeta usko waapis rakhti hai aur doosra uthaake apne kandhe pe rakhti hai aur phir vishnu ki taraf dekhti hai ki usko dupatta pasand aaya ki nahi .Yeh wala dupatte bhure rang ka hai jispe kadhaai ki huwi hai . Vishnu sar ko phir se daayein - baayein hilaata hai , matlab phir se na . Seeta yeh wala bhi waapis rakh deti hai . Ek aur dupatta uthaati hai aur phir se apne kandhe pe rakhti hai aur phir vishnu ke haan yaa na ka intezaar karne lagti hai . Is baar dupatta vishnu ko pasand aa jaata hai kyuki woh seeta ke upar khilaa sa  lag raha hai . Woh sar ko upar - neeche hilaate huwe haan ka ishaara karta hai . Hal ho gayi seeta ki uljhan . Par tabhi seeta ko baahar Rahul nazar aata hai aur woh dupatte ko wahi rakh deti hai . Woh vishnu ki pasand ko razamandi toh deti hai par kharidti nahi kyuki usko intezaar tha apne bracelet ka jo ki Rahul ke paas hai aur Rahul baahar khadha  hai . Woh vishnu ke saamne se hote huwe baahar chali jaati hai par jaane se pehle ek muskaan vishnu ko deke jaati hai . Vishnu aage badhta hai aur woh dupatta uthaake apne seene se laga leta hai . Woh ehsaas leta hai seeta ka , uske haathon ke sparsh ka  , uski mehak aur khoshboo ka jo ki  us dupatte me mill gayi hai  . Yeh kyu ho raha hai aur Vishnu aisa kyu kar raha hai , iska usko koi ilm nahi hai . Par ho na ho par vishnu ko ho gaya love at first sight  .
" Shit ! Itne kareeb the hum uske phir bhi kuch keh nahi paaye . Achanak se kahaan baahar chali gayi ? Humaari pasand ko kharida bhi nahi . " Phir dupatte ko dekhte huwe kaha - " Shayad yeh thi duniya ki sabse chhoti love story  . " 

Friday, 20 May 2011

Maine Chodh Diya - Newcomer Arrives to a Dhaaba :


Highway ke side me ek bada sa dhaaba dikha . Arre ! yeh toh wahi dhaaba hai jahaan main aaya karta tha . Yahaan ka ek waiter toh mujhe jaanta bhi hoga . Maine socha ki agar bhookh itni tej lagi hai toh kam se kam ek cup chaai to yahaan pee hi sakta hun . Poori raat sirf skooty chalaayi hai . Darr bhi lag raha tha ki kaheen koi anhoni na ho jaaye andhere me par sar par jo junoon sawaar tha uski wajah se subah dekh paaya . Skooty ko maine dhaabe ke side me roka aur andar jaake ek khatiye pe baith gaya . Sab kuch waisa hi hai jaisa pehle huwa karta tha . Wohi chota sa rasoyighar , jisme 4 aadmi lage huwe hai . Koi chaai ke bhagone pe aankh sek raha hai toh koi kadhaai me naashta bana raha hai . Dhaabe me aapko kabhi sabhya waiter nahi milenge kyuki yeh dhaaba hota hi aisi jagah hai jahaan wahi kaam karte hai jinhe tedha bolna aata hai . Seedhe baatein karne waale toh dhaabe me kuch karne laayak nahi hote . Bada sa maidaan dhaabe ke saamne jahaan dher - saare truck khade hai . Sabhi ko kuch chayiye , kuch chaai ki chuski le rahe hai aaraam se toh kuch roti tod rahe hai kabaab ke saath . Main yeh dhyaan de raha tha ki yahaan jyada paise na kharch kar dun . Ginke apna wallet bhara hai , aur ginke usse kharch bhi karna hai . Ek board pe likha tha ki chaai 4 rupaiye ki hai . Mere shirt ki upar waali jeb me 5 ka sikka hai . Bas isi 5 ke sikke ko alvida kehna padega yahaan . Tabhi ek dhaabe ka waiter aaya - " Sahab ! kya laau ? " 
Waise main ise nahi jaanta hun . Yeh shayad pichle mahine ke baad hi yahaan naukri karne aaya hoga kyuki pichle mahine jab hum apni car se baahar aaye the toh isi dhaabe pe khaana khaane ruke the aur yeh aadmi yahaan kaam nahi karta tha tab . Khair ! ab yeh naya ho yaa poorana mujhe koi fark nahi padta . Main dekh chuka tha ki chaai 5 rupaiye ki hai par phir bhi maine chaai ka daam pucha , yeh sochte huwe ki shayad board se kuch kam daam ho chaai ka . Woh mere sawaal pe sawaal karne laga - " Sahab ! sirf chaai loge ? Is samay nashta bhi mill jaayega . " 
Uski baat sunke muuh me paani bhi aa gaya par phir apne pet ki laalsa ko kaata kyuki abhi ek din bhi nahi huwa hai aur main aise fizool kharche nahi kar sakta . Wallet jyada bhaari nahi hai mera aur isko aur jyada halka nahi karna chahta main . Maine usse kaha - " Nahi ! nashta kar chuka hun . Bas chaai le aao . Waise ek cup kitne ka hai ? " 
Bhookh toh bahut lagi thi par jab soch liya ki bina kaam ke khaan nahi karna hai toh bas nahi karna hai . Woh aadmi bhi shayad yeh samajh gaya ki mere paas paise nahi hai . Isiliye aur kuch na puchte huwe , usne kaha - " Ek cup 5 rupaiye . Masale waali chaai 7 rupaiye . "  Jab naam suna ki masala chaai toh mann toh kiya ki abhi 2-3 cup masala chaai mangaalu . Par un cups ka  daam kuch jyada hi hoga . Maine usse kaha ki saadhi chaai le aao . Woh phir chala gaya apne rasoighar me . Maine apni nazrein apne shoes pe jamaa li kyuki agar saamne dekhta toh bhookh aur badh jaati . Saamne ek parivaar baitha tha jo apna order de raha hai . Unke muuh se mujhe ek paneer masala , ek daal fry , ek mutton biryani aur kuch tandoori rotiyan sunaai di . Itna sab sun ke pet me jo chuhe the woh toh baahar aaker chhalaang maarne lage . Yehi sab meri pasandida dishes hai . Pehle aisa tha ki kaheen bhi baahar jaata tha toh paneer aur biryani ke alawa aur kuch nahi order deta tha . Par ab bilkul alag hi baat hai . Na toh mere dad mere saath hai jo mere extra - feeding habits ke paise bharenge aur na toh meri mummy saath hai jo dad se meri demand poori karwayengi . Isiliye niche dekhna hi better laga mujhe . Tabhi chaai mere saamne rakhte huwe koi bola - " Arre babuji ! aap ? Akele kaise ? " 
Yeh wahi aadmi hai jiske baare me pehle bataya tha . Yehi waiter hai jo hamesha humara order leta tha . Mujhe chaai dene ke saath isne ek yaad bhi de di mujhe - " Haan ! exam deke laut raha tha toh socha ki ek chaai peete jaaun . "  Woh shayad aur baat karna chahta tha . Usko yaad tha ki main hamesha kya order deta tha pehle - " Khaane ke liye paneer aur biryani laau ? " Hamesha yehi order dene ke wajah se main yahaan itna famous ho jaaunga , maine kabhi socha nahi tha . Par uske ek chote se sawaal ne mujhe flash-back me bhej diya . Bhej diya un yaadon me , us khoobsurat pal me jab main aur mera parivaar yahaan aaya karte the : 


Apni car se hum dhaabe pe aate the jab bhi hume shaher ke baahar jaana hota tha . Hari Om Dhaaba , jahaan sirf trucks hi nahi balki family cars bhi rukti thi kyuki yahaan ke khaane me bahut swaad hota hai . Mere Dad , meri mummy  , meri behen Simran aur main jaise hi aate waise hi seedhe dhaabe ke eklaute room waali jagah pe baith jaate . Family spot jo hamesha shayad humaare liye hi khaali rehta tha . Bhookh tab bhi itni hi hoti thi . Ek waiter aata aur menu card rakh ke chala jaata . Card isilye kyuki woh sirf ek page hi hota tha jispe plastic chadha hota tha . Baaton kki shuruvaat meri mummy karti thi - " Vishnu ! order tum dena . " 
Main jab bhi dad ke saath aata toh yehi sochta ki order woh denge . Main sirf khaane pe concentrate karna chahta tha - " Nahi ! jab dad aaye hai toh order bhi wahi denge . " 
Mummy jaanti thi ki main majaak kar raha tha - " Abhi order dete samay bhool jaayenge ki kya bolna hai . Isiliye tum bolna . " Waiter order lene aa raha tha tabhi dad bhi bole - " Kya khaana hai bol do . " 
Par main chup tha kyuki main dad ko bhoolte huwe dekhna chahta tha . Apna muuh doosre ore karke main chup - chaap baitha rehta . Par apne kaan poore khule rakhta tha . 
Wohi waiter bola - " Haan sahab ! boliye . "  Phir dad shuru ho jaate - " 4 nan ." 
Har dish ke saath dad ek pause lete kyuki aage ka unhe yaad nahi rehta aur menu kabhi padhte nahi the . Main doosri taraf muuh karke hasta toh mummy dad ko dekhke hasti . Meri behen simran toh waiter ke saamne hi hasne lagti kyuki woh choti hai aur dad ki aadat pe hasne se majboor . 
Dad ka order jaari tha - " Ek paneer butter masala ..............Ek dal makhani ............ " 
Ab dad phanse . Kyuki woh bhool gaye the ki aage kya order dena hai . Toh hamesha ki tarah woh meri taraf dekhkar bole - " Aur jo khana hai woh bol do . " 
Phir main apni hansi ko rokte huwe order complete karta - " ....aur ek plate biryani . " 
Order dene ke baad jab waiter chala jaata toh sabke chehre pe hansi khul ke dikhne lagti siwaay dad ke kyuki hum sab dad pe hi toh hans rahe the . Mummy ko khaane ke baad chaai peene ka shauk tha aur mujhe masala chaai peene ka . 
Khaana jaldi table pe saj jaata tha aur usse bhi jyada jaldi hum khaane ke plate khaali kar dete . Dad waiter ko bulaate taaki woh bill pay kar sake par mummy bill se pehle chaai bolna nahi bhoolti kyuki bhoolte toh dad the . 
Aise me main bhi piche nahi rehta aur masala chaai ka order de deta kyuki tab paise ki mujhe fikar nahi thi .     


" Babuji ! kya huwa ? " Woh waiter aaj bhi mere saamne hai aur kal bhi tha . Aaj bhi woh chaai leke aaya hai aur kal bhi laaya tha . Par aaj mere dad nahi hai mere bagal me jo paise denge , aaj mujhe hi chaai ke paise chukaane honge . 
" Kuch nahi . Tum ye lo 5 rupaiye . "
Maine itna kehte huwe usko apni upar waali jeb se 5 ka sikka de diya . Par woh abhi bhi khada tha - " Arre ! aap khaa lo aur paisa baad me de dena jab aage kabhi apne papa ke saath aayenge . " Usko yehi lagta hai ki main ab bhi wahi ladka hun jo apne dad aur mummy ke saath aaunga aur phir wahi khaane ka order dunga . Par usko yeh nahi maalum ki kya huwa hai aur ab sab kuch kitna badal chuka hai . Kal sab mere saath the aur aaj meri skooty ke alawa aur kuch mere paas nahi . 
Maine jaane se pehle usko  yahi bola ki - " Apne dad ke saath aana ,
                                                               Maine chodh diya . " 

Maine Chodh Diya - Introduction :

Ek bahut hi choti si kahaani hai yeh - " Maine chodh diya " . Sirf ek hi kirdaar ki kahaani nahi yeh balki yeh kahaani hai us ek kirdaar se jude un sabhi logon ki jo uski zindagi se rubari hote hai . Vishnu , ek 19 saal ka ladka hai jo apna ghar chodhke bhaag jaata hai . Apne dad , apne mummy aur baaki sabko jo uski zindagi huwa karte the , un sabhi ko woh chodh ke bhaag jaata hai . Uske paas kya hai , ek skooty jisme petrol full hai , ek wallet jisme thode bahut paise hai , ek cell phone jisme 100 rupaiye ka card bhara hai aur ek chota sa bag jisme 4-5 kapde hai pehanne ke liye . Itne saaman ke saath nikal pada vishnu sabse dur , apne ghar se dur , apno se dur aur apne shaher se dur . Kya karta hai woh bhaagke ? Kin logon se mulaakat hoti hai uski ? Kaise log uske gale padte hai ? Kya sikhta hai wo ? Kya khota hai aur kya paata hai ? Bas yehi ek choti si kahaani hai vishnu ki . Ghar toh chodh diya hai par kya woh kabhi waapis bhi aayega yaa phir uske ghar-waale usko dhund lenge ? Woh toh ab yehi kehta hai ki un poorane logon ko , un poorani baaton ko maine chodh diya . Vishnu kaha - kaha jaata hai aur kya - kya hota hai uske saath , yehi dekhna hai hume aur aap sabko . 

Thursday, 19 May 2011

Luv Me Twist Hai !!! Seeta's 45th Break-up :


" Saale suwar ki aulaad ! tu samajhta kya hai apne aap ko ? Tujhe kya lagta hai ki main tujhse maafi maangungi ? Tere pair padke kahungi ki sorry Rahul , mujhe maaf kar do ? Dream on dude ! " 
Seeta poore gusse se aag - babooli ho gayi aur rahul jo ki uska boyfriend hai woh usse baat karne aaya hai - " Seeta ! dekho tum apni hadd me rehke bolo . " Rahul aur Seeta me baat itni bigad gayi hai ki dono break - up ke kagaar par aa gaye hai . 
Seeta bhi zidd pe adi hai , woh rahul se maafi nahi maangne wali - " Tu kaun hota hai mujhe meri hadd dikhaane wala ? Dekh chuje ! tujhe kya lagta hai ki main tujhse pyaar karungi ? No way ! tu bas mere liye iss mahine ka calender tha , samjha ? " 
Rahul seeta ki baat sunkar sab samajh gaya . Kayi baar uske doston ne usse kaha ki seeta usko dhoka de rahi hai par rahul toh seeta ki adaaon pe fida tha . Ab jab seeta usse uub gayi toh break - up ka bahaana bhi dhund liya aur rahul ka patta bhi kaat liya . Bechara rahul ! woh sar niche latkaaye waapis chala gaya .


" Toh ho gaya tera 45th break - up ? " Pooja , jo seeta ki bestest friend hai woh Dono ki baatein chhup ke sun rahi thi . Woh seeta ke is fitrat se vaakif hai aur 45 me se 40 break - up ke plan pooja ne hi diye the . 
" Haan yaar ! Is ladke ka ego itna hai ki i was sure ki jaise main apne pe utrungi woh mujhse break - up kar lega . And see , the outcome is superb ! " 
" Toh ab ghar chale ? " Pooja aur seeta house - mates hai aur ek chote se colony me ek single room rent pe leke rehte hai . Shaher se dur par gaav ke bhi jyada paas nahi . Shaher ne apne bhaav itne badhaa liye hai ki students ke rehne ke liye namumkin waali baat hai . Kam kiraaye me acchi jagah sabse badi zaroorat thi  jo seeta ki pooja se milke poori huwi . Dono phir ghar chali gayi apni bike pe . Bike waise toh pooja ki hai par ride seeta karti hai kyuki seeta ko bike riding ka bahut shauk hai aur woh bhi fast and furious . College me sab seeta ko kehte hai - " Chappan churi " . Haseen hai yeh jitni , dill dukhaye yeh usse kayi jyada . 


Room me jyada saamaan nahi milega siwaay dher saare un gifts ke jo seeta ko uske pichle 45 boyfriends de chuke hai . Aadhe se jyada jagah toh gifts hi bhar dete hai , baaki bachi jagah bed aur table ke liye hai . Ladki ke room me aur kya ho sakta hai ? Kuch heart - shaped pillows , kuch pink gadgets , ek pink bed - sheet , kuch chocalates boxes , ek chota sa fridge jisme dher saari beer ki bottles aur kuch fruits , kuch love letters aur vagera - vagera . Isse pata chalta hai ki pooja aur seeta kitna khul ke jeeti hai apni zindagi . Azaad panchi hai jinhe ghosle ki koi fikar nahi . Beparwaah man-mauji ladkiyaan jinke liye zindagi sirf masti karne ke liye hai . 
" Hey ! is baar tune break - up kaise kiya ? Maine toh koi bahaana nahi bataaya tha tere ko , phir kaise ? " Pooja ko yeh baat nahi samajh aa rahi ki uske idea ke bina Rahul kaise maan gaya . 
Seeta , jo jaadu ki pudiya hai , uske liye kuch bhi kathin nahi aur khaas - kar ladko ke baare me - " Arri yaar ! main toh usse apna bracelet lena hi bhool gayi . Shit ! phir saale se maangna padega . " Seeta pooja ke sawaal ko nazar - andaaz karte huwe , dekhti hai ki uska diya huwa bracelet woh waapis nahi le paayi . Woh bracelet seeta ne khud rahul ko diya tha valentine day ke din . Dono ne  gift diya tha ek - doosre ko . Seeta ne bracelet diya toh rahul ne bhi usko chocalate se bhara box diya tha . Khair ! chocalates jyada din nahi chale the kyuki pooja aur soniya pehle hi din chocalates ke dibbe pe dhaava bol di thi . 
Pooja ko apne sawaal ka jawaab chayiye , use bracelet ki koi fikar nahi - " Saali ! main tujhse kuch puch rahi hun ? Pehle mujhe jawaab de nahi toh "  , Pooja majaak me bed se uthke seeta ke paas jaati hai aur uske gale pe chaaku rakh ke bolti hai - " Main tera khoon pee jaaungi . And i mean it sweetie - pie ! " 
Seeta bhi pooja ke majaak me khud ko shamil karte huwe bolti hai - " Kill me kamini ! Kill me , phir tujhe mere khoon ke ilzaam me umar - kaid ki sajaa ho jaayegi . Aur jail me main tujhe bhoot banke sataaungi . " Itna kehne ke baad seeta chaaku pooja se chheen leti hai aur waapis uske gale pe lagaa ke kehti hai - " Lekin agar main tera khoon kar dun toh mujhe police aur sarkar ki taraf se inaam milega aur prize money bhi  kyuki maine dharti ki sabse badi kamini ko maar diya . " 
Phir room me hansi ki sheeshi khul gayi . Dono zor - zor se hansne lagi aur saare sawaal - jawaab hawa ho gaye . Dono bed pe lete huwe chocalates kha rahi thi . Par  pooja waapis apne sawaal pe aati hai - " Bata na saali , kaise break up kiya ? " 
Seeta ki aadat yeh hai ki woh kabhi seedha jawaab nahi deti . Baat jitni tedhi , soch utni kam . Seeta bas ek line kehti hai - " Where there is a wont , there is a will ! "  Yehi falsafa seeta apne saath leke chalti hai . 
Pooja phir bracelet pe aati hai - " Toh waapis kab le rahi hai rahul se ? " 
Seeta ke paas saara plan pehle se hi rehta hai -  " Tu apna cell phone dena zara . " Pooja ne seeta ko apna mobile de diya aur seeta ne seedhe rahul ko number lagaaya - " Oye kutte ! mera bracelets tere paas hai . Mujhe woh waapis chayiye ........ Kya ? .......Tere chocalates toh tabhi khatam ho gaye the saale .......Woh waapis nahi mill sakte par mujhe mera bracelet waapis chayiye , chindi chor ....... Kamina hoga tu . Main mera saamaan maang rahi hun jo mujhe chayiye .........Haan main pahuch jaaungi . Aur sun ! mujhe bracelet waisa hi chayiye jaisa maine tujhe diya tha . ..........Chal rakh ! " 
Pooja bed pe baithe huwe hi sab kuch sunna chahti hai par mobile me microphone thode hi laga rehta hai ki sab aaju - baaju ke log bhi sunle  - " Kya huwa ? Kaha bula raha hai ? " 
Seeta turant idhar - udhar bhaagne lagi , kapde badalne lagi aur jawaab dene ki bhi fursat nahi . Pooja phir se puchi - " Kya huwa ? Itna urgent bulaaya hai kya ? "  
Seeta ek minute ruki aur boli - " Mall me bulaaya hai . Keh raha hai ki woh wahi hai aur main jaake usse apna bracelet le lun . So , i need to hurry up warna woh bracelet apne next boyfriend ko kaise dungi . " Itna kehte hi seeta room se nikal gayi .  

Luv Me Twist Hai !!! (My new story - LMTH ) :


Do log jo rehen - sehen me bilkul zameen - aasmaan hai , kya kabhi ek ho sakte hai ? Sawaal thoda mushkil hai par jawaab asaan . Nahi , aisa mumkin hi nahi hai aaj ke zamaane me . Aaj agar ek aadmi kisi doosre aadmi se milta hai toh unme sirf ek hi cheej hoti hai - Vaad - vivaad . Iska matlab kisi na kisi baat ko leke afra - tafri . Yeh huwi baat do aadmiyon ki . Ab zara do ladkiyon ki taareef karte hai . Jab bhi koi do ladkiyaan milti hai toh sirf ek hi baat kabhi nahi hoti kyuki woh ladkiyaan hai . Kabhi ek - doosre ki khubsoorati se jalan , kabhi boyfriend yaa husband ko leke jhagdaa toh kabhi paise ki maap - taul aur na jaane kitni baatein . Ab zara baat karte hai ek ladka aur ek ladki ki . 


Jab ek ladka ek ladki se milta hai pehli baar toh kya hota hai ? Is baar sawaal bahut asaan hai par iska jawaab aur bhi jyada asaan . Dill ki dhadhkan badhne lagti hai . Aankhein aankhon se milti hai . Hawaaon me sirf mehek hi mehek ghulne lagti hai . Kaan me meethi si dhun bajne lagti hai . Lagta hai jaise sirf wahi do log hai duniya me aur koi nahi  hai unke alawa . Samay wahi tham jaata hai aur guzarne ka naam hi nahi leta . Samajh gaye ki isko kya kehte hai ? Arre ! isko kehte hai kisi ki poorani gandi shirt me perfume chidhak dena . Matlab isko kehte hai pyaar hona . Har kisi ki yehi kahaani hoti hai aaj ke zamaane me . Har kisi ko pyaar hota hai aaj ke zamaane me . Kabhi - kabhi kuch log isko ek khel samajhke team badalte rehte hai par jab pyaar hota hai toh usi team ke coach ban jaate hai . Zamaana badal raha hai . Pehle log pyaar karte the aur phir izhaar karte the aur phir shaadi karte the . Aaj bhi kuch aisa hi hota hai par thode badlaav ke saath . Aaj ke zamaane me kabhi pyaar karte hai  . Phir kabhi ek baar aur pyaar karte hai . Phir shayad ek - do baar aur pyaar karte hai . Jo pyaar saccha lagta hai usko izhaar karte hai aur agar izhaar gawaara hota hai toh shaadi karte hai . Aaj ki pyaar ki kahaani ek seere se nahi dekhi jaa sakti balki usko samajhne ke liye dono pahlu samajhna zaroori hai . Dar-asal galti kisi ki nahi . Galti toh humaare dimaag ki hai jo dill se jyada practical hota hai . Ji haan ! humaara dimaag apne dill se jyada practical hai . Isko har cheej ko samajhne yaa maanne ke liye chayiye hota hai reason . Nahi , kanoon ki tarah nahi par usse kuch kam bhi nahi . Badalte zamaane me pyaar jyadatar  khote sikke ki tarah nikalta hai . Na kaheen chalta hai aur na kaheen phenkne ko jee chahta hai . Yeh kahaani bhi aaj ke zamaane me bade ho rahe do aise logon ki hai jo pyaar ko samajhna chahte hai par thoda jhijhak me hai . Yeh do log humaari kahaani ki lead role bhi hai . 


Baat karte hai ladki ki pehle jo is kahaani ki hero hai . Sochiye mat ! Ladki ka naam hai Seeta . Jitna saaf - pavitra iska naam hai utni saaf - pavitra yeh bilkul hai nahi . Aankh ka andha par naam nainsukh . Yehi haal hai seeta ka .  Inke kisi dost ne kaha hai ki jaise har din ek sa nahi hota waise hi seeta ka har din koi ek boyfriend nahi hota . Log toh apna rumaal itna nahi badalte jitna seeta apne boyfriend badalti hai . Bilkul jhalli jaise , mufat par adaakaara aur batooni par jugaadu . Yeh zaroorat ke hisaab se ladke chunti hai . Jaisa inhe college me apni application principle tak pahuchaani hai toh yeh college ke peon ko apna boyfriend bana leti hai . Jaise inhe kisi restaurant me free ka khaana khaana hai toh yeh waha ke waiter ko pata leti hai . Jaise aane waale halaat hote hai waise yeh khud ko badal bhi leti hai . Inhe kisi baare me jyada jaankaari toh nahi par apni zaroorat aane par sab kuch jaan sakti hai . Ladke ghumaana toh seeta ka eklauta shauk hai .Chehre ki ek adaa se kayi ladko ko apna kaayal banana toh inka janam - siddh adhikaar hai . Khoobsurati ke maare , sabhi ladke inhe apna banaane ko taiyyar rehte hai . Chahe jitna bhi khel kar le , seeta ki ek acchaayi hai ki woh dill ki bilkul sacchi hai . Seeta ki ek best friend hai jo uske saath uske room me rehti hai - pooja . Seeta sirf pooja ki hi baat sunti hai aur maanti hai . Pooja toh ekdum woh haal hai jaise ki bhed ki khaal me bhediya , mera matlab ladki ke bhesh me ladka . Pooja aur Seeta agar kisi ke maarne me lag jaaye toh sabko chaba daalti hai . Seeta agar sahi karti hai toh usse sahi koi nahi aur jab bura karti hai toh uski buraai koi chhupa nahi sakta . Chote shaher ki ladki hai par taur - tareeke bilkul angrezi mam jaise hai . Bachpan se hi khule vichaar waali rahi seeta , jawaan hone par bhi nahi badli . Jyadatar pooja hi seeta ko buraai ke raaste se bachaati hai . Seeta baahar se jitni bindass aur kadwi hai , andar se usse kayi jyada shaant aur seedhi hai . Par zamaane se akele ladne ke liye khud ko rough & tough banaa liya hai . Agar koi ladka sirf time - pass ke liye ek ladki chahta hai toh seeta se better option koi nahi hai . Pooja uske liye messenger ka kaam karti hai . Ladke ke baare me sar aur pair pooja hi jaanti hai aur sahi - galat seeta ko batati hai . Ek aur dost hai soniya jo dono ke saath toh nahi rehti hai par college me saath hai . Soniya pooja ke jyada khaas hai aur seeta ke liye dushman jaisi . Asal me nahi par dono hamesha yeh baat pe ulajh jaate hai ki kiska recent boyfriend jyada tip - top hai . Unme yeh shart lagti hai ki kaun ladke ko jyada paplu bana sakti hai aur har baar shart seeta hi jeet jaati hai . Seeta ek acchi ladki hai magar tab hi jab woh kuch galat karti hai . Ek line hai jo seeta hamesha kehti hai - " Where there is a wont , there is a will . " 


Ab baari hai ladke ki - Vishnu . Inke maamle me jaisa naam waisa kaam . Maa - baap ne soch samajhke inko vishnu naam diya hai kyuki yeh dill ke bhi sacche hai aur karm se bhi . Inhe kuch karna hai apni zindagi me , kuch bada jisse inka naam ho  saari duniya me . Inhe paisa bhi chayiye aur shauhrat bhi . Par uske liye inka ek hi raasta hai aur woh hai mehnat aur sacchaayi ka . Zindagi ke sirf ek hi pahlu ko jaante hai yeh aur woh hai insaaniyat . Saari buraai , saare shatranji daav - pench se pare hai Vishnu . Dill me logon ke liye sirf pyaar hai aur kisi ka bura kabhi inhone socha nahi aur kabhi soche bhi na aisa inka dill hai . College me yeh mann laga ke padhaai karte hai aur college ke baahar bhi padhaai hi karte hai . Kabhi kisi ladki ko galat tareeke se nahi dekha . Kabhi dekha hi nahi aisa kahe . Inke liye zaroori hai inki padhaai aur inki imaandaari apni padhaai ke liye  . Kehte hai ki jahaan dill laga , waha dimaag kaam karna bandh kar deta hai . Par kehte hai na ki dill par kaabu toh bhagwan bhi nahi kar paaye the aur phir vishnu toh insaan hai . Naam toh bhagwan ka hai par dill toh insaan ka hi hai . Inka dill aa gaya Seeta pe . Waise seeta pe toh har ladke ka dill aa hi jaata hai kyuki seeta hai hi itni khoobsurat . Dill aaya par himmat kaha se laaye ? Saamne agar aa jaaye toh gunge ho jaate hai . Kuch bolne lage toh behre ho jaate hai . Kuch puchle toh na-samajh ho jaate hai . Inki majburi nahi par yeh inki kamzori hai . Pyaar karna toh aata nahi par pyaar me padna seekh liya . Seeta ke liye vishnu kuch bhi nahi hai kyuki vishnu se kayi jyada maaldaar aur bindass ladko ko woh use & throw kar chuki hai . Phir vishnu toh bas ek kambal hai jise woh ek sardi me istemaal karegi aur phir garmi aane par kaheen rakh degi . Vishnu phir bhi yehi kehta hai - " I will love till i die doing it and trust me i will never die before being loved . " 


Kya lagta hai aapko ki purab aur pacchim kabhi ek hi raste pe mill sakte hai ? Sooraj aur chaand ek hi samay roshni de sakte hai ? Vishnu aur seeta pyaar me ek ho sakte hai ? Vishnu toh seeta ko pyaar karta hi hai par kya seeta bhi vishnu ke pyaar ko pehchaan paayegi ? Vishnu seeta ke pyaar me hai aur uske liye sab kuch karne ko hai taiyyar . Seeta , jo kabhi vishnu naam ke ladke ko jaanti bhi nahi , kya dekh paayegi kabhi Vishnu ko  jo usse  karta hai pyaar ? Kahaani seedhi hai par iske raaste bade tedhe hai . Jo jitna asaan nazar aa raha hai , usme utna hi mashakkat karna padega . Kehte hai agar jungle me ped hai , toh unme bandar honge . Aur bandar kabhi seedhe nahi chalte , kabhi ek daali toh kabhi doosri . Raasta wahi par chaal ulti - palti . Idhar vishnu aur seeta ka kya hoga ? Kya kabhi seeta vishnu ke pyaar ko apnaayegi ? Kya seeta vishnu ko pyaar kar sakegi kyuki vishnu toh har aam ladke ki tarah hai jo seeta ke liye kuch bhi nahi hote ? Pyaar ki yeh kahaani toh hai badi seedhi par isme ek twist hai . Kehte hai na ki " Every love has a twist before it ceases . " 










Saturday, 7 May 2011

Untitled Story :Vishnu - Nishita Panels It Down !


Ab tum theek toh ho ab ? 
Aaj college bandh hai kyuki do din ke baad humaare exams shuru ho rahe hai . Exam se jyada important hai nishita se baat karna . Jungle me jo huwa , usse kuch sawaal zaroor uthe hai . Sawaal jitna upar jaayenge utna hi baadal ki tarah sar pe sawaar ho jaayenge isiliye behtar hoga ki unhe pehle hi daba diya jaaye. 
" Mujhe kya huwa hai ? Main bilkul theek hun . " Mujhe pata tha ki nishita seedhe - seedhe kuch nahi batayegi . Apne dard ko apne gusse ki aadh me chupa rahi hai . Shayad aise kuch nahi sunne ko milega . 
Pair toh sahi hai na ? Is it paining now ? Kehte hai ki pyaar se baat karo toh patthar bhi pighal jaaye aur nishita toh woh ladki hai jiska dill mom ka hai . Sawaal chahe jitna sahi kyun na ho , jawaab tab tak nahi milta jab tak tareeka sahi na ho . 
" Pair ka saara dard toh raat me hi chala gaya tha . Par tumhe kuch huwa to nahi na ? " Har jawaab me sawaal karna ladkiyon ki aadat hoti hai . Mere liye fikr hai usse , isiliye maathe pe lakeere dikh rahi hai uske . 
Arre ! Galat question ! Saanp ne mujhe nahi tumhe kaanta tha . 
" Ek minute . Agar shikaar main huwi thi toh main bilkul theek kaise huwi ? Tumne kya kiya tha , vishnu ? " 
Haan , shayad woh zehreela nahi raha hoga . Lucky girl ! 
" Zehreela nahi tha ? Majaak mat karo ! Itna bada aur daraawna saanp zehreela kaise nahi hoga ? Tumne mujhe bachaya na ? " 
Dumbo ! anaconda dekha hai kabhi . Usse bada snake kaheen nahi hai par woh zehreela nahi hota . Samjhi ? 
Aur itna kehte hi uske maathe pe jitne shikand the sab , hawa ho gaye aur ek wahi pehle waali meethi si muskaan chehre pe khil gayi . 
Hostel canteen chale ab ? 
Usne apna sar hilaaya jiska matlab tha haan . Phir hum waapis hostel ki taraf badhne lage . 


Nishita ka mood sahi ho gaya tha aur woh ek badi si muskaan apne chehre pe banaayi huwi hai . Uske mann me sirf ek hi baat chal rahi hai - " Vishnu ! tum kaise mere saare ghum - saare dard itni aasaani se bhoola dete ho ? Tumhare saath hone se lagta hai jaisi main duniya ki sabse khushnaseeb ladki hun . Kya jaadoo hai tumme jo main sirf tumhare baare me sochti rehti hun ? Jab nahi sochti toh tum khud hi mere saamne aa jaate ho . Accha huwa jo main south se yahaan dehradun aa gayi padhai karne  , nahi aati toh tum kaise milte , zindagi kaise milti . " 
Hey ! kya sochne lagi ? 
" Kuch nahi . Tum yahaan kaise aaye ? " 
Mujhe pata nahi tha ki tum iss restaurant me part-time job karti ho . Aaj tumse milna tha toh aarav ne bataya ki tum yahaan , Mamma - mia Cafe me milogi . 
" Nahi wo hostel fees ke liye thoda earn karna padta hai warna wardon mujhe saare saamaan samet baahar phenk dega . " 
Hostel fees ? Main samjha nahi ...tumhaare dad nahi dete fees kya ? 
" Dad ? Dad toh mere aane se pehle hi guzar chuke the . Mummy ne bhi jyada saath nahi diya mera . Jab main 4 saal ki thi toh mummy bhi God ke paas chali gayi . Aur tabse main karnataka ke orphan house me rehti thi . Phir orphanage se yahaan college ka offer mila aur main yahaan aa gayi apni padhaai karne . " 
Jab nishita ki life ko jaana toh dill baith gaya . Uska koi nahi hai , hai toh sirf kuch dost , uski himmat aur bhagwan . Yeh ladki bachpan se akeli hai . Meri wajah se yeh ladki ki jaan khatre me pad gayi thi . Mujhe thoda darr laga ki jaise kal raat huwa nishita ke saath , waisa kaheen phir se na ho . 
Nishita ! I m sorry . 
" Arre ! you dont be sorry . Friends me chalta hai . " 
Tumne mujhe pehle kyun nahi bataya ? 
" Kab batati ? Shuru - shuru me toh tumhare saamne aane se bhi darr lagta tha aur ab jab hum dost ban gaye hai toh waqt humaare saath nahi hai . "  Humaari baatein phir se gambhir hone lagi toh maine phir se topic badal liya . 
Tum south indian ho kya ? Mind it types ? 
" Born as a south indian kyuki meri mummy ek south indian thi but living as a north indian kyuki paida main delhi me huwi thi because mere dad delhi se the . Baad ki life karnataka ke orphanage me beeti . " 
But tum bilkul south indian nahi lagti ho . Sach me  ! i mean waha toh sab log thoda dark types hote hai par you are quite fair . 
Meri iss baat pe woh thoda sharmane lagi - " Ohh ! thanks . But aisa zaroori nahi ki har southi dark ho . For example , me . Aur meri mummy bhi bahut fair thi . " 
Now i got it . 
" Tum waise mujhse kyu milna chahte the ? " 
Aise hi bas dekhna tha ki tum theek ho ki nahi . 
" Toh ab ? Mujhe kuch khila rahe ho ki nahi kyuki mujhe bahut bhukh lagi hai ? I m very hungry right now . " 
Hum canteen pahunch gaye the . Main turant gaya aur nishita ke liye kuch snacks le aaya . Phir hum khaane ka majaa lete huwe baatein karne lage . Canteen me aur koi nahi tha , bas nishita , main aur woh canteen owner kam waiter . 


Tum exams ke baad jo chutti ho rahi hai , usme kahaan jaogi ? Waapis karnataka ? 
" Nahi . Main chuttiyon me hostel me hi rehti hun . Kabhi - kabhi priya ke ghar chali jaati hun aur kabhi - kabhi simmy ke ghar . But jyada time hostel me hi . " 
Mujhe toh iss baar apne ghar jaana hoga . Iss time mummy zidd pe hai ki main ghar aaun . 
" Zidd toh karengi hi , tum last holidays me bhi ghar nahi gaye the na . Zidd toh karni hi chayiye . " 
Tumhe kisne bataya ki main pichli baar ghar nahi gaya tha ? 
" Pata chal jaata hai . Mummy bahut care karti hai na tumhari ? " 
Haan , thoda bahut karti hai . 
" Meri mummy agar aaj alive hoti toh mujhe chuttiyon me zabardasti ghar leke jaati . Sab kehte the ki woh meri bahut care karti thi . Dad ke expire karne ke baad woh meri guardian angel ban gayi thi but unhe bhi jaana pada . Ab toh main family life bhool si gayi hun . Room ke do friends ko hi family maan leti hun . " 
Uski baaton me gehra dard chupa hai aur parivaar ki yaad phaili huwi hai . Kitna akelapan mehsoos hota hoga apne parivaar se itna dur rehna , itna ki woh kabhi waapis hi na aaye . Iss samay saare bacche exams ki taiyyari me jute hai isiliye canteen sunsaan hai . 


Waise ek baat batao . Tum utne ghane jungle me akele kyun gayi thi ? Aisa kya soch rahi thi ki har khatre se anjaan thi ? 
" Nahi bas , kuch der akela rehna chahti thi isiliye jungle me chali gayi . Aur pata hi nahi chala ki kab itne andar chali gayi ."
Wahi toh main bhi puch raha hun ki pata kaise nahi chala ?
" Bas nahi pata chala . Kisi ke baare me soch rahi thi . Sochte - sochte waha pahuch gayi . " 
Ohh ! koi itna important hai tumhare liye ki tum khud ko kisi bhi khatre me daal sakti ho uske liye . 
Nishita phir soch me kho gayi - " Kaise kahun ki woh koi aur nahi balki tum ho . Tumhare hi baare me soch rahi thi . Jab bhi tumhare baare me sochti hun toh saamne kuch nahi dikhta . Sirf tum dikhte ho aur sunaai dete ho . " 
Arre ! phir kho gayi . Lagta hai ma'am ko koi special mill gaya hai ? 
Usne apni nazrein neeche karte huwe kaha - " Nahi ! its not like that re . " 
Hum bahut der se baatein kar rahe the . Ab toh woh canteen owner kam waiter bhi jaa chuka tha .
  
Shayad ab hume bhi chalna chayiye ?
Nishita phir kuch sochne lagi , shayad abhi bhi kal ke baare me hi khoyi huwi hai - " Oh shit ! yehi to main hate karti hun , tumse dur jaana . Kal exam bhi hai aur aaj itna happy moment guzar raha hai . How do i concentrate on paper now ? " 
Shayad  tum abhi bhi ussi ki soch me ho ?
" Nahi . Yaa ! lets go now . I got to study for tomorrow's exam . Shayad tumhe bhi padhna hoga ? So lets go ! " 
Iske baad main apne hostel ki taraf chal diya . Nishita bhi apne room chali gayi . 


" Kal jo tumne kiya , woh sahi nahi kiya ! " Remitente mere room me pehle se hi khadi thi . Aarav kahaan hai ? Sanchit bhi nahi hai . Pata nahi jab remitente saamne aati hai tab sab kahaan gaayab ho jaate hai ? 
Aap ? Ab maine kya galat kiya ?
Woh phir mere kareeb aane lagi . Apna haath mere sar pe rakhte huwe boli - " Yeh jo tumhara dimaag hai , isse jaldi kaam me laao . " 
Maine toh nishita ki jaan bachaayi .
" Uss ladki ki aur uss shaitaan ki bhi . " 
Aap seedhe se kehna kab shuru karengi ? 
Unka wahi bhaaw chehre pe waapis aa gaya . Jaise ki woh mujhe koi bewkoof samajhti ho - " Tum chahte toh uss shaitaan ko bhi maar sakte the . Par tum apni jagah par aise khade the jaise ki tum koi aam insaan ho . " 
Uss waqt nishita ko meri zaroorat thi . Woh mar rahi thi , agar main usse chodh ke jaata toh woh mar jaati . 
" Yeh socho ki woh uss haalat me thi kiski wajah se . " 
Unki yeh baat sunke mujhe apne kusoorvaar hone ka ehsaas huwa . Nishaana main tha par chot pahuchi nishita ko . Shayad meri wajah se sabko khatra ho sakta hai par jab tak mere paas shaktiyaan hai main unhe har problem se bacha lunga , maut se bhi chheen lunga . 
" Dekho ! tum ek mogul ho . Mogul hona asaan nahi hai par tum chune jaa chuke ho toh iska matlab yehi hai ki sirf tum hi yeh kaam kar sakte ho . Apni jimmedaari ko samjho . Apni shaktiyon ko pehchaano . Tumse jyada shaktishaali aur koi nahi hai dharti pe . Mogul ko ek kaam saupa gaya hai , aur mogul ko woh kaam karke dikhaana hi hoga . " 
Jab tak main hoon , mere doston ko kuch nahi ho sakta  . Aur ek aur baat , main hamesha rahunga . 
" Woh ladki surakshit nahi hai . Itna jaanna zaroori hai tumhare liye . " Itna kehte hi woh phir se gaayab ho gayi . 
Aap jahaan kaheen bhi ho , mujhe pata hai aap mujhe sun sakti ho . Mere hote kisi ko kuch bhi nahi hoga. Ab jab mujhe khud pe thoda sa vishwaas hone laga hai , toh aapka vishwaas kahaan hai . Main shayad jyada hi gusse me bolne laga aur apna aapa kho chuka tha . Room me aarav aata hai - " Kya huwa vishnu ? Tu chillaaya kyu ? " 
Kuch nahi ? Phir main waha se nikal gaya . 

Look ah your hair. Is that yo' natural colour? o.o

ohh ! let it be a secret ......

Popularize urself by asking me !

water. when was the last time you drank it? & how much do you drink it a day?

Rite now m doing the same thing

Popularize urself by asking me !

you good in maths?

yaa......good weneva i close my maths book..I really feel good !

Popularize urself by asking me !

are you a good singer?

yaa.....wenever m all alone in my bathroom

Popularize urself by asking me !

What historical time period would you most like to visit?

Hmm ...my own birthyear is historic for me !

Popularize urself by asking me !

Sunday, 1 May 2011

Untitled Story - A plan for forest camping - Nishita in Turmoil !


" Kyun itna dukh de raha hai vishnu mujhe ? Aakhir maine toh sirf usko pyaar kiya hai . Phir main hi kyu itna dard sahuun ? " Jungle raat me saayon se ghira huwa hai . Sirf lakdi aur mitti  aur inpe rehne wale jaanwar ,iske alawa ab nishita bhi jungle me jaa chuki hai . Raat me jitna khatarnaak bhoot se saamna ho sakta hai utna hi khatarnaak jungle me aur woh bhi ghane jungle me akele jaana hai . Apne baaton me khoyi nishita bahut andar tak jaa chuki hai aur usse iska ehsaas bhi nahi hai . " Woh soniya ko kyun aana tha aur woh bhi tab jab main aur vishnu ne shuruwat hi ki thi  ? Kyun aayi soniya ? Why ? " Uski baaton me pyaar ko khone ka darr hai par jungle me akele hona ka darr bilkul nahi hai . Woh jitna soch rahi hai utna hi andar jaate jaa rahi hai . Andhere me jab sirf parchaayi hi dikhe toh samjho ki aapki madad karna wala koi nahi . Ghana jungle hamesha ek zindagi aur ek maut ka gawaah raha hai . Zindagi uski jisne kisi ki maut ki aur maut uski jo zindagi se haar gaya ho . " Bhagwan ! yeh tumne accha nahi kiya . Hamesha main hi kyun sacrifice karti rahu ? Pehle mom , phir mera bhai aur ab mera pyaar . Kya isi liye mujhe life di ? Kya sirf khona hi likha hai mere naseeb me ? " Raat sar chadh chuki hai . Aise samay sirf  ek chaand hi hota hai jo hume raaste me roshini deta hai . Ab toh yeh chaand bhi bilkul chamak raha hai aur itna ki aankhon ki palkein jhapka de . Raahon me itne kaante aur khatrein hai ki insaan jeene ki aas chodh de . par agar koi inn cheejon pe dhyaan hi na de toh koi kya kar sakta hai . Nishita bhi bekhabar chali jaa rahi hai , bekhauff hai uss khatre se jo uska intezaar kar raha hai jungle ki gehraayiyon me . " I dnt wanna live any more . Please god ! itna jhelne ki himmat nahi hai mujhme . I cant let go vishnu away from my life . Main usse pyaar karti hun . Soniya ko kyu bheja aapne ? Kyun  ? " Aankhon ke aansu paani ki tarah beh rahe hai . Chehre pe baarish ki tarah saje huwe hai . Dill me jo dard chupa huwa hai woh tanhaa rahon me bikhar sa jaata hai . Wahi nishita ke saath bhi ho raha hai . Iss samay woh bilkul akeli hai aur ghane jungle me woh khatre se khaali nahi . " Vishnu ! please mujhe suno . I luv you . Tum mujhe bahut acche lagte ho . Do you luv me ? Bolo na vishnu !  "  Nishita akele hi baaton ko kinaara de rahi hai  . " Tum chup kyun ho ? Kya tum mujhe sun nahi sakte ? " Sawaal kar toh rahi hai par jawaab dene wala koi nahi . Jisse yeh sawaal pucha gaya hai woh to usse bahut door hai abhi . " Tum sun bhi kaise sakte ho mujhe . Tum toh abhi apni soniya ke saath jo hoge . Jab woh tumhare saath hoti hai toh tum mujhe dekhte hi kaha ho . I hate you because i love you and i cant see you with her . "  Jungle ke veerane me woh kho rahi hai . Khud ko aise khatre me daalna , murkhata hai par pyaar ka dard saare khatre chupa deta hai . 


Idhar camp me hum abhi bhi bonfire ke paas baithe hai . Bottle game over ho gaya hai aur Sanchit apne guitar ke saath hume apna ek naya gaana suna raha hai . 
Waah ! sanchit . kya gaana hai yaar ! Tu sach me bollywood me ghus jaa . 
" Thanx dude ! but padhai ke baad . " Sanchit ka kehna bhi sahi hai . 
But tum padhte kaha ho yaar . Sanchit ka majaak toh banta hai . Uske muuh se padhai ki baatein aisi lagti hai jaise bina dimaag ke khoj karna . 
Soniya ko neend aane lagi aur woh sanchit ka gaana sunke bhi bore ho gayi -" Vishnu ! main tent me jaa rahi hun . " 
Arre ! par kyun ? 
" Mujhe neend aa rahi hai . Der raat tak jaagungi toh dark circles aa jaayenge na . " 
Bhale hi raat bahut ho chuki hai par baat to abhi baaki hai . 
" Please ! warna main yehi soo jaaungi ? " 
Bas ! yeh dhamki sunke maine socha ki soniya ko jaane dun - Ok ! jaao . Par ek baat sun lo chahe circles dark ho yaa bright mujhe tum tab bhi sabse beautiful ladki lagogi . 
" How funny ! Ab subah milte hai . Bye guys ! bye luv ! " 
Soniya uthke tent me chali gayi . Lekin yeh kya huwa ? Achanak se phir se meri aankhon ke saamne bahut saare drishya chhaa gaye . Koi bhi view clear nahi hai par ek aakhiri jhalak me mujhe nishita dikhi . Par na woh mujhe tent me nazar aa rahi hai aur na kaheen aas-paas. Bahut hi dhundhali tasveer jaisi , mujhe aas-paas sirf ped-paudhe dikh rahe hai . Oh no ! kaheen nishita jungle me toh nahi chali gayi  ? Mujhe kuch karna hoga ab . Main hi hun jo usse khatre se bacha sakta hun . Par woh hai kaha , mujhe kuch saaf nahi dikh raha hai . 
Suno guys ! main bhi sone jaa raha hun . 
Sanchit mujhe aise nahi jaane dega par - " Arre ! abhi soniya gayi nahi ki tu bhi jaa raha hai ? "
Nahi yaar ! aisi baat nahi hai . I m feeling so sleepy . 
Aarav ne sanchit ko samjhaya toh wo maan gaya . Main unki nazron ke liye tent me gaya par waha se unki nazron se bachte huwe jungle ki ghani jhaadhiyon me bhaag gaya . 


Idhar nishita bilkul akeli chali jaa rahi hai par achanak ek bhayanak aawaaz suni usne . " Ohh ! yeh main kaha aa gayi ? " Ab usse nazar aaya ki woh kitne ghane jungle me aa chuki hai . Yaha se na toh raasta dikhega , na toh manzil . " Ab waapis kaha se jaaun ? Idhar toh sabhi trees ek hi jaise hai . All twins here . " Tabhi nishita ne zameen me ek hulchul mehsoos ki . Woh ab bahut dari huwi hai . " Ouchh ! yeh kya tha ? Kaheen koi snake toh nahi na tha ? Oh god ! mujhe bachao . " Jab darr zubaan se nikalne laga toh uski cheekhe bhi nikalne lagi - " Help ! koi hai ? Bachao mujhe ! " Kitna bhi chilla lo , par koi nahi aane wala . Insaan jab apne gusse ke kaaran apne hosh kho baithta hai tab koi maseeha yaa bhagwan ka doot hi usse bachane aata hai . 


Nishita ! kaha ho tum ?
 Main jitna tej ho sake utna tej chilla raha hun par na woh mujhe sun paa rahi hai aur na main usse . Shayad woh aur bhi andar chali gayi hai . Par kaha hai woh ? Itne andhere me sirf chaand hi mere saath hai . Iski roshini ab mujhe jahaan le jaayegi , main wahi jaaunga . Apni poori teji se main uske kadmo ko laanghta gaya . 
Nishita ! Where are you ? Nishita ! 


Idhar nishita ab itni darr chuki hai ki khud ko sambhaal nahi paa rahi . Jo aansuun pehle dard se beh rahe the , wo ab darr ke saaye se lipat gaye hai . Kya zaroorat thi aise khatre mol leni ki ? Shayad ab woh yeh khud se puch rahi hogi . " Chalte - chalte main kaha aa gayi hun ? Kaha jaaun ab ? Kash ! koi mujhe yahaan se le jaye . " Uske darr ka saamna toh ab hoga . Woh jaha khadi hai , waha uske pairon ke paas se kuch ajeeb sa jeev guzra . " Oh my god ! yeh kya tha ? " Woh jeev kisi saanp ki tarah hai . Par jaise saanp lambi khaal me hote hai ,wo waisa nahi hai . Uske maathe pe ajeeb sa bhay hai . Hara rang ka shareer ki choti ghaans me bhi din ke ujaale ko maat de de . Uske muuh se do lambe aur nokeele daant baahar nikle hai . Aise jaise kisi ka bhi khoon pee sake . Khaal itni moti ki haathi nigal jaaye . Nishita ek aam insaan hai toh uske liye yeh jeev koi aam jeev nahi hai . Woh isse dekhte hi itni seham gayi ki apni jagah se hill bhi nahi paa rahi . Woh theek zameen pe hai aur woh bhi nishita ke saamne . Unke beech ki doorie itni hi hai jitni ek dhadhakte huwe dill aur ek na kaam karte dimaag ki hoti hai . Main bhi uss maut ke aur darr ke milan me pahunch gaya . Main unse thoda door hun par mere jyada paas woh saanp hai aur nishita uss saanp se jyada paas khadi hai .
The Green Serpant


Nishita ! bilkul darna nahi . Main hoon na ! 
Nishita kuch bol nahi paa rahi kyuki uss saanp ki chhavi ne uske hothon ke sil diya hai . 
Nishita run . Run from here . 
Main chilla ke keh raha hun ki nishita waha se bhaag jao par woh apni  jagah se hill bhi nahi rahi . Itni dari huwi hai ki jaise dharti ne uske pairon ko baandh diya hai . 
Nishita ! main keh raha hun ki bhaago waha se . Run !
Shayad woh nahi hilegi . Mujhe hi kuch karna hoga . Maine socha ki uss saanp ke upar se hote huwe nishita ko waha se leke nikal lunga  par jab tak main aage jaata usse pehle wo hara saanp nishita ki ore ghuma aur usski taraf rengne laga . Sab kuch itni jaldi huwa ki main kuch bhi kar nahi paaya . Woh saanp nishita ke pairon ko danske rengte huwe andhere me gum ho gaya . 
Nishita ! woh ghash kha ke zameen pe gir gayi . Ek saanp dans le toh insaan ke poore shareer me zeher phail jaata hai . Par yeh saanp itna vishaal tha ki nishita ka poora shareer hara hote jaa raha hai . 
Nishita ! r u okay ? Main bas apne mann ki shaanti ke liye aisa sawaal kar raha hun par itna toh saaf dikh raha hai ki zeher uske shareer me phailna shuru ho gaya hai aur woh bhi bahut teji se . Woh hara saanp toh bhaag gaya , gayab ho gaya par uska rang nishita pe chadhta jaa raha hai . Kaheen wo mere liye toh nahi na aaya tha ? Agar woh mujhe dekhne aaya tha toh nishita ko dansne ki kya zaroorat thi ? Main turant nishita ke paas gaya . Wo zameen par ek mrit jaise padi huwi hai . 
Oh God ! open your eyes . Apni aankhen kholo . Please !
Main yehi aas lagaye hun ki abhi nishita theek ho jaayegi par aisa nahi hone wala . Uski saanse toh chal rahi hai par uska shareer bilkul thandaa ho gaya hai . Jaise ki shareer me jaan hi nahi hai . Main kya karu ? Uske pair pe jo ghaav hai woh aur bhi gehra hote jaa raha hai . Mujhe hi kuch karna hoga ab . Mujhpe zeher ka koi asar ho ya na ho , ab main nishita ke andar se saara zeher nikaal dunga . Maine uske paav ko apne hothon ke kareeb kiya aur uska saara zeher pee gaya . Woh ab behosh hai aur usse kya ho raha hai kuch nahi pata . Uska rang phir se normal ho gaya . Woh hara rang jaise khule aasmaan me udd gaya . Par mere gale me ek ajeeb si jalan hone lagi . Aisa lag raha hai jaise 100 laal mirchi khaa li ho . Par yeh jalan apne aap hi bandh ho gaya . 
Hosh me aao nishita ! Hosh me aao . Ab sab theek ho gaya . 
Woh ab bhi behoshi ki haalat me hai . Ab shayad yahaan rukna bhi sahi nahi toh maine nishita ko apni baahon me liya aur waha se dheere - dheere chalne laga . Woh phir se meri baahon me hai aur raat ka samaa bhi hai . Chaandani raat aur roshini bhi madhdham - madhdham . Woh shayad ab hosh me aa rahi hai . Uski aankhen ab dekh sakti hai , dekh sakti hai ki main hun , woh hai aur hum sunsaan raat me akele hai . 
" Main kahaan hun ? Vishnu ! tum theek ho ? " 
Woh boli aur mere hi baare me puchne lagi . Jaise ki uss saanp ne mujhe dansaa ho . Khair acchi baat toh yeh hai ki ab nishita bilkul theek hai . Jitni khushi mujhe hai , utni khushi nishita ko bhi hai mere paas hone me .
" Kya huwa tha ? Mujhe toh ...mujhe toh uss saanp ne dansaa tha na ? " 
Mujhe laga ki usse kuch yaad nahi hoga par woh toh seedhe itna direct question puchne lagi . 
" Main zindaa hun ki mar chuki hun ? " Itna bachkaana sawaal sirf ek ladki hi kar sakti hai .
Agar tum zindaa nahi ho toh tum swarg me ho . Aur agar tum swarg me mere paas ho toh iska matlab main bhi ...
Meri baat abhi poori hoti ki usse pehle nishita ne apna haath mere hothon pe rakh diya . Meri baat ko adhoora hi rehne diya - " Meri wajah se tumhe kuch nahi ho sakta . Jab tak main hun , tumhe jeena hoga aur mere baad bhi tum jeeyoge . " 
Accha ! upar se mere liye stay order leke aayi ho ? 
"Kash ! kash ! tum mere liye stay hote vishnu . But tum toh soniya ke ho . Aur stay order toh uske paas hai , kyu ? " 
Nishita ! yaha kyun aayi ? Maine socha ki topic badalne me hi bhalaai hai . 
" Pehle batao ki huwa kya tha ? " 
Tumhe saanp ne kaata aur bhaag gaya . Samjhi ? 
Nishita samajh gayi ki uski jaan jaate - jaate bachi hai . Shayad ab apni bhawnaao me behke aisi harkat nahi karegi . 
" To tumne mujhe bachaya ? " 
Nahi maine nahi . Main toh behosh ho gaya tha . Saakshaat bhagwan aaye the tumhari raksha karne .  Jaisa ki main pehle kaha tha ki main apni baaton me humour mix karne me vishwas rakhta hun . 
" Vishnu ! for me you are a god . " 
Baaton hi baaton me hum waapis apne camp me pahuch gaye . Sanchit aur aarav dekhke chauk gaye . Priya bhi hai . Sab hairan hai ki nishita mere saath aur woh bhi hum jungle se aa rahe hai . Baat toh hairaani wali hi hai . Maine nishita ko seedhe uske tent me drop kiya aur baahar aa gaya . Baad ki baatein toh hoti rahi par agle din hum apne - apne room me pahunch gaye .